Tuesday, January 20, 2015

BIWI KO GHAR KA KHYAAL RAKHNA AUR SHAUHAR KI KHIDMAT KARNI CHAHIYE: (LAST POST)





Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO GHAR KA KHYAAL RAKHNA AUR SHAUHAR KI KHIDMAT KARNI CHAHIYE: (LAST POST)

Biwi Ka Ye Bhi Farz Hai Ke Wah Ghar Ka Mukammal Khyaal Rakhe

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Ki Nigran Hai Aur Uski Rai'yat Ki Zimme'dar"

(Sahih Muslim H.no 1829)

Is Tarah Umoor Khana'dari (Domestic Work) Anjaam Dena Bhi Uski Zimmedari Hai,

Lihaaza Biwi Shauhar Ko Naukraani Rakhne Par Majboor Na Kare, Jo Uske Liye Bhi Pareshani Ka Sabab Bane Aur Shauhar Ke Liye Aur Uske Bachhon Ke Liye Bhi Khatre Ki Ghanti,

Shaikh Ul Islam Ibn Taimiyya (Rh) Apne Fatawe Me Farmate Hain

Ye Irshad Khuda'wandi

"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Allah Tala Ne (unhe) Mahfooz Rakha" (Surah Nisa 34)

Is Baat Ka Takaza Karta Hai Ke Biwi Ke Liye Shuhar Ki Muqammal Ita'at Karna Waajib Hai, Jaise Uski Khidmat Karna, Uske Saath Safar
Karna, Use Apne Uper Muqammal Akhtiyar Dena Wagerah, Jis Tarah Sunnat se Sabit Hai"

(Majmua Fatawa 32/260)

Allama Ibn Qayyim (Rh) Zaad Ul Maad Me Likhte Hain Ke

"Jisne Shauhar Ki Khidmat Ko Waajib Kaha Hai Usne Is Baat Se Daleel Li Hai Ke Unke Yahan Maroof Hai Jinko Allah Tala Ne
Mukhaatib Kiya Hai,

Lekin Biwi Ka Bane Thane Rahna Aur Shauhar Ka Uski Khidmat Karna, Apna Khana Pakaana, Aata Goondhna, Apne Kapde Dhona, Apna Bistar Bichana Aur Gharelu
Kaam Sar'anjaam Dena Ye Sab Munkir Hai,

Jabke Allah Tala Farmate Hain

Wala Hunna Mislul'lazi Alaihinna Bil'maroof (Surah Baqarah 228)

Aur Dusri Jagah Irshad Hai

Ar'rijaalu Qawwa'moona Alal Nisa'ee (Surah Nisa 34),

Jab Auratein Khidmat Na Karen, Balke Mard Khidmat Karen Toh Us Waqt Aurat Us Par Sar'barah Ban Kar Sawaar Ho Jaayegi"

Fir Farmaya

"Allah Tala Ne Shauhar Par Biwi Se
Lutf'andoz Hone Aur Unki Khidmaat Se Mustafeed Hone Ke Muqable Me Jo Amuman Biwiyan Mu'ashre Me Sar'anjam Deti Hain,

Biwi Ke Khaane Peene Pahenne Aur Rahne Sahne Ka Bando'bast Karne Ki Zimmedari Lagaayi Hai"

Aage Chalkar Imam Sahab Farmate Hain

"Is Silsile Me Maaldaar Aur Na'daar Ke Darmiyaan Koi Farq Nahin Rakha Jaata, Ye Tamam Auraton Se Aala Hz Fatima (Ra) Apne
Shauhar Ki Khidmat Kiya Karti Thin,

Ek Din Ye Huzoor Ke Paas Aayin Aur Khidmat Ki Shikayat Karne Lagin, lekin Aap (Sws) Ne Unki Is Silsile Me Shikayat Nahin Suni"

(Zaad Ul Maad 5/188)

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks
#RabbatUlBait