Thursday, January 8, 2015

GUNAAH KE KAMON ME BIWI KO SHAUHAR KI FARMA'BARDARI NI KARNA CHAHIYE:


 
 
 
Bismillahirrahmanirraheem

GUNAAH KE KAMON ME BIWI KO SHAUHAR KI FARMA'BARDARI NI KARNA CHAHIYE:

Kyonki Khaliq Ki Na'farmani Me Makhlooq Ki Farma'bardari Nahin Ki Ja Sakti,

Isliye Agar Shauhar Usse Kisi Na'farmani Ke Kaam Ka Mutaalba Kare,

Maslan Use Ghair Mahramon Ke Saamne Be'pardah Hone Ko Kahe Ya Kisi Haram Cheez Ko Sunne Ya Dekhne Ko Kahe Toh Is Tarah Ke Kaamon Me Shauhar Ki Baat Nahin Maanni Chahiye,

Kyonki Us Kaam Me Uski Na'farmani Me Allah Tala Ki Farma'bardari Hai

Sheikh Ul Islam Ibn Taimiyya Rh Farmate Hain

"Aurat Par Allah Aur Uske Rasool Ke Baad Sabse Zyadah Haq Shauhar Ka Hota Hai"

(Majmua Al Fatawa 32/260)

Farman E Nabawi Hai

"Agar Main Kisi Ko Kisi Ke Saamne Sajda Zer Hone Ka Huqm Deta Toh Auraton Ko Huqm Deta Ke Jo Allah Tala Ne Unke Shauharon Ka Un Par Haq Rakha Hai, Uski Bina Par Unhe Sajda Karen"

(Sahih Jame 5/69)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait