Saturday, February 1, 2014

SAWAAD E AAZAM





Bismillahirrahmanirraheen

SAWAAD E AAZAM


Bahes Wa Mubaaheso Ke Halqon Me Ahle Hadith Ke Mukhaalifeen Unhen

"SHazza Shazza Fil Naar "

Se Daraate Hain Aur Kahte Hai Ke Ahle Sunnat Ke Mazahab Arba Par Umoomi Taur Par Logon Ke Jam Jaane Ke Baad Mazhab Arba Me Se Kisi Ek Ki Pairwi Na Karne Waala Sawaad E Azam Se Nikal Jaata Hai Aur Hadith Me Maujood Waeed Ka Misdaaq Ban Jaata Hai,

Janab Barqat Ali Urf Mohiuddeen Ahmad Kasoori (Rh) Ne Ye Maamla Ek Martaba Janab Abul Kalam Azaad (Rh) Ke Saamne Pesh Kiya Tha Jiske Jawab Me Unhone likha Tha

"Altezaam Jama'at Aur Aur Alaikum Bis'Sawaad E Aazam............ Se Aap Ghaliban Samjhte Hain Ke Huqm " Ittezaam Jama'at" Aur Alaikum Bis'sawaad E Aazam Ka Taalluq Musalmano Ke Aqaid Wa Aamal Aur Afkaar O Aara Se Hai, Yaani Kabhi Musalmano Ki Koi Bheed Raaye Wa Amal Akhtiyaar Kar Le Toh Shar'an Har Musalman Par Waajib Ho Jaata Hai Ke Uski Pairwi Kare,

Nahin Karega,

Toh " Man Shazza Shazza Fil Naar" Ki Waeed Ka Mustahiq Hoga, Aur Uski Maut Mayyit Jaahila Ki Maut Hogi,

Haalanke Haasha O Kala Huqm Ittezaam Jama'at Aur Itteba Sawaad Aazam Ka Ye Matlab Ho,

Agar Ek Lamhe Ke Liye Ye Matlab Tasleem Kar Liya Jaaye Toh Haq Wa Baatil Aur Kaala Wa Safed Ka Saara Kaar'khaana Darham Barham Ho Jaayega, Aur Islami Zindagi Ke Maane Sirf Ye Rah Jaayenge Ke Jis Jahal Wa Zalaalat Par 100 Aadmi Muttahiq Ho Jaayen 99 Ko Unki Paiwi Zaroor Karni Chahiye, Goya Islam Ke Nazdeek Aqaid Wa Aamaal Ki Sehat Ka Meyaar Haqeeqat Nahin,

Balke Miqdaar Ki Mahaz Izaafi Waqti Aksariyat Hai, Koi Raah Kitni Ki Jahal Wah Zalaalat Ki Raah Ho. Lekin Agar 10 Ne Kadam Utha Diya Toh 11we Ke Liye Ba'huqm

"Ittezaam Jama'at Wat Tabi'u Sawaad Aazam.."

Iski Pairwi Laazim Hogi... Nahin Maanega....toh

"Shazza Shazza Fil Naar"

Is Na'fahmi Me Wah Maddi'aan E Ilm Mubtela Hue They Jo Is Hadith Se Taqleed Shakhsi Ka Wajoob Aur Ittezaam Par Istadlal Karte They Aur Agar Ab Bhi Agar Maidaan E Munazera Garam Ho Jaaye Toh Zaroor Karenge,

Wah Kahte Hain Ke

"Chunke musalamo Ka Sawaad E Azaam , Aimma Arba Ki Taqleed Shakhsi Par Jam Gaya Hai Aur Haq Ko Unhi Mazhab Arba Me Tasleem Karta Hai Isliye Ke Ab Kisi Musalman Ki Jaayez Nahin Ke Taqleed Shakhsi Ke Ittezaam Ki Bajaaye Baraah E Raast Kitaab Wa Sunnat Par Tadabbur Kare, Kyunki Aisa Karega Toh Sawaad Aazam Se Mukhalif Karega Aur Ittezaam Jamat Se Baahir Ho Jaayega, Man Shazza Shazza Fil Naar"

19wi Sadi Ke Shuru'aat Me Jab Maulana Ismael Shaheed (Rh) Ne Itteba E Deen Khaalis Ki Daawat Buland Ki Thi Toh Unke Muqaable Me Bhi Qabar'parat Molwi Aur Akaabir Parast Logon Ne........Yahi Matlab Banaaye, Istadlal Thahraaya Tha Aur "Ittaba'u Sawaad Aazam" Ki Bina Par "Man Shazza Shazza Fil Naar" Ka Fatawa Diya Tha,