Saturday, February 1, 2014

HIND KE AHLE HADITH







Bismillahirrahmanirraheem

 

HIND KE AHLE HADITH

Barre Sagheer Me Ahle Hadith Ek Mazhabi Jamaat Ka Naam RaHa Hai, Jisme Siyaasi Taur Par Mukhtaliful Aaara Log Shamil Rahen Hain, Aur Aaj Ke Daur Me Bhi Unki Ye Rosh Bar'qarar Hai,

Taqseem Hind Ke Baad, Muslim League, National Awaami Party, Awaami League, Tahreeq Istaqlaal, Pakistan Jamhoori Party, Me Ahle Hadith Jamat Ke Afraad ne Shamil Hokar Kaam Kiya Hai,

Jamat Islami Me Jaakar Bhi bahut Se Ahle Hadith Gum Hue Hain,

Isi Tarah Hindustan Me Ahle Hadith Ne Congress Me Bhi Shirqat Ki Aur Dusri Siyaasi Jamaton Me Bhi,

Taqseem Hind Ke Ma'qabl Zamaane Ne Ahle Hadith Ke Arkaan Ne Congress, Muslim League, Ahrar, Jamiat Ul Ulema, Tahreeq Khilaafat Wagerah Jamaton Me Shirqat Ki,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Wahabion Me Shamil Rahe Aur Baaz Arkaan Wahabion Ke Mukhalif Bhi Rahe ,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Me Sir Sayyed Ahmad Khan Ki Talimi Tahreek Ki Himaayat Ki Jin Me Sayyed Mehar Ali, Aur Janab Muhammad Ismael Aligarhi Shamil Hain,

Aur Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sir Sayyed Ki Tahreek Taaleem Ki Mukhaalifat Bhi Ki Jin Me Deputy Imdad Ali Qaabil E Zikr Hai,

Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sarkaari Mulaazimatein Bhi Ki Jabke Dusre Iski Mukhaalifat Karte Rahe..

Nadwa Ki Tahreek Siyaasi Na Thi, Balke Usme Bhi Ahle Hadith Na Sirf Shamil Rahe Balke Uske Baaniyon (Founders) Me Shamil Hain,

Jinme Muhammad Ibraaheem Aarwi (Rh) Aur Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Hain,

Aur Ye Baat Shayad Qaayedeen Ki Dil'chaspi Ka Ba'as Ho Ke Nadwa Ki Sar'garmion Me Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ki Shirkat Wa Shamooliyat Sayyed Nazeer Hussain Muhaddis (Rh) Ki Baraah E Raast Hidaayaat Ki Tahat Thi,

Jaisa Ke Sheikh Muhammad Hussain (Rh) Ne "Isha A Tus Sunnah Jild 16 Page 6 Ke Aakhir Me Likha Hai"

"Khaankisaar Ko Kanpur Ke Madarsha Darul Uloom Ke Dastaar Bandi Me ShamIl Hone Ka Nau'eed (invitation) Pahuncha, Aur Uske Saath Hz Sheikh Ul Qul Maulana Sayyed Muhammad Nazeer Hussain Sahab Ka Is No'eed Par Taameel Karne Ka Huqm Pahunch Gaya, Lihaaza Khaakisaar Ne Azam KanpuR Kiya, Is Taqreeb Se Ummeed Hai Allahabad, Aara, Raheemabad , Zila Darbhanga Wagerah Bhi Jaana Hoga, Jo Sahab Railway Line Par Maskan Rakhte Hon Aur Wah Milna chaahen Toh Wah Allahabad Mu'aarofat Dr Karamatullah Mulaazim Paltan No 5, Aur Aarah Mu'aarifat Molwi Abu Muhammad Ibraaheem Se Milen "

Iske Elaawa Iske Numaaya Qaayedeen Me Muhammad Younus Rais Datawali, Janab Sana Ullah Amritsari, Wagerah Nadwa Ke Baniyon Me Se Hain,

Qazi Suleman Mansoorpuri (Rh) Ek Arsha Tak Iske Ruqn Aur Mu'aawin Rahe,

Is Idaare Ke Kai Sheikh Ul Hadith Ahle Hadith Maslak Ke Haamil They,

Aur Janab Sayyed Suleman Nadwi (Rh) Bhi Janab Ashraf Ali Thanwi (Rh) Ke Zer E Asar Aane Se Pahle Ahle Hadith Hi Samjhe Jate They Jiska Shikwa Karte Hue Janab Shibli Nomani Ne ek Martaba Kaha Tha Ke

"Ajeeb Baat Hai Ke Main Hanafi Hoon Lekin Mujhse Padhne Waale Ahle Hadith Ho Jaate Hain"

Dar Ul Uloom Deoband Me Na Toh Ahle Hadith Ustaazah Ko Ba'gharz Taaleem Wa Tadrees Mulaazim Rakha Jaata Tha Aur Na Wahan Kisi Ahle Hadith Taalib E Ilm Ko Daakhila Diya Jaata Tha

NOTE: Janab Sanaullah Amritsari Jaise Chand Afraad Isse Mustasna Hain,

Lekin Iske Ba'wajood Darul Uloom Deoband Ki Ta'meer Wa Taraqqi Me Ahle Hadith Hissa Lete Rahen Hain

Algharz' Jamat e Ahle Hadith Me Siyaasi Taur Par Kai Qism Ke Log Shamil They Kyonki Jamat E Ahle Hadith Koi Ek Siyaasi Jamat Na Thi Ke Sab Ka Mauqaf Ek Hi Ho,

Ye Ek Mazhabi Jamat Thi Jiska Maqsad Kitab Wa Sunnat Ki Tarweej Tha,

1906 Me Qaayem Hone Wali "All India Ahle Hadith Conference" Bhi Koi Siyaasi Jamat Na Thi Aur Na Hi Isme Saare Ahle Hadith Shamil They,

Sheikh Muhamamd Hussain Batalwi (Rh) Aur Janab Abdul Jabbar Ghaznawi (Rh) Wagerah Isme Shamil Nahin Hue,

Nez Jo Log "All India Ahle Hadith Conference" Me Shamil Hue They Unka Siyaasi Mauqaf Bhi Ek Na Tha,

Maslan Janab Abdul Qasim Saif (Rh) Mutahhida Hinduatan Ke Haami They, Aur Siyaasi Sargarmiyon Ke Liye Unhone "Ahle Hadith League" Bana Rakhi Thi,

Nez "All India Ahle Hadith Conference" Ke Elaawah Bhi Mutahhida Hindustan Me Ahle Hadith Ki Tanzeemein Maujood Rahin JiNme Gurba Ahle Hadith, Motmar Ahle Hadith, Anjuman Ahle Hadith Punjab Shamil Hain,

Taqseem Hind Ke Baad Pakistan Me Sayyed Muhammad Dawood Ghaznawi (Rh) Ki Qiyaadat Me Markazi Jamiat E Ahle Hadith Qayam Hui, Toh Iske Saath Markazi Jamiat E Ahle Hadith Bhi Ban Gayi, Jiske Sar'parast Janab Hafiz Muhammad Abdullah Ropdi (Rh) They,

Hafiz Allama Ehsaan Ilaahi Zaheer (Rh) Ne Bhi Ek Daagh Bel Daali Thi, Jiske Sadar Janab Abdullah Sheikhul Hadith Gujranwala

Rahe, Jamiat Ghurba Ahle Hadith Bhi Shuru Hi Se Sar'garm Rahi Hai,

In Sab Tanzeemon ; Idaaron Ki Chhatri, Ahle Hadith Ka Laqab Tha..


.Hamari Is Baat Ki Wazaahat Yun Ho Sakti Hai Ke Firangi Mahli Bhi Hanafi Hain, Deobandi Bhi Hanafi Hain, Badayuni Bhi Hanafi Hain, Khairabaadi Bhi Hanafi Hain, maharawi Bhi Hanafi Hain , Barelwi Bhi Hanafi Hain,

Aur In sab Ki Chhatri Hanafi Hona Hai,,

Deobandion Me Madani Group Bhi Hanafi Hain, Thanwi Group Bhi Hanafi Hai, Sindhi Group Bhi Hanafi Hai, Tableeghi Jamat Waale Bhi Hanafi Hain, Qari Muhammad Tayyab Bhi Deobandi Hanafi They, Aur Unhe Deoband Se Be'dakahal Karaane Waale Bhi Hanafi They..

Aur In Sab Ki Chhatri, Deobandi Hanafi Hona Hai,

Yahi Baat Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Hukumat Ke Naam apni Darkhwaast Me Kahi Thi Ke

"Main Wahabi Nahin Hoon, Aamil Bil'hadith Hoon Aur Jinki Main Numaindagi Karta Hoon Unhe Wahabi Na Kaha Jaaye, Jo Wahabi Hain Unhe Wahabi Kaho, Khwaah Wah Ahle Hadith Me Se Hon, Khwaah Ahnaaf Me Se, Aur Jo Wahabi Nahin Hai Unko Aisa Mat Kaho "......

To Be Continued....