Wednesday, February 26, 2014

NIKAH KE LIYE KISI KO PAIGHAM PAR PAIGHAM DENA KAISA HAI:




Biamillahirrahmanirraheem

NIKAH KE LIYE KISI KO PAIGHAM PAR PAIGHAM DENA KAISA HAI:


Agar Kisi Ne Nikaah Ka Paigham Bheja Hai Toh Usme Dusre Ki Dakhal Andaazi Ya Muqaabla Baazi Ko Shariat Islaamiyah Bilkul Bar'daast Nahin Karti,

Ye Insaaniyat, Sharaafat Aur Hamdardi Se Giri Hui Mazmoom Harkat hai,

Ye Malum Hote Hue Ke Kisi Shakhs Ne Falan Ladki Se Nikaah Ka Paighaam Bheja Hai KhuD Bhi Paighaam Bhejna Apne Musalman Bhai Ko Taqleef Pahunchaana, Uski Izzat Wa Waqaar Ko Majrooh Karna Aur Uske Haq Ko Chheen Lena Hai Aur Ye Haram Hai, Allah Taala Ka Farmaan Hai

"Jo Log Musalman Mardon Aur Aurton Ko Be'ghair Gunaah Je Taqleef Pahunchaate Hain Toh Unhone Jhoot Toofaan Aur Sareehi Gunaah Uthaaya"

(Surah Ahzaab)

Rasoollullah (Sws) Ka Irshaad Hai

"Koi Shakhs Apne Bhai Ke Paigham Par Paigham Na De Jab Tak Ke Pahla Shakhs Apna Paigham Chhod Na De Ya Dusre Ko Paighaam Dene ki Ijaazat De"

(Bukhaari)

Matlab Yah Hai Ki Jab Pahle Paighaam Ka Faisla, Haan Ya Nahin Ki Soorat Me Ho Jaaye Ya PaHle Paighaam Dene Wala Khud hi Dusre Ko Paighaam Dene Ki Ijaazat De Toh Dusre Ko Paigham Dena Jayez Hai,

Isi Tarah Agar Pahle Paighaam Dene Waala Faasiq Ya Badlakhlaaq ShakhS Hai Toh Aurat Ko Is Bure Rishta Se Bachaane Ke Liye Dusra Shakhs Paighaam De Sakta Hai,

Kyunke Rasoollullah (Sws) Ka Huqm Hai Ke

"Har Musalman Ki Khair'khwaahi Karni Chahiye"