Tuesday, January 29, 2013

AUR MAIN MARR GAYA......ZINDAGI SE 40we TAK KA SAFAR (PART -2)






Bismillahirrahmanirraheem



AUR MAIN MARR GAYA .........!



Aakhiri deedaar ke liye mere muh se chaadar hataayi gayi, badi be'dhangi si kataar me sabhi mera muh dekhkar aage badhne lage, koi apne kaano ko haath lagaata, koi muh ooper karke haath jodhta,

kisi ki aawaaz aayi, ya allah maaf karde, aur koi mere beton ko dhoond raha tha taake apni haaziri lagwa sake,

phir mujhe kandhon par uthaakar sabne meri qabr ki taraf (jo pahle taiyyar thi) chalna shuru kar diya,

phoolon ki dukaan se kuch ne ghulaab ke haar liye aur kuch pattiyan lifaafe me daal kar le aaye,

mujhe qabr me utaar kar mere uper mitti daali jaane lagi,

mere baaz khair'khwaah saath waali qabron ki mitti bhi mujhpar daal rahe they, is tarah mujhe mano mitti tale daba diya gaya, sab apne apne gharon ko chale gaye, har taraf khamoshi chha gayi, main jootiyon ki aawaazein sun raha tha,

main samjha ke jitni saza milni thi mil chuki. Ab qabr me Aaraam se pada rahoonga, magar ye baat mere waham wa ghumaan me bhi na thi ke ab ek mustaqal azaab se paala padne waala hai, aisa dardnaak azaab ke allah kisi dushman ko bhi na dikhaaye,

meri qabr ke baaher ghulaab ki khushbu aur agar'battion ki lapatein aur geeli mitti ki apni ek mahak thi, magar qabr me mera jee ghabra raha tha,

qabr ne ajeeb tareeqe se mere saath shikwah kiya

" aiy ghaafil insaan ! Tu duniya me magan tha, magar koi din aisa nahin ghuzra jis din maine tujhe awaaz na di ho ke main wahshat ka ghar hoon, main tanhaayi ka ghar hoon, main khaak ka ghar hoon, main keedon ka ghar hoon, jitne log meri past par chalte they, mere nazdeeq un sabse ziyaadah qaabil e nafrat tu tha, jabke aaj main tujh par haakim bana di gayi hoon aur tu meri taraf majboor kar diya gaya, tu dekhega ke main tere saath kaisa bura sulook karti hoon "


aanan faanan do siyaah farishtey meri qabr me aa dhamke, unhone Mujhe uta kar baitha diya ( na poocho us waqt meri haalat kya thi, us waqt main thar thar kaanp raha tha) intehaayi ghazab'naak lehze me bole..

Hairaani ki baat hai ke zindagi me shaayed kabhi maine koi Quraani aayat ya hadith e nabwi suni ho, lekin mujhe arabic sahih samjh me aa rahi thi ke ye pooch rahe hain ke

"tera rabb kaun hai ?"

ajeeb khabat sawaar hua mujh par ke main ne jawaab dene ki bajaaye ajeeb qism ki badh maarna shuru kar di, jaise shaitaan ne kisi ki chhoo kar baawla kar diya ho, mere mun se nikla

"haay haay main nahin jaanta"

phir mazeed shakhti se bole

" tera deen kya hai ?"

dobara maine wahi jawab diya

intehaayi ghazab'naak hokar bole

" kaun hain jinko teri taraf bheja gaya ?"

kismat khoti ke us waqt bhi meri zubaan se wahi alfaaz nikle


aasmaan se aawaaz aayi

" ye jhoota hai, iska bistara aag ka bicha do, ise aag ka libaas pahna do, iske liye dozakh ki taraf ek darwaaza Khol do "


ye awaaz aane ki der thi ke usi waqt meri qabr me lau aur garmi aana shuru ho gayi, aur qabr itni tang ho gayi ke meri pasliyan ek dusre me ghus gayin,

phir kya sunaaun ! Ek andha aur bahra farishta meri qabr par musallat kar diya gaya, jiske haath me lihe ka ek gurz tha, usne usse mujhe maarna shuru kar diya aur itna maara ke meri cheekhon ki awaaz jinno aur insaano ke elaawa ird gird ki baaqi tamam cheezein sun rahi thi....


Bhaiyyon aur bahno ! Agar tumhe pata chal jaaye ke mujhe us waqt kitni taqleef hui toh allah ki qasm ! Tum log apne murde dafnaana chhod do..


Bhaiyyon aur bahno ! Yahan maine bahut kuch bardaasht kiya aur ab bhi kar raha hoon, magar ek baat jo is saza se zyaada aziyat'naak dikhaayi de rahi hai, wah ye ke

aiy allah ! Qayamat ke roz ye zaleel wa makrooh chehra lekar kisi tarah tere huzoor haaziri doonga

apne jaraim ka tujhe kya jawab dunga ??

Qabr me toh koi dekhne Nahin aata ke yahan mere saath kya ho raha hai, magar maidaan e hashr me toh saari ummatein hon gi, saare ambiya e kiraam honge aur khususan sarwar e kaaynaat janab Nabi e akram sallalaho laihi wasallam bhi maujood honge, kya sochenge mere baare me ????


Kaash ! Koi bahen ya bhai mera ye paighaam meri aulaad ko bhi pahuncha de ke

" aao apne bad'naseeb baap ki angaaron se bhari hui qabr dekho,

mere bacchon ! Meri qabr me mujhe bahut se saanpon ne gher rakha hai jo saara din mere jism ko nochte rahte hain,

mere beton ! Meri qabr par ek baar toh aakar dekho, agar tumhe yahan aane ki fursat nahin toh mere chhode hue maal mese kuch sadqah kar do,

ye bhi toh ek misqeen ki ek ilteja hai ke mere zimma abdurrahman ki raqam hai, jiska tumhe ilm hai, kamse kam uska kuch kardo,

barkhuddaar ! Abhi tak tumne usse raabta nahin kiya, tumhe yaad hoga ke tumne janaaze me elaan bhi kiya tha, abdurrahman ne us waqt  Munaasib na samjha ke raqam ke baare me tumse baat kare,

uski sharaafat dekho ke raqam ke mutaalbe ke liye aaj tak tumhaare darwaaze par nahin aaya,

allah ke waaste ! Kam se kam wahi hisaab chuka do,"

main yahan bahut be'bas hoon, cheque book safe me padi rah gayi, aur aate waqt tumne meri RADO ki ghadi, sone ki angoothi, locket, purse, sab kuch nikaal liya, hatta ke mere kapde tak utaar liye, ab yahan kya hai mere paas ???


Kal jab wah mujhse maangega toh main kahan se doonga ??

Nekiyan toh pahle hi mere paas nahin ke use de kar raazi kar loon, ab lagta hai uske gunaah mujh par laad diye jaayenge....


Beta ! Kitne dukh ki baat hai ke karza ada karne ki tumhe taufeeq na hui , magar mere CHAALISWEN (40wa) par tumne kai lakh  kharch kar daale,

kya zaroorat thi itne bade bade logon ko ikatta karne ki ??

Kya zaroorat thi akhbaar me khabar aur tasweeraat lagwaane ki ???


Kya zaroorat thi dawati Cards chhapwaane ki,

Roasted murga, paaye, biryaani, meethe chaawal, feereeni wagerah ki lino me saja kar vedio banwaate hue tumhe zara sharm na aayi aur phir doob marne ka maqaam tha jab do Bhaaand shaamiyaane aur itna bada majma dekhkar makhsoos awaaz nikaalte hue pindaal me aaye,

wah toh ek sahab ne aqalmandi ki ke jaldi se aage badh kar unhe bataya ke -" shadi ki taqreeb nahin, balke haaji sahab ka chaaaliswan hai"

Magar wah bhi aakhir bhaand they, jaate dafa kahne lage

" mashaallah ! Haaji sahab ke chaaaliswen ka ye haal hai toh shaadi par kya toofaan barpa hua hoga"


Mere bachhon ! Jab tum ghar me ( jise main itna samjhta tha) zor zor se kahkahe lagaate ho toh allah ki qasam ! Mujhe yahan bahut taqleef hoti hai itne be'huda aur fahash gaano ki awaazein is ghar se buland hoti hai ki allah ki panaah,


Agar gaane bajaane ke be'ghair tumhari ghuzar nahin hoti toh kam se kam awaaz hi aahista rakha Karo,

mere marne ke baad nayi Car, nayi motor cycle, kya sochte honge muhalle waale ??

Tumhaare saamne toh kuch nahin kahte , magar saara muhalla kahta hai ke

"Baap ne marne par jashn mana rahe hain"

mere bachon ! Main jaanta hoon ke tumhaara waqt bahut keemti hai,

bas aakhiri baat ! Iske baad kuch nahin kahunga,

beta ! Apni maa aur apni bahno se kahna ke allah se daren, chand din bhi unse sabr na ho saka , khoob banaao singaar karke itne chamkeele, bhadkeele libaas aur khule baalon ke saath be'pardah baaher aana jaana chhod den,

kyon karte ho ye sab kuch ???


Kyon aziyat dete ho mujhe ???

Yaqeen maano ! Ye sab kuch karte tum ho aur bhugatna mujhe padta hai, meri saza me izaafa hota hai,

kyon karte ho is tarah ??


Aakhir main tumhaara baap hoon, jo sulook tum mere saath kar rahe ho is tarah toh koi shareef hamsaaya bhi nahin karta, tum meri aulaad ho,

baap samjhkar nahin toh kam se kam ek Hamsaaye jitni ahmiyat toh de do,

zindagi me tum abba jaan, abba jaan kahte thakte nahin they, tumhe hi paalne ke liye Haraam kamaata raha,

aaj kya ho gaya hai mujhe ??

Yahi na ke yahan mere paas daulat nahin hai,

tumhaara satya nash ! Drawing room me meri itni badi tasweer par haar daal kar saja rakhi hai, kisko dikhaane ke liye ??

Jaao ! Main tumhe apni jaaydaad se aaq karta hoon,

Allah tum jaisi aulaad kisi ko na de....


Khair ! Is me mera apna kusoor bhi hai, maine aulaad ke liye sab kuch kiya, magar unki tarbiyat ke liye kuch bhi na kiya,

main kahta tha ke bacche bade hokar kya kahenge ke hamare baap ne hamare liye koi jaaydaad bhi nahin banaayi,

Afsos ! Agar unki tarbiyat allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke tareeqe par karta toh aaj yahi aulaad mere liye Sadaqah jaariya hoti

us waqt agar koi kahta ke

" apni aulaad ko quraan ki taaleem bhi dilwaao"

toh main Kahta -" maine use afsar banaana hai koi mulla nahin banana "


afsos ! Acche afsar toh ban gaye magar acche musalman na ban sake,

ya kam se kam ek beti ki acchi tarbiyat kar deta toh shaayed mere liye jannat me daakhile ka zariya ban jaati,

magar ab pachtaane se kya faayeda, ye toh zaahir hai ke, jaisa karoge waisa bharoge

mujh jaise na'farmaan maa baap ka yahi haal hona chahiye


bhaiyyon aur bahno ! Bas aakhiri baat ! Mere lazarte hue haath dekho,

ab allah ka waasta dekar kahta hoon mere is anjaam se ibrat pakdo,

budhaapa aane se pahle is jawaani me kuch kar lo, bimaari aane se pahle is tandrusti me kuch kar lo,

tangi aane se pahle is khush'haali me kuch kar lo

masroofiyat me aane se pahle fursat me kuch kar lo, aur maut aane se pahle zindagi me kuch kar lo !

Warna meri tarah pachtaaoge, bahut pachtaaoge........


Mujhe ab ummeed ki ek hi kiran nazar aati hai ke meri baatein sunkar kisi bahen Ya bhai ne alalh ke khauff se sirf ek aansu baha diya aur sacchi tauba karli toh na jaane kyon mera dil gawaahi deta hai ke ek aise fardh ki badolat allah meri Qabr thandi kar deda, mera azaab tal jaayega,

meri Qabr ki tangi kushaada kar di jaayegi, mujhe jannati khushboo aayengi, meri qabr me jannati bistar bichh jaayega, mujhe jannati libaas pahna diya jaayega

aur kaha jaayega

"soja ! Jis tarah dulhan so jaati hai"


Bhaiyyon aur bahno ! Ab taras khaao, is bad'naseeb bhai par,

allah ke waaste ! Susti na karna .

Abhi se yahan aane ki taiyyari shuru kar do,


meri taraf dekho ! Mujhe mare hue kai saal ghuzar gaye, magar jaan nikalte waqt jo taqleef hui, aaj bhi mahsoos kar raha hoon,

ab toh dil se ek hi dua nikalti hai ke

parwadigaar ! Mujh jaise anjaam se har musalman mard aur aurat ko mahfooz farma

unki qabr aur hashr ki manzilein asaaan farma...........AMEEN