Tuesday, August 4, 2015

TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-2)







Bismillahirrahmanirraheem


 

Assalamualaikum

 


TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-2)

 


TILAAWAT AUR NASHR O ISHA’AT ME KITABULLAH KO KHALIS KARNA DEEN HAI

 


Allah Tala Ne Quraan Qareem Me Farmaya:

 


“Kya Ham Tumko Bataayen Ke Aamaal Ke Aitbaar Se Zyadah Khasaare Me Kaun Hai ?? Wah Jiski Mahnat Duniya Me Hi Bhatakti Rah Gayi Aur Wah Ye Ghumaan Karta Rah Gaya Ke Wah Bahut Acche Aamaal Kar Raha Hai, Dar’haqeeqat Ye Wah Log Hain Jihone Apne Rabb Ki Aayat Aur Mulaqaat Ka Kufr Liya, Pas Unke Tamam Amaal Gharat Ho Gaye, Qayamat Ke Din Ham Unke Aamaal Ke Liye Taraazu Qayam Nahin Karenge”

 

(Surah Kahf Ayat No 105-106)

 


Is Ayat E Kareema Ka Matlab Aksar Mufassireen Ne Khwarij Aur Ahle Bidat Ko Qarar Diya Hai Jo Apni Khud Saakhta Dimaaghi Ikhtara’a Kp Deen Samjh Lete Hain Aur Is Daur Me Tableeghi Jamat Is Aayat Ka Misdaaq Nazar Aati Hai Kyunki Allah Ki Ayat Ka Kufr Is Jamat Me Khaas Taur Se Paaya Jaata Hai, Ahle Ilm Ke Nazdeeq Kufr Ki 2 Qismein Hain, Ek Amli Kufr Aur Dusra Aiteqadi Kufr, Allah Ki Aayat Se Amli Kufiyah Ye Hai Ke Allah Ki Kitab Ko Padhne Aur Samjhne Se Airaaz Kiya Jaaye Pas:

1- Jo Jamaat Apne Ijtemaat Aur Halqon Me Quraan Ki Bajaaye Deegar Kutub Ki Tilaawat Aur 

Nashr O Isha’at Karti Hai Aur Ye Aqeedah Rakhti Ho Ke Quran Ko Samjhne Ke Liye 15 Uloom Ki Zaroorat Hai, Isliye Quraan Ko Samjhne Ki Niyat Se Haath Bhi Mat Lagaao, Kya Wah Qur’an Ke Saath Amli Kufr Ki Murtakab Nahin Hai Aur Kya Aisi Jamaat Deen Ka Kaam Karne Ki Ahal Ho Sakti Hai ?? Tableeghi Jamaat Ek Taraf Quran Ki Ek Aayat Ya Hadith Samjhne Ke Liye Allama Hona Shart Samjhti Hai Aur Dusri Zakariya Sahab Ki Murattab Kardah Fazail E Aamaal Ki Tilaawat Ki Waqaalat Ye Kah Kar Karti Hai Ke Usme Bhi Quran Wa Hadith Hai Fir Alag Se Qur’an Ki Tafseer Ya Hadith Ki Kitaab Padhne Ki Kya Zaroorat Hai, Toh Sawaal Ye Ke :

2- Kya Quraan Ki Jo Aayaat Zakariya Sahab Ne Fazail E Aamaal Me Likhi Hain Inko Samjhne Ke Liye 15 Uloom Ki Zaroorat Nahin Hai ?? Agar Iska Jawab Ye Hai Ke Un Aayat Ki Tashreeh Zakariya Sahab Ne Kardi Hai Is Sabab In Aayaton Ko Samjhne Ke Liye 15 Uloom Ki Zaroorat Nahin Hai, Fir Sawaal Ye Paida Hota Hai Ke Agar Tashreeh Se Quraan Ki Aayat Samjh Aa Sakti Hai Toh Kya Baaqi Quraan Ko Samjhne Ke Liye Ulema Ki Tafaseer Maujood Nahin Hain ???

3- Tableeghi Jamaat Ke Akaabireen Agar Ye Aqeeda Rakhte Hain Ke Quran Ko Samjhne Le Liye 15 Uloom Ki Zaroorat Hai Toh Fir Apne Chillon Aur Sah Rozon Me In Uloom Ko Sikhaane Ka Ehtemaam Karne Ki Bajaaye Quraan Ki Chand Sooratein Rataane Par Hi Iktefa Kyun Karte Hain Kya In Uloom Ko Sikhaane Aur Sikhaana Deen Ka Kaam Nahin Hai ???

Kufr Ki Dusri Qism Kufr Aiteqadi Hai Aur Ye Kufr Bhi Tableeghi Jamaat Ke Akabireen Me Paaya Jaata Hai , Iski Misaal Fiqh Hanafi Ki Sabse Badi Kitab Hidaya Se Haazir Hai Jiske Bare Me Ahnaaf Ka Kahna Hai Ke
 


“ Hidayatul Quraan” Yanoi Hidaya Quraan Ki Maanind Hai, Allama Ibne Hammam Hanafi Mazhab Ke Bade Ulema Mese Ek Hain Unhone 9 Jildon Me Hidaya Ki Sharah Likhi Hai Aur Aqaid Me Unki Kitaab Al Musairah Hai, Usko 2 Sharahen Uske Saath Chhapi Hui Hain Ek Kamala Bin Abi Shareef Ki Hai Dusri Qasim Bin Qatloo Bagha Ki Hai, Us Kitab Ke Page No 69-70 Me Hai Ke:

“Allah Tala Qalaam Karta Hai Magar Uska Qalaam Qadeem Hai Uski Zaat Ke Saath Qayam Hai Usse Juda Nahin Hai Aur Uske Kalaam Ke Na Huroof Hain Na Aawaaz Hai Aur Uska Kalaam Na Ibraani Hai Na Thawri Hai Na Arabic Hai, Balke Arabic ,Ibrani Soori, Arabic Aur Ibraani Kalaam Jisme Ye Kitabein Naazil Hui Kalaam Ilaahi Par Dalaalat Karti Hain, In Zabaano Me Ye Haqeeqat Me Allah Ka Kalaam Nahin Hai ”

Matlab Ye Hai Ke Ye Kitaabein Kalaam Allah Ka Tarjuma Hain Aur Is Qaayede Me Aqeedah Bayan Kiya Gaya Hai Ke Allah Ke Kalaam Ke Alfaaz Bhi Nahin Hain Aur Uske Kalaam Ki Koi Aawaaz Nahin Hai, Pas Jab Allah Ka Kalaam Be’ghair Alfaaz Wa Be’ghair Aawaaz Ho Toh Ye Quraan Allah Ka Kalaam Na Hua Balke Allah Ke Kalaam Ka Tarjuma Aur Mane Hua Yani Jab Allah Ki Aawaaz Sunaayi Nahin De Sakti Toh Fir Jibrael Ne Allah Ka Koi Kalaam Nahin Suna Aur Hamare Paas Maujooda Quraan Allah Ka Kalaam Nahin Aur Kisi Ka Kalaam Hua,

Yahi Wajah Hai Ke Zakariya Sahab Apne Is Aqeede Ka Tableeghi Nisaab Me In Alfaaz Me Zikr Kar Rahen Hain

“Kalaamiullah Shareef Ma’bood Ka Kalaam Hai, Mahboob Wa Matloob Ke Farmoodah Alfaaz Hain”
 

Scan-



Aur Aage Farmaate Hain

“Kalaam Ilaahi Mahboob Wa Hakim Ka Kalaam Hai Isliye Dono Aadaab Ka Majmua Iske Saath Baratna Zaroori Hai”

(Fazail Quraan Page 7)

Scan- 




 Bhaiyyon Khud Faisla Karen Jis Jamaat Ke Akaabireen Ka Ye Aqeeda Ho Kya Who Deen Ka Kaam Karne Ki Ahal Ho Sakti Hai ??

To Be Continued…