Friday, December 19, 2014

BAGHION SE LADAAYI KA HUQM

 



*****Bagio se Ladai k Hukm*****

Bagio se ladai karna Wajib hai hatta k Wo hak ki Taraf laot Aye.


Point Number ''1''

Lugwi wajahat :

Lafz ''Bagaat'' Baagi k Jama hai uska Maana hai Bagawat karne wale,

baagi yabqi (sarb) : Talab karne Wala,Zulum wa zayati karna,Nafarmani karna,Hak se hat jana.

abga yubgi (Ifaal) : Talab Banana

Tabgi ya Tabagi (tafaal) : Ek Dusre per Zulm karna

Saraye Taref : jo hukmaraan k Khilaaf kisi man gharak tawelaat ki wajah se Aslah Aur Quwat wa taqat ki sath Kuruz kare (jaisa kuruz wagaira) Ager che unka koi Ameer Na ho Aur Ager che kisi Adat hukmaraan k Khalifa Bagawat kare.

[Al Fika Al Islamia wa Adalata jild-7 /5479]

Imam Sukani r.al Farmate hai :

''Baagi wo hai jo Allah Tala ki Wajib karda hakim e Waqt ki Itaat se Nekal jaye''.

[Al sail al jarrah jild-4/556]

*Baagi Aur Mhrab me Fark *

Mhrab Bagair kisi Taweel k Nafarmani karte hue Itaat se Nekal jata hai Aur baagi kisi Taweel per Ladai suru karta hai' Qatal karta hai Aur Maal chinta hai.

[Al Feka Al Islamia wa Adalata jild-7 /5479]

Point Number ''2''

A-Irshad e Bari tala hai :

''Ager Musamano ki wah 2 jamate Apas me lad pare tou unme Sulah kar Deya karo fer un 2no me se Ek jamat Ager Dusre per jayadati kare Tou tum Jayadati karne wale karwa se ladai karo Hatta k wo Allah k hukm ki taraf laot Aaye.''

[Al huzraat Ayat No-9]

B- Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Emaar r.a k mutaliq Farmaya tha ''Use Baagi Karwa Qatal karega''

[Muslim Hadees No-2916 kitab al Fitna]

C-Hazrat Ali r.a se Rewayat hai k Rasullah Sallahu Alaihe wasallam ne Farmaya :

''Akher jamane Qareb hai jab Ayse loog Musalmano me Neklege jo NouAmr bewakuf hoge (Aqal me Futur hoge) Zahiri Tour per Saari Makhluk k Kalamo se jo behtar hai (yaani Quraan Aur Hadees) use padege Magar Dar hakikat Imaan k Noor unke Halak se Niche Nahi Utrega wo Deen se us tarah Nekal jayege jis Tarah teer Sukr k Janwer se paar Nekal jata hai, tum unko jaha paao Bila Tamil Qatal kar do kuki unke Qatal me Roza Qayam Ajr Melega.''

[Bukhari Hadees No-3611,6930,5057, kitab Estetab Al Murtaden]

Imam Sukani r.al Farmate hai :

''Bagio ko Qatal karna Bila jama Jaiz hai Aur ye Baed (Burai) Nahi hai k Wajib hai, kuki Allah Tala ne Farmaya''Fa Qatilul lati Tabgi'' baaz ne ye v kaha hai k Ense jihaad karna Kuffar se unke Gharo me jaker jihaad karna se v Afzal hai.''

[Nil ul Awtaar jild-5 /231]

jab Bagair kisi tawil k kisi k baagi hona Sabit ho jaye fer uske Qatal se khud k hanth ko Roke Rakhna Allah k hukm ki Khilaf Warji hai leken Altabas wa shaba ki halat me ladai Nahi ki jayege Nalke unke maben Allah k Hukm ''Fa Aslihu Bainahum'' ki wajah se Sulah k leye pahal ki jaye ge Aur hakim (jaj) k kisi Masle me Ijtehaad karte hue Dalill k Taqaje se hat kar faisla kar dena Bagawat Nahi hai, Balke Mujtahdeen se Ayse Amr k k sadir hona Na-guzer hai, Es Surat me hakim (jaj) se ladai Nahi Balke use Pand wa Nasihat se Qail karne ki kosis ki jayege,Aur Jab tak Wo Namaz Qayam rakhte hai Aur kisi Wajah kufr k Irtekaab Nahi karte unke khilaaf Kuruz jaiz Nahi.

[Al sil al jarra jild-4 /556]

Said Sabik r.al Farmate hai :

''Tum Musalmano per Wajib hai k Wo Baagi giroh se (unke Sulah k Inkaar per) Jama ho ker Qatal kare Aur Hakim e Waqt Baagi Giroh ko Qatal karega jaisa k Hazrat Abu bakar Siddiq r.a ne Maneenjakata se keya.''

[Feka Al Sanata jild-3/95]

Daktur Wahab jahle :

Ager Baagio k leye koi panah gah (koi Chupne ki jagah wagaira) Na ho tou hakim e Waqt ko chayye k Wo unhe Pakar ker Qaid karde hatta k wo Touba kar le, Aur Ager unke pass Mahfuz Qila(jagah)'Panah gah' Aslah (hatiyaar) jaat Aur lawazmat Harb Mayassar ho tou Imam ko Awwal chayye k Unhe Itaat k Ahtarzam ' dara-Al-Adl Aur jamat ki taraf wapsi ki dawat se jaisa k Ahle-harb k sath keya jata hai Ager Wo eske Enkaar kar de tou Ahle-Adal unko Qatal kare Hatta k unhe Sakt se Sakt tarah se Qatal kar de.

[Al Fika Al Islami wa Adalata jild-7/5480]

Sadiq Hasan Khan r.al Farmate hai :

''Fe Al Hakikat Musalmano ki jaan o Maal Mahfuz hai Allah Tala ne Bagio giroh se Qatal k Elawa kisi chiz ki'Izazat Nahi de es leye use per Ittefaq karte hue jabtak Wo Bagawat per Masruh unse Serf ladai ki jaye ge jabke unke Maal ko chenna kisi Tour per Durust Nahi hai.''

[Al Rozat al Nadeyat jild-2 Safa-770]

Imam Ibn Khuzaima r.al Farmate hai : Tawel k 2 kisme hai.

1-jis k jareye Sunnat ko Metane ki kosis ki jaye jaisa k Kuwazi ne jama ko batil karar deya'Gunah-gaaro ko Kufr Karar dena' rewayat e Elahi k Inkaar karna Aur Safaat k Batlana Wagaira , Uske Qayalin k Azr kabul Nahi hoga.

2-jinse Deen me Rukn Andaze Na ho jaisa k Hazrat Mawia r.a ne Hazrat Ali r.a ki Baith ki Baeed se pahle Qatal Usmaani k Qasas k Mutalba keya, tou ayse Log Mazur hoge, Aur jo Amr bin Maroof Aur Nahi Al Munkr ' Quraan o Sunnat k Galbe Aur Adl o Insaaf k sath Faisla lo Taraf Dawat de Wo Baagi Nahi hai Balke wuska Madmukabil(Apojit parte) Baagi hai.

[Al mahli Bel asaar jild-11 safa-335]


 **Unke(Ameer k) Khilaf khuruz (Bagawat) Jaiz Nahi hai,Jab tak Wo Namaz Qayam Rakhte hai Aur Khullam khulla Kufr k Izhar Na kare**

1- Marwa'an bin hukm Faramte hai k kisi ne Jang k Din Buland Awaaz se pukara k peet fer ker Vagne wale ko katal Nahi keya jayega,kisi Jakhmi ko Mout tak Nahi pahuchaya jayega'jisne Apne darwaje band kar leya wo Aman wala hai Aur jisne Aslah(hatiyaar) Daal deya wo v Aman wala hai.

[Sunan Said bin Mansoor jild-2 safa-389, Hakim jild-2 safa-155,Bahqi jild-8 safa-181,Ibn Abi Saiba 33277]

2- Hazrat ibn Umar r.a se rewayat hai k Nabi(s.a.w) ne Ibn Masood r.a se kaha Aye ibn um Ubada ! mere Ummat me se Bagawat karne wale k Keya hukm hai tou unhone kaha Allah Aur Uska Rasul he Jeyada Elm Rakhta hai,Rasullah Sallahu Alaihe wasallam ne Farmaya :

''unke Vagne wale k picha Nahi keya jaye ga' unke Jakhme ko Mout k gaat Nahi utara jayega Aur unke Qaide ko Katal Nahi keya jayega''

[Hakim jild-2hadees no-155,Bahqi jild-8 Hadees No-182]

Ek Rewayat me ye Alfaaz Hai .

