Saturday, June 27, 2015

SEENE PAR HAATH BAANDHNE KI DALEEL AUR AHNAAF KI GHAR KI GAWAHI








Bismillahirrahmanirraheem




SEENE PAR HAATH BAANDHNE KI DALEEL (WITH SCAN)



Kaano Ya Kandho Tak Hanth Utha Ker Baya Hanth Per Dahena Hanth Rakh Ker Seene Per Bandh Lena.

Sahi Bukhari Sareef Jild-1, Safa-679,Baab No-87,Hadees No-740

Hazrat Sahil Bin Saad Anshari R.A K Bayan Hai :

كان الناس يؤمرون أن يضع الرجل اليد اليمنى على ذاراعه اليسرى في الصلاة

"Logo Ko (Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ki Taraf Se) Ye Hukm Keya Jata Tha K Aadmi Namaz Me Daya Hanth Ko Baya Hanth Per Rakhe"

Scan...

 


Hazrat Abdullah Bin Masood R.A Kahte Hai K Maine Dahene Hanth Per Baya Hanth Rakh Ker Namaz Pad Raha Tha , Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Waha S3 Guzre Tou Apne Mera Daya Hanth Paker Ker Baye Hanth Per Rakh Deya.
[Ibn Maza Safa-59,Abu Daood 1/117]

Note : Esko Abudaood (755) Ibn Maza (811) Nishai (888) Baza'r (1885) Abu Yali (5041) Darekutni (1105,1107) Aur Bahqi (2327) Ne Rewayat Keya, Imam Nawawi R.Al Ne Almazmoo (3/321) Me Kaha Hai K Eske Sanad Muslim Ki Sart Per Sahi Hai.

Ye Seene Per Hanth Bandne Aur Na Bandne K Masla Ve Humare Aur Apke Darmiyaan Mukhtalif Fae Hai Aur Es Masle Me Ve Aap Hazraat Hum Ko Galat He Samjhte Hai,Kuki Apke Moulwio Ne Ese Tarah Samjha Deya Hai Aur Sacchi Baat Gool Ker Gaye Hai, Es Leye Pahle App Hum Mazlumo K Dalill Dekhe Aur Fer Apke Maslak Me Khud Aap K Leye Es Masle Me Tahkek Hai Ese Ve Mulahiza Farmaye , Fer Ho Sake Tou Es Nafrat Ko Dil Se Nekaal De , Kuki Musalman Bhai Ki Yahi Pahchan Hai Aur Yahi Saan Hai.

1-

عن قبيصة بن هلب عن اًبيه قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ينصرف عن يمينه وعن يساره ورأيته يضع يده على صدره....الخ

Qabisa Bin Halab Apne Baap Se Riwayat Karte Hai Ke Unho Ne Kaha Mai Ne Rasul(Saw) Ko Salaam Ke Baad Daayein Baayein Phairte Huye Dekha Aur Mai Ne Aap Ko Seene Par Haath Baandh Te Huye Dekha.

[Musnad Ahmed Jild-10,Safa-326,Had­ees No-22313]

Scan..

 




Note : Es Hadees Ki Sanad Me Qabisa Bin Halab Hai,Ali Bin Madni Aur Nishai Ne Ese Mazool Kaha Hai,Hazle Ne Seka Aur Ibn Hibban Ne Seka'at Me Zekar Keya Hai.
Mulahiza Ho: Mizaan Ul Eteda'al (3/384) Tahzeb Al Tahzeeb (8/380)
Es Hadees Ki Sanad Agerche Zaif Hai,Leken Aage Aane Waale Hadees Ibn Kuzaima Ki Hadees K Leye Ye Sahadat Banne K Kabil Hai.

2-Imam Bahqi Apne Sunan Kubra Me Ye Hadees Laaye Hai :

عن واىٔل بن حجر قال حضرت رسول الله صلى الله عليه وسلم حين نهض إلى المسجد ,فدخل المحراب ثم رفع يد يه بالتكبير ثم وضع يمينه على يسراه على صدره

Hazrat Wayil Bin Hajar(Ra) Kehte Hai Ke Mai Rasul(Saw) Ke Paas Hazir Hua, Aap(Saw) Masjid Ki Taraf Khade Huye Mehrab Me Dakhil Huye, Phir Aap(Saw) Ne Allahu Akbar Ke Saath Haath Uthaya, Phir Aap(Saw) Ne Daaya Haath Baaye Haath Par Rakh Kar Seene Par Baandh Liya.

[Baihaqi Jild-1,Safa-46,Hadee­s No-2335,2336]
Scan..

 



Note: Zaif Hai,Esko Bazer(4488) Tabraani Ne Al Moazaam Al Kaber (22/44) Me, Ibn Adi (7/346) Ne Rewayat Keya Hai.
Zair Hadees Hai.Dekhe Al Zaeefata (449)

3- Tesre Rewayat Humare Nazdeq Sahi Marfu Mutsal Aur Gair Saaz Sahi Ibn Khuzaima Ki Hai Jo Bulugul Maram Me Hai :

عن وائل بن حجر قال صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم فو ضع يده اليمنى على يده اليسرى على صدره

Hazrat Wayil Ibn Hajar(Ra) Kehte Hai Ke Mai Ne Rasul(Saw) Ke Saath Namaz Padi, Aap(Saw) Ne Apna Daaya(Right) Haath Baaye(Left) Haath Par Rakh Kar Seene(Chest) Par Baandh Liya.

>Sahih Ibn Khuzaimah; [Jild-1, Safa-243,Hadees No-749]

Scan..

 


[Bulugul Maram Jlid-1,Safa-142 Se 143,Hadees No-217]
Scan...

 




Note: Sahi Hai. Esko Abu Al Shaikh Ne Tabkaat Al Muhaddisen (2/268) Me Ve Rewayat Keya Hai.
Es Sanad Me Mommal Bin Ismaeel Hai,Josi Al Hafiz Hai.Altaqreeb(Safa-5­55)
Abuzer Ne Kaha Hai K Uske Ahadees Me Bahut Galtiya Hai,Bukhari Ne Ese Munkir Ul Hadees Aur Yahiya Bin Moeen Ne Sika Kaha Hai,Mizaan Ul Aitdallal(4/228).

Ye Sanad Agerche Zaif Hai,Leken Dusre Ahadees Eske Sahadat Hai Jinke Bina Per Ye Hadees Sahi Hai.

Unme Se Ek Qabisa Bin Halab Hai,Jiska Jiker (Number-1) Me Guzre.
Aur Dusre Taus Ki Hadees Hai,Jisme Hai.

كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يضع اليمنى على يده اليسرى ثم يشد على صدر وهو فى الصلاة

Esko Imam Abu Daood Ne Apne Sunan Abu Daood (759) Me Nakal Keya Hai.
Scan...



Aur Merasel (33) Me Rewayat Keya Hai.Eske Sanad Jaid Hai.
Ye Hadees Agerche Mursal Hai,Leken Kabil E Hujjat Hai,Kuki Ye Dusre Trk Se Mousul Ve Marwi Hai,Jaise K Wayil Ibn Hajar (R.A) Aur Qabisa Bin Halab Ki Hadees Hai.

اًصل صفة صلاة النبى ( ١ / ٢١٥ - ٢٢٥ )
أحكام الجنائذ ( ص ١١٨ )
صحيح أبي داود -الأم ( ٣ / ٣٤٥ , ٤ / ٢٠٦ )
القول المقبول للشينح عبرالروٓف (ص ٣٣٩ - ٣٤٣ )
Scan...

 



Ye Hadees Tabraani Me Ve Hai Aur Ahnaaf Ki Sabse Bade Kitab Hidaya Arbi Jild-1 Kitab Al Salat Safa-82 K Hasiya Number 22 Me Ve Hai Aur SABIL AL ISLAM Jild-1/159 Me Ve Hai.
Mulahiza Ho:
١ - المعجم الكبير للطبرانى ( ٢٢ / ٦٩ )
٢ - البنا ية شرح الهداية ( ٢ / ١٨٢ )
سبل السلام : باب السنة وضع الصدر فى الصلات ( ١ /٢٥٢ )

4-
Bahqi Aur Ibn Abi Hatim Me Hazrat Ibn Abbas R.A Se Ve Seene Per Hanth Bandhne K Ek Asr Warid Hai (Zaif Hadees)

Abdullah Ibn Abbas R.A K Ye Asra Sureh
الكوثر K Akhri Jumla { وَانٔحَرْ } Ki Tafseer K Selsele Me Marwi Hai.

Esko Bahqi (2339) Ne Rewayat Keya Hai.
Scan...

 



Eske Sanad Ruh Bin Almuseeb Ki Wajah Se Zaif Hai.
Bahqi K Elawa Esko Ibn Hatim , Ibn Sahen Ne "
السنة " Me ,Aur Ibn Mardueya Ne Ve Rewayat Keya Hai.
Mulahiza Ho :
الررالمثوطى ٨/٦٥٠

Zeer-E-Naaf Per Hanth Ki Rewayat Musnad Ahmed Or Abudaood Me Ve Hai,Leken Khud Un Dono Muhaddiso Ne Un Rewayato Ko Marfu Ya Sahi Nahi Maana Hai,Balke Zaif Karar Deya Hai.

Hazrat Ali R.A Se Marwi Hai K Unhone Kaha :

"
من السنة وضع الكف على الكف فى الصلاة تحت السر"

Esko Musnad Ahmed (875) Abu Daood (756) Ibn Abi Saiba (3945) Darekutni (1102,1103) Aur Ibn Almanzer Alla Wata (1290) Me Rewayat Keya Hai.

Eske Sanad Me Abdul Rahman Bin Ishaaq Wastai
عبرالرحٰمن بن اسحاق واسطى Hai ,Jo Bila Ittefaq Zaif Hai.

Imam Ahmed Aur Abu Hatim Ne Ese Munkir Ul Hadees ,Yahiya Bin Moeen Ne Zaif ,Matrooh,Aur Bahqi Ne Matruk Kaha Hai,Ese Aur Muhaddis Zaif Kahne Wale.
1-Ibn Sayed Ne Zaif Kaha.
2-Yakub Bin Sufiyan Ne Zaif Kaha .
3-Imam Abu Daood Ne Zaif Kaha .
4-Imam Nishai Ne Zaif Kaha .
5-Ibn Hibban Ne Zaif Kaha
Aur Imam Bukhari Ne Kaha "
فيه نظر " .

Mulahiza Ho :
الكامل لابن عدى ( ٥/ ٤٩٥ )
تىٕذيب التىٕذيب( ٦ / ١٣٧ )
الضعفاءللبخارى ( ترجمه نمبر ٢٠٨ )
الضعفاء للنساىٓ ( ٣٥٨ )
الجرح والتعديل ( ٥ /٢١٣ )

Imam Nawawi Ne Sareh Nawawi (4/115) Khulasa Ala Ahkaam (1/359) Aur Al Mazmoo (3/313) Me Kaha Hai K Es Hadees K Zaif Hone Per Ittefaq Hai,Eske Sanad Me Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Alwasti Hai,Jiske Zaif Hone Per Ima Zarrah Wa Tadeel Muttfiq Hai.
Es Hadees Ko Rewayat Karne Me Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Alwasti Mutafird Hai , Aur Ese K Sath Sanad Me Sakht Esteraab Ve Hai.
Abdul Rahman Bin Eshaaq Alwasti Kavi Es Tarah Rewayat Karta Hai :
حدثنى زياد بن ذيد اليوائ عن أبى جحيفة عن علىِ
Jaisa K Ahmed(875) Darekutni(1102) Abu Daood(756) Aur

Bahqi (2341) Me Hai.
Aur Kavi
عن النعمان بن سعد عن علي Jaisa K Darekutni (1103) Aur Bahqi (2342) M3 Hai.
Aur Kavi
عن سيار أبى وائل عن أبي هريرة Jaisa K Abu Daood (758) Aur Darekutni (1098) Me Hai.

Es Kisam Ka Esteraab Ager Sika Rawi Ki Taraf Se Ve Ho Tou Hadees Ko Zaif Ke Deta Hai , Yaha Ye Tou Esteraab Ayse Raawi Ki Janib Se Hai Jo Bila Ittefaq Zaif Hai,Yaani Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Wasti .

Hafiz Ibn Hazer Ne Ve Es Hadees Ko Zaif Kaha Hai.
Mulahiza Ho: Fatulbaari(2/224) Alriyata (1/128)

Imam Bahqi Farmate Hai K
تحت السرة Waali Rewayat Ki Sanad Sabit Nahi Hai,Esme Abdul Rahmaan Bin Eshaaq Wasti Mutafird Hai,Aur Wo Matruk Hai.
Mulahiza Ho: Nasab Alriyata (1/314) Altakhlish(1/490)
Marifat Alsunan (2/2340)
Scan...


 

6-

Hazrat Abdullah Bin Abbas R.A Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam K Chacha Jaat Bhai Hai, Aap Ne Unke Leye Dua Ki The K ! Aye Allah Tu Apne Kitab K Elm Abdullah Ko De, Ese Dua K Aser Tha K Ibn Abbas R.A Es Ummat K Sabse Bade Mufassir Quraan Maane Gaye,Unhone Seene Per Hanth Bandhne Ki Dalill Quraan Mazeed Se Le Hai,Chunche Sureh Kousar Ki Ayat {
فَصَلّ لِرَبَّكَ وَانٔحَر } K Maene Ye Lete Hai K Apne Rabb K Leye Namaz Padh Aur Namaz Me Seene K Valaii Hissa Per Hanth Bandhe.

Note: Ye Zaif Hai,Eske Jikar Number 4 Me Guzar Chuka Hai.

Tafseer Khazana Me Hai:

وقال ابن عباس فصل لربك وانحر أي ضع يدك اليمنى على اليسرى في الصلاة عند النحر

(Mulahiza Ho Tafseer Khazana Akhri Safa 253,Matbua Msr)
Tafseer Al Khazana 4/483

Ese Safa K Haseya Me Tafseer Mallam Al Tanzil Ki Ibarat Es Tarah Hai.

وروي عن أبي الجوزاءعن عباس قال فصل لربك وانر قال وضع اليمين على الشمال في الصلاة عند النحر

معالم التنزيل - تفسير البغوى - ٥/٣١٦ , تفسير الثعبى ١٠/ ٣١١

Tarzuma : Hazrat Ibn Abbas R.A Kahte Hai K
فَصَلِّ لِرَبِّكَ K Matlab Hai K Namaz Me Daya Hant Baye Hanth Per Rakh Ker Seene K Valai Hesse Per Bandhe.

>>>AAP K YAHA VE ESKA SAWAB HAI<<<

Uper Bayan Karda Ahadees Aur Ayat Se Ye Sabit Ho Gaya K Namaz Me Seene Per Hanth Bandna Aaya Hai,Ahadees K Ager Ehtram Hota Tou Unper Amal Kane Walo Ko Galat Na Samjhte , Vole-Vale Awaam Ko Koi Kasur Nahi, Es Elm Nabawi Ko Chupana Aur Esper Amal Karne Walo Ko Galat Kahna Aur Ayse Masail Ki Aar Leker Musalman Bhaio K Darmiyan Nafrat Paida Karna Aur Nawakif Musalmano K Darmiyan Nafrat Paida Karna Or Unke Ander Ahle-Hadeeso K Leye Badgumani Paida Karna , Adal-O-Ensaaf Se Hate Hue Petu Or Chaplus Jo Paiso K Leye Apna Deen Tak Bech Dete Ko Tayyar Hote H Waise Moulwio Ne He Es Ummat Me Naettefaqi Paida Ke Hai, Warna Adal-O-Ensaaf Karne Wale Ulma Ne Es Masle Me Ve Humare Tayeen (Tareef) Ke Hai, Chunche
Hanafi Mazhab K Zaber-10 Muwahed Ulma Me Chan Ulmao K Jikar Karta Hu.

Taqreer-E-Tirmidhi" Written By Ashraf Ali Thanvi Deobandi, Published By Idaara Taleefaat-E-Ashrafya­h, Multan Reviewed By Mufti Justice Taqi Usmani Deobandi. It Is Written On Page 82 Of This Book That:

"Baaz Sahab R.A Naaf K Uper Hanth Bandhte The Yaani Seene Per Jaisa K Aur Ahadees Me Lafz "SADR" Masr Waqi Hua Hai Aur Baaz Sahab R.A Zeer-E-Naaf Hanth Bandha Karte The"

Scan..

 


Allama Mohammad Mahmood Bin Aine R.Al Apne Kitab Umdatul Qaari Sreh Bukhari Jild-5 Safa-279 Me Lekhte Hai :

احتج الثافعي بحديث وائل بن حجر ، اًخرجه ابن خذيمة فى صحيه قال صليت مع رسول الله صلى الله عَليه وسلم فوضع يده اليمنى على يده ايسرى على صدره

"Imam Safaii R.Al Ne Hazrat Wail Bin Huzr R.A Ki Es Hadees Se Dalill Le Hai, Jise Ibn Kuzaima Ne Apne Sahi Me Rewayat Keya Hai, Hazrat Wail Kahte Hai K Maine Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam K Sath Namaz Padhe Tou Apne Daya Hanth Baaye Hant Per Rakh Ker Seene Per Bandhe"

Scan..


 



 Sahab Hidaya Ne Naaf K Niche Hanth Bandhne K Sabut Me Jo Rewayat Bayan Ki Hai Usper Allama Aine R.Al Lekhte Hai:

هذا قول على اًبى طالب و إلى صلى الله عليه وسلم غير صحيح

"(Naaf K Niche Hanth Bandhna) Ye Hazrat Ali R.A K Qoul Hai,Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ki Taraf Eske NISBAT Karna Sahi Nahi"

[Umdatul Qaari Jild-5 , Safa-279]
Scan...

 


Fer Ye Hadees Paigamber Tou Hai He Nahi, Hazrat Ali R.A Ka V3 Qoul Hai Ya Nahi, Es Per Allama Aine R.Al Jarrah-O-Tankid Karte Hue Lekhte Hai :

ولكن الذي روي عن علي فيه مقال ، لأن في سنده عبد الرحمن بن إسحق الكوفي ، قال أحمد ليس بشيء منكر الحديث

"Leken Wo Qoul Jo Hazrat Ali R.A Se Manqul Keya Gaya Hai Usme Qalam Hai, Es Leye K Uske Sanad Me Abdul Rahmaan Bin Eshaq Kufi Hai, Imam Ahmed Bin Humbal R.Al Kahte Hai K Us Saks Ki Koi Haiseyat Nahi, Ye Munkir-Ul-Hadees Hai"

[Umdatul Qaari Jild-5, Safa-279]
Scan..


(Ho Sakta Hai K Hazrat Ali R.A K Naam Se Ese Ne Ye Rewayat Gad Le Ho) Eske Baad Allama Aine R.Al Ne Ek Do Nehayat He Zaif Sabut Narm Andaz Me Naaf K Niche Hanth Bandhne K Bayan Keya , Mager Joor Bayan Seene Per Hanth Bandhne K Dalill He Me Hai.

Ek Allama Aine R.Al He Nahi Balke Hanafi Mazhab Ki Bade-Bade Kitabo Me Aur Bade-Bade Fekah Aur Ulmao K Bayan Me Khud Aap K Leye Ve Taleem Mouzud Hai.

Allama Ibn Ameerulhaz Hanfi (
علام ابن الير الحاج حنفى ) Shreh Munia Me Jo Bayan Karte Hai Wo Aap Zoor Se Lekhne K Kabil Hai, Farmate Hai :

إن الثابت من السنه وضع اليمين على الثمال ولم يثبت حديث تعيين المحل الذى يكون فيه الوضع من البدن إلا حديث وائل

(Fatwa E Sanaya)
Scan...


 
"Beshaq Sunnat Se Sabit Hai Sedha Hanth Baye Hanth Per Rakhna Mager Ayse Koi Baat Paya-Sabut Ko Nahi Pahuchte Jiske Ruseh Badan K Kisi Khash Mokaam Per Hantho K Rakhna Wajib Ho Sewaye Wail (Wail Bin Huzr R.A) Ki Hadees K (Jisme Seene Per Hanth Bandhne Ki Sunnat K Bayan Hai)"

Ibn Nazeem Ne
ابحرالرائق شرح كنزالدقائق Jild-1 Safa-320 Me Es Ibarat Ko Apne Mazhab Ki Touzeya K Tour Per Zekar Keya Hai,Wo Farmate Hai :

ويمكن أن يقال فى توجيه المذهب : أن الثابت من السنه وضع اليمين على الشمال ولم يثبت حديث يوجب تعيين المحل الذي يكون فيه الوضع من البان إلا حديث وائل المذ كوروهو مع كو نه واقعة حال عموم لها يحتمل أن يكون لبيان الجواذ فيحال في ذلك

"(Hanafi) Mazhab Ki Touzehah Me Ye Kaha Ja Sakta Hai K Sunnat Se Jo Sabit Hai Wo Daye Hanth Ko Baye Hanth Per Rakhna Hai, Leken Koi Ayse Hadees Sabit Nahi Hai, Jike Rooh Se Badan K Es Hak Ki Tayen Jaruri Karar Paye, Jaha Hanth Rakhna Hai , Sewaye Mazkura Hadees Wail K (Jisme Seene Per Hanth Bandhnae K Bayan Hai) Aur Es Hadees Me Waqiye Haal Bayan Keya Gaya Hai , Jisme Umum Nahi Hai , Ese K Sath Esme Ye Ehtamam Ve Hai K Ye Bayan Jouz K Leye Hai , Lehaza Esko Ese Per Mahmool Keya Jaye"

Scan..



Es Pure Ibarat Se Andaza Keya Ja Sakta Hai K Seene Per Hanth Bandhne Wale Hadees Wail R.A Ki Sehat Ko Tasleem Karne K Bawajood Eske Touzehah Wa Taweel Kar K Mazhab Ko Esper Mukaddam Rakhne Ki Naar-Wa-Kosis Ki Gaye.
Lehaza Amwamoallif R.Al K Mazkura Ebarat K Bare Me Ye Kahna K "Wo Aap Zoor Se Lekhne K Kabil Hai" Naqabil-E-Fahm Hai.
Es Galat Fahme Ki Wajah Sayad Ye Hai K Unke Samne Mokammal Ebarat Nahi The.Wallah Hu Alam.

Hanfi Maslaq Ki Chooti Ki Kitab Hidaya K Urdu Tarzuma Ain Ul Hidaya Jild-1 Safa-57 Me Hai :

"Naaf K Niche Hanth Bandhne Ki Hadees Ba-Ittefaq Aima Muhaddisin Zaif Hai"

Scan..

 

Hidaya Arbi Jild-1 Kitab Al Salat Safa-71 Per Ye Ibarat Hai :

ضعيف متفق على تضعيفه

Naaf K Niche Hanth Badhne Ki Rewayat Zaif Hai Aur Esper Imamo K Ittefaq Hai.

Note: Ye Ibarat Allama Aine R.Al Ne Albanaya Shreh Al Hidaya (2/171) Me Nakal Ki Hai, Jo Darasal Naaf K Niche Hanth Bandhne Wale Hadees Ali R.A K Mutalliq Imam Nawawi K Qoul Hai-Wo Farmate Hai :
أما حديث علي رضى الله عنه أنه قال : من السنة فى الصلاة وضع الأكف تحت السرة "ضعيف متفق على تضعيفه"
Yaani Ali R.A Ki Ye Hadees Bila-Ittefaq Zaif Hai.
Mulahiza Ho : Shreh Al Nawawi 4/115

Hidaya Urdu Banaam "Ain Ul Hidaya" Jild-1 Safa-59 Hai :

"Seene Per Hanth Bandhne Ki Hadees Qawi (Sahih) Hai"

Scan...




Shareh Waqiya Urdu Safa -93 Per Ve Yahi Bayan Mouzud Hai.

Hidaya Arbi Kitab Ul Salat Safa-82 K Hasiya Number 23 Per Ye Ibarat Ve Apke Touzeya K Kab Hai, Aur Ye Ibarat Kattar-Hanafi Mahsi Ki Hai.

هذا تعليل بمقابلة حديث وائل فَسَيُرَدُّ، وحديث علي لايعارضه لما ذكرنامن ضعفه

Naaf K Niche Hanth Bandhne Ko Bayan Karna Bade Hera-Fare Hai , Hazrat Wail R.A Ki Hadees K Mukable Me Ye Mardud Hai , Hazrat Ali R.A Wale Rewayat Eske Mukabil Wa Muarz Ho He Nahi Sakte , Kuki Es Rewayat K Kamzor Hona Humne Khud Bayan Kar Deya.

"Naaf K Niche Hanth Bandhns Ki Hadees Marfou Nahi , Wo Hazrat Ali R.A K Qoul Hai Aur Zaif Hai"

(Dekhe Apke Mazhab Ki Kitab Shreh Waqiya Urdu Safa 13 )

Hidaya Arbi (1/86) Me Jaha Ye Bayan Keya Gaya Hai K Sunnat Me Hai Daya Hanth Baye Hanth Per Rakhna Naaf K Niche , Use K Niche Bain-Alstur Me Hanfi Ulma Ne Lekha Aur Chupaya Hai K "
لايعرف مرفوعاً " Ye Riwayat Marfou Nahi Hai , Yaani Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Tak Es Rewayat Ki Sanad Nahi Pahuchte .

Moulana Abdul Haye Hanfi R.Al Ne Shreh Waqiya Safa 165 K Arbi Haseya Safa-6 Per Hazrat Ali R.A Wale Rewayat Ke Sanad Ko Zaif Karar Deya Hai ,

Scan..


 

  Fer Unhone Ek Rewayat Naaf K Niche Hanth Badhne Ki Bayan Ki Hai,Leken Ye Rewayat Ibn Abi Saiba Ki Hai Jise Aap K Maslaqi Hanfi Ki Kitabo Me 3sri Darze Ki Kitab Karar Deya Gaya Hai, Jise Sahih Kitabo K Mukable Me Qabul Nahi Keya Ja Sakta Hai , Eske Elawa Es Riwayat Me Inqita Ve Baaz Muhaddisen Bayan Karte Hai, Fer Eske Baad Seene Per Hanth Badhne K Baare Me Unke Alfaaz Ye Hai :

نعم قدثيت فوق السرة عند الصدر في رواية أحمد وابن خزيمه ، وبه اًخذ الشا فعي ومن تبعه وأخذبه أصحابنا في حق النساء ، لأن وضع الليدين على الصدر أسترلهن

"Haa Beshaq Naaf K Uper Seene K Pass Hanth Bandhna Musnad Ahmed Aur Sahi Ibn Kuzaima Se Sabit Hai Aur Ese Hadees Ko Imam Safaii Ne Ekhteyar Keya Aur Unke Manne Walo Ne Ve, Aur Humare Hanfi Ashab Ne Ve Ese Hadees Ko Aurto K Baare Me Ve Leya Hai (Hanfi) Aurte Seene Per Hanth Bandhe , Kuki Seene Per Hanth Badne Me Unke Parda Posi Jayada Hote Hai."

Scan..

 
 

Main Kahta Hu K Aurto Ki Parda Posi Tou Hai He , Ager Mard Ve Seene Per Hanth Bandhte Tou Zaif Riwayato Per Amal Karne Se Unke Ve Parda Posi Ho Jaati ,Aur Huzur Sallahu Alaihe Wasallam Ki Sunnat K Zayada Kareeb Ho Jaate.

Ye Ve Acche Tarah Samjh Lejye K Aurto Or Mardo Me Tafreeq Karna Mahaz Be-Dalill Hai.

Hazrat Shamsuddin Mirza Mazhar Jaan Jaanan Hanfi R.Al Seene Per Haanth Bandhne Ki Hadees Ko Basabab Qawi Hone K Tarzeh Dete The Aur Khud Seene Per Haanth Bandhte The.
[Mukaddama Ain Ul Hidaya 1/111]

Ager Avi Ve Yakeen Nhi Ho Raha K Naaf K Niche Hanth Bandhne Wale Hadees Zaif Hai, Tou Khud K Ghar Ki Gawahi Padhe..

1- Refrence Scan...

 

 
2- Refrence Scan..

 


3-Refrence Scan..

 


 4-Refrence Scan..

 

5-Refrence Scan..

 

Natiza Ye K Naaf K Niche Haanth Bandhne Ki Rewayat Zaif Hai , Jiska Aitraaf Aap K Mazhab Ki Kitabo Me Aur Feka Karaam Ki Zubani Hua Hai,Aur Seene Per Haanth Bandhne Ki Ahadees Sahih Hai , Eska Bayan Ve Kitab Feka Me Hai Aur Feka-E-Karaam Ne Ve Es3 Ko Zayada Sahih Qarar Deya Hai, Ayse Surat Me Sahih Per Amal Karn3 Walo Ko Galat Batana Aur Nafrat Failana Kisi Tarah Teek Nahi, Gale Mil Jaana Aur Mohabbat Se Pess Aana He Musalmano K Kaam Ha


#ImranKhanSalafi
# IslamicLeaks