Thursday, January 15, 2015

BIWI KO CHAHIYE KI BACHHON KI ACCHI TARBIYAT KARE:





.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO CHAHIYE KI BACHHON KI ACCHI TARBIYAT KARE:

Biwi Ki Ye Bhi Zimme'dari Hai Ke Wah Sabr, Tahammul, Aur Reham'dili Se Uske Bachhon Ki Tarbiyat Kare,

Shauhar Ke Saamne Uske Bachhon Par Ghussa Na Ho, Na Unko Bad'duayen De, Na Gaaliyan De, Aur Na Maare Peete Hi,

Kyonki Uske Shauhar Ko Taqleef Hoti Hai, Ye Bhi Mumkin Hai Ke Kisi Waqt Uski Bad'dua Qubool Ho Jaaye,

Us Waqt Unka Museebat Me Mubtela Hona Us Par Bahaut Giran Ghuzarta Hai

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farman Hai

"Na Apne Baap Ko Bad'dua Do, Na Apni Aulaad Ko Bad'dua Do, Na Apne Khadimon Ko Bad'dua Do, Aur Na Hi Apne Maal Hi Ko Bad'dua Do, Aur Allah Tala Ke Saath Kisi Aisi
Ghadi Ke Saath Mawafiqat Na Karo Jisme Uski Ata Ka Darwaaza Khula Ho Aur Wah Tumhari Bad'dua Qubool Kar Le"

(Sahih Muslim Hadith No. 3009)

Bachhon Ki Tarbiyat, Taharat, Nifaasat, Pak'damini, Bahaduri, Aur Zuhud Jaisi Sifaat Par Ki Jaaye, Taake Wah Bahtareen Musalman Ki Tarah Nasho'numa Paayen,
Islam par Aur Islam Hi Ke Liye Jiyen, Allah Tala Unke Sabab Mu'ashre Me Bhalai Aam Kar De Aur Roz E Qayamat Rasoollullah
Sallalaho Alaihi Wasallam Unke Saath Aur Un Jaison Ke Saath Fakhr Karen

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait