Friday, January 2, 2015

BIWI KO NAFLI ROZA RAKHNE SE PAHLE SHAUHAR SE IJAAZAT LENI CHAHIYE:




Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO NAFLI ROZA RAKHNE SE PAHLE SHAUHAR SE IJAAZAT LENI CHAHIYE:

Shauhar Ka Biwi Par Ye Bhi Haq Hai Ke Jab Wah Ghar Par Maujood Ho Aur Kisi Safar Par Na Nikla Ho Toh Wah Koi Bhi Nafli Roza Uski Ijaazat Ke Be'ghair Na Rakhe,

Kyonke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Kisi Aurat Ke Liye Jayez Nahin Ke Uska Shauhar Maujood Ho Aur Wah Uski Ijaazat Ke Be'ghair Roza Rakhe"

(Sahih Bukhari H.No 5192, Sahih Muslim H.No 1026)

Imam Nawawi (Rh) Sharah Muslim Me Farmate Hain

"Is Hurmat Ka Sabab Ye Hai Ke Shauhar Ko Har Waqt Usse Lutf'andozi Ka Haq Haasil Hai, Aur Uska Ye Haq Fauri taur Par Waajib Hota Hai Na Ke Taakheeri Waajib,

Lihaaza Nafil Ke Saath Usko Zaaye Nahin Kiya Ja Sakta, Balke Uski Ijaazat Ke Be'ghair Uske Liye Roza Jayez Hi Nahin,

Lihaaza Wah Jab Usse Lutf'kashi Ka Iraada Kare Toh Uske Liye Jayez Hoga Aur Uska Roza Faasid Ho Jaayega"

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait