Bismillahirrahmanirraheem
TABLEEGHI JAMAAT – QURAN
WA HADITH KI KASAUTI PART : (PART-4)
TABLEEGHI JAMAAT KE “DEEN
KI MAHNAT” KA QUR’AN WA HADITH KI ROSHNI ME JAYEZA:
Tableeghi Jamaat Ke
Araakeen Har Masjid Me Farz Namaz Ke Baad Ye Dawat Dete Nazar Aate Hain Ke
“Baqiyah Namaz Ke
Baad Imaan Wa Yaqeen Aur Deen Ki Mahnat Ke Bare Me Baat Hogi, Tamam Hazraat Se
Ghuzaarish Hai Ke Tashreef Rakhen, Inshaallah Bahut Faayeda Hoga”
Iske Baad Jab Baat
Shuru Hoti Hai Toh Imaan Wa Yaqeen Ka Koi Zikr Nahin Hota Albatta Deen Ki
Mahnat Ki Dawat Di Jaati Hai Jo Chand Ki Kalimaat Ke Baad Khurooj Par Aakar
Thaher Jaati Hai Aur Har Shakhs Ko Ye Baawar Karaaya Jaata Hai Ke
“Deen Ke Liye
Tableegh Par Nikalna Har Shakhs Par Farz Hai, Aur Yahi Deen Ki Mahnat
Hai,Lihaaza Har Shakhs Apna Naam Chille Yak Am Se Kam Sah Roza Ke Liye Zaroor
Likhwaaye”
Fir Jo Log Apne Naam
Likhwaate Hain Unhe Jamaaton Ki Soorat Me Nikaala Jaata Hai,
Mashoor Hai Ke Koi
Jhoot Agar Baar Baar Bola Jaaye Toh Ek Waqt Wah Bhi Aata Hai Jab Khud Jhoot
Bolne Waale Ko Bhi Apna Jhoot Sach Lagne Lagta Hai, Yahi Haal Tableeghi Jamaat
Ka Bhi Hai,
Ye Log Maulana
Iliyaas Ki Ijaad’kardah Khurooj Ki Bida’at Ko Deen Ki Mahnat Aur Ambiya Ka Kaam
Apni Har Majlis Me Is Takraar Ke Sath Kahte Hain Ke Khud Inke Dil O Dimagh Me
Bhi Ye Khurooj Ki Daawat Is Tarah Bas Jaati Hai Ke Phir Ye Log Deen Ka Kaam
Karne Waale Ulema Ki Bhi Tahqeer Karne Me Nahin Chookte Jo Tahreer Wa Taqreer
Ke Zariye Deen Ka Kaam Kar Rahe Hote Hain,
Allah Tala Ne Qur’an
Qareem Me Aisi Khud’farebi Me Mubtela Afraad Ke Bare Me Farmaya:
“Jiske Liye Uska Bura
Amal Muzayyan Kar Diya Gaya Ho Aur Wah Amal Uski Nazar Me Khap Gaya Ho, Toh
Jaan Lo Ke Allah Jisko Chaahta Hai Gumraahi Me Pada Rahne Deta Hai Aur Jisko
Chaahta Hai Hidaayat Deta Hai, Pas Aap Unke Haal Par Apne Dil Par Afsos Na Karen,
Beshaq Allah Khoob Jaanta Hai Jo Jhoot Wah Ghadhte Hain”
(Surah Fatir Ayat No.
8)
Yani Unhone Allah Aur Uske Deen Par Jo Jhoot Ghadhne Ka
Silsila Qayem Kar Diya Hai Uske Ba’as Allah Ne Unke Liye Gumrahi Muqaddar Kar Di
Hai, Hatta Ke Shaitaan Ne Unka Ye Bura Amal Unke Liye Muzayyan Kar Diya Hai,
Aur Ab Wah Apne Jii Me Ye Khayaal Karte Hain Ke Wah Hidaayat Par Hai, In Afraad
Ke Bare Me Allah Tala Ne Dusre Maqaam Par Farmaya:
“Kya Ham Tumko
Bataayen Ke Aamaal Ke Aitbaar Se Zyadah Khasaare Me Kaun Hai ?? Wah Jiski
Mahnat Duniya Me Hi Bhatakti Rah Gayi Aur Wah Ye Ghumaan Karta Rah Gaya Ke Wah
Bahut Acche Aamaal Kar Raha Hai, Dar’haqeeqat Ye Wah Log Hain Jinhone Apne Rabb
Ki Aayat Aur Mulaqaat Ka Kufr Liya, Pas Unke Tamam Amaal Gharat Ho Gaye, Qayamat
Ke Din Ham Unke Aamaal Ke Liye Taraazu Qayam Nahin Karenge”
(Surah Kahf Ayat No 105-106)
Is Ayat E
Kareema Ka Mukhatib Aksar Mufassireen Ne
Khwarij Aur Ahle Bidat Ko Qarar Diya Hai Jo Apni Khud Saakhta Dimaaghi
Ikhtara’a Ko Deen Samjh Lete They, Aise Logon Ke Bare Me Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Hz Abu Saeed Khudri
(Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Anqareeb Meri Ummat
Me Ikhtelaaf Ke Ba’as Ek Giroh Paida Hoga Jo Nihaayat Acchi Aur Dil Moh Lene
Waali Baatein Karega Lekin Aamaal Ke Aitbaar Se Khabees Hoga, Wah Giroh Qur’an
Padega Magar Qur’an Unke Halaqob Se Neeche Nahin Utrega, Tum Unki Namazon Ke Muqaable
Me Apni Namazon Ko Aur Unke Rozon Ke Muqaable Me Apne Rozon Ko Haqeer Samjhoge,
Wah Log Deen Se Is Tarah Nikal Jaayenge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai
Fir Unko Lautaaya Nahin Ja Sakega, Wah Tamam Makhlooq Se Bad’tareen Log Honge,
Pas Khush’khabri Hai Us Logon Ke Liye Jo Us Giroh Se Qitaal Karenge Aur Wah Log
Tumko Allah Ki Kitaab Ki Taraf Bulaayenge Jabke Unke Paas Usme Se Kuch Bhi
Nahin Hoga, Jo Unke Saath Qitaal Karega Wah Allah Ke Nazdeeq Maqbool Hoga”
Poocha Gaya Ke :”Aiy
Allah Ke Rasool Unki Alaamat Aur Nishaani Kya Hogi??”
Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Farmaya:
“Tahleeq Unki Alaamat
Hogi”
(Musnad Ahmad)
Hz Abdullah Bin Amr
Al Aas (Ra) Farmaate Hain Maine Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Se Suna
Hai Ke
“Anqareeb Meri Ummat
Ke Kuch Log Mashriq Ki Jaanib Se Niklenge, Jo Qur’an Padhte Honge Lekin Qur’an
Unke Halaq Se Neeche Nahin Utrega, Ye Har Sadi Me Nikalte Rahenge, Yahan Tak Ki
Unka Aakhiri Giroh Dajjaal Ke Saath Niklega”
(Musnad Ahmad)
Hz Abdullah Bin
Masood (Ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne
Farmaya:
“Aakhiri Zamaane Me
Ek Qaum Niklegi Jisme Naujawaan Aur Kam’aqal Log Shaamil Honge Wah Qur’an
Padhenge, Lekin Quran Unke Halaq Se Neeche Nahin Utrega, Wah Log Ba’zaahir
Bahut Acchi Baatein Karenge, Lekin Deen Se Is Tarah Nikal Jaayenge Jis Tarah
Teer Shikaar Se Aar Paar Nikal Jaaye”
(Tirmizi Kitab Ul
Fitan)
Scan-
Is Qism Ki Hadith
Bukhari Wa Muslim Samet Taqreeban Tamam Hadith Ki Kitabon Me Waarid Hui Hain,
Magar Hamne Yahan Par Un Hadith Ko Naqal Kiya Hai Jo Jame Ul Matan Hain,
Muhaddoseen Ke Zamaane Me Jab In Hadith Ko Naqal Kiya Gaya Sirf Ek Giroh
Khwarij Maujood Tha Jo In Hadithon Ka Misdaaq Nazar Aata Tha,
Lihaaza Tamam Ahle
Ilm Ne In Hadith Ki Sharah Me Khwarij Ka Tazkirah Kiya Hai, Lekin Musnad Ahmad
Ki Mandarjah Bala Hadith Me Saraahat Se Ye Baat Maujood Hai Ke Ye Giroh Har
Sadi Nikalta Rahega, Chunanche Munaasib Maalum Hota Hai In Hadith Me Waarid
Baaz Alfaaz Aur Istelaahaat Ki Sharah Ki Jaaye Take Us Giroh Ko Be’naqaab Kiya
Jaa Sake Jo Har Zamaane Me Bhole Bhaale Musalmano Ko Apna Shikaar Banaata Hai…
To Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Maulanaataullahderwi