Wednesday, January 28, 2015

FUZOOL. BE'MAQSAD BAHES WA TAQRAAR





•••Fuzool, Be-Maqsad Bahes Wa Takraar•••

Al-Mughira bin Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala ne Fizul Baat karney ko, zyada sawal karney ko aur Maal zaya(fizul kharch) karney ko Napasand (hated) bataya hai.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2408

Hikmat Wa Danaai Ye Hai Ke Baat Sonch Samajh Kar Ki Jaye, Fuzool Guftugu Be-Maqsad Bahesh Wa Takraar Koyi Achhi Chiz Nahin Hai,

Chunanchah Riwayat Mein Aaya Hai,

(امسك عليك لسانك.)

"Apni Zuban Par Control Rakho (Yaani Khaamosh Raho)"

(Al-Tirmizi: 2406)
(Silsila Al-Sahiha: 888)

Haalan Ke Yehi Khamoshi Behtar Aur Kaamiyabi Ki Daleel Hai,

"Bilaal Bin Haarish r.a Farmate Hain, Main Ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wa Sallam Ko Farmate Huye Suna:-"Tum Mein Se Koyi Shakhs Allah Taala Ki Raza Wali Koyi Aisi Baat Kah Jata Hai Aur Use Us Ki Azmat Ka Ehsaas Tak Nahin Hota, Jis Ki Wajah Se Allah Taala Qayamat Tak Us Par Raazi Ho Jata Hai,

Isi Tarah Koyi Aadmi Allah Taala Ki Naraazgi Wali Koyi Baat Kah Jata Hai, Aur Use Us Ki Sangeeni Ka Ehsaas Tak Nahin Hota, Magar Is Ek Baat Ki Wajah Se Allah Taala Us Par Qayamat Tak Naraaz Ho Jaata Hai",

(Al-Tirmizi: 2319)

Ye Naraazgi Mahez Ek Baat Ki Wajah Se Hai Ke Ek Baat Aisi Kahi Jo Jahannum Mein Le Jane Ka Sabab Ban Gayi, Ke Jis Ki Wajah Se Allah Taala Us Se Naraaz Ho Gaya, Jis Se Maalum Hua Ke Bolne Mein Intehayi Ehtiyaat Ka Muzahera Karna Chaahiye,
Jahan Zarurat Ho Bola Jaye Lekin Jahan Zarurat Na Ho, Bolne Se Qat'an Gurez Kiya Jaye,

Aur Allah Ke Nek Aur Saaleh Bande Hamesha Bolne Mein Ehtiyaat Se Kaam Lete Hain, Aur Fuzool Bahesh Wa Takraar Mein Apne Waqt Ko Zaya Nahin Karte,

Irshad E Rabbani Hai:- " Aur Jab Behooda Baat Kaan Mein Padti Hai To Is Se Kinara Kar Lete Hain, Aur Kah Dete Hain Ke Hamare Amal Hamare Liye Aur Tumhare Amaal Tumhare Liye Tum Par Salaam Ho Hum Jaahilon Se Ulajhna Nahin Chaahte"

(Surah Al-Qasas: 55)

Is Aayat Par Gour Farmayen Ke Allah Ke Bande Jaahilon Se Fuzool Bahesh Wa Takraar Nahin Karte, Balke Sharifana Andaaz Mein Salaam Kar Ke Chale Jate Hain,

Lihaaza Koshish Karni Chaahiye Ke Fuzool Bahesh Wa Takraar Mein Apna Waqt Zaaya Na Karen,

Haa'n ! Jo ilmee Bahesh Ho Deeni Masaail Ki Tahqeeq Ke Liye Bahesh Wa Takraar Karna, Ye Bahesh Wa Takraar Intehaayi Mubarak Hogi, Jab Ke Bahesh Karne Ka Maqsad Sahih Baat Tak Pahunchna Ho, Is Ke Bar-Khilaaf Bahesh Karne Mein Koyi Fayeda Nahin Hai, Balke Nuqsaan Hi Nuqsaan Hai,
 
 
#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks