Bismillahirrahmanirraheem
TABLEEGHI JAMAAT – QURAN
WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-3)
ITA’AT KO RASOOLULLAH
MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KE LIYE KHALIS KARNA ZAROORI HAI:
1- Jis Jamaat Ke Nazdeek Deen Ko Rasoollullah
Ke Liye Khalis Karne Ka Matlab Har Musaslman Ko Sirf Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ki Itteba Ki Daawat Den Eke Bajaaye Har Shakhs Ko Apne Apne
Kuwen (Well) Se Paani Peene Ki Taqeed Karna Ho, Kya Wah Deen Ka Kaam Karne Ki
Ahal Hosakti Hai ??
2- Kya Ek Hi Zabaan Se Muhammad Rasoollullah
Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Qalma Padhna Aur Usi Zabaan Se Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ke Bajaaye Dusron Ko Apna Imam Muqarrar Kar Dena Rasool Ke
Saath Shirk Nahin Hai??
Ghair
E Nabi Ki Ita’at Jise Taqleed Kaha Jaata Hai Aur Taqleed Karne Wale Taqleed Ko
Waajib Aur Fakhr Se Apne Aapko Muqallid
Kahte Hain, Halaanke Ye Taqleed Baaz Auqaat Insaan Ko Shirk Billah Tak Bhi Le
Jaati Hai, Misaal Ke Taur Par Surah Baqarah Me
Allah Tala Ka Ye Irshad Hai
“Bacchon
Wali Auratein Jo Raza’at Ki Muddat Muqammal Karna Chahti Hainwah Apne Bacchon
Ko Kaamil 2 Baras Tak Dhoodh Pilaayen ”
(Surah
Baqarah Ayat No 233)
Is Ayat
Ki Sharah Karte Hue Mashoor Hanafi Aalim Sheikh Ul Islam Maulana Shabbir Ahmad
Usmani Tafseer Usmani Me Lilkhte Hain
“Maa
Ko Huqm Hai Ke Apne Bacche Ko 2 Baras Tak Aur Aur Ye Muddat Uske Liye Hai Jo
Maa Baap Baccha Ke Dhoodh Pilaane Ki Muddat Poora Karna Chaahen Warna Usme Kami
Bhi Jayez Hai”
Yani
Intehaayi Muddat Is Ayat Me 2 Saal Tak Bayan Kar Di Gayi Hai, Iske Baad Isi
Masle Ko Allah Tala Ne Surah Ahqaaf Me Bayan Karte Hue Irshad Farmaya Ke
“Aur
Hamne Insaan Ko Apne Walidain Ke Saath Ehsaan Ka Huqm Diya Kyonki Uski Maa Ne
Uska Hamal Uthaaya Taqleef Se Aur Hamal Uthaana Aur Dhoodh Chudaana 30 Maah
(Month) Hai”
(Surah
Ahqaf Ayat No.16)
Is Ayat
Kareema Me Hamal Uthaane Se Lekar Dhoodh Chhudaane Tak Ki Muddat 30 Maah Yani
Dhaayi Saal Bayan Ki Gayi Hai, Iski Sharah Karte Hue Ahle Ilm Ne Kaha Hai Ke Is
Ayat E Kareema Ki Ru Se Hamal Ki Kam Se Kam Muddat 6 Maah Hai Aur Dhoodh
Pilaane Ki Muddat 24 Maah Yani 2 Saal Hai, Iske Baad Isi Masle Ko Allah Tala Ne
Surah Lukman Me In Alfaz Se Bayan Farmaya Ke:
“Hamne
Wasiyat Ki Insaan Ko Apne Walidain Ke Bare Me Kyonki Uski Maa Ne Mashaqqat Par
Mashaqqat Utha Kar Use Pet Me Rakha Aur Dhoodh Chhudaya 2 Baras, Chunanche
Insaan Ko Chahiye Ke Shukr Kare Mera Aur Walidain Ka Mamnu Rahe ”
(Surah
Lukmaan Ayat No.14)
Qur’an
Kareem Ke In Nusoos Se Saabit Hua Ke Raza’at Ki Muddat Sirf 2 Saal Hai Aur
Hadith Me Bhi Is Masle Ki Wazaahat Maujood Hai Ke 2 Saal Ke Baad Koi Raza’at
Motbar Nahin, Lekin Imam Abu Hanifa Ke Qaul Ke Mutaabik Raza’at Ki Muddat Dhayi
Saal Hai,
Chunanche
Ahnaaf Muqallideen Quraan Ke In Nusoos Ka Inkaar Karte Hain Aur Raza’at Ki
Muddat Dhaayi Saal Hone Ka Fatawa Dete Hain,
Misaal
Ke Taur Par Isi Surah Lukmaan Ki Ayat Ki Sharah Karte Hue Hanafi Aalim Maulana
Shabbier Ahmad Usmani Apni Tafseer Usmani Me Tanbiyah Ka Note Lagaate Hue
Likhte Hain Ke
“
Dhoodh Chhudaane Ki Muddat Jo Yahan 2 Saal Bayan Hui Hai Ba’aitbaar Ghalib Aur
Aksari Aadat Ke Hain, Imam Abu Hanifa Jo Aksar Muddat Dhaayi Saal Bataate Hain
Unke Paas Koi Toh Daleel Hogi, Jamhoor Ke Nazdeeq 2 Saal Hi Hain”
(Hawashi
Surah Luqman Ayat No 14 Maulana Mahmood Ul Hasan Tafseer Maulana Shabbier Ahmad
Usmani)
Inna
Illahi Wa Inna Ilaihi Rajioon!!!
Ye Hai
Taqleed Ka Karishma Ke Quraan Wa Hadith Ki Itni Waazeh Nusoos Hone Ke Bawajood
Ye Ye Kah Diya Gaya Ke
“Imam
Abu Hanifa (Rh) Ke Paas Koi Daleel Hogi”
Wah Daleel
Jo 1500 Saal Ghuzarne Ke Baad Bhi Saamne Nahin Aayi Aur Inshaallah Qayamat Tak Nahin Aayegi, Is
Tarah Muqallideen Ne Qur’an Ke Muqaable Me Imam Ke Qaul Ko Ikhtiyaar Karke Imam
Ko Allah Tabarak Tala Ke Saath Bhi Shareek Kar Diya Hai, Jab Ke Ham Imaan Rakhte
Hain Ke Jo Deen E Islaam Aaj Hamare Paas Hai Wah Usool Aur Ahkaam Me Muqammal
Hai, Lekin Baatil Firqe Har Ikhtelaafi Masle Me
“Hamare
Imam Ke Paas Daleel Hogi”
Ka Naara
Awaam Un Naas Ko Hamesha Yahi Baawar Karaane Ki Koshish Karte Hain, Asal Deen
Zaaye Ho Gaya Aura B Hamare Paas Aimma
Kiraam Ki Taqleed Ke Siwa Koi Chaara’kaar Nahin Hai Aur Ye Soch Aur
Tasawwur Is Zamaane Me Ek Tahreek Ki Shakal Ikhtiyaar Kar Gaya Hai, Jise Ek
Jamaat Ne Usooli Taur Par Apne Usppli Mauqaf Par Shamil Kar Liya Hai, Aur Barmala
Ye Kahna Shuru Kar Diya Ke
“Har
Shakhs Apne Apne Kuwen Ka Paani Piye”
Yani
Har eK Apne Apne Imamon Ke Masailon Par Amal Kare, Jo Hanafi Hai Wo Imam Abu
Hanifa Ki Taqleed Kare, Shafai Imam
Shafai Ki, Maliki Imam Malik Ki , Hambali Imam Ahmad Bin Hambal Ki Pairwi Karen,
Halaanke
Allah Tala Ne Hamare Liye Kuwan Aur Ek Imam Muqarrar Kar Diya Hai, Jiska Ham
Kalma Padhte Hain Yani Kisi Bhi Musalman Ke Liye Jayez Nahin Ke Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Elaawa Kisi Ko Bhi Apna Imam Qaraar Dekar Uski
Bila’daleel Aur Ghair Mashroot Itteba
Kare, Kyunki Islam Ki 1500 Saal Ki Taweel Tareekh Me Be’shumaar Aimma
Aur Mujtahideen Ghuzre Hain Jinhone Apne Apne Taur Par Deen Ki Khidmat Ki, Wah
Tamam Hamare Nazdeek Qabil E Shataish Aur Qabil E Ehteraam Hain Lekin
Bila’daleel Aur Ghair Mashroot Itteba Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke
Elaawa Kisi Ki Bhi Jayez Nahin Hai, Kyunki Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ka Rasoollullah Hona Ba
Zaate Daleel Hai,
Lekin
Is Zaman Me Hairat Aur Afsos Us Waqt Hota Hai Jab Quran Aur Hadith Ki Itteba Ki
Daawat Dene Walon Ko Firqah Ka Naam Diya Jaata Hai Aur Us Jamaat Ko Jo Khullam
Khulla Tafarqa Ki Aur Apne Apne Kuwen Ka Paani Peene Ki Daawat De Rahi Hai Uski
Taareef Me Zameen Aur Aasmaan Ki Qalaaben Milaaye Jaate Hain Aur Kaha Jaata Hai
Ke
“Ye
Jamaat Tafarqa Ki Baat Nahin Karti”
To
Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Maulana
Ataullahderwi