Sunday, August 16, 2015

TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-6)

Bismillahirrahmanirraheeem




TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-6)
 



Mere Pyare Bhaiyo Mera Maksd Kisi Bhai Ka Dil Dukhana Nahi Bs Ap Logo Tak Sahi Bat Pahunchana Hai...


Tableeghi Jamaat Me Ilm-E-Ghaib Ki Taleem


Fazail E Amaal Me Aisi Riwayaton Ki Takraar Bharmaar Hai Jo Saaliheen Ke Baare Me Ghuloo Aur Inki Taraf Ghaib Ki Nisbat Par Hain,


In me Se Chand Riwayaat Mulaheza Ho


” Sheikh Abu Yaqoob Kahte Hai Ke Mere Paas Ek Mureed Aaya Aur Kahne Laga Ke Main Kal Ko Zohar Ke Waqt Mar Jaunga, Chuchanche Dusre Din Zohar Ke Waqt Masjid Haraam Me Aaya, Tawaab Kiya Aur Thodi Door Jaakar Mar Gaya Maine Isko Ghusl Diya Aur Dafan Kiya, Jab Maine Isko Qabr Me Rakha To Isne Aankhen Khol Di, Maine Kaha Ke Marne Ke Baad Bhi Zindagi Hai, Kahne Laga Main Zinda Hun Aur Allah Ka Har Aashiq Zinda Rahta Hai”

(Fazail E Sadaqaat Pg 476)


” Sheikh Abu Yazid Qurtubi Farmate Hain Maine Suna Ke Jo Shakhs 70,000 Martabah ‘ La Illaha Illallah’ Padhe Usko Dojakh Ki Aag Se Nijaad Mile, Maine Yah Khabar Sunkar Ek Nisaab Yani 70,000 Ke Tadaad Apni Biwi Ke Liye Padha Aur Kai Nisaab Khud Apne Liye Padh Kar Zakhira Akhirat Banaya, Hamare Paas Ek Naujawaan Rahta Tha Jiske Muttalik Ya Mashoor Tha Ke Sahab Kashf Hai, Jannat Dozakh Ka Bhi Ise Kashf Hota Hai, Mujhe Iski Sohbat Me Kuch Shakh Tha, Ek Martabah Wah Naujawaan Hamaare Saath Khaane Me Shareek Tha Ke Kuch Der Baad Usne Cheekh Maari Aur Saansen Phulaane Laga Aur Kaha Ke Meri Maa Dozakh Me Jal Rahi Hai, Us Haalat Mujhe Nazar Aayi, 

Qurtubi Kahte Hain Ke Main Iski Ghabraahat Dekh Raha Tha, Mujhe Khyaal Aaya Ke Ek Nisaab Iski Maa Ko Bakhs Dun Jisse Iski Sacchai Ka Bhi Mujhe Tajurbah Ho Jaayega, Chunanche Maine Ek Nisaab 70,000 Ka In Nisaabon Mese Ek Jo Apne Liye Padhe The Uski Maa Ko Bakhs Diya, Maine Apne Dil Me Hi Bakhsha Tha Aur Mere Is Padhne Ki Khabar Bhi Allah Ke Siwa Kisi Ko Na Thi, Wah Naujawaan Fauran Kahne Laga Ke, Chacha Meri Maa Dozakh Ke Azaab Se Hata Di Gayi, 

Qurtubi Kahte Hain Ke Mujhe Is Kissa Se Do Faayede Hue Ek To Is Barkat Ka Jo 70,000 Ki Maqdaad Par Maine Suni Thi Uska Tajurba Huwa, Dusre Us Naujawaan Ki Sacchai Ka Yaqeen Ho Gaya, Ya Ek Waqeya Hai Is Qism Ke Na Malum Kitne Waqeyaat Is Ummat Ke Afraad Me Paaye Jaate Hain”


( Fazail E Zikr 469-468)

Scan- 




” Allama Shoraani Ne Meezaan Al Akbar Me Likha Hai Ke Hz Imam Azam Rh Jab Kisi Ko Wuju Karte Hue Dekhte To Us Paani Me Jo Gunaah Dhulta Nazar Aata Usko Malum Kar Lete, Yah Bhi Malum Ho Jaata Ke Kabeera Gunah Hai Ya Sagheera, Magar Wah Faa’al Hai Ya Khalaaf Oola, Jaisa Ke Hassi Cheezein Nazar Aaya Karti Hain, Isi Tarah Yah Bhi Malum Ho Jaata Tha, 


Chunanche Ek Dafaa Koofa Ki Jama Masjid Ke Wuju Khaana Me Tashreef Farma They, Ek Jawaan Wuju Kar Raha Tha, Uske Wuju Ka Paani Girte Hue Aapne Dekha To Usko Nasihat Farmaayi Ke ,Beta ! Waalidain Ki Nafarmaani Se Tauba Kar Le, Usne Tawba Ki, Ek Dusre Shakhs Ko Dekha To Usko Nasihat Farmayi Ke Bhai ! Zina Na Kiya Kar Bahut Bada Aib Hai, Us Waqt Usne Bhi Zina Se Tawba Ki, Ek Aur Shakhs Ko Dekha Ke Sharaab Khori Kar Raha Hai, Usko Bhi Nasihat Farmayi, Usne Bhi Tawba Ki, Al Gharj Uske Baad Imam Shahab Ne Allah Taala Se Dua Ki Ke Aiy Allah Is Cheez Ko Mujhse Door Farma De, Ke Main Logon Ki Buraiyon Par Matlaa Nahi Hona Chaahta, Haq Taala Ne Duwa Qubool Farmayi Aur Cheez Zaail Ho Gayi, Kahte Hain Isi Zamaane Me Imaam Sahab Ne Mus-Ta-Amal Paani Ke Napaak Hone Ka Fatawa Diya Tha, Kyonki Jab Wah Paani Ganda Nazar Aata Tha To Kaise Usko Paak Farmate, Magar Jab Yah Cheez Zaayel Ho Gayi To Isko Napaak Farmaana Bhi Chhod Diya”


(Fazail E Zikr Pg 540,541)

Scan-




Tashrih- In Tamaam Manqoolah Ibaraton Me Mureed, Peeron Aur Buzurgon Bil Khusoos Imam Azam Ki Ghaib Daani Ke Kisse Bayan Kiye Gaye Hain, Jabke Allah Taala Ka Farman Hai


Aur Koi Shaks Nahi Janta Ke Wo Kal Kya Kaam Karega Aur Koi Shaks Nahi Janta Ke Wo Kis Zameen Par Marega Beshak Allah Khoob Janne Wala Khoob Bakhabar Hai,

(Al Quran, Surah-Al-Luqmaan 31, Aayat 34 )


Aye Nabi (Sallallaahu Alaihe Wasallam ) In Se Kehdi Jiye Ke "Me Apne Hi Liye Kisi Nafah Aur Nukhsaan Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhta Siwaye Iske Jo Allah Chahe Aur Me Ilm E Ghaib Janne Wala Hota To Bohut Faida Hasil Karleta Aur Mujhe Koi Nukhsan Na Pahunchta"


(Al Quran, Surah Al Araf:7, Ayat:188)


” Allah Gaib Ka Janne Wala Hai Aur Apne Gaib Par Kisi Ko Matloo(Yani Zhahir) Nahi Karta

(Al Quran, Surah-Al-Jinn, Ayat 26 )


Aye Nabi ! Kah Dijiye: Main Tumse Nahi Kahta Ke Mere Pass Allah Ke Khazane Hain, Aur Na Main Gaib Janta Huaur Na Main Tumse Ye Kahta Hu Ke Main Farishta Hu, Main To Issi Chiz Ki Pairwe Karta Hu Jo Meri Taraf Wahee Ki Jati Hai, Kah Dijiye Kya Bina Aur Nabina(Blind & Blindless) Barabar Ho Sakte Hain Phir Kya Tum Gaur Nahi Karte?


(Al Quran, Surah Anaam 6, Aayat 50)


Hadith Me Hai Ke Ek Sahabiya Ne Hz Usman Bin Maz’oon Ra Ki Wafaat Par Kaha Ke Main Tum Par Qasam Kha Kar Kahti Hun Ke Allah Taala Ne Tumhaare Saath Izzat Ka Sulooq Kiya Hai,


Rasoollallah Sallallaahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya
 


"Us Allah Ki Qasam Jiske Haath Mein Meri Jaan Hai
Main Allah Ka Rasool Hu Aur Iske Bawajood Mujhe Maloom Nahi Ke (Marne Ke Baad) Mere Sath Kya Mamla Kiya Jayega".



(Sahih Al Bukhari, Vol 08, Book 92, Kitaab-Ul-Al-Tabeer), Hadith 7018)
(Sahih-Bukhari, Vol 02, Book 23, Kitaab-Ul-Al-Janayez), Hadith 1243)

Nabi-Karim (Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam) Ne Farmaya: Gaib Ki 5 ( Five) Kunjiyan(Keys) Hain Jinhe Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta- Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta Ke Madar-E- Raham Me Kiya Hai(Yani Ladka Hai Ya Ladki, Gura Hoga Ya Kala, Neak Hoga Ya Bad), Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta Ke Kal Kya Hoga, Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta Ke Barish Kab Hogi, Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta Ke Kis Jagha Koi Marega(Yani Death Karega), Allah Ke Siwa Koi Nahi Janta Ke Qayamat Kab Qayam Hogi.


(Sahih-Bukhari, Vol-No: 8 , Book: 98, Hadees 7379)
(Sahih-Bukhari, Vol-No: 6 , Book: 65, Hadees 4627 ,4778)
(Sahih-Bukhari, Vol-No: 2 , Book: 15, Hadees 1039)
(Tirmizi, Kitab-Ul-Tafseer, Hadees 3290)
(Musnad-Ahmad: 24 /2 /// Musnad-Ahmad: 353 / 6)



In Quran Ki Ayat Aur Hadith Maujood Hone Ke Bawajood Dozakh Aur Logon Ki Gunaahon Par Khabardaar Hone Ka Dawaa Zurraat Se Kiya Ja Raha Hai, Jabki Is Qism Ki Baaton Se La-Ilmi Ka Elaan Khud Rasoollullah(Sws) Apni Zubaan Mubarak Se Farma Rahe Hain, 

Agar Aap(Sws) Ko Ilm Ghaib Ka Kuch Hissa Mila Hota To Hz Aisha Par Bohtaan Ke Waqt Hi Aap Maamle Ko Wajeh Farma Dete, Lekin Aap Koi Faisla Nahi Kar Paa Rahe They, Jab Hz Aisha Ke Paak Daamni Ke Baare Me Wahi Naazil Hoi To Aapko Iska Ilm Haasil Huwa,Ghaur Wa Fikr Karne Ka Maqam Hai Ke Ye Tableeghi Bidati Zalalat Ki Kis Intehaai Tak Pahunche Huwe Hain


Afsos Hain Un Logo Par Jo Apne Haatho Se Kitab Likhte Hain Aur Phir Kahte Hain Ki Ye Allah Ki Taraf Se Hai Taaki Is Se Kuch Maal (Rupye) Kamaye Phir Afsos Hai Unke Haatho Ke Likhne Par Aur Afsos Hai Unki Kamayee Par
 


(Al Quran , Surah Al-Baqarah 2, Ayat 79)


Yah Wahi Log Hain Jinhone Gumrahi Ko Hidayet Ke Badle Aur Azaab Ko Maghferat Ke Badle Khreed Liya Hai
 


(Al Quran, Surah Bakra 2, Ayat 175)


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
 


"Main Tumhare Darmiyan 2 Cheezen Chod Kar Ja Raha Hoon (Quran Aur Sunnat Sahih Hadis) Jab Tak Tum Inhe Mazbuti Se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Nahi Hoge
 


(Hadis Al Hakim, Mo'atta Imam Malik)


Mere Musalman Bhaiyon, "Sach" Jante Hue Khud Apne Aapko Bewakoof Naa Banao,Baatil Raasto, Shirk, Biddat Aur Imaamo Ki Taqleed Chhod Do Aur Aa Jao Khalis Nabi(Sallallaahu Alaihiwasallam) Ki Itteba Par.


Allah Ta'ala Ne Farmaya:

Tum Un Logon Ki Terha Naa Ho Jana Jinhone Apne Paas Roshan Daleelen Aa Jane Ke Baad Bhi Tafarruqa Dala Aur Ikhtelaaf Kiya, Unhi Logon Keliye Bada Azaab Hai".
 


(Soorah Ale-Imran, Soorah:3, Aayat:105)

Jismein Raayi Baraber Bhi Takabbur Hoga Wo Jannat Mein Daqil Nahi Hoga ".
 

(Sahih Muslim Chapter No 1, Hadees No. 166)

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai .


''Us Din Unke Chehre Aag Me Ulat Palat Kiye Jaenge (Wo Afsoos) Se Kahenge Kash Humne Allah Subhanawata Ala Aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ithaath Karte
Aur Kahenge Aye Hamare Rab Humne Apne Sardaro Aur Apne Bado Ki Mani Jinho Ne Hume Rah Rasth Se Bhadka Diya
Unhe Dugna Aazaab De Aur Un Per Bahoth Badi Lanath Nazil Farma
 


(Al Quran - Surah E Ahzab 33, Aayat 66-68)

(Note : Ye Post Islaah E Muslimeen Ke Maqsad Se Compose Kiya Gaya Hai Na Ke Bahes Se Ittehad E Muslimeen Ko Todne K Liye. To Aap Sabse Adaban Guzarish Hai Ke Post Mein Jin Ahem Ahadees Aur Qurani Ayaath Ke Zariye Samjhaya Gaya Hai Unper Tawaja Dein Aur Bahes Se "Saqt" Parhez Kerein Taki Mazeed Gunahon Aur Waqt Ki Barbadi Ka Baees Na Ban Paye.Jitna Waqt Iqtelaafi Cmnts Kerne Mein Zaaya Karenge Utna Waqt Ayaat Aur Ahadees Ko Padhne Mein Lagayenge To In Shaa Allah Post Ke Har Ek Lafz Se Ittefaq Kerne Lagenge )


Allah, Gumrah Musalman Ko Hidayat De Allah Subhanahu Wa Ta'ala Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Wala Banaye............Ameeeen