''Unke jakhmi ko katal Nahi keya jayega Aur Unke Maal ko ganimat Nahi banaya jayega''

[Imam Ibn Adi r.al farmate hai k ye rewayat Gair-mahfooz hai (Al kamal jild-6 safa-78 ) , Imam Bahqi r.al ne Ese Zaif kaha hai (Nel al Awtaar jild-5 safa-629), Hafiz Ibn Hazar r.al farmate hai k Imam Hakim r.al ne ese Sahi kaha hai leken use ye waham hua hai kuki uske Sanad me koser bin hakim Rawi Matru hai (Balugul malam safa-254,Nil al awtaar jild-5,safa-629) , Hafiz Ibn Hazar r.al farmate hai k Ali r.a se Mukhtalif Asnaad se ye Sahi Sabit hai (kama fi Al sil al jarrah jild-4 safa-557)]

3- Hazrat Abu Imama r.a se rewayat hai k may jang e safeen me Hazir tha Aur wo (laskar Ali r.a) kisi jakhmi per dhawa Nahi bolte the'kisi vagne wale ko Qatal Nahi karte the Aur Na he kisi Maktut se (uska Maal) chente the.

[Bahqi jild-8 safa-182]

4-Hazrat Ali r.a se Jang jamal k din Farmaya:

''Ager tum (Mukhtalif) Qoum per galib hasil kar lo tou vagne wale k picha Na karo' Jakhmi ko Majaj na Banao'Aur Un Alaat harb ko dekh ker kabza me lo jenke sath wo sarek hue hai Aur jo kuch unke Elawa hai wo unkw waris k hai''

[Bahqi jild-8 safa-181,Imam Bahqi ne ese sahi kaha hai]

5- Abu fakhata farmate hai k jang e Safeen me Hazrat Ali r.a k pass ek Qaide laya gaya tou usne kaha Aap mujhe Taqleef se ker Qatal Na karna tou Hazrat Ali r.a ne kaha me tumhe Taqleef se (yaani Sabr se) Qatal Nahi karuga kuki me Allah Tala se Darta hu fer unhone use Chor deya.

[Bahqi jild-8 safa-182]

6-Imam Zari r.al farmate hai k (jis Waqt) fitna varak utha tha' Rasulallah Sallahu Alaihe Wasallam k Sahaba Wafer the,unhone Ijma keya k Wo kisi se kasas Nahi lenge Aur Na he Quraan ki Taweel per kisi k Maal chenege Ellah k koi Apna Maal baina unke pass paye(tou wo pakar sakta hai).

[Sunan said bin mansoor 2903, Abdul Razzaq 18584,Bahqi jild-8 safa-175]

Ye Tamam Asaar es baat k Dalill hai k Musalman k khoon Aur Amwaal Haram hai Aur unhe kisi Sarye Dalill k sath he Halal keya ja sakta .

(yaani k Na he Musalman ko katal keya jaye aur Na he unka Maal chena jaye , ye sab haram hai)

[Al rawjat Al nadet jild-2 safa-771]

Said Sabiq r.al farmate hai :

''Bagawat k Jareye koi Jamat Islam se Khariz Nahi hote kuki Allah Tala ne uske sath Qatal k Bawajud Unhe Imaan k wasf k sath Mutasif keya hai lehaza unke bhagne wale Aur Jakhmi ko Qatal Nahi keya jayega,unke Amwaal ko ganimat Nahi banaya jayega 'inke khawatin wa waladat (waris) ko Qatal nahi keya jayega , Douraan jang'talf ki hue Aseya k wo Jaman Nahi hoge (jaan ho ya Maal) Aur unme se jise Qatal kar deya jaye use Gusul deya jayega Aur kafan pahnaya jayega Aur Uske Namaz janaja v Ada ki jayege, Aur jo Ahle-hak me se Qatal keya gaya wo Saheed hoga, yaad rahe Sab us waqt hai jab Khalifa Al Muslemeen k khilaf Khuruz keya gaya ho.''

[Feka Al sanata jild-3 safa-95]

Ahnaaf k es Masle per kahna hai :

''Bagne wale baage ' Qaide Aur Jakhmi ko v Qatal kar deya jayega''

jumhur k kahna hai :

''Ahnaaf k bar aks Moukuf rakhte hai''

[Al Mugni jild-8 safa-114,Mugni Al mohtaz jild-4 safa-127,Al kitab ma lilbab jild-4 safa-154,hasiyata al daswaqi jild-4 safa-300]

*Ager vagne wala k koi karwa(jamat) ho ya uske Dobara humle k dar ho tou use Qatal kar deya jayega ya Nahi usme Ikhtelafaat hai,

Imam Abu Hanifa r.al - use Qatal keya jaye.

Imam safaii r.al - Use Qatal Nahi keya jayega.
[Ala'm jild-4 safa-217,bidda al sana'a jild-10 /4397, Al mugni jild-12/252]

Rajeh ---> Imam Safai r.al k Moukuf Rajeh hai kuki Guzista Asaar se ye sabit ho chuka hai k bagio k bhagne walo k picha Nahi keya jayega' us per ko Qaid Sabit Nahi k wo Jamat wala ho ya uske palat Aane k khof ho,Es leye Dalaill se jo baat Sabit ho chuka hai use per Iqteda karna Wajib hai...Aur mahaz Raye se kisi Dalill ki tahkek Kabil e kabul Nahi hai.

[Alsayel al jarrah jild-4 safa-558]

**Chand Jaruri Masail**

A- jo hakim k khilaf kuruz k Irada rakhta ho tou jabtak wo Jang ki Ibteda Na karde ya uske leye Mustaqil Na ho jaye use Qatal karne se Hanth Roka jayega,jaisa k Rasullah Sallahau Alaihe wasallam ne Farmaya :

''Jab wo Nekle tab Unhe Qatal karo...''

[Nil ul awtaar jild-5 safa-627]

B-Imam Kutabi r.al ne Musalman Ulma k Ijma Nakal keya hai k kuruz (apne jalalat k bawajud) Musalman Ferko me se he Ek ferka hai es lehe unse Nekah karna'unka jabah khana Durust hai Aur wo us Waqt tak k Farman ho sakte jantak wo Islam ki Asal ko thame hue hai.

[Fatul Baari jild-14 safa-307]

C-Hakim Waqt Ansadad k leye ager bagio k Amwaal paker leta hai tou wo bagawat k Khatma per unhe Ada kar le ga tou ye Durust hai kuki use Amr bin maroof Aur Nahi An al munker k tahat v ye hak hasil hai, leken unke Apwaal melkeyat banan ye ganimat samjhte hue pakrna jayej nahi hai kuki wo Musalman hai.
[Al shilal jarrah jild- 4safa-559,Almasut jild-19 safa-124,Fatah qadir jild-4 safa-409]

D-Ulma k es baat per ittefaq hai k Ahle Adl (yaani Ahle-hak) per Bagio k Qatal karne ki wajah se koi Gunah ya Kaffara Nahi hai Aur Na hetalf suda (Amwa'al Aur Janwer) k Jaman hoge.
[Sareh Muslim lilnuwi jild-7 safa-170,Kasf al kana jild-4 safa-128,Almugni jild-8 safa-13,Mugni Al muhtaz jild-4 safa-125]

E-Ager Qatal dunyawi Maal wa jaa Aur Riyasat ea hukumat k haswal k leye keya gaya ho(yaani kisi Taweel ki wajah se Na ho) tou unka hukm mahrben wala hoga Aur wahi saja de jayege jiska Tazkera Quraan ne keya hai Ayat No-33 sureh Al maida.

F-Safaii k Nazdeq Ager Baagi jang k Elawa wo Ahle adl k Maal wa jaan me se kisi chiz ko Talf kare tou wo jamn hoga ese tarah Ager had ko pahuche (tab v use Saja de jayege) leken Qatal k jurm me Qasas use Qatal karna he zaruri Nahi balke use Maaf v keya ja sakta hai.
[Al mazhab jild-2 safa-221,Mugni al muhtaz jild-4 safa-129]

1-Hazrat Umme Salma r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Tum per kuch Ameer Mukarar hoge jin( ki Kuch baato) ko tum Accha samjhoge Aur kuch ko bura Samjhoge,jis sakas ne Unke Buri baato k Enkaar keya wo bari hai Aur jisne unko bara jana wo Mahfuz raha ' Albatta jisne unko pasand keya Aur Unke Mutabiq chala , Sahab r.a ne Daryaft keya'keya hum unse ladai kare Aap (s.a.w) ne Farmaya ''Nahi'' jabtak wo Namaz k Nizaam ko Qayam rakhe.''

[Muslim hadees no-1854, kitab al Meraz]

2-Hazrat Aouf bin Malik Asjye r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Tumhare Behtaren Ameer wo hai jin se tum Muhabbat karte hi Aur wo tumse Muhabbat karte hai Aur tum unke hak me Dua karte hi Aur wo tumhare hak me Dua karte hai, Aur Tumhare Badtaren Ameer wo hai jin se tum Dusmani rakhte ho Aur wo tumse Dusmane rakhte hai Aur tum unper lanat karte ho Aur wo tumper Lanat karte hai, (Rawi ne kaha) humne Arz keya Aye Allah k Rasul ! Keya hum us Waqt Unhe Mazwal Na karde? Aap(s.a.w) ne Farmaya : ''Nahi'' jabtak k wo tum me Iqamat e Salat k Fariz sir Anzaam dete rahe,Nahi jabtak wo Tumme Iqamat e Salat k Farize perkaar band hai'' Khabar daar ! Jis saks per koi Ameer Banaya gaya usne Ameer ko dekha k Wo kisi Had tak Allah Tala ju Nafarmani k Martab hota hai tou uske Nafarmane karne ko karaheyat se Dek

hi leken Apna Hanth uske Itaat se Na gicho''

[Muslim Hadees no-1855 kitab almeraz]


3-Hazrat Ubada bin Samit r.a se Rewayat hai k Humne Rasullah Sallahu Alaihe Wasallah ki Bait ki k Hum Sunege AurTangi wa Asaani ' Khus wa Nakhush (her Haal) me Itaatkarege Aur Ager Humper (kisi ko) Tarzeh de jayege tou v Itaat garege Aur hum unlogo se Imarat Nahi Chenege jo usper kabis hoge Aur hum jaha kahi v hoge Hak Baat kahege ' Allah(k Ahka'am k bare me) me kisi Malamat karne Wale ki Malamat se Khafa Na hoge,Aur Rewayat me hai k ''Hum Imarat per Qabjo se Imarat Nahi Chenege Albatta jab unme Jahir Kufr Dekhege Aur usme Allah ki Janib se Dalill Mouzud hoge''

[Bukhari Hadees No-7055,7056 kitab Al Fatah baab Qoul al Nabi, Muslim Hadees No-1709]

4-Hazrat Ibn Abbas r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe wasallam ne Farmaya :

''Jo Saks Apne Ameer me koi Kabal Karaheyat baat Dekhe Sbr se Kaam le Es leye k jo Saks v Jamat (k Nazam) se Balist fer Alag hua Aur fer use halat me faout hogaya tou Wo jaheleyat ki Mout Mara''

[Bukhari Hadees No-7053,Muslim Hadees No-1849]

5-Hazrat Ibn Umar r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''jis Saks ne Apne hanth Ameer ki Itaat se khicha leya wo Qayamat k Din Allah k Sath Mulaqaat karega tou uske pass koi Dalill Nahi hoge, Aur jo Saks Fout hua Aur uske Gardan me Ameer k Bait Nahi wo jahileat ki Mout Mara''

[Muslim Hadees No-1851 kitab Al Imarat ]

6-Hazrat Arfa r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya:

''Mustaqbil me Fitne Aur Fasaad hoge,Bas jo saks Ummat k ihteyaat ko para-para karne chahe tou use Talwaar se Qatal kar do chahe wo koi v ho''

[Muslim Hadees No-1852,kitab al Imarat]

7-Hazrat Ibn Umar r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''jisne humper Aslah Uthaya wo humme se Nahi''

[Sahi Bukhari Hadees No-7070, kitab al fitna,Muslim Hadees No-98]

Ahadees me Mozud ''Imarat'' se lugwi Imamat Muraad Nahi hai jo her Hakmaraan Aur kisi v Safat se uske Pairwi karne Walo ko Samil ho,Balke (usse) Muraad Khash Imamat e Sariya hai (Yaani Tamam Arab wa Azam k Musalamano k ek Khalifa ho).

[Al sayel Al jarrah jild-4 safa-506]

Jumhur k kya Moukuf hai :

''Jalim wa jabir Kahilafa v Kuruz Durust Nahi jabtak Wo Iqamat e Salat (Namaz) k Fariza Sir Anzaam de, leken Baaz Ahle-Elm Amr bin Maroof Aur Nahi An Munkar ki Ahadees ki wajaha se uske jawaj k Qayal hai leken ye Ahadees Aam hai Aur Maslan Imamat khash hai es leye Aam wa khash k Mabin koi ta'raaz Nahi hai.''

[Al rouzat Al nadeyat jild-2 safa-778]


#ImranKhanSalafi