Bismillahirrahmanirraheem
NIKAH SE PAHLE LADKE WA LADKI KA TIBBI MU'AAYNE (MEDICAL INVESTIGATION) KAR LENA BAHTAR HAI:
Islam Ne Azdawagi (Married Life) Ko Kaamyaab, Paayedaar Aur Pak'baaz Banaane Ke Liye Aqad Nikah Se Pahle Jin Baaton Ko Awwaliyat Di Hai Unka Maqsad Ye Hai Ke Jauzain (Pati Wa Patni) Aur Unke Sar'parast, Paigham Aur Nikaah Ke Silsile Me Soch Samjhkar Qadam Uthaayen,
Aisa Na Ho Ke Ujlat Me Teer Kamaan Se Nikal Jaaye Phir Pachhtaana Pade Ke Is Museebat Se Nijaat Kaise Haasil Ho,
Isliye Ulema Ne Is Baat Ki Ijaazat Di Hai Ke Bo'waqt Zaroorat Nikaah Se Pahle Doctari Mu'aayena Aur Tibbi Jaanch (Medical Investigation) Ke Zariye Itminaan Haasil Kar Liya Jaaye,
Kyonki Jismaani Aur Jinsi Bimaarion Wa Kamzorion Me Baaz Aise Bhi Hai Jo Ek Dusre Ke Andar Saraait Karti AuR Nuqsaan Pahunchaati Hai, Phir Anjaam Malum,
Tibbi Jaanch Ke Jayez Hone Par Sharai Dalail Me Se Baaz Ye Hain,
Rasoollullah (Sws) Ka Irshaad Hai
"Jiske Jaanwar Bimaar Hon Wah Tandarust Jaanwar Waale Par Paani Pilaane Ke Liye na Laaye"
(Bukhari)
Dusri Hadith Me Irshaad Hai
"Apne Bhai Ko Nuqsaan Pahunchaane Me Pahal Karna Ya Nuqsan Pahunchaana Islam Me Durust Nahin Hai"
(Ibn Majah)
Dusra Matloob Ye Hai Ke Koi Shakhs Aisa Kaam Kare Ke Dusre Ko Nuqsaan Pahunche Aur Uska Faayeda Ho Ya Dusre Ka Nuqsaan Ho Aur Apna Faayeda Bhi Na Ho, Ye Bhi Mana Hai,
In Hadithon Se ye Baat Zaahir hai Ke Mareez Aur Tandrust Ke Akhtalaat (Mel Jol) Se Nuqsaan Pahunchta Hai,
Aur Kisi Musalman Bhai Ko Kisi Tarah Se Nuksaan Pahunchana Jayez Nahin Hai,
Toh Phir Rishta Jauziyat Jaise Aham Maamle Me Nuqsaan Se Bachne Ke Liye Ahtiyaati Taur Par Tibbi Jaanch Kar Lena Bahtar Hai.
Dr Zainul Aabideen Apne Risaalan "Al Islam Wa Zeenah" Me Likhte Hain
"Hadithon Se Ye Baat Samjh Aati Hai Ke Nek Aurat Ka Pata Lagane Aur Mard Wa Aurat Ko Nuqsaan Se Bachaane Ke Liye Shadi Se Pahle Unki Tibbi Jaanch, Islaami Nizaam Me Waajib Hai, Khaas Kar Ye Malum Karna Zaroori Hai Ke Aurat Wa Mard Me Koi Baanjh Ya La'ilaaj Bimaari, Jinsi Kharaabi Aur Jino Me Mubtela Toh Nahin"
(Tohfatul Urus)
Zindagi Ki Salaah Wa Falaah Ke Liye Islam Ne Jin Mufeed Kaamon Ki Taraf Rahnumaayi Ki Hai Duniya Kabhi Na Kabhi Unki Aafiyat Ka Aitraaf Karne Aur Unko Amali Shakal Dene Par Majboor Hoti hai,
Chunanche Baaz Nayi Hukumaton Ne Ye Qanoon Jaari Kar Diya Hai Ke Shadi Se Pahle Jauzain Ka Tibbi Mu'aayena Zaroori Hai.....