Wednesday, January 1, 2014

TAQLEED E SHAKHSI KE WAJOOD PAR MAULANA ASHRAF ALI THANWI KI DALEEL KA JAYEZA AUR HZ ABU BAKR (RA) KA KHUTBA: (PART -2)






Bismillahirrah manirraheem



TAQLEED E SHAKHSI KE WAJOOD PAR MAULANA ASHRAF ALI
THANWI KI DALEEL KA JAYEZA AUR HZ ABU BAKR
(RA) KA KHUTBA: (PART -2)




Hz Abu Bakr (Ra) Toh Masnad E Khilaafat Par
Kadam Rakhte Hi Apne Pahle Khutbe Me
Farmate Hain


" Main Jab Tak Allah Aur Uske Rasool (sws) Ki
Baaton Ki Ita'at Me Rahun Tum Meri Maanna
Aur Uske Khilaaf Tum Par Meri Baat Maanna
Haram Hai"


(Tareekh Khulefa Page 69)


Balke Aapne Ye Bhi Farma Diya Tha Ke Allah
Aur Rasool Ke Khilaaf Ho Toh Theek Kar Dena,
Meri Saran'zish Kar Diya Karna



Taareekh khulefa Me Hz Abu Bakr (Ra) Ka Ye
Farman Bhi Maujood Hai



"Logon ! Mujhpar Bhi Shaitan Musallat Hai Aur
Main mAsoom Nahin Hoon"


Ibn Sayeed Me hai Ke Aapne Apni Khilaafat
Ke Pahle Khutbe Me Hi Farmaya



"Logon Quran Naazil Ho Chuka Hai Aur
Hadithen Bayan Ho Chuki Hain (Yani Deen
Kaamil Ho Chuka Hai) Main Inki Taabedaari
Karta Chala Jaunga Kisi Baat Ko Ijaad Karne Ka
Mujhe Koi Haq Nahin, Main Quran O Hadith Ki
Pairwi Karun Toh Tum Mera Saath Dena Aur
Main Isse Zara Bhi Idhar Udhar Ho Jaun Toh
Tum Mujhe Tanbiyah Karna, Theek Kar Dena"


(Taareekh Khulefa 71)


Musnad Ahmad Me Hai Ke Hz Abu Bakr (Ra)
Aur Hz Umar (Ra) Azaad Ko Ghulam Ke Qisas
Me Qatal Nahin Karte They


(Taareekh Khulefa Page 96)


Lekin In Dono Buzurgon Ke Qaul Ko Aksar
Sahaba Kiram (Ra) Ne Nahin Maana Aur Wah
Huqm Karte Hain Ke


"Musalman Ghulam Ka Qaatil Agarchah Azaad
Ho Wah Bhi Iske Badle Qatal Kiya Jaayega"


Hanafiyon Ka Bhi Aur Khaas Imam Abu Hanifa
(Rh) Ka Bhi Yahi Mazhab Hai,


Pas Aksar Hissa Is Masle Me Un Dono
Buzurgon Ki Nahin Maanta,


2- Hz Abu Bakr (Ra) Ne Ek Zaani Ko Zina Ki
Hadd Me Kode Padwa Kar Phir Zila watan Kiya
Tha


(Taareekh Khulefa 97, Tirmizi J 1 Page 266
Bab Maja'a Fil Nafi)


Hanafi Bhaiyyon ! Phir Kya Wajah Hai Ke
Tumhare Mazhab Me Zila'watani Nahin ??


(Sharah Wiqaaya Jild 2 Page 248)


Hz Abu Bakr (Ra) Ki Taqleed Ba'qaul Aapke
Saabit Hai Phir Unki Taqleed Kyon Chhode
Ho ???


3- Us Chor Ko Jiske Haath Pahli Chori Me Kat
Chuke They Hz Abu Bakr (Ra) Ne Use Qatal Kar
Diya


(Taareekh Khulefa 98)


Unki Taqleed Saabit Karne Waale Unke Is
Fatawe Ko Bhi Nahin Maante


4- Dhaal Ki Qeemat Par Hz Abu Bakr (Ra) Ne
Haath Kaate Hain


(Taareekh Khulefa 98)


Lekin Hanafiya Isme Bhi Unki Taqleed Nahin
Karti,


5- Ek Mayyit Ki Nani Aur Daadi Dono Hz Abu
Bakr (Ra) Ke Paas Aati Hain Aap Naani Ko Hissa
Dilwaate Hain Aur Is Par Hz Abdurrahman Bin
Sahal Ansari (Ra) Ne Inkaar Kiya,


Aapne Apne Is Faisle Ko Todh Diya Aur Nani
Wa Daadi Dono Me Us Hisse Ko Taqseem Kiya


( Taareekh Khulefa 99)


Agar Unki Taqleed Waajib Ya Zaroori Thi Toh
Phir Sahaba (Ra) Unke Faisle Ke Khilaaf Kyun
Aawaaz Uthaate Hain ??


Aur Khud Khaleefa Unki Kyun Maan Lete Hain
Aur Apne Faisle Ko Kyun Todhte Hain ??


6- Bayheqi Me Hai Ki Aapne Farmaya


"Hamen Itteba Ke Liye Sirf Quran Wa Hadith
Kaafi Hai"


Pas Unki Taqleed Bhi Yahi Hui Ki Quran Wa
Hadith Ko Kaafi Maana Jaaye Aur Kisi Ki Raaye
O Qayaas Ko Sharah Me Motbar Na Samjha
Jaaye..


7- Hz Abi Bakr (Ra) Se Marwi Hai Ke


"Mujhe Kaun Sa Aasmaan Apna Saaya Dega
Aur Kaun si Zameen Mujhe Apne Ooper
Uthaaye Agar Main QURAAN ki Kisi Ayaat Ki
Tafseer Apni Taraf Se Karun "


(Taareekh Khulefa 94, Alaam ul Moqeen Jild 1
Page 91)


Maaloom Hua Ki Aayat Ki Tafseer Ka
Mansab'dar Bhi Wah Apne Aapko Nahin
Jaante They, Phir Unhe Sharai Ahkaam KE Ajza
Ka Mansab De Kar Dusron Ko Unki Taqleed Ka
Huqm Dena Kya Khud Khaleefa Ki Mansha Ke
Khilaaf Nahin ??


8- Hz Umar (Ra) Se Unki Khilaafat Ke Zamaane
Me Ek Masla Par Hz Usman (Ra) Is Qadr Jhagde
Ke Log Samjhne Lage Ke Ab Unme Milaap
Mushkil Hai Agar Unki Taqleed Zaroori Thi Toh
Jhagda Kaisa ??


9- Agar Unki Taqleed Zaroori Hoti Toh Tamam
Sahaba Ko Chahiye Tha Ke Har Har masle Hz
Abu Bakr (Ra) Se Hi Unki Khilaafat Ke Zamaane
Me Daryaaft Farmaate Aur Isi Tarah Khlaafat
Saaniyah Me Khaleefa Saani (Ra) Se Hi Daryaaft
Farmate,


Lekin Aisa Nahin Hua, Balke Jis Sahabi Ko Jo
Masla Dar'pesh Aata Jis Se Mauqa Padta Pooch
Leta,

Balke Khud Khaleefa Bhi Aisa Hi Karte,


Chunanche 3 Baar Ki Ijaazat Talbi Ke Baad Ki
Waapsi Ka Masla Khud Hz Umar (Ra) Ne Dusre
Sahaba (Ra) Se Poocha


( Alam Ul Moqeen Arabic Page 249, Urdu 507,
Tirmizi Jild 2 Page 30, Abu Dawood 401
Kitabul Faraiz)


Daadi Ke Warse Ka Masla Khud Siddeeq E
Akbar (Ra) Ne Dusre Sahaba Kiram (Ra) Se
Poocha...


To Be Contunued....