Sunday, June 21, 2015

AAO ILM SEEKHEIN—PART-3












Bismillahirrahmanirraheem



AAO ILM SEEKHEIN—PART-3

Pehle Ke Hisson Mein Alhamdulillah Hum Ne, Fiqh Ke Mani Wa Mafhoom, Fiqh Ki Ahmyat O Zarurat Aur Quran Ka Taruf Samjhe The, Ab Aage:

¤¤Qaasiyat E Quraan¤¤

1. Yeh Allah Ta'la Ka Aisa Kalam Hai Jo Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Nazil Hua Yani Doosri Kitaben Maslan Taurat, Injeel Waghairah Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Nahi Hue Isliye Woh Quran Nahi.

2. Quran Ke Alfaz Aur Maani Donon Allah Ta'la Ki Taraf Se Nazil Kardah Hain. Is Bina Par Ahadees Quran Mein Shamil Nahi Kyunke Agarche Un Ke Maani Wa Mafhoom Bhi Allah Ta'la Ki Janib Se Hi Hain, Lekin Unke Alfaz Allah Ta'la Ki Taraf Se Nahi.

3. Ye Mutawatir Hokar Hum Tak Pahunche Hai, Yaani Ise Hum Tak Pahunchane Wale Afraad Ki Tedad Is Qadr Zyadah Hai Ke Yeh Waham O Guman Ho Hi Nahi Sakta Ke Ye Sab Jhoot Par Jama Ho Sakte Hain.

4. Quran Majeed Har Qism Ki Kami Beshi Se Mahfooz Kitab Hai Kyunke Is Ki Hifazat Ki Zimma Khud Allah Ta'la Ne Liya Hai Jaisa Ke Irshad -E-Baari Ta'la Hai Ke, ''Bila Shubha Hum Ne Quran Nazil Kiya Hai Aur Yaqeenan Hum Hi Is Ke Muhafiz Hain.'' (Al-Hijr:9)

5. Quran Majeed Aajiz Kardene Wali Kitab Hai, Yani Saari Insaniyat Is Jaisa Kalam Pesh Karne Se Aajiz Hai Jaisa Ke Mandarje Zail Aayaat Se Ye Wazahat Hoti Hai:

''Aap Kehdijiye Ke Agar Tamam Insaan Aur Jinnat Is Jaisa Quran Laane Ke Liye Jama Ho Jayen Tab Bhi Iski Misl Nahi La Sakenge Khwah Wo Ek Doosre Ke Madadgaar Hi Kyun Na Ban Jayen.'' (Al-Isra:88)

''Kiya Yeh Kehtay Hain Kay Iss Quran Ko Issi Ney Gharha Hai Jawab Dijiye Kay Phir Tum Bhi Issi Ju Misil Das Surten Ghari Hui Ley Aao'' (Hood:13)

''Hum Ney Jo Kuch Apney Banday Per Utara Hai Uss Mein Agar Tumhen Shak Ho Aur Tum Sachay Ho To Iss Jaisi Aik Surat To Bana Lao......Pus Agar Tum Ney Na Kiya Aur Tum Hergiz Nahi Ker Sakoge'' (Surah Baqarah:24-25)

''Acha Agar Ye Sache Hain Toh Bhala Is Jaisa Ek Hi Baat Ye Bhi Toh Le Aayen'' (At-Toor:34)

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Ae'jaaz Ke Muqhtalif Pehloo¤¤

1. Yaad Rahe Ke Quraan Ka Ae'jaaz Is Ki Is Fasahat Wa Balaghat Ki Wajah Se Hai Jisne Saare Arab Ko Hairaan Kardiya.

2. Is Ki Un Bayan Kardah Peshangoyiyon Ki Wajah Se Hai Ke Jo Baad Mein Bilfeal Isi Tarah Runuma Hoyen.

3. Isi Quraan Ne Aisi Qaumon Ke Bhi Haalaat Bayan Kar Diye Ke Jinhein Arab Ke Log Yaksar Bhool Chuke The Aur Un Ke Naam O Nishan Aur Aasaar Bhi Mit Chuke The.

4. Aur Aaj Ki Jadeed Science Sab O Roz Ki Mehnaton Se Kiye Hue Tajrubaat Wa Mashahidaat Ke Baad Jin Haqaiq Ka Inkishaf Kar Rahi Hai Quran-E-Majeed Sadiyon Pehle Un Mein Se Baaz Ki Taraf Ishara Kar Chuka Hai.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Mazaamin E Quran¤¤

1. Baaz To Aise Hain Ke Jin Ka Talluq Tawheed, Risalat Aur Aakhirat Se Hai.

2. Baaz Ka Talluq Akhlaqiyat Se Hai, Maslan Silah Rahmi, Sadq, Amanat Wa Diyanat, Jhoot Se Ijtenaab, Walidain Se Husn Sulook Aur Iffat O Ismat Waghairah.

3. Aur Baaz Ka Talluq Aise Aamaal Se Hai Jo Ya To Ibadat Se Mutalliq Hain Maslan Namaz, Roza, Hajj, I'tekaf Waghairah Ya Mua'milaat Se Maslan Jaraim, Hudood, Jihaad, Gharelu Muamilaat Waghairah.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Sab Se Pehli Aur Aakhri Nazil Hone Wali Aayaat¤¤

Muqtalif Aqwal Mein Se Sahih Tareen Qaul Ke Mutabiq Sab Se Pehle Ye Aayat Nazil Hui:

''
اقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ''
(Surah Al Alaq:1)

Aur Hazrat Ibn Abbas Radhi Allahu Anhu Ke Qaul Ke Mutabiq Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Nazil Hone Wali Aakhri Aayat Ye Hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَذَرُوا مَا بَقِيَ مِنَ الرِّبَا إِن كُنتُم مُّؤْمِنِين....وَهُمْ لَا يُظْلَمُون
(Surah Baqarah: 279-281)
َ

[Bukhari, (Qabl Al Hadees/2086), Kitab Al Buy'oo: Baab Muwakkilur Riba]

¤¤Hujjat E Quran¤¤

Tamam Musalmaan Is Par Muttafiq Hain Ke Qur'an Sab Ke Liye Hujjat Hai Aur Qanoonsari Ka Awwaleen Ma'qib Hai. Is Ki Hujat Ki Dalil Is Ka Rabbul Aalameen Ki Taraf Se Nazil Hona Hai Aur Is Baat Ka Saboot Ke Kya Ye Waqai Allah Ki Taraf Se Nazil Kardah Hai, Is Ka Woh A'jaz Hai, Ke Jise Peeche Bayan Kiya Ja Chuka Hai. Chunanche Jab Ye Baat Sabit Hai Ke Qur'an Allah Ta'la Ka Kalam Hai To Sab Par Lazim Hai Ke Ispar Amal Karen.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤SUNNAT¤¤

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Sunnat Ki Tareef¤¤

Lagvi Aetbaar Se Sunnat Har Aise Dastoor, Seerat Aur Tareeqe Ko Kehte Hain Jis Par Log Chalne Ke Aadi Hon Aur Us Ki Pabandi Karte Hon Jaisa Ke Is Aayat Mein Bhi Yahi Muraad Hai, ''Sunnatallahi Filladhina Qalao Min Qabl'' (Ahzab:62)
''Un Logon Mein Bhi Allah Ta'la Ka Yahi Dastoor Raha Hau Jo Un Se Pehle Guzar Chuke Hain.''

Taahum Istalaahi Wa Shar'ee Aetbaar Se Sunnat Ki Tareef Yun Ki Jaati Hai:

''Maa Adheifa Ilan Nabiyyi Min Qauli Au Fe'ali Au Taqreer''

''Jis Cheez Ki Nisbat Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Taraf Ki Gayi Ho Khwah Wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Qaul Ho Ya Fael Ho Ya Taqreer Ho (Yaad Rahe Ke Taqreer Se Muraad Har Aisa Kaam Hai Jise Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Dusron Ko Karte Hue Dekha Ho Lekin Us Par Koi Aet'raaz Na Kiya Ho).

[Al-Ahkaam Lil Amdi (1/231), Al-Wajeez (Page:161)]

Qauli Sunnat Ki Misaal Ye Hadees Hai Ke:

''Koonu Ibaadallahi Ikhwana''

''Allah Ke Bande Bhai Bhai Ban Jao''

[Bukhari (6063) Kitab Al Adab: Baab Maa Yanhi Anal Tahaasad Wat Tadaabir]

Fe'li Sunnat Ki Misal Woh Tamam Ahadees Hain Jin Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Koi Fe'l Mazkur Hai Masalan Namaz Ada Karna, Roza Rakna, Haj Karna, Sadqa Wa Khairaat Karna, Miswak Karna, Qiyam Al Lail Karna Waghaira.

Aur Taqreeri Sunnat Ki Misal Ye Hai Ke Nabi Sallalaahu Alaihi Wa Sallam Ne Masjid Mein Chand Habshi Naujawano Ko Jangi Mashq Karte Hui Dekha Aur Us Par Khamooshi Ikhtiyar Farmayi. (Bukhari 454, 455)

Isi Tarah Eid Ke Roz Chand Bachchon Ko Jangi Ash'aar Gaate Hue Suna To Is Par Bhi Khamoshi Ikhtiyar Farmayi.

(Bukhari, 949, Kitab Al Eidain: Baab Al Haraab Wal Darqi Yawmul Eid)

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

#Imrankhansalafi
#Islamicleaks