Friday, February 7, 2014

AQAID AHLUS SUNNAH WAL JAMAAT:--- (PART-1)





Bismillahirrahmanirraheem

AQAID AHLUS SUNNAH WAL JAMAAT:--- (PART-1)


HAMARA AQEEDA:

Allah Taala Par Imaan, Uske Farishton, Uski Kitaabon, Uske Rasoolon, Roz E Aakhirat Aur Is Baat Par Imaan Ke Acchi Buri Taqdeer Allah Taala Ki Taraf Se Hai,

Chunanche Ham Allah Taala Ki Rubuwiyat Par Imaan Rakhte Hain Ke Wah Parwarish Karne Waala Aur Paida Karne Waala Aur Saari Cheezon Ka Maalik Aur Usko Chalaane Waala Hai,

Aur Ham Uski Uloohiyat Par Imaan Rakhte Hain Ke Wah Ma'bood Barhaq Hai Aur Uske Elaawa Saare Maabood Baatil Hain,

Aur Ham Uske Asma Wa Sifaat (Paak Namon) Par Imaan Rakhte Hain, Uske Liye Asma E Husna Hain Aur Aali Martaba Saffaat Hain,

Aur Ham Uski Wahdaaniyat Par Is Taur Par Imaan Rakhte Hain Ke Uska Koi Shareek Nahin Na Toh uski Rubiwiyat Me Aur Na Iski Uloohiyat Me, Aur Na Hi Uski Asma Wa Sifaat Me,

Allah taala Ka Irshaad Hai

" Wah Aasmano Aur Zameen Ka Parwardigaar Hai Aur Un sab Ka Aur Jo In Dono Ke Darmiyaan Hai, Toh Usi Ki Ibaadat Kiya Kar Aur Usi Ki Ibaadat Par Qayem Rah, Bhala Tu Kisi Ko Uska Ham Sifaat Jaanta Hai"

(Surah Maryam 65)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke

"Allah (Wah Hai) Ke Uske Siwa Koi Mabood Nahin, Wah Zinda Hai Sabka Sambhaalne Waala Hai, Use Na Toh Oongh Aa Sakti Hai Na Neend, Jo Kuch Aasmano Aur Zameeno Me Hai Sab Usi Ki Milkiyat Hai, Kaun Aisa Hai Jo Uske Saamne Be'ghair Uski Ijaazat Ke Shifaarish Kar Sake, Jo Kuch Makhlooqaat Ke Saamne Hai Aur Jo Kuch Unke Peeche Hai Wah Sabko Jaanta Hai,

Aur Wah (Makhlooqaat) Uski Maalumaat Mese Cheez Ko Bhi Gher Nahin Sakte, Siwa Iske Jitna Wah Khud Chaahe, Uski Kursi Ne Aasmano Aur Zameen Ko Sama Rakha Hai, Aur Us Par Unki Nigraani Zara Bhi Giraan Nahin, Wah Aalishaan Azeem Us Shaan Hai"

(Surah Baqarah 255)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke

"Allah Wahi Toh Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahin, Posheeda Aur Zaahir Ka Jaanne Waala; Wah Bada Maherbaan Nihaayat Raham Waala Hai,

Allah Wahi Toh Hai, Jiske Siwa Koi Maabood Nahin, Wah Baadshah Hai, Paak Hai, Saalim Hai, Aman Dene Waala Hai, Zabardast Hai, Kharabi Ka Durust Karne Waala Hai, Bada Azmat Waala Hai, Wah Un Logon Ke Shirk Se Paak Hai,

Wahi Allah Toh Paida Karne Waala Hai Theek Theek Banaane Waala Hai, Soorat Banaane Waala Hai, Uske Acche Acche Naam Hain, Uski Ki Tasbeeh Karti Hain Jo Cheezen Bhi Aasmaano Aur Zameen Me Hain , Aur Wahi Zabar'dast Hai Hikmat Waala Hai"

(Surah Hashr 23-24)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Aasmaano Aur Zameen Ki Hukumat Uski Ke Liye Hai, Jiski Daleel In Aayaton Me Hai

"Wah Jo Chaahta Hai Paida Kar Deta Hai, Jisko Chahta Hai (Awlaad) Maada Inaayat Karta Hai, Aur Jisko Chaahta Hai (Aulaad) Narr Inaayat Karta Hai, Ya Unko Narr Aur Maada (Male & Female) Me Jama Bhi Kar Deta Hai, Aur Jisko Chaahta Hai La'aulaad Rakhta Hai, Be'shaq Wah Bade Ilm Waala Hai , Aur Bada Qudrat Waala Hai "

(Surah Ash Shoura 49-50)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Us Zaat E Paak Ke Liye Ye Ausaaf Hain

"Kaaynaat Ki Koi Cheez Uski Mushaabeh Nahin Hai, Wah Sab Kuch Sunne Waala Aur Dekhne Waala Hai, Aasmano Aur Zameen Ke Khaazaane Uske Paas Hain,

Wah Jisko Chaahta Hai Kushaadgi Ke Saath Rozi Deta Hai Aur Jisko Chaahta Hai Uski Rozi Tang Karta Hai, Be'shaq Wah Sab Kuch Jaanta Hai"

(Surah Ash Shoura 11-12)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke

" Aur Koi Jaandaar Zameen Par Aisa Nahin Ke Allah Ke Zimma Uska Rizq Na Ho Aur Wah Har Ek Ke Rahne Sahne Ki Jagah Aur Saupne Jaane ki Jagah Ko Jaanta Hai, Har Cheez Kitab Me Darz Hai"

(Surah Hood 6)

Aur Ham Imaan Rakhte Hai ke

" Aur Uske Paas Ghaib Ki Kunjiyaan Hain, Unhe Uske Siwa Koi Nahin Jaanta, Aur Wahi Jaanta Hai Jo Kuch Khushki Aur Samundar Me Hai, Aur Koi Patta Nahin Girta Magar Ye ke Wah Use Jaanta Hai, Aur Koi Daana Zameen Ki Taareekion Me Nahin Padta Aur Na Koi Tarr Aur Khusk Cheez Magar (Ye Sab) Roshan KitaB Me (Maujood) Hai "

(Surah Anaam 59)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Beshaq Allah Taala Ki Ye Shaan Hai

" Be'shaq Allah Hi Ko Qayamat Ki Khabar Hai, Aur Wahi Baarish Barsaata Hai Aur Wahi Jaanta Hai Ke Raham (Womb) Me Kya Hai, Aur Koi Bhi Nahin Jaan Sakta Ke Wah Kal Kya Amal Karega Aur Na Koi Ye Jaan Sakta Hai Ke Wah Kis Zameen Me Marega, Beshaq Allah Hi Ilm Waala Hai, Khabar Rakhne Waala Hai"

(Surah Luqman 34)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Allah Taala Jo Chaahe, Jab Chaahe, Jaise Chaahe, Kalaam Farmaata Hai, Irshad Hai

"Aur Allah Ne Moosa Se (Khaas Taur Par) Kalaam Kiya"

(Surah Nisa 164)

"Aur Musa Hamare Waqt Par Aa Gaye Aur Unse Unka Parwardigaar Ham'kalaam Hua"

( Surah Aaraaf 143)

"Aur Hamne Unhe Toor Ke Daahini Jaanib se Aawaz Di Aur Hamne Unko Muqarrab Banaaya Raaz Ki Guftughu Ke Liye"

(Surah Maryam 52)

To Be Continued In sha allah