Wednesday, July 29, 2015

DEOBANDI KHUD KE MANGHADANT IJMA KE BHI MUNKAR (PART 3) WITH SCAN








Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirr­aheem ..

. Deobandi Khudke Manghadat Ijma K Bhi Munkir...

1) Rukoo K Pehle Aur Rukoo K Baad Wale Rafayaden Per Ijma.
2) Surah Al Araaf Aur Iski Ayat
وإذا قرئ القرآن K Makkah Me Nuzool Hone Per Ijma:
3) Quran Ki Ayat Par Ijma
وإذا قرئ القرآن
4) Namaz K Baad Ki Dua Ka Bidat Hone Per Ijma
5) Taqleed E Shaqsi Per Ijma
6) Muftio Ka Mujtahideen Me Shumaar Par Ijma
7) Sahih Bukhari K Kitabullah K Baad Sabse Zada Sahih Hone Par Ijma
8) Abdur Rahman Bi Zaid Bin Aslam Ke Zaeef Hone Par Ijma
9) Abdur Rahman Bin Ishaaq Al Waasiti Ke Zaeef Hone Par Ijma
10) Muhammad Bin Saaib Kalbi Ki Zaufat Par Ijma

1) Rukoo K Pehle Aur Rukoo K Baad Wale Rafayaden Per Ijma.

Rukoo Me Jate Waqt Aur Rukoo K Uthne K Baad Rafa Yadain Karna Beshak Sunnat E Nabvi Sal Allahu Aleyhi Wasallam Hai. Bohut Saare Sahaba Rz Ke Rafayaden Karne Ki Riwayaten Milti Hai. Iss Baat Ki Bhi Beshumar Daleele Milti Hai K Rasool Sal Allahu Aleyhi Wasallam Apni Namaz Me Rafayaden Kiya Karte The Aur Aisi Koi Daleel Nahi Milti Jisse Ye Sabit Ho Sake K Rasool Sal Allahualeyhi Wasallam Ne Rafayaden Tark Kardiya Tha. Left This In His Salaah.

Fir Bhi Deobandio Ne Khud Hi Ijma Ghadd Liya Aur Dawa Kiya K Rafayaden Karna Aur Naa Karna Dono Ki Ijazat Hai Ummat K Ijma Se.

Deobandio K Mufti Muhammad Rasheed Ludhyaanwi Rafayaden K Mutalliq Likhte Hai K:

“Inn Masael Me Bilittefaq E Ummat (Ijma E Ummat) Dono Surtain (Rafayaden Karna Aur Naa Karna) Jayaz Hai.

[Ikhtilafaat E Ummat Page 272]

Ijma Ka Inkaar: Ek Aur
Deobandi Jameel Ahmad
Nazeeri
Rafayaden K Ijma Ka Inkaar
Karte Hue Kehte Hai K
Rafayaden Mansooq Hai.
[Rasool E Akram S.A.W
Ka Tareeqa E Namaz Page
198]
Scan..

 

2) Surah Al Araaf Aur Iski Ayat وإذا قرئ القرآن K Makkah Me Nuzool Hone Per Ijma::

Rasheed Ahmad Gangohi Bayan Karte Hai K Surah Al A'raaf Ki Ayat "
وإذا قرئ القرآن" Makka Me Nazil Hui Is Par Ijma Hai

Aur Likhte Hai:

"Kyuke (Surah) A'raaf Bil Ittefaq E Muhadiseen Wa Mufasireen Ke Makki Hai Aur Ye Ayat Bhi Makki Hai, Kisine Isko Makki Hone Se Ishtena Nahi Kiya Naa Kisine Isko Madni Likha."

[Taleefaat E Rasheediya 510]
Scan..

 
Ijma Ka Inkaar:

Ameen Okarvi Farmate Hai Ke "
وإذا قرئ القرآن" Ye Ayat Madina Al Munawwarah Me Naazil Hui.

[Fatoohat E Safdar 3/99]
Scan...

 

3) Quran Ki Ayat وإذا قرئ القرآن Par Ijma

Ameen Okarvi Tajalliyaat E Safdar Vol 3 Page 618 Me Ek Heading Dete Hai "Mukhaalfat E Ijma Ki Teesri Misaal" Jisme Wo Hamesha Ki Tarah Ek Manghadat Jhoota Ilzaam Lagate Hai K Ahle Hadees Ijma K Munkir Hai.

Halanke Ye Bayan Karte Hue Unhone Ye Daleel Pesh Ki Page 618 Se 619 Tak K "
وإذا قرئ القرآن Is Ayat Ka Shaan E Nuzool Namaz Hai."

Ijma Ka Inkaar: Deobandio K Hakeem Ul Ummat Ashraf Ali Thanvi Iss Baat Par Bilkul Yaqeen Nahi Karte Aur Kehte Hai:

Mere Nazdik

وإذا قرئ القرآن

Jab Quran Padha Jaaye To Gaor Se Suno Taake Tum Par Rahem Ho.

(Ye Ayat) Tableegh Par Maamool Hai Iss Jagah Qirat Fi Salaat Muraad Nahi.

[Malfoozat E Hakeem Ul Ummat 26/335]
Scan..

 

Aur Dekhiye Tafseer E Maajdi Page 373 Or Jild 2 Page 263 Iss Me Bhi Aisa Hi Nazariya Hai.

4) Namaz K Baad Ki Ijtemaee Dua Ka Biddat Hone Per Ijma:

Deobandio K Mufti Rasheed Ahmad Ludhyanwi Bayan Karte Hai K Namaz K Baad Ki Iztemaee Dua Biddat Hai. Unhone Likha Hai K:

"1- Namaz K Baad Ki Ijtemaee Dua Ka Marwaja Tareeqa Bil Ijma Bidah Qabeeha Shaneea Hai.

2- Farz Namaz K Baad Haath Utha Kar Dua Maangna Saabit Nahi Hai.

[Namaz Ke Baad Dua Page 19]
Scan..

 


Ijma Ka Inkaar:

Anwar Khursheed Deobandi Apne Kitab Me Lekhte H :

"Farz Namazo K Baad Hanth Utha Ker Dua Mangna Huzur Sallahu Alaihe Wasallam Aur Sahaba-E-Kara'am Se Qoulan Wa Amalan Sabit Hai, Huzur Alaihis Salam Aur Sahaba-E-Kara'am Ne Namaz K Baad Hanth Utha Ker Dua Mange Hai Inferadi Ve Ijtemai Ve"

[Hadees Aur Ahle Hadees Page 478]
Scan..

 


5) Taqleed E Shaqsi Per Ijma

Ameen Okarvi Kehte Hai K Taqleed E Shakhsi K Baare Me:

"Aakhir Taqleed E Shaqsi Par Ijma Hogaya Hai."

[Fatoohaat E Safdar 1/84]
Scan..

 



Ijma Ka Inkaar:

Rasheed Ahmad Gangohi Farmate Hai:

"Taqleed E Shaqsi Par Kabhi Ijma Hua Hi Nahi."

[Tazkiratur Rasheed 1/84]
Scan..

 


6) Muftio Ka Mujtahideen Me Shumaar Par Ijma

Fataawa Alamgeeri, Jo Al-Fatawa Al-Hindiyyah Al-Ma’arufah Bi Al-Fatawa Al-’Aalamkiriyyah Fi Math’hab Al-Imam Abi Hanifah An-Nu’man K Naam Se Jaani Jaati Hai. Ye Sabse Mashur Hanfi Kitab Hai Jisme Imam Abuhanifa Se Kam Talluq Rakhti Hai Kyuke Isne Bohut Saari Baaten Imam Abuhanifa (Rahimahullah) Ki Nahi Hai. Halanke Deobandio K Nazdeek Ye Kitab Hujjat Hai Aur Ye Kitab Khud Pasandagi Se Bhari Hui Hai. Iss Kitab Me Likha Hai:

أَجْمَعَ الْفُقَهَاءُ على أَنَّ الْمُفْتِيَ يَجِبُ أَنْ يَكُونَ من أَهْلِ الِاجْتِهَادِ

"Fuqaha Ka Iss Baat Par Ijma Hai K Mufti Ka Mujtahideen Me Se Hona Waajib Hai."

[Fataawa Alamgeeri Vol 3, Chapter 1 Page 308]

Ijma Ka Inkaar:

Hum Ye Baat Jaante Hai K Ek Muqallid Kabhi Mujtahid Nahi Hosakta. Hum Ye Baat Dekhte Hai K Deobandi Apni Hi Kitab Fatawa Aalamgiru K Khilaf Jaate Hai Aur Apne Muqallid Buzurgo Ko Mufti Kehte Hai. Deobandi Ye Baat Kehkr Ek Qadam Aage Nikal Jaate Hai Ke "Agar Aaj Koi Ijtehaad Ka Daawa Lekar Uthe To Isla Daawa Iske Muh Par Maar Diya Jaye.

[Tajjalliyat E Safdar 5/44]
Scan..


 
7) Sahih Bukhari K Kitabullah K Baad Sabse Zada Mautebar Hone Par Ijma

Sarfaraza Safdar Ne Sahih Bukhari Par Ijma Hone Ki Baat Kahi H Jo K Bilkul Sahih Hai. Unhone Kaha:

"Ummat Ka Ijamee Faisla Hai K Sahih Al Bukhari
أصح الكتب بعد كتاب الله (Quran K Baad Sabse Mautebar Kitab Sahih Bukhari Hai. )"

[Ahsan Ul Fataawa 1/315]
Scan..

 


Ijma Ka Inkaar:

"Ye Log Kehte Hai K Bukhari
أصح الكتب Hai. Bilkul Naa Insafi Ki Baat Hai Aur Islo Manne Ki Koi Zarurat Nahi Hai."

[Tajjaliyaat E Safdar 1/135]
Scan...


 

8) Abdur Rahman Bi Zaid Bin Aslam K Zaeef Hone Par Ijma:

Sarfaraz Khan Safdar Ne Ye Baat Naql Ki Hai K Abdur Rahmaan Bi Zaid Bin Aslam Ke Zaeef Hone Par Muhadiseen Ka Ittefaq Hai. [Tafreeh Al Khawatir Page 35]

Ijma Ka Inkaar: Anwar Shah Khurshid Ne Ek Hadees Se Istedlal Kiya Hai Jiska Raawi Abdurrahman Bin Zaid Bin Aslam Hai Aur Unhone Us Hadees Ko Daleel K Taur Par Istemal Kiya Hai Aur Iss Ijma K Inkaar Kardiya K Abdurrahman Bin Zaid Bin Aslam Zaeef Hai.

[Hadees Aur Ahlehadees Pg. 328]
Scan..


 

9) Abdur Rahman Bin Ishaaq Al Waasiti K Zaeef Hone Par Ijma:

Anwar Shah Kashmiri Ne Bayan Kiya Hai Ke Abdur Rahman Bin Ishaaq Al Waasiti Bilashubha Zaeef Hai Aur Ulama Iske Zaof Par Muttafiq Hai.

[Al Arf Al Shazi Page 76]

10) Muhammad Bin Saaib Kalbi Ke Zaeef Hone Par Ijma:

Sarfaraz Khan Safdar Ne Hafiz Ibn Hajar Al Asqalani K Baat Ko Naql Karte Hue Apni Kitab Me Likha K Ibn Hajar Al Asqalani (Rahimahullah) Ne Muhammad Bin Saaib Kalbi Ke Zaeef Hone Par Ijma Naql Kiya Hai.

[Tanqeed E Mateen Page 168]
Scan...


 


Ijma Ka Inkaar:

Ilyas Ghuman Ek Hadees Se Istedlal Kiya Jisme Ek Raawi Muhammad Bin Saaib Kalbi Hai.

[Namaz E Ahlussunah Wal Jamah 67]
Scan...

 


Namaz E Ahlus Sunnah Wal Jam'ah Dar Haqeeqat "Namaz E Ghumman" Hai Wo Isliye K Isme Ilyas Ghuman Ne Is Kitab Ko Jhooti Baato Se Bhar Diya Hai.

Koi Inn Deobandio Se Puche K Kya Ye Saare Deobandi Hazraat Gumraah, Kaafir, Shaitaan Aur Dozkhi Hai Ya Nahi, Kyuke Unhone Khud Ye Baat Ijma K Munkir K Baare Me Kahi Hai.

Allah Hum Sabko Siraat E Mustaqeem Par Chalaye. Aameen.

Ye Saare Saboot Kaafi Hai Ye Batane K Liye Ke Deobandi Ijma K Munkir Hai.

Haadha Wallahu Aalam.

And Allah Knows Best


#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks