Wednesday, June 24, 2015

AAO ILM SEEKHEN—PART-4












Bismillahirrahmanirraheem



AAO ILM SEEKHEN—PART-4


Humne Pichle Post  Mein Sunnat Ki Tareef Jaani, Ab Aage:

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Hujjat E Sunnat¤¤

Mandarje Zail Dalail Se Yeh Baat Wazeh Ho Jati Hai Ke Sunnat Bhi Quran Ki Tarah Hujjat Hai Aur Ahkaam E Shariyat Ka Dusra Ma'qiz Hai.

1. ''Aur Hum Ne Aap Ki Taraf Zikr Nazil Kiya Taake Aap Logon Ke Liye Un Ahkamaat Ko Wazeh Karden Jo Un Ki Taraf (Quran Ki Soorat Mein) Nazil Kiye Gaye.'' [An-Nahl:44]

2. ''Woh Apni Khushi Nafs Se Nahi Bolta, Wo To Ek Wahi Hai Jo (Is Ki Taraf) Nazil Ki Jaati Hai.''
[An-Najm:3-4]

3. ''Jisne Rasool Ki Ita'at Ki Usne Fil Haqiqat Allah Ta'la Ki Ita'at Ki.''
[Nisa:80]

4. ''Aye Eemaan Walon! Allah Ta'la Ki Ita'at Karo Aur Rasool Ki Ita'at Karo.''
[Nisa:59]

5. ''Aur Rasool Tumhen Jo Kuch Den Use Le Lo Aur Jis Cheez Se Tumhen Mana Karen Us Se Ruk Jao.''
[Al-Hashr:7]

6. ''So Qasm Hai Aap Ke Rab Ki Woh Us Waqt Tak Momin Nahi Ho Sakte Jab Tak Woh Aap Hi Ko Apne Bahami Jhagdon Mein Haakim Na Banalein.''
[Nisa:65]

7. ''Kisi Momin Mard Aur Kisi Momin Aurat Ko Ye Laiq Nahi Ke Jab Allah Ta'la Aur Uske Rasool Kisi Kaam Ka Hukm Den Toh Phir Unhi Apne Kaam Ka Koi Ikhtiyar Baqi Rah Jaye'' [Al-Ahzab:36]

8. Sahaba, Taba'een, Taba Taba'een Aur Aa'imma E Izam Sab Ka Is Baat Par Ittefaq Hai Ke Sunnat E Nabawi Se Shar'ee Ahkaam Saabit Hote Hain Aur Aaj Tak Sab Musalman Isi Eemaan O Aqaid Par Qaim Hain.

9. Agar Sunnat E Nabawi Ko Shariyat Ka Ma'qiz Taslim Na Kiya Jaye Toh Quran E Majeed Ke Kitne Hi Aise Ahkamaat Hain Jin Par Amal Na Mumkin Hojayega. Maslan Quran Mein Namaz Ka Hukm Hai Lekin Is Ki Rakat, Is Ke Auqat, Is Ki Duaen, Azkar Aur Tareeqa Waghaira Sab Kuch Hadees Se Milega. Isi Tarah Roza, Hajj, Zakat Waghairah Ke Bhi Quran Mein Mahaz Mujmal Ahkam Hai Un Sab Ki Tafseel Ahadees Se Hi Milti Hai.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Sunnat Ki Hifazat¤¤

Jis Tarah Allah Ta'la Ne Quran E Majed Ki Hifazat Farmayi Hai, Isi Tarah Sunnat Ki Bhi Hifazat Ki Hai, Kyunke Guzishta Aayat Mein ''Zikr'' Ka Lafz Istemal Hua Hai Aur Is Mein Woh Tamam Ahkamaat Shamil Hai Jinhen Allah Ta'la Ne Nazil Farmaya Hai Aur Hadees Ke Ahkaam Bhi Fil Haqiqat Allah Ki Taraf Se Hi Hai Jaisa Ke Allah Ta'la Ne Farmaya, ''Ye Nabi Apne Khushi Se Nahi Bolta, Balke Woh To Wahi Hai Jo Us Par Nazil Ki Jaati Hai.'' Mazeed Hadees Ko Bhi Ek Doosri Aayat Mein Zikr Kaha Gaya Hai Aur Woh Ye Hai:

''Wa Anzalna Ilaykaz Zikra Litubayyina Linnaasi Maa Nuzzila Ilayhim''

''Aur Hum Ne Aap Ki Taraf Zikr Nazil Kiya Taake Aap Logon Ke Liye Woh Ahkamaat Wazeh Karden Jo Un Ki Taraf (Quran Ki Soorat Mein) Nazil Kiye Gaye Hai.''

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬


¤¤Sunnat Ki Aqsaam¤¤

Sanad Ke Aetbaar Se Sunnat Ki Do Qismein Hai:

1. Mutawatir: Aisi Sunnat Jise Ibteda Se Inteha Tak Logon Ki Itni Badi Tedad Riwayat Kare Jin Ka Jhoot Par Jama Hojana Aql Se Mahaal Ho.

Baaz Auqaat Ye Tawatir Lafzi Hota Hai Yani Logon Ki Ek Bohut Badi Tedaad Hadees Ke Ek Hi Lafz Riwayat Karti Ho. Aur Kabhi Ye Tawatir Ma'anwi Hota Hai Woh Is Tarah Ke Logon Ki Ek Badi Jamaat Muqtalif Alfaz Se Riwayat Karti Ho Lekin Un Sab Ka Maani Ek Ho. Yaad Rahe Ke Ye Donon Tawatir Pukhta O Yaqeeni Ilm Ka Faida Dete Hain Aur Bil Ittefaaq Hujjat Hain.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

2. Qabr E Wahid: Is Se Muraad Aisi Sunnat Hai Jise Bayan Karne Walon Ki Tadad Tawatir Ki Had Tak Na Pahunchti Ho Bil Alfaz Degar Is Mein Tawatir Ki Sharait Na Paayi Jaati Hon. Is Ki Teen Aqsam Hai:

1. Mash'hoor: Jise Har Daur Mein Kam Az Kam Teen Afraad Riwayat Karen Aur Woh Tawatir Ki Had Tak Na Pahunche.

2. Azeez: Jise Har Daur Mein Kam Az Kam Do Afraad Ne Riwayat Kiya Ho.

3. Ghareeb: Jise Ibteda Aur Inteha Ke Mabayn Kisi Daur Mein Sirf Ek Fard Riwayat Kare.

Ye Sunnat Is Waqt Qaabil Hujjat Hai Jab Is Ki Sanad Mutassal Ho, Is Ke Tamam Raawi Aadil O Dh'aabit Hon Aur Is Ki Sanad Ya Matn Mein Koi Illat Ya Shuzooz Na Ho.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Sunnat Ki Maqbool Hone Ke Lihaaz Se Chaar (4) Aqsaam Hain:

1. Sahih
2. Sahih Lighairihi
3. Hasan
4. Hasan Lighairihi

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Sunnat Ki Mardood Ya Dha'eef Hone Ke Lihaaz Se Pandrah (15) Aqsaam Hain:

1. Muallaq
2. Mursal
3. Ma'azzal
4. Munqata'
5. Maudhoo
6. Matrook
7. Munkar
8. Ma'lool
9. Al Muqalifata Lis Siqaat
10. Mudarrij
11. Maqloob.
12. Mudhtarab
13. Al Mushaf
14. Shaaz
15. Jis Ka Raawi Majhool, Bid'ati Ya Sayyil Hafiz Ho.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

¤¤Khabr-E-Wahid Ki Hujjat¤¤

Khabre Wahid Hujjat Hai Aur Iske Dalail Darh Zail Hain:

1. ''Agar Tumhen Ilm Na Hotoh Ahle Ilm Se Daryaft Karlo'' [An-Nahl:43]

Is Aayat Se Maloom Hua Ke Agar Kisi Mas'ale Ka Ilm Na Hotoh Kisi Ek Aalim Se Poochlena Kafi Hai Kyunke Yahan Allah Ta'la Ne Aisi Koi Shart Nahi Lagai Ke Ulma Ki Jamaat Se Poochna Zaruri Hai.

2. ''Aisa Kyun Na Kiya Jaye Ke Har Firqe Se Ek Taifa Nikle Aur Deen Ki Samaj Hasil Kare.''
[At-Tawba:221]

Imam Bukhari Rahimaullah Farmate Hain ''Taifa'' Ek Aadmi Ko Bhi Kehte Hain.
[Bukhari (Qabl Al Hadees/724) Kitab Al Aahad]

Maloom Hua Ke Agar Ek Aadmi Bhi Deen Ki Samaj Hasil Karke Apni Qaum Ko Ahkaame Shariyat Sikhaye Toh Durust Hai.

3. Hazrat Abdullah Bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu Se Marvi Hai Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:

''Kisi Shaqs Ko Hazrat Bilal Radhi Allahu Anhu Ki Azaan Sahri Khane Se Se Na Roke Kyunke Wo Sirf Is Liye Azaan Dete Hain Take Jo Namaz Ke Liye Bedaar Hain Woh Wapas Aajayen Aur Jo Soye Hye Hain Woh Bedaar Hojaen.''
[Bukhari:7247 Kitab Al Aahad]

Ma'loom Hua Ke Ek Aadmi Ki Azaan-E-Namaz, Sahri Aur Iftaari Ke Liye Mo'tabar Hai Lihaza Is Ki Rivayat Bhi Qabil E Amal Honi Chahiye Ba'soorat Degar Un Dino Ka Inkar Kiya Jayega.

4. Log Masjid E Quba Mein Baitul Muqaddas Ki Janib Ruq Karke Fajr Ki Namaz Ada Kar Rahe The. Dusri Rakat Mein, Ek Aadmi Ne Aakar Kaha, ''Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ko Namaz Mein Kaaba Ki Taraf Munh Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai, Is Liye Tum Bhi Is Taraf Ruq Karlo.''

''Un Logon Ke Chehre Shaam Ki Taraf The, Phir Woh Log Kaaba Ki Taraf Ghoom Gaye.''

[Bukhari:7201 Kitab Al Aahad]

5. Imam Bukhari Rahimaullah Ne Apni Kitab Sahih Bukhari Mein Khabre Wahid Ki Hujjat Par Ek Kitab Qaim Ki Hai Aur Us Mein Ekkis (21) Ahadees Aur Chand Aayaat Se Istedlal Karte Hue Khabre Wahid Ki Hujjat Ko Saabit Kiya Hai, Mazeed Tafseel Ke Liye Inhein Dekha Ja Sakta Hai.

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

To Be Continued…

#Imrankhansalafi
#Islamicleaks