Tuesday, October 27, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 3







Bismillahirrahmanirraheem


ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 3


GHAIB KISE KAHTE HAIN ?


Ghaib Ke Mane Makhfi ,Poshida ,Or Mastoor Ke Hai ,Istalahan Isse Muraad Har Wah Cheez Hai Jo Malum Na Ho Sake Jis Tak Zaraaye Malumaat Ki Rasaayi Na Ho ,Mazi Mustakbil Ki Jo Bhi Cheezein Logon Se Ghayab Wa Poshida Ho Ya Aankhon Se Ojhal  Ho Use Ghaib Kaha Jaata Hai ,Duniya Me Bahut Si Cheez Hain  Jo Baaz Insane Ke Ilm Me Hai Or Baaz Ke Ilm Me Nahin Or Bahut  Si Cheezein  Aisi Hai Jo Poori Nu E Insaani Ke Ilm Me Nahi ,Na Kabhi Thi  Or Na Hai Or Na  Ainda Kabhi Aayegi,Aisa Hi Maamla Jinno ,Farishton Or Dusri Makhlooq Ka Hai ,Ke Baaz Cheezein  In Me Se Makhfi Or Kisi Ko Maloom Hai Or Be’shumaar Cheezein Hai Jo In Sab Se Makhfi Hai Or Kisi Ko Maloom Nahi Ye Tamam Iksaam Hai Ghaib Jo Sirf Ek Zaat Par Roshan Hai Or Who Zaat Allah Tala Ki Zaat Hai ,


Ja’al Haq Me ,Haji Ahmad Yaar Khan Page No ,37 Me Likhte Hai


“Agar  Koi Zariye Kisi Chhipi Hui Cheez Ko Zaahir Kar De Or Zaahir Ho Jane Ke Baad ,Hum Isko Maloom Kar Le ,Toh Ye Ghaib Nahi Hai ,Kyonki Ghaib Use Kahte Hai Jo Be’gair  Kise Zariye Se Poshida Baato Ko Jaan Le”


Maloom Hua Kise Bhi Zariye Poshida Baato Ka Maloom Ho Jana Ghaib Nahi Hota


ULUHIYYAT ILM E GHAIB KA GAHRA TALLUQ


Uluhiyat Aur Ilm E Ghaib Ke Darmiyaan Aisa Talluq Hai Ki Kadeem Tareen Zamaano Se Insaan Ne Jis Hasti Me Bhi Khudaayi Ke Kisi Shaabe Ka Ghumaan Kiya Hai Uske Mutaallik Ye Ghumaan Zaroor Kiya Hai Ki Iske Paas Hi Sab Qudrat Hai Aur Koi Cheez Bhi Isse Posheeda Nahin Hai,, Goya Insaan Ka Zehan Is Haqeeqat Se  Aagaah  Hai Ki Kismet Kismaton Ko Banana Aur Bigaadhna Duaon Ko Sunna Hajat Poori Karna Sirf Isi Hasti Ka Kaam Ho Sakta Hai Jo Sab Kuch Jaanti Ho Aur Jisse Kuch Bhi Posheeda Na Ho  Isi Bina Par Insaan Jisko Bhi Khudaayi Ikhtiyaar Ka Haamil Samjhta Hai, Aalim Ul Ghaib Bhi Use Hi Samjhta Hai Kyonki Iski Aqal Is Baat Ki Shahadat Deti Hai Ke Ilm Aur Ikhtiyaraat Baahim Laazim Aur Maljoom Hai, Agar Agar Ye Haqeeqat Hai Ki Khaliq Aur Mudabbir Aur  Raaziq Allah Ke Siwa Koi Bhi Dusra Nahin Hai Toh Aap Se Aap Ye  Bhi Haqeeqat Hai Ki Allah Ke Siwa Dusra Aalim Ul Ghaib Bhi Nahin Nhin Hai, Aakhir Kon Ye Apne Hosh O Hawaas Me Tasawwur Kar Sakta Hai Ke Kisi Farishtey Ya Jinn Ya Nabi Ya Wali Ya Makhlooq Ko Bhi Ye Malum Hoga Ke Samundra Me Aur Hawa Me Aur Zameen Ki Taho Me Aur Satah Zameen Ke Ooper Kis Kis Qism Ke Jaamwar Kahan Kahan Hain, Sitaaron Ki Tadad Kya Hai Aur Unmese Hare K Me Kis Tarah Ki Makhlooq Maujood Hai Aur In Makhlooq Ka Ek Ek  Fardh Kahan Hai Aur Kya Uski Zarooriyaat Hain, Ye Sab Allah Ko Laaziman Malum Hona Chahiye Kyonki Inhe Usne Hi Paida Kiya Hai Aur Isi Ko In Mamlaat Ki Tadbeer Aur Inke Haalaat Ki Nigraani Karni Hai Aur Wahi Inke Rizq Ka Intezaam Karne Waala Hai Aur Dusra Koi Apne Mahdood Wajood Me Ye Wasi Ilm Kaise Rakh Sakta Hai ??



KYA ILM E GHAIB KI KOI HADH BHI HAI??



Fir Ye Sifat Qabil E Tajziya Bhi Nahin Hai Ki Koi Banda Maslan Sirf Zameen Me Wah Bhi Sirf Insaanon Ki Hadh Tak Aalim Ul Ghaib Ho, Insaan Ki Takhleeq Se Aaj Tak Jitne Insaan Duniya Me Paida Hue Aur Qayamat Tak Paida Honge Aur Aakhiri Hayaat Tak In Sab Ke Tamam Halaat Aur Kaifiyaat Ko Jaanna Aakhir Kis Bande Ka Kaam Ho Sakta Hai, Aur Wo Kaise Aur Kyon Isko Jaanega, Kya Wo Is Kaaynaat Ka Khaliq Hai ?? Kya Isne Inki Maaon Ke Rahem Me Soorat’giri Ki Hai ?? Kya Isne Inki Zinda Walayat Ka Intezaam Kiya Tha ??


Kya Isne Inmese  Hare K Ki Kismet Banaayi Hai, Kya Wah Inki Maut O Hayat Sehat Aur ,Marz  Khush’haali Aur Bah’haali Ka Faisala Ka Zimmedaar Hai,… Aakhir Ye Kaam Kab Iske Zimme Hua, Sirf Insaan Ki Hadh Tak Iski Zimmedari Mahdood  Kaise Ho Sakti Hai Jo Hasti Kaaynaat Ki Tadbeer Kar Rahi Hai Wahi Toh Insaan Ki Kismaton Ka Bhi Zimmedaar Hai Isi Bina Par Ye Islaam Ka Buniyaadi Aqeeda Hai Ki AALIM UL GHAIB Allah Ke Siwa Koi Dusra Nahin Hai…

To Be Continued

#Islamicleaks
#Irfanali
#Umairsalafialhindi