Tuesday, December 9, 2014

HAALAT E NAMAZ ME IMAM KO LUQMA DENA





Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Halat e Namaz me Imam ko lukma Dena.

Douran e Namaz Ager Imam ko uske Vool jane per Ayat yaad Kara de jaye tou ye Amal Namaz ko Fasid (batil,karab) Nahi karta balke Aysa karna jaiz hai ' Aur Ager usper koi Wajeh Dalill Na ho tab vi ye Ayat e Karima uske leye kaafi hai.

''Neke Aur Taqwa k kamo me Ek Dusre ki Tauon (Madad) karo''

1-Hazrat Abu huraira r.a se Rewayat hai'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''jab Namaz me koi Amr dar pess ho tou Muqtadi (SubhanAllah) kahe Aur Taali bazana Aurto k leye hai''.

[Bukhari jild-1 safa-160 kitab Al Tahjjud Hadees No-1203,1204,484, Muslim jild-1 Safa-180 kitab al Salat Hadees No-422,641, Jamai Tirmizi kitab Al Salat Hadees No-337, Sunan Nishai kitab al sahu Hadees No-1192,1193,1194,1195, Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-804, Sunan Ibn Maza kitab Iqamat al Salat Hadees No-1024 , Musnad Ahmed Hadees No-2984,7235,7235,7554,7857,8536, Sunan Al Darmi kitab Al salat Hadees No-1329]

2-Hazrat Masood Bin Yazeed r.a se Rewayat hai' Farmate hai k Ek Dafa Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Qirat me Quraan karem k kuch Hissa Chod deya' tou Ek Saks ne Arz keya :

''Ya Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam (Trakta Ayat Kaza Kaza) yaani Apne Fala -Fala Ayat Chod de hai''

Esper Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya : ''Tumne Mujhe Yaad ku Nai Delaya ? ''

[Sahi Abu Daood Hadees No-803,Sunan Abu Daood jild-1 Safa-131 kitab al Salat Hadees No-907, Musnad Ahmed Hadees No-16096, Sahi Ibn Kuzaima Hadees No-2242, Tabrani Al kaber Hadees No-13216, Sunan Lil Bahqi jild-3 safa-212 (Shaikh Albani : Sahi) ]

3-Hazrat Abdullah bin Umar r.a se Marwi hai' Farmate hai k Ek Martaba Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Namaz Padye Tou Aap per Qirat Khalat-Malat ho gaye ' Jab Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Namaz se Farig hue Tou Hazrat Abi bin Kaib r.a se Farmaya :

''Kya Tune Humare Sath Namaz Nahi Padhe ? ''

Unhone Ne kaha : ''Ha Padhe hai''

Tou Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya :

'' Tou Fer Tujhe Kis Chiz ne (Galti Batane se) Roke Rakha''

[Sahi Abu Daood Hadees No-803,Sunan Abu Daood jild-1 Safa-131 kitab al Salat Hadees No-907, Musnad Ahmed Hadees No-16096, Sahi Ibn Kuzaima Hadees No-2242, Tabrani Al kaber Hadees No-13216, Sunan Lil Bahqi jild-3 safa-212 (Shaikh Albani : Sahi) ]

4-Hazrat Anas Bin Malik r.a se Marwi hai ' Farmate hai :

''Hum Ahad e Resalat me Imamo ko lukma Deya karte the''

[Al Hakim jikd-1 , Safa-276]

5-Hazart Ali r.a se Marwi hai ' Bayan karte hai :

''Jab Imam tumse Lukma Talab kare 'tou Use Lukma Do''

[Talkhis Al jaber jild-1 safa-513,Musannif Ibn Abi Saiba jild-2,Safa-72 (Sahih) ]

*Ek Zaif Rewayat :

Kahi v Jis Rewayat me Zekar hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Ali r.a se Farmaya :

''Namaz me Imam ko Lukma Na Do''

Wo Rewayat Sakt Zaif hai.

[Zaif Sunan Abu Daood (193), Sunan Abu Daood jild-1 safa-131 kitab al salat Hadees No-774,908, Zaif Al Jamie (6401) (Shaikh Albani : Zaif) ]


*Sabse Aham baat*

Ager Imam Lukma Talab kare jaisa k Akser dekhne ko melta h Maslan :


1-Imam Ager ek he Ayat ko Baar -Baar Dohrata ho tou lukma de.
2-Imam Ayat padhe hue khamosh ho jata ho Aur apko uske Aage ki Ayat pata ho tou lukma de.
3-Imam Ager Qirat karte hue Aage ki Ayat piche karde,Aur Piche ki Ayat Aage kar de tou lukma de.
Etc....

Jaisa k Hadees ki rosune me sabit hua hai..

*Ab 2sre baat*

jo Saks Akela Namaz pad raha ho tou usse Galti ho tou kya kare?

Jawab :

1--Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai Ek Saks Masjid me Dakhil hua 'Aur Rasullah Sallahu Alihe Wasallam Masjid k kone me Tasreef Farma the' Us Saks ne Namaz tou padle 'Mager Ruku' suzud 'Qaouma Aur Jalse ki reyayat Na ki Aur Jaldi Jaldi Namaz padker Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki Khidmat me hazer hua' Aur Apko Salam kaha ' Apne ''Waalaikumussalam '' kaha Aur Farmaya :

''Wapas jao,Fer se Namaz Ada karo kuki Tumne Namaz Nahi padhe hai(ye Waqiya 3 Martaba pess aya) choteh (4th) Martaba kaha k Aap Mujhe Sahi Namaz K Tareka Sekha De,

Tou Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Jab Tum Namaz k Arkaan Ada karo tou pahle Acchi tarah se Waju karo,Fer Kibla Rukh khara ho k Takber e Tahrema kaho, Fer Quraan karem me se jo Asaan ho Telawat karo,Fer Ruku Karo,Yaha tak k Itmenan se Ruku karo,Fer Sir uthao yaha tak k Sedha Khara ho jao,Fer Sajda karo,Yaha tak k Itmenan se Sajda karo,Fer Itmenan se Sir Uthao Aur Itmenan se baith jao , Fer Itmenan se Sajda kari, Fer Itmenan se Baith jao,Fer Use Tarah Apne Puri Namaz me karo''
(yaani k Mokammal Tadeel Arkaan k sath Namaz ko Ada karo)

[Bukhari jild-1 Safa-109 Kitab ul Azaan Hadees No-751,793,Muslim jild-1 Safa-170 Kitab Al Salat Hadees No-397,602,Jamai Tirmizi kitab Al Salat Hadees No-279,Sunan Nishai Hadees No-874,Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-730,Sunan Ibn Maza kitab Iqamat Al Salat Hadees No-1050,3685,Musnad Ahmed-9260]

2-Hazrat Rafa bin Rafae Al Zarki r.a Bayan karte hai :

''Ek Saks Aya Aur Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Masjid me Tasref Farma the,Usne Aap k Kareb he Namaz padhe Fer Wo Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki Taraf louta tou Aap (s.a.w) ne Irshad Farmaya : ''Dobara Namaz padhi,Tumne Namaz Nahi padhe'' .

Usne Arz Ki : ''Aye Allah k Rasul ! mujhe Batlaye k May kaise Namaz padhu ? ''

Aap (s.a.w) ne Farmaya : ''Jab Kibla ki taraf Moo karo tou Takber kaho Fer Sureh Fatiya padho Fer (Quraan me se) jo Chao padho, jab tum Ruku karo tou Apne Hateleya Apne Gutno per Rakh Do Aur Apne Pust Faila Do,Apna Ruku Itmenan Se karo, jab Tum apna Sir Uthao tou apne Kamar Sedhe Karo, yaha tak k Haddiya Apne Joro Tak Lout jaye,jab tum Sajda karo tou Apna Sajda Itmenan se karo fer jab Sir Uthao tou apne Baye Raan per Baith jao, Fer Use Tarah her Rekat me kaho''.

[Musnad Ahmed jild-4 Safa-350, Hadees No-18995 , Allama Naimuwi Hanfi lekhte hai k Eske Sanad Hasan hai (Asaar Al Sanad Safa-214) ]

Es Sahi Hadees se Malum hua k Namaz me Sureh Fatiya Zruri hai,Eska Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ne hukm Deya hai Aur Fatiya se Zayada Qirat Namazi ki Mansa per Chod de Jaye, lehaza Sureh Fatiya Zarur padhe jaye Aur Usse Jayada Qirat jitne chahe kare Namaz Durust hoge.

*Wo Saks jisko Sureh Fatiya yaad Na ho tou?

Hazrat Abdullah bin Abi Awfi r.a se Rewayat hai' Farmate hai k Ek Saks Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki khidmat me Hazir ho ker Arz keya :

''May Quraan karem me se Kuch Nahi pad sakta' es leye Aap mujhe Koi Ayse Chiz Sekha dejye jo uske Badle Mujhe Qifayat kare''

Tou Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya :

''(Subhanallahe Wal Hamdulillahe Wa Laa ilaha illal Laho Wallahooakbar. Wala Haola Wala Quwwata illa billahil AliYil Azeem) Kaha karo''

[Sunan Abu Daood jild-1 Safa-121 kitab Al Salat Hadees No-708,832,Sunan Nishai Hadees No-927,Musnad Ahmed jild-4 safa-353,356 Hadees No-18322, (Shaikh Albani : Hasan) ]



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks