Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..
Bismillahirrahmanirraheem ..
Topic - Taqleed Aur Imam Ibn Taimiyah Rh
Jaisa K Aap Savi Ko Pata Hoga K Humare Hanfi Devbadi Hazra'at Aaj Kal Taqleed K Difa Me Tarah Tarah K Scan Aur Adhuri Ebarat Dekha Ker Aam Musalmano Ko Gumarah Kar Rahe H Aur Khaas Ker Imam Ibn Taimiyah Rh Se Mutalliq Galat Salat Afwah Faila Rahe Jaisa K Unka Pura Fitrati Mamoor Hai, Bahar Haal Ye Post Humare Un Bahio K Leye H Jo Abtak Es Masle Se Talluq Elm Se Waqif Nhi Hue H, Es Post Me Hanfi Deobandio K Tamam Sawalat K Jawab Dene Ki Ek Choti Se Kosis Ki H With Scan , Waise Tou Ulma E Karam Ne Tou Kaafi Kitabe Lekhe H Es Masle Per .
1- Imam Ibn Taimiyah Rh Se Taqleed K Radd :
2- Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hai Taqleed Karne Wala Rafzi Or Gumrah :
3- Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hai Taqleed Wajib Nahi :
4- Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hai Aima-E-Arba Me Se Kisi Ek Saks Taqleed Karna Aur Us Fatwa Per Amal Karna Jo Quraan-O-Hadees Ke Mokhalifat Karte Ho Tou Waisa Saks Gumrah Aur Jahil (Muqallid) Hai, Aur Wo Kafir Ve Ho Jata H Aur Tauba Karle To Theek Warna Use Qatl Kar Diya Jayega.
5- Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hai Jitne Ve Muhaddis The Sab Ahle-Hadees The Aur Kisi Ki Taqleed Nahi Karte The.
6- Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hai Hanfi Kavi Ve Sahi Hadees Per Amal Nahi Karte Aur Apne Mazhab Se Takrne Wale Sahi Hadees Ko Mansookh Kar Dete Hai :
7- Hanfio K Ghar Ki Gawahi " Imam Ibn Taimiyah Rh" Hak Per The Aur Es Baat Per Ek Jama'at Gawahi Ve Aur Aima-E-Arba K Khilaf Ve Nahi The Aur Salaf K Aqeeda K Muwafiq Ve The :
8- Hafio K Ghar Ki Gawahi "Ummat Ke Auliyan Me Se The Imam Ibn Taimiyah Rh" :
9- Imam Ibn Taimiyah Rh Humbali Muqallid Nahi The Aur Na He Taqleed Karte Gawahi "Hafiz Imam Ibn Qayyim R.Al" :
10- Imam Ibn Taimiyah Rh Humbali Muqallid Nahi The Aur Na He Taqleed Karte Gawahi "Jalaluddin Suyuti R.Al" :
11- Imam Ibn Taimiyah Rh Ke Shagird Hafiz Imam Zahbi Rh Ki Gawahi "Ibn Taimiya Rh Mujtahid The" :
12- Ibn Taimiyah Rh Ki Taqleed Ke Difa Me Ek Ibarat Aur Uska Mudallal Jawab :
Hamare Muqallideen Hazrat Imam Ibn Taimiyah Rh Ki Ye Ibarat Dikha Kar Awaam Ko Dhoka Dete Hain Ki Dekho Ibn Taimiyah Rh Ne Kaha Ki Jo Shaks Ijtihad Ki Salahiyat Na Rakhe Wo Taqleed Kare
[[ Majmu’a Fatawa ]]
Scan
In Muqallideen Ko Ye Bhi Nahi Maloom Ki Ibn Taimiyah Rh Ki Ye Ibarat Unke Khilaf Hi Hai
Jab In Muqallideen Se Poocho Ki Kon Si Taqleed Ka Hukm Diya To Ye Sar Niche Jhuka Lete Hain Aaiye Dekhte Hain Ibn Taimiyah Rh Ne Kon Si Taqleed Karne Ko Kaha Aur Kya Ye Taqleed Muqallideen Ke Yaha Jaayez Hai Ya Nahi ???
Imam Ibn Taimiyah Rh Farmate Hain
بَلْ غَايَةُ مَا يُقَالُ: إنَّهُ يَسُوغُ أَوْ يَنْبَغِي أَوْ يَجِبُ عَلَى الْعَامِّيِّ أَنْ يُقَلِّدَ وَاحِدًا لَا بِعَيْنِهِ مِنْ غَيْرِ تَعْيِينِ زَيْدٍ وَلَا عَمْرٍو. وَأَمَّا أَنْ يَقُولَ قَائِلٌ:
إنَّهُ يَجِبُ عَلَى الْعَامَّةِ تَقْلِيدُ فُلَانٍ أَوْ فُلَانٍ فَهَذَا لَا يَقُولُهُ مُسْلِمٌ
Ki Zyada Se Zyada Ye Bat Kahi Ja Sakti Hai Ki Aami Ke Liye Jayez Hai Ya Munasib Hai Ya Wajib Hai Ki Begair Zidd Umro Ki Ta’een Ke “Kisi Bhi Shaks Ki Taqleed Kare ” (Yani Taqleed E Gair Shaksi ) Raha Kisi Ka Ye Kehna Ki Aami Par Waajib Hai Ki Falan Ya Falan Ki Hi Taqleed Kare To Ye Qaul Kisi Muslim Ka Nahi
[[ Majmoo’a Fatawa Ibn Taimiyah Jild 22 Safa 151 ]]
Scan
Ab Muqallideen Bataayen Ki Kya Ibn Taimiyah Rh Jo Taqleed Ka Hukm De Rahe Hain Kya Ahnaf Iske Qayeleen Me Se Hain ?
Ibn Taimiyah Rh Ne Jis Taqleed Ka Hukm Diya Us Taqleed Se To Inke Ulama Mana Karte Hain Ye Dekhiye Taqleed E Gair Shaksi Ka Radd Aur Taqleed E Shaksi Ka Hukm De Rahe Hain
[[ Dars E Tirmizi Jild 1 Safa 120 By Taqi Usmani ]]
Scan
Aur Doosri Jaga Likhte Hain Ki Aur Doosri Soorat Ye Hai Ki Taqleed Ke Liye Kisi “Ek” Mujtahid Alim Ko Ikhtiyar Kiya Jaye,Aur Har Masla Me Usi Ka Qaul Ikhtiyar Kiya Jaaye Ise Taqleed E Shaksi Kahaa Jata Haii”
[[ Taqleed Ki Sharayi Haisiyat Safa 15 ]]
Scan
Inke Doosre Alim Sahab Likhte Hain Ki Yahi Se Ye Baat Bhi Maloom Ho Gayi Hogi Ki Aami Admi Ko Ek Mu’ayyin Imam Ki Hi Taqleed Q Zaroori Haii
[[ Ikhtilaf E Ummat Aur Sirat-E-Mustaqeem Safa 31 ]]
Scan
Muqallidon Ibn Taimiyah Rh Ne To Taqleed E Gair Shaksi Ka Hukm Diya Aur Tmne Be Soche Samjhe Is Ibarat Ko Apni Daleel Banane Lage Aur Tmhare Ulama To Is Taqleed (Gair Shaksi) Se Rok Rahe Hain Aur Ibn Taimiyah Isi Ka Hukm De Rahe Hain
Lehaza Sabit Ye Hua Ki Ibn Taimiyah Rh Ki Ye Ibarat Muqallideen Ke Khilaaf Hi Hai.
Note: Sabse Pahle Baat Ibn Taimiya Ne Kha Kaha K Aima-E-Arba Me Se Kisi Ek He Imam Ki Taqleed Karo.
Dusre Baat Taqleed-E-Saksi Aur Taqleed-E-Gair Saksi Me Frk Hai Ese Samjhne K Leye Aap Ye Scan Padhe
Allah Paak Hume Taqleed Jaise Fetne Se Mahfooz Farmaye...Aameen
#ImranKhanSalafi
#AmirAdnan
# IslamicLeaks