Saturday, February 1, 2014

HINDI WAHABI:






Bismillahirrahmanirraheem

 

HINDI WAHABI:

Janab Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Hanafi Ul Maslak They Aur Inke Kai Ek Ke Baad Ek Khulefa Hone Waale Unke Kai Jaanasheen Bhi HANAFI maslak They,

Yani Ye Sab Hanafi Wahabi They....

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Jamat Mujaahideen Me Janab Shah Ismael shaheed (Rh) Ki Wajah Se Kuch Log Aamil Bil'hadith Bhi They, Lekin Unka Tanaasab Ahnaaf Se Bahut Kam Tha,

Iska Ek Saboot Janab Malwi Sayyed Nasiruddeen (Rh) Damaad Shah Ishaaq Dehlawi (Rh) Ki Imaarat Ke Zamaane Me Saamne Aata Hai,

Iski Tafseel Yun Hai Ke 1834 Me Sayyed Naseerudeen (Rh) Ne Delhi Aur Uske Girdo Nawah Me Tableegh Ka Kaam Karke Mujaahideen Ki Ek Jamaat Faraaham Kar Li Toh Delhi Me Unko Jamaat Ka Ameer Muqarrar Kar Diya Gaya,

Iske Baad Janab Naseeruddeen (Rh) Ne Androon Hind Kai Jagah Apne Nayab Muqarrar Kar Diye, Aur Kai Jagah Puraane Kaarkuno Se Kaam Liya Aur Josh Dilaa Kar Unhe Dobara Jihaad Ki Sar'garmion Me Mashgool Kar Diya,

Phir Mujaahideen E Hind Ki Ek Jamaat LEKAR zil Hijjah 1250 Hijri (1835 CE) Ke Maheene Me Markaz Mujaahideen Sarhad Ki Taraf Rawaana Hue Aur Shikaar'pur Hote Hue 1840 CE Ke Shuru Me Sthaana Pahunch Gaye,

Jahan Ahle E Sthaana Ne Bhi Aapko Apna Ameer Muntakhab Kar Liya,

Chand Maheene Baad Kisi Ne Dhoka Se Unhe Zehar Dekar Shaheed Kar Diya..

(Note: IsKe Baad Sayyed Abdul Raheem, Ameer Muqarrar Hue Jo June 1841 Tak Rahe, Bila'aakhir Azaama'badi Khaandaam Ke Janab Wilaayat Ali (Rh) Ne Tahreek Ki Zamaam'kaar Sambhaali)

Sayyed Naseeruddeen (Rh) Ne Jamat Mujaahideen Ki Tanzeem Nau Ke Dauraan Saare Hindustan Me Ulema Wa Akaabireen Ko Tableeghi Wa Dawaati Khatoot Likhe; Jinhe Aa'aalam Naame Kaha JaaTa Hai,
In Elaam Naamon Ke Mad'owin Ki Tadaad 100 Se Zyada Hai Aur Inke Naam Janab Ghulam Rasool Mehar (Rh) Ne (ghulam ali and sons lahore page 164-166 )Sar'ghujistah Mujaahieen Me Darj Kar Diye Hain, Jo Zel Me Naqal Kiye Jaate Hai


1-Molwi Muhammad Siraajuddeem

Aur Dusre Mukhlis Deen'daar Wa Saakinaan Ajmer


Molwi Khaleelurrahman, Inke Farzand Aur Bhai, Molwi Bahadur Ali, Sayyed Hameeduddeen, Sayyed Muhammad Yaqoob, Sayyed Zainul Aabideen, Sayyed Abul Qasim,


Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Tonk,


Shah Ishaaq, Shah Yaqoob, Molwi Karaamat Ali, Molwi Mahboob Ali, Molwi Naseeruddeen, Molwi Muzaffar Hussain, Molwi Sheikh Muhammad, Hazi Muhammad, Haji Muzammail, mOlwi Hafiz Muhammad Hussain, Mowi Karamullah, Molwi Ilaahi Bakhs, Molwi Jamaludeen,


Hafiz Abdul Rahman, Molwi Muhammad Wazeer Ali ; Mushi Ezd Bakhs, Ameeruddeen, Ameenuddeen, Hafiz Abdul Razzaq, Mowi Abdullah, Molwi Ali Muhammad, Molwi Khurram Ali Bahawal Puri, Molwi Mahmood Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Sayyed Aulaad Hasan, Molwi Bahauddeen, Molwi Abdul Khaliq, Molwi Imam Ali, Hafiz Kiraamuddeen, Molwi Shah Ali, Molwi Abdullah Khan Alwi, Basharat Khan,

Molwi Abdul Majeed, Qari Ahmad Zaman, Hafiz Chhajju Beig, Hafiz Ahmad Khan, Azeem Ullah Khan , Mirza Ayyub Beig, Miyan Ahmad, Miyan Nijabat Ali,

Qazi Abdul Rahman Arab Saraaye Wale, Miyan Ghulaam Mohiudeen, Hafiz Wali Muhammad, Miyan Ruknuddeen, Miyan Ilaahi Bakh Aainah Shaaz, Maolwi Imdad Ali, Molwi Nazeer Hussain muhaddis dehlawi

Nez Dusre Ulema Wa Taaliba Wa Saaleha Saakinaan Dehli..


Molwi Buzurg Ali, Molwi Inaayat Ahmad, Molwi Muhammad Muttaqi, Darogha Raaham..


Saakinaan Meerut

Molwi Wahidudeen, Molwi Khuda Bakhs, Molwi Tahwar Ali, Molwi Khairuddeen, Molwi Muneeruddeen

Molwi Ramzan Ali, Molwi Imaanat Ali, molwi Kareem ullah, Sheikh Rahman Bakhs, Soofi Sahab, Shah Ghulaam Ali, Meer Hadi,

Aur Dusre Saakinaan Amroha

Hafiz Abdul Raheem, Miyan Usman, Miyan Ji Khaleefa

Saakinaan Moradabad

Haaji Sibghat Ullah, Sheikh Muhammad Hussain,

Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Garhmukhteshwar,

Molwi Haidar Ali, Molwi Noorul Islam , Akhwan GUFRAN, Akbar Ali Khan , Shah Dil Khan, Hafiz Ahmad Ali, Murtaza Khan, Akhwand Imamudeen, Qari Sahab

Aur Dusre Saakinaan Rampur

Mirza Hasan Ali, Molwi Mahmood Ali, Molwi Makarim Khan, Molwi Sakhawat Ali (Jaunpuri), Molwi Karamat Ali (Jaunpuri)

Saakinaan Kanpur, Farrukhabad, Banda, Bareilly ; Kannauj, Jaunpur...

Molwi Ahmad Ullah, Molwi Rahmatullah, Hafiz Siddeeq,

Aur Dusre Ulema Saaleha Banaras

Sheikh Farzand Ali, Molwi Muhammad Faseeh,

Aur Dusre Ulema Saakinaan Ghazipur, Sahasram Pur, Aarah

Shah Muhammad Hussain, Molwi Wilaayat Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Aur Dusre Khulefa Sayyed Sahab Saakinaan Azeema'bad, Muzaffar'pur, Chhapra,

Molwi Muhammad Ali, Molwi Imamudeen, Molwi Muraad, Qazi Abdul Baari, Soofi Noor Muhammad, Munshi Ghulaam Rahman, Molwi Hiraasatullah, Molwi Abdullah, Mistri Rajjab Ali

Is Fehrist Par Ek Sarsari Nazar Daal Lene Se Hi Maalum Ho Jaata Hai Ke Inme Aksariyat Ahnaaf Ki Hai,

(NOTE: 1838 Me Jab Ye Elaam Naame Jaari Hue Us Waqt Sayyed Nazeer Hussain Bhi Hanafi They)

Is Fehrist Ko Naqal Karne Se Hamara Maqsood Ye Hai Ke Logon Par Ye Waazeh Ho Jaaye Ke Hanafi Wahabi Kitne They Aur Ahle Hadith Ka Wahabion Me Kitna Tanaasab Tha ???

Nez Ye Baat Bhi Waazeh Ho Jaaye Ke Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Zindagi Me Aur Unke Baad Ke Ashre Me Hanafi Bhi Wahabion Me Shamil They Aur Ahle Hadith Bhi...

Ahnaaf Aur Ahle Hadith Ke Elaawa Peer Naturi Bhi Shamil They,

Sir Sayyed Ahmad Khan Jo Peer Naturi Kahlaate They,

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Aur Shah Ismael (Rh) Ke Motqad They Aur Apne Aapko Aali Ul Elaan Wahabi Kahte They

Jaisa Ke Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Ne Likha Hai

"Suna Hai Ke Jin Dino Bengal Me Wahabiyon Ki Tahqeeqaat Aur Talaash Ho Rahi Thi Ek European Mo'azziz Afsar Se, Jo Isi Kaam Par Mamoor Tha, Rail Me Sir Sayyed Se Muth Bhedh Ho Gayi, Dono Agra Jaate They Aur Sir Sayyed Ko Kisi Zariye Se Malum Ho Gaya Tha Ke Ye Afsar Wahabion Ki Talaash Par Mamoor Hai, Us Afsar Ne Aapse Poocha Aapka Kya Mazhab Hai ??

Unhone Kaha : Wahabi Musalman Hoon,

Fir Usne Sir Sayyed Ka Saara Pata (Adderess) Daryaaft Kiya, Unhone Sahih Sahih Bayan Kar Diya "

Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Isi Kitab Me Ek Dusri Jagah Likhte Hain

" Dr Hunter Ki Kitaab Ka Review Jo Unhone 1871 Me Likha Tha........ Sir Sayed Ki Un Jaleel Ul Qadr Khidmaat Me Se Hai Jiske Shukr Se Hindustan Ke Tamam Musalman Amuman Aur Wahabi Musalman Khususan Kabhi Ohda Bar'a Nahin Ho Sakte,

Chunke Is Review Me Sir Sayyed Ne Apne Wahabi Hone Ka Iqraar Kiya Tha, Isliye Angrezon Ki Bad'ghumaani Wahabion Se Bilkul Jaati Rahi Thi"

Munshi Ghulam Nabi Marhoom Kahte Hain Ke

"Ghaliban 1871 Me Jab Mr Griffin Diputy Commissioner Lahore Ne Munshi Qader Bakhs Khan Tahsildar Ko District Police Ki Report Par Ba'mujrin Wahabiyat Zer Mu'aakhza Karke Sahab Commissioner Ke Paas Bheja Aur Colonel David Jo Us Waqt Commissioner They , Ye Malum Hua Ke Qader Bakhs Ka Wahi Mazhab Hai Jo Sir Sayed Ahmad Khan Ka Hai Toh Unhone Financial Commissioner Se Shifaarish Karke Unki Tabdeeli Kasoor Me Karwa Di "

Yahan Us Haqeeqat Ki Taraf Ishaarah Kar Dena Bhi Na'munaasib Nahin Hai Ke Na Toh Hindustan Ke Saare Hanafi, Jamat Mujaahideen Yani Syed Ahmad Ki Tahreeq Ke Shamil They, Aur Na Saare Ahle Hadith Isme Shamil They.. Aur Na hi Saare Naturi ; Wahabion Me Shamil They...

Arz Hindustan Ki Kisi Bhi Mazhabi Jamat Ke Na Toh Sab Log Wahabion Me Shamil They Aur Na Sab Unke Mukhaalif,

Ahnaaf Ka Bhi Ek Hi Tabqa Is Me Shamil Hua Aur Dusra Usse Baaher Raha...

Ahle Hadith Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Hua, Aur Dusra Isse Alag Raha,

Naturion Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Raha Aur Dusra Alag Raha...

Jab 1860 Ke Ashre Me Hukumat Ne Wahabion Ki Pakad Dhakad Shuru Kiya Toh Ahnaaf Ka Wah Tabqa Bhi Is Jamaat Se Alag Ho Gaya, Jo Pahle Isme Shamil Tha, Aur Tahreek Ka Taqreeban Saara Bojh UN logon Par Aa Raha Jo Aamil Bil Hadith They,

Janab Fazal Rasool Badayuni Ne Hind Me Jab Wahabion Ka Lafz Muta'arif Karaaya Tha Toh Sayed Ahmad Shaheed Ke Hanafi, Ahle Hadith, Aur Naturi Mota'qadeen Ke Liye Yaksa Istemal Kiya Jaata Tha,

Jab Ahnaaf Ne Tahreek Mujaahideen Se Alahedegi Akhtiyaar Kar Li Toh Unhone Wahabion Ka Label Bhi Aamileen Bil Hadith K Liye Makhsoos Kar Diya

Jab Sawaal Paida Hua Ke Agar Tum Wahabi Nahin Ho Toh Ham Wahabion Ko Kahan Talaash Karen ??

Toh Saadgi Se Kah Diya Ke

"Wahabion Ki Talaash Kaun Sa Mushkil Kaam Hai, Wah Saamne Masjid Me Chale Jaao, Jis Namazi Ko Rafulyadain Aur Aameen Bil Jaher Par Aamil Dekho Pakad Lo"

Yun Aamen Bil Jaher Aur Rafulyadain Ke Har Aamil Ko Qata'nazar Is Baat Ke Ke Wah Sayyed Ahmad Shaheed Ki Jamaat Me Shamil Tha Ya Nahin, Wahabi Mashoor Kar Diya Gaya......

(Tarikh Ahle Hadith, Sheikh Bahauddin London)