Wednesday, August 19, 2015

TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-7)


Bismillahirrahmanirraheem



TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-7)
 

 Mere Pyare Bhaiyo Mera Maksd Kisi Bhai Ka Dil Dukhana Nahi Bs Ap Logo Tak Sahi Bat Pahunchana Hai...

Fazail e Aamal Aur Tableegi Jama'at

Ye Kitab Tableegi Bhaiyon Me Nihayat Hi Ahmiyat Ki Hamil Hai Is Kitab Ke Baare Me Tableegi Bhaiyon Ne To Yahan Tak Kaha Hai Ke Ye Kitab Quraan Majid Ke Baad Sab Se Zeyadah Padhi Jati Hai.

Is Kitab Ko Molana Ilyas Sahab Jo Tableegi Jamaat Ke Bani Hain Un Ke Kahne Pe Likhi Gai Thi.

Jise Zakarya Sahab Ne Likha Jo Ilyas Sahab Ke Damad Bhi Hain Aur Bhatija Bhi Hain.

Kaha Jata Hai Ke Ilyas Sahab Ke Bahut Israr Karne Pe Ye Kitab Likhi Gai Aur Ye Kitab Aise Waqt Me Likha Gaya Jab Zakarya Sahab Ki Tabiyat Kharab Thi.

Ye Baat Khud Unhone Likha Hai.

Aaiye Dekhte Hain.

Tamheedi Alfaz Me Darj Hai Ke

" Main Kuch Dino Ke Liye Bimar Hogaya Doctron Ne Kah Diya Ke Aap Kuch Din Koi Kam Na Kare Na Isi Darmayan Jab Mei Bed Rest Pe Tha To Mujhe Khayal Aaya Ke Ek Kitab Likhte Hain Agar Logon Ko Pasand Aaya To Thik Warna Apna Waqt Guzar Jayega "

Lekin Haqiqat Me Ye Kitab Ek Qissa Kahaniyon Pe Aadaharit Kitab Hai.

Is Me Bahut Sare Aise Qissae Hain Jise Haqiqat Se Kuchh Lena Dena Nahi Hai.

Mangharat Kahani Hai , Aisi Kahani Padhne Ko Milegi Jise Koi Sahbe Iman Padh Le To Us Ko Apne Iman Dahmagane Ka Khadsa
Paidah Ho Jaye.

Aaiye Dekhte Hain Is Kitab Ki Taarif Me Deobandi Bhai Aasman Aur Zameen Ek Kar Dete Hain, In Logon Ne To Yahan Tak Kah
Diya Hai Ke Quraan Ke Baad Sab Se Zeyadah Padhi Jati Hai Fazail e Aamal.

Aaiye Us Ke Kuchh Hisse Ko Padhte Hain Aur Sochte Hain Ke Is Se Iman Me Quwwat Kahan Se Aayegi.

Puri Kitab Me Ja Baja Is Tarah Ki Baat Likhi Hui Hai.

Zakarya Sahab Likhte Hain.

" Bak Raha Hoon Junoon Me Kiya Kiya.

Kuchh To Samjhe Khuda Kare Koi"

(Moqadma Fazail E Aamal Safa no.4, Naaz publishing delhi 6)

Aage Aur Padhen.

" Azal Se Husn Parasti Likhi Thi Qismat Me

Paidah Huye To Hath Jigar Pe Dhare Huye

Mera Mizaz Ladakpan Se Aashiqana Tha

Kiya Jane Ham Hain Kab Se Kisi Pe Mare Huye.

Meri Tufli Me Shan Ishq Bazi Aashkara Thi..

Agar Bachpan Me Khela Khel To Aankhen
Ladane Ka "

(Fazail E Aamal, Fazaile Hajj Safa No.41)

Aage Aur Padhen

"Maaib Hadshe Aafat Alam Qaza Turbat

Dekhati Jaye Jo Un Ki Jawani Dekhte Jao."

(Fazail Aamal,Fazail Hajj 42.)

Aap Ne Padha Dosto Us Babarkat Zaat Ki Likhi Kitab Ko Jis Ke Baare Kaha Jata Hai Ke Quraan Ke Baad Sab Se Zeyadah Padhi Jane Wali Kitab Hai.

Aap Khud Andazah Lagayen ..Ye Log Kis Cheez Ki Taalim De Rahen Hain

Is Kitab Ko Padhne Ke Baad Deen Se To Mohabbat Nahi Badhegi....

To Phir Kis Cheez Se Mohabbat Hogi Us Baat Ka Khud Andaza Laga Len

Afsos Hain Un Logo Par Jo Apne Haatho Se Kitab Likhte Hain Aur Phir Kahte Hain Ki Ye Allah Ki Taraf Se Hai Taaki Is Se Kuch Maal (Rupye) Kamaye Phir Afsos Hai Unke Haatho Ke Likhne Par Aur Afsos Hai Unki Kamayee Par
(Al Quran , Surah Al-Baqarah 2, Ayat 79)

Yah Wahi Log Hain Jinhone Gumrahi Ko Hidayet Ke Badle Aur Azaab Ko Maghferat Ke Badle Khreed Liya Hai
(Al Quran, Surah Bakra 2, Ayat 175)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
"Main Tumhare Darmiyan 2 Cheezen Chod Kar Ja Raha Hoon (Quran Aur Sunnat Sahih Hadis) Jab Tak Tum Inhe Mazbuti Se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Nahi Hoge
(Hadis Al Hakim, Mo'atta Imam Malik)

Mere Musalman Bhaiyon, "Sach" Jante Hue Khud Apne Aapko Bewakoof Naa Banao,Baatil Raasto, Shirk, Biddat Aur Imaamo Ki Taqleed Chhod Do Aur Aa Jao Khalis Nabi(Sallallaahu Alaihiwasallam) Ki Itteba Par.

Allah Ta'ala Ne Farmaya:

Tum Un Logon Ki Terha Naa Ho Jana Jinhone Apne Paas Roshan Daleelen Aa Jane Ke Baad Bhi Tafarruqa Dala Aur Ikhtelaaf Kiya, Unhi Logon Keliye Bada Azaab Hai".
(Soorah Ale-Imran, Soorah:3, Aayat:105)

Kya Nabi (Sallallaahu Alaihiwasallam) Ne, Wo Tamaam Baatein Ummat Ko Nahi Batlaayi, Jin Par Ummat Ko Amal Karna Tha?
Maine, Har Wo Cheez Jo Jannat Ki Taraf Le Jaane Wali Hai, Aur Wo Cheezjo Jahannum Se Door Karne Waali Hai,Batlaa Di Hai.
(Musannaf Abdur-Razzak 20, 100.)

Jismein Raayi Baraber Bhi Takabbur Hoga Wo Jannat Mein Daqil Nahi Hoga ".
(Sahih Muslim Chapter No 1, Hadees No. 166)

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai .

''Us Din Unke Chehre Aag Me Ulat Palat Kiye Jaenge (Wo Afsoos) Se Kahenge Kash Humne Allah Subhanawata Ala Aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ithaath Karte
Aur Kahenge Aye Hamare Rab Humne Apne Sardaro Aur Apne Bado Ki Mani Jinho Ne Hume Rah Rasth Se Bhadka Diya
Unhe Dugna Aazaab De Aur Un Per Bahoth Badi Lanath Nazil Farma
(Al Quran - Surah E Ahzab 33, Aayat 66-68)

(Note : Ye Post Islaah E Muslimeen Ke Maqsad Se Compose Kiya Gaya Hai Na Ke Bahes Se Ittehad E Muslimeen Ko Todne K Liye. To Aap Sabse Adaban Guzarish Hai Ke Post Mein Jin Ahem Ahadees Aur Qurani Ayaath Ke Zariye Samjhaya Gaya Hai Unper Tawaja Dein Aur Bahes Se "Saqt" Parhez Kerein Taki Mazeed Gunahon Aur Waqt Ki Barbadi Ka Baees Na Ban Paye.Jitna Waqt Iqtelaafi Cmnts Kerne Mein Zaaya Karenge Utna Waqt Ayaat Aur Ahadees Ko Padhne Mein Lagayenge To In Shaa Allah Post Ke Har Ek Lafz Se Ittefaq Kerne Lagenge )

Allah, Gumrah Musalman Ko Hidayat De Allah Subhanahu Wa Ta'ala Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Wala Banaye