Tuesday, January 29, 2013

KYA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI??

Bismillahirrahmanirraheem




KYA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI??
================================
================================



Yeh Janne se pahle ke Aima ka raajeh mauqif kya hai in baaon par ghaur farmalein:


1) KYA NABI KAREEM SAW NE ME'RAAJ WAALI RAAT ALLAH RABBUL IZZAT KO DEKHA?


2) KYA NABI KAREEM SAW NE HAAL-E-KHAWAAB ME ALLAH TA'AL KO DEKHA?


3) KYA DUNIYA ME ALLAH TA'ALA KO DEKHA JAA SAKTA HAI?


1)


==========================
ME'RAAJ WAALI RAAT DEEDAAR-E-ILAAHI:
===========================


 Me'raaj waali raat nabi kareem saw ne duniya ki zaahiri aankh se deedar-e-ilaahi nahi kiya,
jaisa ke

a)
Sayyadna Abu Zar Giffari rz bayan karte hain:

"main ne Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam se sawal kiya:
Kya aapne ne apne Rabb ko dekha?

farmaya: wo to Noor hai, main ise kaise dekh sakta hun.

(Sahih Muslim: 1/99, H: 178)

sahih Muslim ki is riwayat me RAAYAT NOORA ke alfaaz bhi hain jinka matlab bayan karte he 


IMAM IBN HIBBAN ra. farmate hain:

iska matlab hai Aap saw ne Apne Rabb ko nahi dekha balke makhlookh (farishto) ke nooron me se ek buland noor dekha tha.

(sahih IBn Hibban, tahet-e-hadees: 5)


b)

Sayyada Aaisha rz farmatin hain:


JO AAPKO YE BAYAN KARE KE MOHAMMED SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE APNE RABB KO DEKHA THA WO JHOOT BOLTA HAI:

(sahihh Bukhari: 2/720, H. 4855, Sahih Muslim: 1/98, H: 177)


sayadna IBN Abbas Rz ka qaul hai:


"yaqeenan Allah ta'ala ko nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne dekha hai:


(sunan tirmizi: 3280, wa qala hasan, sunnat ibn abi asim: 1/19, tafsire tabri 27/52, kitabut tawheed ibn khuzaima: 1/490 wa sanad hasan)


  IS QAUL KE BAARE ME Shaikhul islam ibn taimiya raz farmate hain:

darasal ye ta'arruz nahi hai kyunki Sayadna ibn Abbas rz ne ye nahi farmaya ke nabi kareem saw ne Allah ko apne Sar waali do aankho se dekha hai"

(aijtema jiyoshul islamiya ibn qayyim: page 48)


aur farmate hain:

koi daleel aisi nahi jiska ye taqaza ho ke Aap saw ne Allah ta'ala ko Apni Aankho se dekha hai: na ye sahaba kiram me se kisi se saabit hai na kitab wa sunnat me koi aisi daleel hai. iske bar-aks sahihh nusus iski nafi me ziyadah waaze hai.

(majmual fatawa ibn taimiya: 6/509,510)


HAAFIZ IBN KASIR RA FARMATE HIAN;


Nabi kareem saw ke Allah ko dekhne ke baare me jo kuch manqool hai wo na nabi kareem saw se saabi hai na sahaba kiram rz se:

(al fusul fi sirat rasul: p. 268)


nez farmate hain:


Sayadna IBn Abbas rz se ek riwaya hai ke unhone Nabi Kareem saw ke Allah ko dekhne ke lafz istemaal farmaye hain: unki ye baad dil ke saath dekhne se muqayyid ki jaayegi.
jis ne aankho ke saath dekhne wali riwayat bayan ki hai us ne munkir baat ki hai kyunki is baare me sahaba kiram se kuch saabit nahi:

(tafsir ibn kaseer: 6/23-24)



IMAM IBN ABI IZZA HANFI RA. is baare me farmate hian:


sahih baat ye hai ke nabi kareem saw ne Allah ta'ala ko Apne dil ke saath dekha tha, sar ki aankh se nahi dekha:


farmane-e-baare ta'ala "MA KAZABA ALFUADU MA RAA'YA (NAJM 53:11) DIL NE JO DEKHA THA USE JHUTLAYA NAHI,
WALAQAD RAAHU NAZLATAN UKHRA 

(NAJM 53: 13)

(YAQINAN AAP SAW NE USE DUSRI DAFA DEKH THA) KE baare me nabi saw se sahih saabit hai ke yahan jis cheez ko dekhne ka zikr hai wo Jibrail as. hain: Aap saw ne JIbrail as ko 2 dafa unki soorat me dekha hai jis me wo paida kiye gaiye the:

(sharah aqeeda tahawiya ibn abil izz hanfi: 1/275)


aur likhte hain:


lekin nabi kareem saw ke Allah ta'ala ko Apne sar ki Aankh k saath dekhne ke bare me ki dalil nahi milti, Albatta Aap saw ke Allah ta'ala ko na dekhne ke baare me dalaail milte hain"


((sharah aqeeda tahawiya ibn abil izz hanfi: 1/222)


IBN HAJAR RA. LIKHTE HIAN:


sayadna ibn Abbas rz se kuch riwayat mutlaq aai hain aur kuch muqayyid.
zaruri  hai ke mutlaq riwayat ko muqayyid riwayat par mahmul kiya jayee...
yun sayadna ibn abbas rz ke asbaat aur sayada aaisha rz ki nafi me is tarah tatbeeq mumkin hai ke sayada aaisha rz ki nafi aankhon ki ru'yat par mahmul kiya jaye aur sayadna ibn abbas rz ke asbaat ko dil ki ru'yat apr mahmul kiya jaaye.
Phir dil ke dekhne se dekhna hi muraat hai na ke sirf janna, kyunkii nabi kareem saw hamesha Allah ko jaante the. jinhone nabi akram saw ke liye dil ke saath Allah ko dekhne ka asbaat kiya hai unki muraat ye hai ke jis tarah Aam logo ki Aankh me ru'yat paida ki jaati hai aise hi ap saw ke dil mu ru'yat paida ki gai.


aqli taur par ru'yat ke liye koi khaas shart nahi agarcha aadat ye hai ke ye aankh me hi paida hoti hai.

(fatahul baari ibn hajar: 8/484)

======
FAAIDA:
======

farmane baari

surah najm53: 10)

pas wo (nabi kareem saw) do kamaano ke darmiyani fasle par tha ya is se bhi qareeb. phir usne uske bande ki taraf wo wahi ki jo usne wahi ki thi(
se muraat jibrail as hain.

jaise ke hafiz ibn kaseer ra likhte hain:

yani jab jibrail as MOhammmed saw par zameen ki taraf utre to itne qareeb hue ke JIbrail as aur Mohammed saw ke darmiyan do kamano ke darmiyan faasle jitna fasla bhi na raha.

(tafseer ibn kaseer 6/22, ba tahqiq abdur razaq mahdi)

aur likhte hain:

isi tarah ye ayat (53:9) (yani yahan jibrail as muraad hai)

aur hum ne jo kaha ke Mohammed saw ke bahot ziyadah qareeb hone waale jibrail as hi the to ye Ummul mominin Sayada aaisha rz , Sayadna Abdullah ibn Masood rz, sayadna Abu zar rz aur Sayadna Abu hurairah rz ka farman hai"

(tafseer ibn kaseer: 6/32)


farman baari ta'ala hai:

(surah najm53: ayat 9-10) ki tafsir me sayadna Abdullah ibn masood raz farmate hain:

"Is se muraad JIbrail as hain"

(sahih Bukhari: 2/720: H: 4856, Sahih Muslim: 1/97: H: 174)


HAASIL KALAAM YE HAI KE sayda Aisha rz ne jis ru'yat ki nafi ki hai, iska talluk duniya ki zahiri aankh se hai, yani unke mutabiq wo shaks jhoota hai jo ye da'awa karta hai ke rasul saw ne Allah ko apni zahiri aankho se dekha hai:

sayadna ibn abbas rz jis dekhne ko saabit karte hain wo dil se dekhna hai,

is tarah don aqwaal me tatbeeq ho jati hai. jo log zahiri aankh se rasul saw ka Allah ko dekhna saabit karte hain unka qaul marjoo hai.

======

FAIDA:
======

farmane baari ta'ala (surah najm 53 ayat 10) ke baare me

Hafiz ibn kaseer ra farmate hain:
iska maani ye hai ke jibrail as ne Allah ke bande Mohammed saw ki taraf jo wahi karna thi kardi ya Allah ne Apne bande Mohammed saw ki
taraf jo wahi karna thi, jibrail ke waaste se kardi, ye dono maani durust hain:

(tafseer ibn kaseer: 6/23)

========

AL-HAASIL:
========


NABI AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ME'RAJ WALI RAAT ALLAH KO NAHI DEKHA. ISKE KHILAF KUCH SAABIT NAHI.


2)
=======================================


NABI KAREEM SAW KA HAALAT-E-NEEND ME DEEDAR-E-ILAAHI:
========================================


aima ahle sunnat is baat ke qail hain nabi akram saw ne haalat-e-neend me Allah ta'ala ko dekha hai.


sayadna mu'aaz bin Jabal rz se riwayat hai ke ek din Namaz-e-subh ke baad rasul saw ne apne khawaab bayan karte hue farmaya:


"Achanak Maine Apne Rabb ko haseen tareen soorat me dekha'

(masnad imam ahmed 5/243 sanad sahih)

shaikhul islam ibn taimiya rh is bare me farmate hain:

ye dekhna me'raj wale waqiye me nahi balke madina munawwarah me tha jab aap saw subah ki namaz me aane se late ho gaye the.

phir aap saw ne sahaba kiram rz ko is raat Allah ko neend me dekhne ke baare me bataya.
isi bina par imam ahmed rh ne farmaya ke Rasul saw ne Zarur Allah ko dekha hai kyunki ambiya-e-kiram ke khawaab yaqinan wahih hote hian:

(zaadul maad ibn qayyim 3/37)


aur farmate hain:


malum hua ke ye waqiya madina munawarah me neend ke dauran ka hai, meraj ki raat bedaari ka nahi.


(majmual fatawa 3/387, 388)


3)
================================

KISI NE DUNIYA ME ALLAH TA'ALA KO NAHI DEKHA:
================================

 kisi ne Duniya me Allah ta'ala ko nahi dekha:

ye ahle sunnat wal jamat ka ittefaaqi wa ijmaai aqeeda hai.

jaisa ke IMAM USMAN BIN SAYEED DARMI RA. farmate hain:


"tamam aima kiram yahi kahte hain ke Allah ko duniya me na dekha gaya na duniya me ise dekha ja sake ga.


(al radd alal jahmiya lil darmi: 124)

shaikhul islam ibn taimiya r. farmate hain:


Musalmano ka is baat par ittefaaq hai ke nabi akram saw ne zameen me apni aankho se Allah ko nahi dekha:


(majmual fatawa ibn taimiya: 3/388)


 Imam ibn Abil Izz hanfi ra likhte hain:


Ummate muslima is baat par ittefaaq kiya hai ke duniya me koi apni aankho se Allah ko nahi dekh sakta.

(sharah aqeeda tahawiyah ibn abi izz hanfi 1/222)


Rasul saw ka farman hai:

"jaan lo ke tum me se koi bhi marne se pahle Allah ko nahi dekh sakta:

(sahih Muslim: 2/399: H. 169)


sayadna abu imama bahli rz bayan karte hain ke rasul saw ne hame dajjal ke bare me khutba diya aur farmaya:

"wo kahega ke main tumhara rabb hun, halanki tum maut se pahle apne rab ko nahi dekh sakte:

(as sunnat ibn abi aasim: 400 sanad hasan, ...)


=======

AL-HAASIL:
=======  

NABI KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ME'RAJ WAALI raat ALLAH KO NAHI DEKHA.

ALBATTA MADEENA MUNAWARRAH ME HAALAT-E-NEEND ME ALLAH KA DEEDAR KIYA HAI:

AUR YE SHARF RASUL SAW KO HAASIL HAI:
ALHAMDULILLH