Saturday, January 19, 2013

KYA IMAM BUKHARI (RH) MUQALLID THEY ???






Bismillahirrahmanirraheem



KYA IMAM BUKHARI (RH) MUQALLID THEY ???



Ye baat paaya haqeeqat ko pahunchti hai ke imam bukhari aur aimma e hadith  sahih maano me hakeem hain, yahi zindagi ke tamam shobon me hidayat dene ki ahliyat rakhte hain, mazeed guzaarish hai ke fiqhi furu aur ijtehaadi masail me imam bukhari (rh) duniya ke mukhtalif masaalik se bilkul azaad hain, we mukhtalif firqon ki taqleed ke bilkul bhi paband nahin


aksar muqallid maktab e fikr ke logon ne imam bukhari (rh) ko apnaane ki koshish farmayi hain

imam allama hafiz aini hanafi (rh) se hz maulana ahmad ali saharanpuri aur ustaaz ulema sayyed anwar shah kahsmiri sahab (rh) tak ye koshish jaari malum hoti hai ke awwalan khud imam bukhari (rh) ko hanafi bana liya jaaye, warna kam sa kam sahih bukhari toh zaroor hanafi ho jaaye,


lekin ilmi halqe khoob jaante hain ke na sahih bukhari hanafi ho saki, na imam bukhari apne maqam se Neeche utar sake ....


HAZRAAT ULEMA E DEOBAND KA AZTERAAB:


Hz shah wali ullah (rh) ki is baat ki is saraahat ke baad ke


" log chauthi sadi se pahle khaas mazhab ki taqleed par jama na they "

(hujjatul baligah 1/122)


is baat se zahir hota hai ke taqleedi mazhab chauthi sadi hijri ke baad zaahir hue, aur usse pahle na they, na hanafi , na shafai, na maliki aur na hambali kahlaane ka ba'taur mazhab riwaaj tha,

aur ye kudrati baat hai aur hamesha rahi hai


hz allama anwar shah kashmiri  ke irshaadaat giraami me ajeeb azteraab hai us ibarat me anwar shah kashmiri ne  imam lais bin saad misri ko hanafi qaraar diya hai

(faizul bari 1/178- 301)


is par naqad karte hue ustad mohtaram hafiz abdul mannan noorpuri likhte hain


"imam lais bin saad (rh) faqeeh ul haafiz ek mujtahid hain hanafi muqallid nahin aur ibn khalqaan ka kahna hai ke maine kisi kitaab me dekha hai ke wah hanafi hain, unke hanafi Muqallid hone ki daleel nahin, kyonke qaazi ibn khalqan ne na us kitab ka naam likha hai, jis me unhone ye baat kahi hai, albatta allama aini ne kaha ke

' hamare logon ne un (lais bin saad) ko ashaab abu haneefa me shumaar kiya hai '

toh ibn khalqaan ne ek kitab me dekh kar ye baat naqal kar di hai, lihaza jab unka hanafi hona hi paaya saboot ko nahin pahunchta toh unka imam abu hanifa ka muqallid hona kis tarah saabit ho sakta hai ? Mazeed jis sanad ko daleel banakar imam lais bin saad (rh) ka hanafi hona saabit kiya gaya hai, usme ahmad bin abdurrahman, tahawi ka ustad hai "

uske baad ustad mohtaram hafiz abdul mannan noorpuri (rh) ne us raawi par ibn adi, ibn habban, ibn younus se ba'hawala meezaan mukhtalif aimma ke aqwaal naqal kiye hain mazeed likhte hain

" sahab faizul bari (anwar shah kashmiri) ne abu yousuf se tamaz ki bina par lais bin saad ko hanafi qarar diya hai, toh imam ahmad bin Hambal jo abu yousuf ke shargird hain, kya sahab faiz ul bari ne abu yousuf aur unke hawari kahenge ke Ahmad bin hambal HANAFI hain ?!"

isi tarah shafai ne ashaab abu haneefa se riwayar ki hai, toh kya ye kaha jaayega ke imam shafai bhi hanafi hain ? , agar unki ye baat daleel ban sakti hai, toh ham bhi ye kah sakte hain ke muhammad bin hasan shaibaani maliki hain, kyonki wah toh imam malik ke bila shaq shargird hain, phir imam abu hanifa khud bhi hammad bin abi sulaiman ke shargird hain, toh kya ye kahna durust hai ke abu haneefa , hammad bin abi sulaiman ke muqallid hain ? Baaz ahle ilm ne , jinme zahbi (rh) bhi shamil hain, saraahat ki hai ke abu haneefa ne maalik se riwayat ki hai, toh kya abu hanifa bhi maliki they ?"


(irshad ul qari naqad faizul bari 2/360)


muqallid tabqa aimma e hadith ko apne maslak me karna chaahte hain jinka  riwaaj chauthi sadi hijri ke baad hua, halaanke aimma e hadith Us daur ke paidawaar hi nahin


jab taqleed ne ijtemaayu qabooliyat ki soorat akhtiyaar ki, wah dil se chaahte hain ki jahan tak ho sake aimma e hadith ki tadad kam kar den ,  jiski pabandi ahle ilm chauthi sadi hijri se pahle karte they,


kahin toh yahya bin maeen aur yahya bin saeed qattaan ko hanafi zaahir farmate hain

(faiz ul bari 1/129)


" ye door ki kodi laana hai, in sabka hanafi hona aisa khyaal hai , jiska har wah aqal inkaar karegi jisne un aimma ke haalaat ka gahra mutaala kiya hai, kyonke unhone toh ashaab ul raaye par intehaai shadeed naqad kiya hai, imam tirmizi (rh) ne waqee (rh) se ( jinhe sahab faiz ul bari ne hanafi qarar diya hai) ahlul raaye khususan abu hanifa par shakht radd zikr kiya hai
"
(sunan tirmizi kitabul hajj)

(irshad ul qari naqad faiz ul bari 2/288)


kahin abu dawood aur Nissai ko hambali farmate hain

(faiz ul bari 1/58- 301, iske radd ke liye dekhiye irshad ul qari naqad faiz ul bari 3/390)

baaz jagah tirmizi ko shafai zaahir farmaya

(faiz ul bari 1/58, aur dekhiye muqaddama tohfatul ahwazi page 303)


ek maqam par imam baiheqi ke baare me farmate hain

" baiheqi ne taassub ke baawajood hz imam abu hanifa pzr jirrah nahin farmayi"

(faiz ul bari 1/129, aur dekhiya irshad ul qari naqad faiz ul bari 2/326)


aur ek maqam par farmate hain

"aur mashoor khyaal hai ke imam bukhari shafai hain, ye isliye hai ke wah mashoor masail me imam shafai ke mawafiq hain, warna ahnaaf ke saath unki mawafiqat kam nahin"

(faiz ul bari 1/58)

aur iske baad farmate hain


" tabaqa ke lihaaz se imam bukhari ko shafai kahna hanafi kahne se kuch ayadah nahin"

(faiz ul bari 1/58)


"har koi laila ko paane ka daawa karta hai, lekin laila unse kisi ko bhi haaye nahin karti !"


magar anwar Shah kashmiri (rh) ne imam bukhari ke mutaallik apni raaye ka izhaar farma diya hai


" imam bukhari bila shaq mujtahid hain, "

(faiz ul bari 1/58)

aur haqeeqat bhi yahi hai ke imam bukhari (rh) kisi ke muqallid nahin hain


ek maqam par ghaliban allama subki ke baare me farmate hain

" jin logon ne imam abu dawood ko shafai zaahir kiya hai, unka maqsad mahaz apni jamat ki numaish karna hai, yaqinan wah hambali hain "

(faiz ul bari 1/301, jawab ke liye dekhiye irshad ul qari 3/390)


hz anwar shah kashmiri ki aadat par ghaur kiya jaaye, toh wah apni jamat ki takseer ke elaawa apne mukhaalif ke sawaad ki taqleel bhi chahte hain, hz ke maqaam ka behad ehteraam hai, lekin HANAFIYAT ki muhabbat me apne maqam se kahin neeche utar gaye


IMAM BUKHARI KI SHAFIYAT:



imam bukhari (rh) par sabse zyada dawa hazraat shafai ka hai, magar waqeyaat ki shahadat iske khilaaf hai

"jame al sahih" me kai jagah wah  Hz imam shafai (rh) se ikhtelaaf farmate hain

1- shafai ka maslak hai ke zakaat jahan se wasool@ki jaaye, wahin ke fuqara me taqseem ki jaaye, dusri jagah taqseem karna durust nahin

(majmua lil nawawi 6/220, fath ul bari 3/304)


imam bukhari (rh) farmate hain

" aghniyah se sadqah  lekar fuqara ko diya jaaye, jahan hon "

(sahih bukhari 1/202)

isme hz maaz bin jabal (ra) ki riwaayat ke umoom se istadlal darmaya hai, jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne unko yemen bheja


2- hazraat shafaiyon ka khyaal hai ke zakaat un tamam musaarif par kharch honi chahiye, jinka zikr quraan hakeem ne farmaya hai

(majmua al nawawi 6/186)


lekin imam bukhari farmate hain

"isme qabeela areenah ka zikr farmaya ke ye log musalman hokar madeena munawwara me aa gaye, unko istasqa ka marz ho gaya, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne unhe ba har sadqah ke oonton me bhej diya ke unka dhoodh wagerahIstemal karen, ye log musaafir they, yahan sadqa sirf musaafiron par istemal farmaya "

(sahih bukhari kitabul zakaat)


3- shafaiyon ke nazdeek jumah ke liye kam se kam 40 aadmiyon ka ijtema zaroori hai

( majmua nawawi 9/502)


imam bukhari ne zikr farmaya hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne 12 aadmiyon ke saath namaz juma ada farmayi


( sahih bukhari kitab ul jumah)


sahih bukhari par nazar rakhne waalon ko acchi tarah malim hai ke imam bukhari ki mazhab arba se kisi ki mawafiqat ya mukhalifat ka inhesaar daleel par hai,

isliye unki shafiyyat ya hambaliyat ka daawa sirf khush fahmi hai,

maalik wa ahnaaf ne acchha kiya ke khwaah ma khwaah unhe apnaane ki koshish nahin farmayi, agar aisa kiya jaata toh maamla bada hi ghair maaqool hota,


maulana anwar shah kashmiri ne us talkhi ke bawajood unhe ahle hadith ya aimma e hadith se hai aur is mafrat muhabbat ke bawajood jo unhen   Hanafiyat se hai,