Wednesday, January 29, 2014

DARBAAR E KHILAAFAT ME ULEMA E DEEN KI HAQ'GOYI






Bismillahirrahmanirraheem

Ulema E Deen Ki Haq'goy Wa Be'baaqi Aur Be'niyaazi,

1- HZ SAYEED BIN MUSAYYAB (RH) AUR UMAWI KHALEEFA :

Aapka Shumaar Madeena Ke 7 Mashoor Fuqaha Me Hota Hai, Balke Aapko "Faqeehatul Fuqaha" Kaha Jaata Hai,

Nez Aap Buland Paaye Muhaddis Bhi They, Jab Abdul Malik Bin Marwan Khaleefa Hua Toh Aapne Uski Baiyyat (Allegiance) Karne Ki Bina Par Mukhaalifat Ki Ke Bila Im'teyaaz Ahliyat Jaanasheeni Ki Dhaagh Beil Pukhta Ki Ja Rahi Hai,

Is Jurm Ki Paadaash me Aapko Abdul Malik Ne Qaid Kar Diya,

Kuch Arsah Baad Jab Usko Baghaawat Ka Khatrah Na Raha Tab Aapko Riha Kiya,

Aapko Is Baat Par Bhi Aitraaz Tha Ke ye Umra Baitul Maal Me Zaati Tasarruf Karne Lage Hain,

Aapko Khilaafat E Raashida K Daur Se Bait Ul Maal Se Wazeefa Milta Tha,

Jab Aapne Ye Soorat E Haal Dekhi Toh Aapne Wazeefa Lena Band Kar Diya,

Chunanche Aapki 30000 Ki Raqam Bait Ul Maal Me Jama Ho Gayi, Kai Baar Unhe Wasooli Ke Liye Bulaaya Gaya, Lekin Aapne Har Martaba Inkaar Se Kaam Liya

(Encyclopedia, Firoz Sons Page 818)

2- HZ SAALIM BIN ABDULLAH BIN UMAR (RA) AUR HISHAM BIN ABDUL MALIK

Ek Dafa Hajj Ke Mauqe Par Hisham Bin Abdul Malik Kabatullah Gaya Toh Wahan Hz Saalim Ko Bhi Dekha

Unke Qareeb Aakar Kahne Laga

"Hz Mujhe Koi Khidmat Ka Mauqa Diya Jaaye"

Aapne Farmaya: " Allah Ke Ghar Me Kisi Aur Se Maangna Sharm Ki Baat Hai"

Fir Jab Aap Kaba Se Baaher Nikle Toh Khaleefa Haazir Hokar Kahne Laga

" Hz Aap toh Kaaba Se Baaher Hain, Kuch Taalab Farmaiyen"

Hz Saalim Ne Poocha :

"Tum Kya De Sakte Ho , Duniya Ya Deen ??"

Kahleefa Kahne Laga:

"Duniya Hi Se De Sakta Hoon"

Aapne Farmaaya

" Duniya Toh Maine Apne Malik E Haqeeqi Se Bhi Kabhi Nahin Maangi, Apse Kaise Maangun ??"

Is Jawaab Par Hisham La:jawaab Ho Kar Chala Gaya

(Hikayat Azeemat page 16)

3- IMAM ABU HANIFA (RH) AUR IRAQ KA GOVERNOR:

130 Hijri Me Banu Umayya Ke Ahad IraqI Governor Yazeed Bin Umar Ne Imam Sahab Ko Bula'kar Kaha Ke

" Main Aapke Haanth Me Apni Muhar Deta Hoon, Koi Huqm Naafez Na Hoga Jab Tak Aap Is Par Muhar Na Karen, Aur Na Hi Aapki Muhar Ke Be'ghair Bait Ul Maal Se Koi Maal Niklega"

Imam Sahab Ne Is Ahad Ka Inkaar Kar Diya Toh Governor Ne Aapko Qaid Kar Diya Aur Kode Maarne ki Dhamki Bhi Di, Magar Aap Apni Baat Par Ade Rahe,

Dusri Sarkaari Ulemaon Ne Unhen Samjhaaya Ke

"Apne Ooper Raham Karo, Ham Bhi Apne Is Ohde Par Naakhush Hain, Magar Majbooran Qubool Kiya Hai , Tum Bhi Maan Lo"

Aapne Farmaya:

"Agar Governor Mujhse Sirf Ye Khidmat Chaahe Ke Iske Liye Waastah Ki Masjid Ke Darwaaze Ginun Toh Bhi Qubool na Karunga, Jabke Wah Kisi Aadmi Ke QataL Ka Huqm Likhe Aur Main Muhar Lagaaun,

Khuda Ki Qasam ! Main Is Zimmedari Me Shareek Na Hunga"

Fir Governor Ne Aapke Saamne Kai Ohde Pesh Kiye Magar Aap Musalsal Inkaar Karte Rahe

Bila'aakhir Governor Ne Aapko Koofa Ka Qazi Banaane Ka Faisla Kiya Aur Qasam Kha Li Ke

"Agar Imam Inkaar Karen Toh Unhen Kodeon Se Peeta Jaayega"

Iske Jawab Me Imam Sahab Ne Bhi Kasam Kha Li Ke

"Is Duniya Me Kode Khalena Mere Liye Aakhirat Ki Saza Bhugatne Se Zyadah Asaan Hai, Main Ye Ohda Qubool Nahin Kar Sakta"

Aakhir Governor Ne Rozaana 10 Kode Lagaane Ka Huqm De Diya,

10 Roz Tak Aap 10 , 10 Kode Khaaate Rahe, Tan Kisi Ne Governor Ko Ittela Di Ke Ye Shakhs Marr Jayega, Magar Aapki Baat Nahin Maanega,

Governor Ne Kaha Ke

"Koi Aisa Shakhs Nahin Jo Ise Samjhaaye Aur Ye Shakhs Mujhse Muhlat Hi Maang Le??"

Imam Sahab Ko Ye Baat Pahunchaayi Gayi Toh Aapne Mashwarah Ke Liye Mohlat Talab Kar Li Aur Riha Hote Hi Koofa Ko Chhodkar Makka Chale Aaye, Aur Banu Ummyya Ki Sultanate Khatm Hone Tak Waapas Na Hue

(Hukumat Aur Ulema E Rabbani Page 25)

4- KHALEEFA MANSOOR KI KHILAAFAT KI TAUSEEQ IMAM ABU HANIFA AUR IBN ABI ZAIB (RH)

Khaleefa Mansoor Ne Apni Khilaafat Ki Tauseeq Ke Liye Chand Mumtaaz Ulema Ko Darbaar Me Bulaaya,

Unme Imam Abu Hanifa (Rh) Aur Ibn Abi Zaib (Rh) Bhi They,

Aur Sawal Kiya Ke

"" ye Huqumat Jo Allah Taala Ne Mujhe Is Ummat Me Ata Ki Hai Uske Taalluq Se Aapka Kya Khyaal Hai ?? Kya Main Iska Ahal Hoon ??"

Mansoor Pahle Ibn Abi Zaib (Rh) Ki Taraf Mutawajjoh Hua Toh Unhone Jawab Diya Ke

" Duniya Ki Baadshahi Allah Jisko Chaahta Hai Ata Karta Hai, Magar Aakhirat Ki Baadshahi Usko Deta Hai Jo Uska Taalib Ho Aur Allah Usko Uski Taufeeq De, Allah Ki Ita'at Se Taufeeq Naseeb Hogi Aur Na'farmani Ki Soorat Me Door Rahegi, Haqeeat Ye Hai Ke Khilaafat Ahle Taqwa Ke Ijma Se Qayem Hoti Hai Aur Jo Shakhs Khud Uspar Qabza Kar Le Usme Koi Taqwa Nahin, Aap Aur Aapke Madadgaar Taufeeq Aur Haq Se Munharif Hain, Aap Allah Se Salaamati Maangen, aur Paakiza Aamaal Se Uska Qurb Haasil Karen "

Imam Abu Hanifa (Rh) Kahte Hain Ke

" Jis Waqt Ibn Abi Zaib Ye Baat Kah Rahe They Toh Maine Apne Kapde Samet Liye, Khyaal Ye Tha Ke Abhi Iski Gardan Uda Di Jaayegi Aur Khoon Ke Chheente Ham Par Padenge"

Iske Baad Khaleefa Imam Abu Hanifa (Rh) Ki Taraf Muta'wajjoh Hua Toh Aapne Farmaya

" Aapko Khud Malum Hai Ke Aapne Hamen Allah Ke Khaatir Nahin Bulaaya ; Balke Isliye Ke Ham Aapke Darr Se Aapki Mansha Ke Mutaabik Baat Kahen Aur Wah Awaam Ke Ilm Me Aa Jaaye,

Jab Ke Haqeeqat Ye Hai Ke Aapki Khilaafat Par Ahal E Taqwa Me Se 2 Aadmiyon Ka Bhi Ijma Nahin Hua, Haalaanke Khilaafat Musalmano Ke Ijma Aur Mashware Se Hoti Hai"

Darbaar Bar'khaast Hua Toh Mansoor Ne Apne Wazeer Rabi'ee Dirhamon Ke Do Tode Dekar Bheja Aur Hidaayat Ki Ke Agar Ibn Abi Zaib (Rh) Aur Abu Hanifa (Rh) Ye Tode Qubool Kar Len Toh Unka Sar Utaar Laana "

Jab Rabi'e, Ibn Abi Zaib (Rh) Ke Paas Pahuncha Aur Tohfa Pesh Kiya Toh Aapne Kaha

"Main Ye Maal Mansoor Ke Liye Bhi Halaal Nahin Samjhta, Apne Liye Kaise Halaal Samjhun??"

Aur Abu Hanifa (Rh) Ne Kaha

"Khwaah Meri Gardan Uda Di Jaaye Main Is Maal Ko Qubool Na Karunga"

Mansoor Ne Ye Jawab Sunkar Kaha Ke

"Inki Be'niyaazi Ne In Dono Ka Khoon Bacha Liya"

(Hikaayat Azeemiyat 26, Nez Manaqib Imam abu Hanifa Jild 2 Page 15-16)

Kisi Ko Raam Karne Ke Liye Hukumaton Ke Yahi Do Hathkande Hote Hain,

Dhons Aur Laalach,!!

Yahi Tareeqe Mansoor Ne Bhi Istemaal Kiye,

Lekin Aimma E Deen Na Sunehri Pinjare Me Band Hue Na Hi Apni Maut Se Dare,

Unhone Apni Jaan Ki Baazi Lagaakar Bhi Deen Ki Kisi Adni Se Shak Par Bhi Aanch Na Aane Di.....