Bismillahirrahmanirraheem
TABLEEGHI JAMAAT –
QURAN WA HADITH KI KASAUTI PART : (PART-5)
HADITH KE AHAM ALFAAZ
WA ISTELAHAAT KI SHARAH:
KHWARIJ:
Khwarij ki tareef me
likha hai ke ye musalmano ke gumraah firqon me se ek firqa tha, jiski 6
shakhein (branches) hain, jiska tazkirah
1
-
Azarqa
2-
Nazdat
3-
Ajradite
4-
Ibadaite
5-
Sufris
6-
Murjiyah
Ke naam se milta hai, ye sab gunah e kabeera karne wale ki
takfeer karte hain aur wah tamam ayaat ko jo kuffaar ke haq me nazil hui thi
unko musalmano par chaspa karte they, isi sabab hz Abdullah bin umar (ra) inko
tamam makhlooqaat mese bad’tar kahte they aur jab hz ali bin abi talib (ra) se khwarij ke bare me daryaaft
kiya gaya toh unhone farmaya ke
“khwarij ko kaafir nahin kahna chahiye kyonki unhone kufr se
bhaagne ki wajah se hi khurooj akhtiyaar
kiya hai”
Fir unse poocha gaya :-“kya we munaafiq they ??”
Farmaya:-“munafiq toh allah ki yaad bahut kam karte hain
jabke khwarij toh allah ki yaad bahut karte hain hatta ke subah aur sham allah
ki yaad me rahte hain, dar’haqeeqat in par aafat aayi hai aur shaitaan ne inko
bahka diya hai jiske sabab ye andhe aur bahre ho gaye hain, kisi ki baat nahin
sunte bas jo apni kahen usi ki baat ko maante hain aur dusre musalmano kin a
taqreer sunte hain aur na hi kitaabein padhte hain ye jihaalat aur be’aqli ki
ek qism hai”
(lughat ul hadith az
allama wahiduzzaman jild 1)
Yahan hz ali (ra) ne khwarij ki jo taareef ki hai agar uska
mawazanaah maujoodah tableeghi jamaat se kiya jaaye toh inteha darje ki
mumaselat paayi jaati hai, yani tableeghi jamaat ke log bhi apne aalim ki baat
kea age kisi ki nahin sunte aur na kisiki kitaabein padhte hain,
Misaal ke taur par ek hidayat jo ke hazrat jee maulana
yousuf sahab ki jaanib se tableeghi jamat ko di gayi hai aur jis par tableeghi
jamaat badi shakhti ke saath kaar’band hai wah ye hai ke
“ hazrat sheikh ul hadith maulana Muhammad zikriya sahab ke
taleef farmoodah fazail quraan majeed, fazail namaz, fazail tableegh, fazail
zikr, fazail sadaqaat hissa awwal wa doem, fazail ramzaan, fazail hajj, aur
maulana ehtisham ul hasan sahab ki taaleef musalamano ki maujooda pasti ka
waahid ilaaj sirf yahi kitaabein hain jinko ijtemaayi taleem me padhna aur
sunna hai aur tanhaayi me baith kar bhi inko padhna hai”
(tazkirah hazrat jee maulana Muhammad yousuf sahab kandhalwi
az maulana manzoor nomani page no. 102)
Yahan hazrat jee ka ye jumla khaas taur par qabil e zikr hai
“sirf yahi kitaabein hain jinko ijtemaayi taleem me padhna
aur sunna hai aur tanhaayi me baith kar bhi inko padhna hai”
Yahi wajah hai ke in rasail ke majmua ka naam shuru me
tableeghi nisaab rakha gaya tha, jihne baad me baaz sabab ke bina par tabdeel karke fazail e aamaal kiya gaya, aur
un asbaab mese ek sabab yaqeenan ye bhi hai ke tableeghi nisaab ahle ilm tabqa
me bahut badnaam ho chukka tha khaas taur par fazail e hajj aur fazail e
sadaqaat ki kufriya aur shirkiya riwayaat ke tableeghi nisaab me shamil hone ki
wajah se ulema isse kaafi naraaz they.
Chunanche tableeghi jamaat ke arbaab akhtiyaar ne fazail
hajj aur fazail e sadaqaat ko alag karke uska naam tabdeel karke ahle ilm tabqa
ko taasir dene ki koshish ki gayi ke tableeghi nisaab matrook kiya ja chukka
hai, halaanke dar’haqeeqat muqammal tableeghi nisaab aaj bhi fazail e amaal
hissa awwal aur doem ki shakal me is jamaat ka nisaab hai,sirf naam ka farq hai,
baaqi tamam shirkiya aur kufriya baatein is kitaab me aaj bhi padhi aur
padhaayi jaati hain,
Nez ye bhi malum hona chahiye ke is jamaat ka asal maqsad
awaam un naas ko kalmia aur namaz ki talqeen nahin balke chillon aur sah’rozon
ke liye khurooj karna aur karaana hai, is aitbaar se is jamaat ke liye
tableeghi jamaat nahin balke khwaraj naam zyada mauzu hai, aur iska suboot
maulana ilyaas sahab ka ye maktoob hai wah likhte hain
“ wah dp amr hain, ek toh wah jo na hona chahiye aur wah
karte hain, dusra wah jo hona chahiye aur nahin karte, amr awwal kalma aur
namaz ke sahih karaane ko ghawaara karte hain toh ba’mazala maqsood ke karte
hain ke jaisa ke is tahreeq ka maqsad ho, halaanke ye maqsad nahin aur jo nahin
karte wah ye ke un mukhatibeen ke liye ye faisla kar lein ke jab tak apne
mashagil ki chhod kart ark watan akhtiyaar karke is tahreeq ko lekar baher
niklenge, mashagil ki zulmat aur uska shiddat taqdare tawajjoh ka aur qalb le
dhyaan ka mashagil ke saath lazoziyat kalma ke sahih karne aur unke anwaar o
barkaat ke qubool karne ki ahliyat harghiz paida nahin hone de gi”
(makatib maulana iliyaas page no 122)