Assalamualaikum
Bismillahirrahmanirraheem
TABLEEGHI JAMAAT – QURAN
WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-1)
Bhaiyyon, Doston Aur
Buzurgon !!
Allah Tala Ne Meri
Aapki Aur Ham Sab Ki Kaamyabi Apne
Muqammal Deen Me Rakhi Hai Aur Ye Deen Hamari Zindagi Me Kaise Aa Jaaye Isliye
Liye Chillon, Sah’rozon, Muraaqbon, Aur Khud’saakhta Azkaar Jaisi Shakhat
Mahnat Ki Zaroorat Nahin Balke Quran Wa Sahih Hadith Ka Sahih Ilm Wa Faham Ki
Aur Sunnat Ke Mutaabiq Amal Ki Zaroorat Hai Aur Yahi Deen Ki Sahih Aur Haqeeqi
Mahnat Hai,
Aane Wale Posts Me
Isi Mahnat Ke Bare Me Baat Hogi Inshaallah , Aap Tamam Hazraat Se Ghuzaarish Hai Ke Nihaayat Tawajjoh Aur Ghair
Jaanibdaari Ke Saath In Posts Ka Mutaala Farmaayen Aur Apni Duniya Aur Aakhirat
Ko Barbaadi Se Bachaayen… Jazakallah
Bhaiyyon ! Isi Se
Milta Julta Ek Elaan Har Roz Hamari Masjid Balke Shayad Poori Duniya Ki Masjid
Se Rozaana Nashr Ho Raha Hai, Isliye Hamne Bhi Apni Tahreer Ka Aghaaz Isi Elaan
Se Shuru Kiya Hai Take Aap Hazraat Ki Tawajjoh Is Jamaat Ki Taraf Mazbool Ki Ja Sake Mahaz Lafzon Se Aapke Deen
Aur Duniya Dono Barbaad Kar Rahi Hain, Ham Aapse Poochna Chaahte Hain Ke Kya
Aapne Kabhi Socha Hai Ke:
1
- Allah Tala Ka Deen Kahkar Jis Deen Ki
Daawathar Musalman Ko Di Ja Rahi Hai Wah Deen Kya Hai ??
2-
Us Deen Ke Liye Jis Mahnat Ki Shart Lagaayi
Ja Rahi Hai, Wah Mahnat Kya Hai ??
3- Kya Mahaz Qalma Aur Namaz Ki Daawat Wa
Tableegh Ko Deen Ki Tableegh Kaha Ja Sakta Hai ??
4- Kya “Sab Kuch Allah Se Hone Ka Yaqeen
Rakhna” Ki Daawat Dena Deen Ki Daawat Hai ??
5- Qur’an Ki Shahadat Hai Ke Kuffar E Makka
“Sab Kuch Allah Se Hone Ka Yaqeen Rakhte They” Phir Aakhir Wah Kya Daawat Thi
Jis Ke Bina Par Ahle Makkah Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Jaan Ke
Dushman Ban Gaye ??
In Tamam Sawalon Ke Jawab Talaash Karne Se Pahle Ham Apko Bataana
Chaahte Hain Ke Tableegh Jamaat Ke Bare Me Isse Pahle Bhi Ham Post Jaari Kar
Chuke Hain,Maujooda Waqt Ke Mahaul Ko Pesh E Nazar Rakhte Hue Hamen Tableegh
Jamat Par Mazeed Likhne Ki Zaroorat Mahsoos Hui, Chunanche Inshaallah Isi Kadi
Ke 15 Post Silsile Waar Islamicleaks Blog Me Publish Hone..
Allah Tala Se Dua Hai Ki Wo Ham
Sab Ko Sahih Aqeedah Aura Mal Saaleh Ki Taufeeq Naseeb Farmaaye …. Aaameeeen
DEEN KI TAAREEF KYA HAI ???
Deen E Islam Ki Jo Taaref Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Farmayi Hai Wah Sahih Bukhari Aur Sahih Muslim Me Is Tarah Manqool Hai
Hz Tamimdari (Ra) Se
Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Deen Naseehat Yani
Khair’khwaahi Hai Aur “Nash’ah” Khalis Karne Ko Kahte Hain, Poocha Gaya, Khalis
Kiske Liye Karna Hai,”
Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Farmaya:
“Allah Ke Liye, Kitab
Ke Liye, Rasool Le Liye, Musalmano Ke Hakim Ke Liye Aura Am Musalmano Ke Liye ”
(Mutawwiq Alaihi)
Is Hadith Ki Sharah
Karte Hue Sahih Muslim Ki Sharah Me Imam Nawawi (Rh) Likhte Hain:
“Deen Ko Allah Ke
Liye Khalis Karne Se Muraad Ye Hai Ke Allah Par Imaan Laaya Jaaye Aur Shirk Ki
Naïf Ki Jaaye, Allah Ki Safa’at Lamaal Wa Jalaal Me Jo Ilhaad Akhtiyar Kiya
Jaata Hai Tark Kiya Jaaye, Tamam Nuqais Ke Allah Ki Zaat Ko Paak Qaraar Diya
Jaaye, Ita’at Muhabbat, Shukr Aur Inamaat Ka Aitraaf Kiya Jaaye Aur Ma’siyat
Aur Nafarmani Se Ijtenaab Kiya Jaaye, Uski Ibaadat Ki Jaaye, Aur Ibaadaat Ki
Jumla Iqsaam (Qism) Maslam Qayam, Ruku, Sujood, Nazar, Niyaaz, Tawaaf ,
Aiteqaaf, Qurbani Sadaqaat Dua, Iste’aanat Aur Isteghasa Sirf Allah Ke Liye
Khalis Kiya Jaaye, Yani In Tamam Umoor Me Allah Ko Ghair Allah Ke Muqaable Me
Khaas Karna Deen Kahlaata Hai”
Deen Ko Kitaab Ke
Liye Khaas Karne Se Muraad Ye Hai Ke Allah Ke Kalaam Par Aur Uske Naazil Hone
Par Imaan Rakha Jaaye, Makhlooq Mese Kisi Ki Baat Ko Allah Ke Kalaam Ke Saath
Is Tarah Mila Kar Bayan Na Kiya Jaaye Ke Sunne Wasla Makhlooq Ki Baat Ko Allah
Ki Baat Ya Huqm Sasmjh Baithe, Allah Ke Qalaam Ki Ta’zeem Wa Tila’wat Ki Jaaye,
Aur Tilawat Ka Haq Ada Kiya Jaaye, Qur’an Ke Huroof Ko Todh Marodh Kar Ya
Ghalat Taweel Ke Zariye Kalaam Allah Ki Tahreef Na Kiya Jaaye, Uske Ahkamaat .,
Uloom Wa Misaal Ko Samjha Jaaye Aur Gaur O Fikr Kiya Jaaye, Uske Mohkamaat Par
Amal Kiya Jaaye Aur Mutashabehaat Ke Peeche Lagne Se Bacha Jaaye Aur Uske Umoom
Aur Khusoos Aur Naseh Aur Mansookh Ka Aitbaar Kiya Jaaye, Uske Uloom Ki Nashr O
Isha’at Ki Jaaye, Pas In Tamam Huqooq Me Allah Ki Kitaab Ko Deegar Tamam Kutub
Ke Muqaable Me Khaas Karna Deen Kahlaata Hai,
Deen Ko Rasool Ke
Saath Khaas Karne Se Muraad Ye Hai Ke, Rasool Ki Tasdeeq Ki Jaaye, Wahiyy Ke
Zariye Jo Ilm Rasool Ko Diya Gaya Hai
Uspar Imaan Laaya Jaaye, Har Maamle Me Nabi Ki Ita’at Ki Jaaye, Uski Sunnaton
Ko Zinda Kiya Jaaye, Uski Laayi Hui Shariat Aur Dawat Ki Tableegh Ki Jaaye,
Uski Hadith Ke Mane Wa Mafhoom Me Ghaur O Fiqr Kiya Jaaye, Uski Ta’zeem Wa
Tauqeer Ki Jaaye, Uske Ahle Bait Wa Ashaab Se Muhabbat Ki Jaaye, Yani In Tamaam
Khususiyaat Me Rasool Ko Ghair Rasool Se Khaas Karna Deen Kahlaata Hai,
Deen Ko Aimma E
Muslimeen Yani Hukmarano Ke Liye Khaas Karne Se Muraad Ye Hai Ke Haq Me Unki
Mua’winat Ki Jaaye, Unke Saath Akhlaq Was Adab Wa Ehteraam Se Pesh Aaya Jaaye,
Maroof Me Bhi Unki Ita’at Ki Jaaye, Aur Munkar Par Unhen Tanbiyah Wa Tazkeer Munaasib Tareeqe Par Ki
Jaaye, Jab Tak Wah Namaz Wa Zakaat Ko Qayam Karte Rahen, Unke Khilaaf Baghawat
Se Ghurez Kiya Jaaye, Unke Saath Milkar Jihad Kiya Jaaye, Unke Mutaalliq Jhooti
Afwaahen Failaane Se Ghurez Kiya Jaaye Yani Us Sulooq Ko Aam Qaayedeen Ke
Muqable Me Musalman Hukmaraano Ke Saath Khaas Karna Deen Kahlaata Hai,
Aur Deen Ko Musalmano
Ke Saath Khalis Karne Se Muraad Ye Hai Ke Unke Haq Me Aisi Cheezon Aur Baton Se
Ghurez Kiya Jaaye Jo Duniya Aur Aakhirat Me
Unke Khasaare Ka Ba’as Hon, Apne Haathon Ko Har Us Amal Se Roka Jaaye Jo
Unke Liye Pareshani Ka Ba’as Ban Sakta Ho, Unki Khamiyon Ki Pardah Poshi Ki
Jaaye, Unke Nafa O Nuqsaan Ka Khyaal Kiya Jaaye, Narmi Aur Khuloos Ke Saath Amr
Bil Maroof Nahi Anil Munkar Kiya Jaaye, Badon Ki Izzat Ki Jaaye Aur Chhoton Par
Rahem Kiya Jaaye, Unme Salaam Ko Aam Kiya Jaaye, Unki Jaan Maal O Izzat Ke
Pamaal Karne Ko Apne Oopar Haraam Samjha Jaaye, Yani Is Taraz E Amal Ko Ghair
Musalamon Ke Muqaable Me Musalmano Ke Saath Khaas Karna Deen Kahlaata Hai….
TAMAM IBADAAT KO
ALLAH KE LIYE KHALIS KARNA DEEN HAI:
1- Kya Wah Jamat Jo Bistar Uthaaye Masjid
Masjid Ghoom Rahi Hai Isi Deen Ki Daawat De Rahi Hai Jo Bala Hadith Aur Uski
Sharah Me Mazkoor Hai ???
2- Jis Jamaat Ke Nazdeeq, Deen Ko Allah Se
Khalis Karne Se Muraad Ye Ho Ke Dua Jaise Azeem Tareen Ibaadat Me Buzurgon Ka
Waseela Akhtiyar Karna Jayez Ho, Kya Deen Ka Kaam Karne Ke Ahal Ho Sakti Hai
??? Jab Ke Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wsasallam Ke Farmaan Ke
Mutaabiq Dua Hi Asal Ibaadat Hai Aur Maloom Hona Chahiye Ke Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Apni Qaum Se Asal Ikhtelaaf Waseela Par Hi Tha.
3- Kya Musalmano Ka Koi Firqa Aisa Hai Jo Apne Apko Musalman Kahta Ho Aur
Fir Ye Dawa Na Karta Ho Ke Wo Allah Aur Uske Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam
Ki Taraf Dawat De Raha Hai, Isliye Tableegh Jamaat Agar Ye Kahti Hai Ya Bazahir
Aisa Karti Hui Dikhaayi Deti Hai Toh Ye Baat Uske Haq Par Hone Ki Daleel Nahin
Ban Sakti,
Kyunki Tableegh E Deen Namaz, Roza , Hajj, Zakaat Aur Sadaqaat Ke
Fazail Bayan Karne Ka Naam Nahin Balke Tableegh E Deen Ka Asal Maqsad Aqaid Ki
Islaah Aur Durustagi Hai, Jabke Tableegh Jamat Bka Nisaab Aur Unki Deegar Kutub
Sahih Islami Aqaid Ke Bayan Se Na Sirf Kulli Taur Par Paak Hain Balke Ghalat
Aur Ghair Islaami Aqaid Ki Tasheer Ba’zariye Hikaayat Aaam Karne Me Tableeghi
Jamaat Aur Uska Nisaab Pesh Pesh Hai
Tableeghi Jamat Me Kuch Khoobiyan Aur Acchi Baatein Bhi Hain Lekin
Malum Hona Chahiye Ke Un Acchi Baton Ko
Barbaad Kar Den Eke Liye Ek Ghalat Aqeedah Hi Kaafi Hai Jabke Tableeghi Aur Deobandi Jamaat Ke Bahut
Se Aqeede Baatil Hain Jinki Aap Muqammal Tafseel Aap Hamare Blog Me Padh Sakte
Hain,
Nez Kya Aap Bata Sakte Hain Ke Duniya Me Koi Ek Bhi Aisi Mazhabi Jamaat
Hai Jisme Sire Se Koi Khoobi Hi Na Ho,
Maslan, Hindu, Yahoodi, Isaayi, Mazhab Me Bhi Bahut Se Khoobiyan Maujood Hain,
Kya Aao Unki Un Khoobion Ki Bina Par Un Mazhab Ki Tareef Karenge ?? Aur
Unme Shamil Hona Chaahenge ??
Dar’haqeeqat Hamari Awaam Aqeede
Ki Ahmiyat Aur Zaroorat Ko Aksar O Beshtar Samjhne Se Kaasir Hote Hain, Isliye
Who Tableeghi Jamaat Ke Zaahiri Chilat Firat Aur Qurbanion Se Mutaasir Hokar Us
Jamaat Hi Himaayat Aur Taeed Me Lag Jaate Hain,
Is Masle Ko Aap Is Tarah Samjhen Ke Qadyanion Ka Aakhir Kya Qusoor Tha
Ke Unhe Millat E Islamiya Se Kharij Qarar Diya Gaya, Kya Wah Namaz Sde Inkaari
They Ya Roza Wa Zakaat Ke Munkar They Aur Kisi Aur Islami Sha’are Ke Taarak
They. Saaf Zaahir Hai Ke Nahin Balke Baat Sirf Itni Thi Ke Wah Ek Islami Aqeede
Khatam Nubuwwat Ke Inkaari They, Isliye Wah Millat E Islamiya Se Kharij Qarar
Diye Gaye, Jabke Tableeghi Aur Deobandi Jamat Ke Akaabireen Aqeeda Tauheed Me
Bhi Sahaba Kiraam Ke Aqeede Ke Khilaaf Aqeedah Rakhte Hain, Is Aitbaar Se Ye
Log Qadyanion Se Bhi Zyadah Mujrim Hain, Kyonki Aqeedah Tauheed Aqeedah Khatam
E Nubuwwat Se Bhi Zyadah Aham Aur Awwaleen Hai Aur Hamara Tableeghi Jamat Se
Buniyadi Ikhtelaaf Bhi Yahi Hai, Yani Agar Ye Log Apne Aqaid Durust Kar Len Aur
Apni Tableeghi Nisaab Ki Islaah Kar Len Nez Tableeghi Tareeqe Kar Ko Sunnat Ke
Mutaabiq Banal En Toh Hamara Unse Koi Ikhtelaaf Nahin….
To Be Continued In Next Part……
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks