Friday, October 30, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 4








Bismillahirrahmanirraheem



ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 4



USOOLI BAAT:



Mere Deeni Bhaiyyon Aawaam Ko Usooli  Baatein Nahin Bataayi Jaati, Who Toh Sirf Apne Apne Imamon Ki Sunkar Gumraah Hote Jate Hain, Lekin Mere Azeez Kal Maudaan E Hashr Me Aap Ye Kah Kar Nahin Bach Jaayenge Ke Hamen Malum Nahin Tha, Hamne Jaan Bhoojkar Shirk Nahin Kiya Tha, Hamen Toh In Malwion Ne Gumrah Kar Diya Tha, Yaqeen Jaano Ye Baat Kahne Se Aap Bari Nahin Ho Jaoge, Wahan Hare K Yahi Baat Kahega, Magar Wahan Kisi Ki Bilkul Nahin Suni Jaayegi Balke Allah Aap Par Ghazab Naak Hoga Kyonki Usne In Baton Se Pahle Hi Apna Kalaam Ne Bata Diya Hai, Lihaaza In Maolwion Ke Peeche Andhe Banker Chalne Ka Nateeja Qur’an Me Jahannam Me Jaane Ka Sabab  Bataya Gaya Hai,


Rabb Ka Farman Suno


“Is Din Inke Chehre Aag Me Ulat Pulat Kiye Jaayenge (Hasrat Aur Afsos) Se Kahenge, Kaash Hamne Allah Aur Rasool Ki Ita’at Ki Hoti, Aur Kahenge Ke Aiy Hamare Rabb Hamne Apne Sardaron Apne Badon Ki Maani Jinhone Hamen Raaste Se Bhatka Diya, Parwardigaar Tu Inpar Duhra Azaab Naazil Kar Aur Un Par Badi Se Badi Laanat Naazil Farma”


(Surah Ahzab Ayat No 66-68)


Toh Dekha Aapne Jahannum Me Sabke Chehre Aag Me Bhoone Jaayenge Mahaz Is Wajah Se Ke Ham Qur’an Aur Hadith Par Amal Nahin Karte Honge Aur In Maulanaon Ke Kahne Par Amal Karte Honge Jinhe Hamne Apni Qaum Ka Sardaar Bana Rakha Hai,


Mere Bhaiyyon Kal Kya Jawaab Doge Allah Ko Jab Who Poochhega Ki Qur’an Aur Nabi Ke Farmaan Par Amal Kyun Na Kiya ?? Kya Tumhare Paas Quraan Maujood Na Tha ?? Kya Nabi Ka Farmaan Maujood Na Tha, Kya Hamne Tumhe Aqal Na Di Thi Ki Sahih Aur Ghalat Ka Faisala Kar Sako, Har Kaam Ke Liye Aqal Ka Istemaal Kiya Magar Itni Badi Baat Jispar Jannat Jahannum  Ka Daromadaar Tha Aur Allah Ke Saath Shirk Ka Maamla Tha Use Aise Hi Hawa Me Uda Diya, Ab Koi Bahana Na Chalega, Jaao Apne Apne Mullion Ke Saath Tum Bhi Jahannum Ka Eindhan Bano,


Zara Socho  Tum Kahte Ho Ham Imaan Laaye Allah Aur Rasool Par Magar Tum Batao Quraan Ka Inkaar Karne Waala Kaafir Hai Ya Nahin ?? Kya Quraan Ki Ek Aayat Ka Bhi Inkaar Kufr Hai Ya Nahin ?? Kya Hamen Quraan Me Ghaur O Fikr Karne Ka Huqm Mila Hai Ya Nahin ??


Aiiyye Main Dikhaata Hoon Quraan Ki Who Aayat Jispar Aap Ghaur O Fikr Nahin Karte Toh Aayeten Jisko Padhkar Ibrat Haasil Nahin Kiya Jaata Balke Un Aayaton Ka Inkaar Kiya Jaata Hai, Ya Un Aayaton Ko Nazar Andaaz Kiya Jaata Hai, Allah Ka Khauff Khao Aur In Maolwion Ke Kahne Par Quraan Ki In  Saaf Saaf Aayaton Ka Inkaar Karke Kaafir Mat Bano Allah Ke Waste Shirk Se Bacho


“Kah Dijiye Zameeno Aur Aasmaano Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta”

(Surah Namal Ayat No.65)


Yahan Par Rabb Ne 2 Took Alfaaz Me Kah Diya Ke Zameen Me Aur Aasmano Par Nabi Wali, Jinn, Farishte Koi Bhi Ghaib Nahin Jaanta


“ So Aap Farma Dijiye Ghaib Ki Khabar Sirf Allah Ko Hi Hai Toh Tum Bhi Muntazir Raho Main Tum Tumhare Saath Muntazir Hoon”


(Surah Younus Ayat No 20)


Is Aayat Me Khuli Dhamki Di Ja Rahi Hai Ke Agar Tum Allah Ke Siwa  Kisi Dusre Ko Ghaib’daan Maante Ho Toh Intezaar Karo Dard’naak Azaab  Ka Yani Jahannum Ka,


“Beshaq Allah Waaqif Hai Aasmaan Aur Zameen Ki Cheezon Ka, Beshaq Wahi Ba’khabar Hai Dilo Ke Posheeda Raaz Se”


(Surah Fatir Ayat No. 38)


Allah Baar Baar Aur Acchi Tarah Zehan’nasheen Karaana Chaahta Hai Ki Main Hi Dilon Ke Dhadkan Tak Se Waaqif Hoon Aur Kisi Ko Kuch Bhi Khabar Nahin Hai,


“Aur Allah Hi Ke Paas Hai Ghaib Ki Kunjiyan Inko Koi Nahin Jaanta Siwaaye Allah Ke Aur Wo Tamam Cheezon Ko Jaanta Hai Jo Kuch Khuski Me Hai Aur Jo Kuch Tari Me Hai Aur Koi Patta Bhi Nahin Girta Magar Wah Use Zaroor Jaanta Hai Aur Zameen Ki Tareeqion Mekoi Daana Aur Na Koi Khusk Cheez Hai Magar Wah Noorani Kitab (Loh E Mahfooz)  Me Maujood Hai”


(Surah Anaam Ayat No. 59)


“Beshaq Allah Hi Ke Paas Qayamat Ka Ilm Hai Aur Wahi Paani Barsaata Hai Aur Jo Kuch Auraton Ke Pet Me (Yani Maa Ke Pet Me Palne Wala Baccha Jannati Hai Ya Jahannami) Hai Jaanta Hai Aur Koi Shakhs Nahin Jaanta Ki Wah Kal Khud Kya Karega Aur Koi Shakhs Ye (Bhi) Nahin Jaanta Hai Ki Wah Kis Sar’zameen Par Marega” Beshaq Allah (Sab Baton Se) Aagaah Hai “

(Surah Lukmaan Ayat No. 34)


“(Aiy Rasool) Log Tumse Qayamat Ke Bare Me Poocha Karte Hain Kah Do Iska Ilm Toh Bas Allah Ko Hai Aur Tum Kya Jaano Shayad Qayamat Qareeb Hi Ho”


(Surah Ahzaab Ayat No . 63)


Sirf Yahi Ek Aayat Hi Kaafi Hain Logon Ki Naseehat Ke Liye Ki Aiy Logon Nabi Se Kyon Poochhte Ho Qayamat Ke Bare Me Kya Nabi Ghaib Jaante Hain ?? Fir Allah Nabi Ki Taraf Mukhatib Hokar Farma Raha Hai, Aiy Nabi Tumhe Kya Khabar Qayamat Kab Aayegi, Aur Kya Pata Qayamat Qareeb Ho, Allah Ka Ye Baat Kahne Ka Maqsad Sirf Logon Ki Acchi Tarah Bata Dena Hai Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ghaib Nahin Jaante


“Wahi Allah Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahin, Aur Wahi Ghaib Ka Janne Wala Hai”

(Surah Hashr Ayat No.22)


 Is Ayat Me Bahut Badi Baat Kahi Gayi Hai Ki Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin Aur Ghaib Allah Ke Hi Paas Hai, Toh Goya Jo Mabood Hoga Wahi Ghaib’daan Hoga Toh Jis Tarah Allah Ke Siwa Koi Dusra Mabood Nahin Hai Bas Isi Tarah  Dusra Ghaib’daan Bhi Nahin Hai


“Jab Ye Log  Apne Kapde Khoob Lapette Hain (Tab Bhi To) Allah (Unki Baton Ko) Jaanta Hai,, Jo Chhipakar Karte Hain Ya Khullam Khulla Karte Hain Beshaq Wahi Seenon Ke Bhedh Tak Ko Khoob Jaanta Hai”


(Surah Hud Ayat No. 5)

Isi Taarah Quraan Ki Hazaaron Aayatein Hain Jisme Allah Ne  Ghaibon Ko Jaanne Wala Sirf Apni Zaat Ko Hi Kaha Hai, Yahan Mukhtasar Hawale Diye Gaye Hain Jinko Naseehat Haasil Karni Hoti Hai Tph Toh Allah Ki Sirf Ek Aayat Dekhkar Hi Imaan Le Aate Hain, Yahan Toh Hamne Bahut Se Daleelein De Di Hain,

Mere Bhaiyyon Kya Ab Bhi Zidd Par Ade Rahoge, Kya Ab Bhi Yahi Kahoge Ki Allah Ke Siwa Aur Koi Bhi Ghaib Jaanta Hai,?
Mujhe Batao Tum Qur’an Ki In Aayaton Ko Kahan Le Jaoge ?? Kya In Aayaton Ka Inkaar Kar Doge ?? Lekin Ye Yaad Rakho Qur’an Ki Ek Ayat Ka Bhi Inkaar Kufr Hai Aur Allah Ke Kalaam Ka Inkaar Karne Wala Kaafir Hota Hai..

To Be Continued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi