Tuesday, December 2, 2014

BIWI KE SAATH ACCHE TAREEQE SE RAHNA CHAHIYE AUR UNKE HAQOOQ (RIGHTS) POORE KARNE CHAHIYE:






Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KE SAATH ACCHE TAREEQE SE RAHNA CHAHIYE AUR UNKE HAQOOQ (RIGHTS) POORE KARNE CHAHIYE:

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Unke Saath Acchi Tarah Ghuzar Basar Karo"

(Surah Nisa Ayat No. 19)

Nez Faramaya

"Aur Un (Auraton) Ke Liye Usi Tarah Haq Hai Jaise Maroof Tareeqe Se Unke Zimme Haq Hai"

(Surah Baqarah Ayat No 228)

Biwi Ke Saath Husn E Sohbat Akhtiyar Karne Ki Ye Sooratein (Conditions) Hain Ke Shauhar
Uski Izzat Kare, Uski Raza'joi Kare,
Use Apni Mahboob Rakhe,

Uske Saamne Uske Ghar'walon Ko Acche Alfaaz Me Yaad Karke Use Izzat Bakhse, Unke Paas Aata Jaata Rahe Aur Mukhtalif MauqOn Ko Unko Ghar Me Daawat De..

Jab Biwi Ghusse Ki Kaifiyat Me Ho Toh Tahammul (Sabr) Mijaazi Se Kaam Le,

Agar Wah Koi Bewakoofaana Harqat Kar Baithe Toh Sabr Karen, Kyonki Biwi Shauhar Ke Muqaable Zyadah Jazbaati Hoti Hai, Aur Jo
Dekhti Aur Sunti Hai Usse Zyadah
Asar'pazeer Hoti Hai,

Aur Amooman Aurat Kisi Na'pasandeedah Maamle Me Mard Ki Ba'nisbat Kam Sabr Ka Muzaahirah Karti Hai,

Biwi Ke Saath Husn E Sulook Ka Ek Pahlu yah Bhi Hai Ke Wah Uski Baat Tawajjoh Se Sune, Uski Raaye Ka Ehteraam Kare,

Agar Wah Koi Accha Mashwarah De Toh Uski Raaye Qubool Kare,

Sulah Hudaibiyah Ke Mauqe Par Rasoollullah (Sws) Ne Hz Umme Salma (Ra) Ki Raaye Par Amal Kiya Tha, Jiski Wajah Se Musalman
Gunaah Se Bach Gaye Aur Na'farmani Ke Anjaam Bad Se Mahfooz Ho Gaye,

Biwi Ke Saath Shari'at Ki Hudood Me Rahte Hue Khush'tabi, Hansi Mazaaq, Aur Laad Pyaar Karna, Mukhtalif Mauqon Par Use
Munaasib Gifts Dena Bhi Husn E Sulook Ka Ek Hissa Hai,

Gifts Ka Asar Is Qadr Gahra Hota Hai Ke Biwi Ke Ang Ang Khushi Ke Bhar Jaata Hai Aur Shauhar Uski Khush'noodi Haasil Kar Leta
Hai,

Biwi Ke Liye Khoob Taiyyar Hona Bhi, Jis Tarah Biwi Shauhar Ke Liye Taiyyar Hoti Hai, Acchi Tarz E Zindagi Ki Alaamat Hai,

Hz Ibn Abbas (Ra) Kaha Karte They Ke

"Jis Tarah Main Ye Pasand Karta Hoon Ke Meri Biwi Mere Liye Taiyyar Ho Usi Tarah Main Bhi Apni Biwi Ke Liye Taiyyar Hona Pasand Karta Hoon"

Aur Farman E Nabawi Hai

"Tum Mese Bahtar Wah Hai Jo Apne Ahl ke Liye Bahtar Ho Aur Main Tum Mese Apne Ahal Ke Liye Sabse Zyadah Bahtar Hoon"

(Sunan Tirmizi Hadith No. 3895, Sunan Ibn Majah Hadith No. 1977)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait