Tuesday, January 29, 2013

BUKHARI WA MUSLIM SHAREEF MUQALLIDEEN KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahmanirraheem




BUKHARI WA MUSLIM SHAREEF MUQALLIDEEN KI NAZAR MEIN
=================================


1)

 BADRUDDIN AINEE HANAFI LIKHTE HAIN:


"SHARQ WA GHARB ke ulema ka ispar ITTEFAAQ hai ke KITAABULLAH k baad BUKHARI wa MUSLIM se ziyada sahih koi kitaab nahi hai, AUR JAMHOOR NE SAHIH BUKHARI ki sehat ko SAHIH MUSLIM PAR TARJEEH DI HAI"


(Muqaddima Umdatul Qaari Sharah Sahih Bukhari: 1/24)


- BADRUDDIN AINEE HAN MAZEED FARMATE HAIN:


"Yani Salaf wa Khalaf ke Ulema Sahih Bukhari ki Maqbooliyat par Muttafiq hain" 

(Umdatul Qaari: 1/20)


2)

 MULLA ALI QAARI HANAFI LIKHTE HAIN:


"ulema ka is baat par ittefaaq hai ke saheyeen ko talqi bilqabool haasil hai aur taleef karda kutub me SE bukhari wa muslim sab se ziyadah sahih hain. 

(Marqaatul Mufaateeh: 1/598)


-mazeed likhte hain:

"wo quran majeed ke baad sahih tareen kitab hai" 

(Marqaatul Mufaateeh: 1/59)


3)

SAYYAD SHAREEF JARJANI HANAFI LIKHTE HAIN:


"Yani Sirf Ahadees Saheeya par mushtamil Imam Bukhari ne sab se pahle kitab tasneef ki, phir Muslim inke nakhse qadam par chale aur ye dono ditaabein KITABULLAH ke baad sabse ziyadah saheeh hain." 

(Risala Usool Hadees lijarjaani: 1)


4)


 MOHAMMED MUEEN SINDHI HANAFI LIKHTE HAIN:


"AASMAN KE CHHAT KE NEECHE SIRF SEHAT ME IN DONO (BUKHARI WA MUSLIM) ka ashal kutub hona aur QURAN AZEEZ K baad in dono ka ashal kutub hona EK IJMAAI BAAT HAI" 

(DARASAAT LILBEEB: 284)


5)

SHABBIR AHMED USMANI HANAFI LIKHTE HAIN:


"YANI sab se pahle sirf ahaadees saheeya par jis ne koi tasneef tayar ki, wo imam bukhari hain, phir inke nakshe qadam ki pairwi imam muslim ra. ne ki aur ye dono kitabe musannifaat hadees me sabse ziyada saheeh kitabe hain"


(fATEHUL MULHAM SHAHRAH MUSLIM: 54)


6)

 ABUBAKAR GHAAZEEPURI HANAFI LIKHTE HAIN:


"Imam bukhari ra. ka yahi bahot bada karnama hai ke inho ne lakhon hadiso me se muntakhib majmuaa tayar kardiya hai, jisko ummat me talqee wa qabool aam hasil hua, aur ahaadees ki maujooda kitabo me se ummat ne isko sab se saheeh kitab qarar diya" 

(ARMAGHAN-E-HAQ: 291)


Note: talqee bilqabool k bare me AMEEN OKARWI HANAFI LIKHTE HAIN:

"jis hadees ko talqee bilqabool naseeb ho, wo agar quran ke bhi khilaaf ho to amal jaayaz hai" 


(majmuaa rasaail okarwi: 1/227)


Note: ye ahnaaf ka qayda hai k hadis quran ke khilaf bhi ho, halanki koi sahih hadis quran ke khilaf nahi hotsakti, kyunki inme mutabiqat zarur payi jati hai.


7)


SARFARAZ SAFDAR HANAFI LIKHTE HIAN:


"SAHEEYEEN (BUKHARI WA MUSLIM) ME JO RAWAAYAT HAIN WO SAHEEH HAIN"


(KHAZAAIN-E-SUNAN: 2/111)


8)


 ALLAMA ZAILEE HANAFI LIKHTE HAIN:


"HUFFAZ HADIS KE NAZDIK SAB SE AALA DARJE KI HADIS WO HAI, JIKI RIWAYAT PAR BUKHARI WA MUSLIM KA ITTEFAQ HO"


(NASBUR RAAYA: 1/421)


9)


 AHMED ALI SAHARANPURI HANAFI LIKHTE HAIN:
ULEMA KA ITTEFAAQ HAI KE LIKHI HUI KITABO ME SE SAB SE ZIYADA SAHIH BUKHARI WA MUSLIM HAIN, AUR JAMHOOR KA ISPAR ITTEFAAQ HAI KE MUSLIM SE BUKHARI ZIYADAH SAHIH HAI AUR ISME FAAYDE BHI ZIYADA HAIN"


(MUQADDIMA SAHIH BUKHARI: 1/4)


-MAZEED LIKHTE HIAN:


"Ummat ka sahih bukhari wa sahih muslim har do kitabo ki sahet par qataee ijmaa hochuka hai" (MUQADDIMA SAHIH BUKHARI: 1/4)


10) MOHAMMED ISMAAIL SANBHALI HANAFI LIKHTE HIAN:


"DUNIYA JAANTI HAI KE SAHIH BUKHARI AISI BENAZEER KITAB HAI K KUTUB HADIS ME ASHAL KUTUB MAANI GAYI HAI AUR ISPAR DUNIYA KA ITTEFAAQ HAI"


(Taqleed aima aur muqaam abu hanifa (ra): 152)


11)


SHAH WALIULLAH DEHLWI HANAFI LIKHTE HAIN:


"SAHIH BUKHARI WA MUSLIM KE bare me tamam muhaddisin muttafiq hain ke inme tamam ki tamam MUTTASIL AUR MARFOO AHADEES YAQINAN SAHIH HAIN AUR YE DONO KITABE APNE MUSANNIFIN TAK BIT TAWATIR PAHONCHI HAI, JO INKI AZMAT NA KARO WO BID'ATI HAI, MUSALMANO KI RAAH KE KHILAF CHALTA HAI, AGAR TUJHE WAAZEH HAQ CHAHIYE TO MUSANNIF IBN ABI SHEBA, TAHAWI AUR MASNAD KHWARZAMI KA SAHEEYEEN SE MAWAZINA KAR, TO MASHRIQ AUR MAGHRIB KI DOORI PAYEGA"


(Hujjatullah albalagha 1/376, 387)


-ISI HAQEEQAT KA AITERAAF KARTE HUW SHAH WALIULLAH DELHWI MAZEED LIKHTE HAIN:


"LEKIN IMAM BUKHARI WA MUSLIM SIRF WAHI HADISE NAQAL KARTE HAIN, JISPAR INHONE APNE ASAATIZA SE BAHES WA MUNAZIRA KIYA HOTA HAI AUR JISKE BAYAN KARNE AUR TASHEE PAR INSAB KA IJMAA HOCHUKA HOTA HAI"


(Hujjatullah albalagha 1/387)


12)


 MOHAMMED ASHFAAQ AHMED HANAFI LIKHTE HAIN:



"Muhaddisin ka ijmaa hai k saheeyeen me jitni marfoo muttasil ahadees hain, wo qatai taur par saheeh hain"


(Sharah Tirmizi Tayyibus Sanadi: 1/2)


13)


 HAAFIZ IBN SALAAH RA. LIKHTE HAIN:


"sAHIH BUKHARI WA SAHIH MUSLIM ME MUTTASIL SANAD KE SAATH RASUL SAW KI JITNI AHADIS HAIN, WO BILA ISHKAAL SAARI KI SAARI YAQINAN SAHIH HAIN"


(Muqaddima Ibn Salaah: 12)


14)


ABDUL HAI LAKHNAWI HANAFI LIKHTE HAIN:


"bukhari wa muslim dono kitabein quran majeed ke baad sahih tareen kitabe hain, ispar mashriq wa maqhrib ke tamam muhaddisin ka ittefaq hai ke indono kitabo ki koi nazeer nahi" 

(Zafarul amaani: 58)


-mazeed farmate hain:


"Aisa shaksh jo rawat sahih muslim me shuba (doubt) kare k muslim wa aaqil the ya nahi? wo shaksh ya to mahez jaahil hai, fanoone hadis isma rijaal se mutlaqan waqfiyat nahi rakhta hai. ya muaand wa gumrah hai, aima hadees ne is amar par ittefaq kiya hai ke kitabullah ke baad sahih bukhari phir sahih muslim" 

(Majmuatal fatawa: 1/304)


15)


MOHAMMED AASHIQ ILAAHI HANAFI "SAWAANEH UMRI MOHAMMED ZAKARIYA HANAFI" ME LIKHTE HAIN:


"JAMHOOR KA MASLAK YE HAI K SAB SE MUQADDAM BUKHARI HAI, BALKE TAQREEBAN SAARE HI MUSALMANO KA ISPAR ITTEFAAQ HAI" 

(SAWAANEH UMRI MOHAMMED ZAKARIYA: 350)


16)


 QAAZI ABDUR RAHMAN HANAFI FAAZIL DARUL ULOOM DEOBAND LIKHTE HAIN:


"Sahih bukhari shareef kitabullah ke baad ashal kutub ke maghaz khitab se sarfaraaz hui, jisme fakhar maujoodat ramatillilaalam khatamal nabeeyyin saw. ki buland paya ahaadees ko amiril momineen filhadis abu abdullah mohammed bin ismaail bukhari ne murattab farmaya"


(fazul baari urdu sharah sahih bukhari: 1)



17)


Mohammed zakariya hanafi likhte hain:


"saari riwaayat bukhari sahih hain, agar kisi ne kalaam kiya hai to ghalat kiya hai" 

(taqreer bukhari shareef: 140)


18)


qAARI MOHAMMED TAYYAB HANAFI LIKHTE HAIN:


"iMAM bukhari ra ki jalalat shaan aur jalalate qadar se kaun musalman na waqib hai? 

ahle ilm me kaun hai jo nawaqif hai? inki tasneef ya taleef sahih bukhari ki azmat wa jalalat poori UMMAT PAR WAAZEH AHI, UMMAT NE IJMAAYI TAUR PAR TALQI BILQUBOOL HAI AUR "ASHAL KUTUB BAAD KITABULLAH" hone ki shahadat di hai, iske muallif bhi jalilulqadr, kitab bhi jalilul qadr aur kitab ka jo mauzoo hai wo HADEES HAI, YANI KALAAM NABI SAW WA AFAAL WA AQWAAL WA TAQREERAT. ISLIYE MAUZOO BHI MUBARAK, MUSANNIF BHI MUBARAK, TASNEEF BHI MUBARAK, HAQ TALA HUM SAB KO BHI MUBARAK BANAYDE KE INKE SILSILE SE HUM SAMNE AA RAHE HAIN"


(KHUTBAT HAKEEMUL ISLAAM: 5/456)



19)


RASHEED AHMED GANHUHI HANAFI


RASHID AHMED GANHUHI JINKE MUTALLIQ AASHIK ILAHI MEERTHI LIKHTE HAINKE BARHAA AAPKO APNI ZABAN FAIZ TARJUMAN SE YE KAHTE SUNA GAYA K 

"Sun lo haq wahi hai, jo rasheed ahmed ki zaban se nikalta hai, aur main baqasam kaheta hoon k kuch nahi hoon, magar is zamane me hidayat wa nijaat mauqquf hai meri itteba par" 

(Tazkiratur Rasheed: 2/17)

 -inhi k baare me ashraf ali thanwi hanafi likhte hian:


"Rasheed ahmed ganguhi farmate hain k 

"HAQ TALA NE MUJH SE WADA FARMAYA HAI K MERI ZUBAN SE GHALAT NAHI NIKALWAYEGA" 

(ARWAAHE SALASA: 310)


YAHI RASHEED AHMED GANGUHI LIKHTE HAIN: 

"BUKHARI ASHAL KUTUB HAI"

(TALEEFAAT RASHEEDIYA: 337)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks