Thursday, June 18, 2015

AAO ILM SEEKHEIN – PART-2







AAO ILM SEEKHEIN – PART-2


Assalamualaikum Warahamtullahi Wabarakaatuhu...
In Sha Allah, Ye Ek Nayi Series Hai, Iske Muattaliq Information Aapko Album Detail Mein Mil Jayegi, Ummeed Hai Aapko Isse Fayda Ho, Allah Se Dua Hai Ke Wo Isme Barkat De Aur Hamare Ilm Mein Izafe Ka Sabab Banaye, Aameeen.

Fiqah Ka Ma'ani Wa Mafhoom
Laghwi Wazahat: Lafz Fiqah O Faham Samajh Aur Aanish Ke Maani Mein Istemaal Hota Hai Jaisa Ke Mandarjezail Dalail Se Wazeh Hai:
1. ''Unhone Kaha Aye Shuaib! Teri Aksar Batein To Hamari Samajh Mein Hi Nahi Aati'' (Hood:91)
2. ''Inhein Kya Hogaya Hai Ke Koi Baat Samajhne Ke Bhi Qareeb Nahi'' (Nisa:87)
3. ''Aisa Kyun Na Kiya Jaye Ke Un Ki Har Badi Jamaat Mein Se Ek Choti Jamaat Nikle Taake Wo Deen Ki Samajh Boojh Hasil Karen'' (Tawba:122)
4. Hadees E Nabawi Hai Ke: ''Mai Yuridullahu Bihi Khaira Yufaqqihu Fid Deen''
''Allah Jis Ke Saath Bhalaee Ka Irada Farmata Hai, Use Deen Ki Samajh Ata Farmata Hai'' Sahih Bukhari, Kitab Ul Ilm.
Ye Lafz Arbic Grammar Ke Aetebaar Se Baab Faqih (Sam'a Karam) Ka Masdar Hai. Baab Tafaqqah (Tafa'al) Bhi Isi Maani Mein Istemaal Waale Aur Bohut Samajh Daar Shaqs Par Bola Jaata Hai. Iski Jamah ''Fiqhaa'' Musta'mal Hai.
[Al Qamoos Al Maheet (Pg: 1101), Al Ma'ajjam Al Waseet (Pg: 698)]
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Istalaahi Ta'reef: ''Aisa Ilm Jis Mein Ayn Shar'ee Ahkaam Se Bahas Ho Jin Ka Talluq Amal Se Hai Aur Jin Ko Tafseeli Dalail Se Hasil Kiya Jaata Hai'' [Irshad Al Fahool (1/8), Al Mustasfee Lil Ghazali (1/18), Al Ahkaam Lil Amdee (1/50), Al Bahr Al Muheet Liz Zar Kashi (1/110)]
Umooman Ilm Fiqah Ki Wahi Tareef Ki Jaati Hai Jo Darj Bala Sutoor Mein Maujood Hai, Alawahazeen Fiqah Ne Is Ki Muqtalid Tareefen Ki Hain Jinhein Yahan Zikr Karne Ki Zarurat Nahi.
Qulasa Kalam Ye Hai Ke Ilm Fiqah Mein Sirf Un Masail Se Bahas Ki Jaati Hai Jo Mahaz Bandon Ke Af'aal Se Talluq Rakte Hon Jaise Namaz, Rozah, Nikah, Talaaq, Qareed Ofarokht Aur Jaraim Waghaira. Ba Alfaz Degar Ilm Mein Sirf Aise Ahkaam Shamil Hain Jo Ibadaat Aur Mu'milaat Se Mutalliq Hon Aur Aise Ahkaam Ka Is Mein Koi Dakhal Nahi Jo Aqaid Wa Eemaaniyaat Se Talluq Rakte Hon.

Fiqah Ki Ahmiyat Aur Zarurat
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Ilm E Fiqah Hasil Karna Baz Auqaat To Farz Ayn Hojata Hai, Jaisa Ke Un Umoor O Masail Ka Seekhna Ke Jin Ke Baghair Koi Farz Ayn Hukm Adaa Hi Na Hosakta Ho Masalan Wuzu, Namaz Aur Roze Waghaira Ka Tareeqa O Kaifiyat. Aur Baz Ulma Ne Hazrat Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu Se Marwi Hadees:
''Talabul Ilmi Fareedhatun Ala Kulli Muslim.'' Sahih: Sahih Ibn Majah:183
''Ilm Ka Hasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai.''
Ko Isi Par Mahmool Kiya Hai (Yani Sirf Un Masail Ka Ilm Hasil Karna Har Musalman Par Farz Hai Jo Us Par Farz E Ayn Hain. Shafiya Ke Nazdeek Kisi Cheez Ke Waqt Se Pehle Hi Us Ka Seekhlena Lazim Hai Jaisa Ke Us Shaqs Par Juma Ke Liye Waqt Se Pehle Hi Saee O Koshish Karke Aana Lazim Hai Jiska Ghar Door Hai, Kyunke Ye Qaida Hai Ke Jo Cheez Jo Cheez Kisi Wajid Ki Takmeel Ke Liye Nagazeerah Ho, Woh Bhi Wajid Hai.
[Al Majmoo' (1/24), Haashiya Ibn Aabideen(1/26)]
Phir Agar Koi Amal Fauri Taur Par Wajid Hoga To Uski Kaifiyat Seekhna Bhi Fauri Taur Par Wajid Hoga Aur Agar Koi Amal Taakheer Se Wajid Hoga Jaisa Ke Hajj Toh Us Ki Kaifiyat Seekhna Bhi Takheer Se Hi Wajid Hoga. Albatta Nikah, Khareed O Farokht Aur Tamam Muamilaat Ke Masail Ek Par Seekhna Wajid Nahi Hai Balke Jo Shaqs Un Mein Se Kuch Karna Chahta Hoga Sirf Usi Par Seekhna Wajid Hoga.
Aur Baz Auqaat Ilm E Fiqh Hasil Karna Nafil Bhi Hota Hai. Is Mein Woh Tamam Uloom Shamil Hai Jo Farz Kifayah Ki Miqhdaar Se Zaid Hai, Neez Awaamun Naas Ka Amal Ki Gharaz Se Nafli Ibadaat Seekhna Bhi Is Mein Shamil Hai.
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Ma'loom Hua Ke Un Tamam Masail Mein Adrak O Fahm Hasil Karna Jo Insan Par Farz Hain Nihayat Zaruri Hai, Isliye Koshish O Mehnat Karke Inhein Seekhlena Chahiye Aur Yaqeenan Ilme Fiqh Hasil Karne Wala Shaqs Allah Ta'la Ki Taraf Se Khair O Barkat Ka Mustahaq Bhi Hai, Jaisa Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:
''Mai Yuridullahu Bihi Khaira Yufaqqihu Fid Deen''
''Allah Jis Ke Saath Bhalaee Ka Irada Farmata Hai, Use Deen Ki Samajh Ata Farmata Hai''
(Sahih Bukhari, Kitab Ul Ilm, Hadees:71)
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Fiqh Ke Ma'qiz
Fiqh Ke Asasi Ma'qiz 2 Hain:
1. Qur'aan 2. Sunnat
Aur Zaili Ma'qiz 9 Hain:
1. Ijma'a 2. Aqwaal E Sahaba 3. Qiyaas 4. Istahsaan 5. Istas'haab 6. Masalah Mursalah 7. Sad Zaraye 8. Urf 9. Pehli Shari'aton Ke Ahkaam.
In Sab Ke Oopar In Sha Allah Tafseeli Behes Hogi.
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
¤¤Qur'aan¤¤
Qur'aan Ka Ta'ruf:
''Qur'aan E Majeed Allah Ta'la Ki Woh Kitab Hai Jo Allah Ke Rasool Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Nazil Hui, Jo Musaahaf Mein Likhi Hui Hai, Aur Jo Baghair Kisi Shak O Shuba Ke Hum Tak Tawatir Ke Saath Naql Hokar Pahunchi Hai''
[Al-Wajez (Page: 102), Al-Mustasfee Lil Ghazali (1/65), Al-Ahkaam Al Amdi (1/22), Shrah Marfaah Al Wasool (1/93-96)]
Qur'an Te'ees (23) Saal Ke Arse Mein Nazil Hua, Kuch Makkah Mein Aur Kuch Madeena Mein. Aap Sallalaahu Alaihi Wa Sallam Ki Makki Zindagi Ke 13 Salon Ke Dauraan Jo Suratein Nazil Huin Un Mein Ziyadah Tar Tawheed, Risalat, Guzishta Qaumon Ke Waqiyaat, Marne Ke Baad Dobarah Uthna Aur Roze Qiyamat Ke Ahwaal Waghairah Ka Bayan Hai. Aur Jo Suratein Madni Zindagi Ke Taqreeban 10 Salon Ke Dauraan Nazil Huin Un Mein Ibadaat, Muamilaat, Jihaad, Wirasat, Aa'eli Qawaneen, Baynul Aqwami Ta'luqaat, Ahle Kitab Se Khitaab Aur Munafiqon Ka Nifaq Zahir Karne Ke Mutalliq Tafasil Hain.
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

To Be Continued..
#Imrankhansalafi
#Islamicleaks