Wednesday, January 1, 2014

MUREED KA EK HAIRAT'ANGEZ WAAQEYA AUR AQAID TABLEEGH JAMAAT : (PART-2)











Bismillahirrah manirraheem



MUREED KA EK HAIRAT'ANGEZ WAAQEYA AUR
AQAID TABLEEGH JAMAAT : (PART-2)



MURDE KI WAJHAT:



Maulana Zikriya Sb Likhte Hain



"Abu Ala Rozbaari Kahte Hain Ke Ek Faqeer
Mere Paas Eid Ke Din Bahut Khasta'haal
Puraane Kapde Pahne Aaya, Kahne Laga
Yahan Koi Paak Saaf Jagah Aisi Hai Jahan
Ghareeb Marr Jaaye, Maine La'parwaahi Se
Laghu Samjhkar Kah Diya Ke Andar Aa Ja Aur
Jahan Chaahe Padke Marr Ja, Wah Andar Aaya
Aur Wuzu Ki Chand Rakat Namaz Padhi Aur Let
Kar Marr Gaya, Maine Uski Taqfeen Ki Aur Jab
Dafan Karne Laga Toh Khayaal Aaya Ke Uske
Muh Se Kafan Hataakar Uska Muh Zameen Par
Rakh Doon, Taake Haq Taala Shaana Uski
Ghurbat Par Raham Farmaaye, Maine Uska
Muh Khola, Usne Aankhen Khol Di , Maine
Poocha Mere Sardaar Kya Maut Ke Baad Bhi
Zindagi Hai, Kahne Laga Main Zinda Hoon Aur
Allah Tala Ka Har Aashiq Zinda Hota Hai Main
Kal Qayamat Me Apni Wajahiyat Se Teri Madad
Karunga"



(Fazail E Sadaqat Page 227, Maut Ki Yaad 52)



Dekh Liya Aapne Kaise Soche Samjhe
Mansoobe Ke Tahat Marte Hain ,


Pahle Jagah
Poochte Hain Ke Ye Jagah Paak Hai Aur Fir
Namaz Padhte Hain, Isi Tarah Maut Ke
Muqarrar Waqt Jise Quraan Kahta Hai

"AjlMusamma" Kahta Hai Is Ke Ilm Ke Saath Saath
Sar'zameen Maut Ka Bhi Ilm Ho Gaya,


Jiska
Rabb Makhlooq Ke Liye Nafi Kar Raha Hai


"Ke Koi Shakhs Bhi Ye Nahin Jaanta Ke Wah Kis
Zar'zameen Par Marega"

(Quran)


Aur Jab Dafan Karte Waqt Uska Muh Khola
Usne Aankhen Khol Di,


Hairat Zadah Hokar Jab Unhone Us Zindagi Ka
Poocha Toh Farma Diya Ke Sirf Main Hi Nahin
Allah Ka Har Ashiq Zinda Hota Hai ;


Kahan Gayi Rabb Ki Ye Aayat


" Ke Har Nafs Ko Maut Ka Zaayeqa Chakhna
Hai"


Is Aayat Ka Kya Kiya Jaaye Jisme Allah Ne Ye
Farmaya Hai


"Har Cheez Halaaq Hone Waali Hai Siwaaye
Allah Ki Zaat Ke"


Is Aayat Ki Kya Taweel Ki Jaayegi Jisme Ye
Ishaara Hua


" Aiy Nabi (Sws) ! Hamne Aap (Sws) Se Pahle
Kisi Bashar Ko Hamesha Hamesh Zinda Nahin
Rakha Agar Aapko Maut Aayi Toh Kya Ye
Hamesha Zinda Rahenge"


Agar Quraan Ki Koi Ye Taaweel Kare Ke Isme
Se Aashiq Bhi Mushtashna Hain, Toh Hamen
Ye Tasleem Karna Padega Ke Nabi (Sws) Un
Aashiqeen Ki List Me Nahin Aate Ke Jo Zinda
Rahte Hain,


Kyonki Allah Khaas Kar Muhammad (Sws) Ke
Baare Me Hi Farmata Hai



" Aiy Nabi (Sws) ! Aap Bhi Faut Hone Waale
Hain Aur Ye Bhi"


Aur Ek Jagah Yun Farmaya



" Muhammad (Sws) ! Toh Rasool Hi Hain Unse
Pahle Bhi Rasool Ghuzre Agar Ye Marr Jayen
Ya Shaheed Kar Diye Jaayen"


Yahan Toh Jab Mureed Buzurg Ka Angootha
Pakadta Hai Toh Buzurg Ye Kah Kar Chhuda
Leta Hai Ke Mujhe Malum Hai Ke Tu Zinda Hai,



Lekin Wahan Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke
Baar Qaaynaat Me Sabse Afzal Apne Peer O
Murshid Ke Baare Me Ye Elaan Kar Raha Hai


"Beshaq Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Wafaat
Pa Chuke hain"


Yahan Toh Marne Waale Kabhi Bol Padhte
Hain, Kabhi Hans Padhte Hain Aur Kabhi
Angoothe Pakad Lete Hain, Aur Kabhi Aankhe
Khol Dete Hain,



Lekin Wahan Toh Imam Ul Ambiya NE ek Dafa
Bhi Na Bol Kar Na Aankhen Kholkar Na Hans
Kar, Aur Na Hz Fatima (Ra) Ke Sar Par Haath
Fer'kar Unhen Dilaasa Diya Jabki Unki Zabaan
Ye Kalimaat Ada Kar Rahi Thi

"Aiy Abba"


Hz Fatima (Ra) 6 Mahine Tak Zinda Rahin Lekin
Kisi Ne Unko Muskuraate Tak Na Dekha,


Jis Waaqeye Ne Unke Chehron Se Muskuraahat
Tak Chheen Li, Lekin Unko Ye Aqeedah
Maloom Nahin Ho Saka Ke



"Allah Ka Har Aashiq Zinda Hota Hai"


Taajjub Hai !!


Barelwi Toh Hayatun Nabi Aur Awliya Ki
Hayaat Ke QaYel Hone Ki Wajah Se Mushrik Aur
Ye Har Aashiq Ke Qayel Hon Toh Muwahhid,



Aur Taajjub Us Faqeer Par Bhi Hai Ke Kaise
Dhadalle Se Ye Baat Kahta Hai Ke Main Kal
Qayamat Ke Din Apni Wajahiyat Se Teri Madad
Karunga,


Jis Din Ambiya Allah Ke Saamne Sifaarish Ke
Liye Na Ja Sakenge, Nafsa Nafsi Ka Aalam
Hoga,


Us Din Ye Faqeer Apni Wajahiyat Se Madad
Karega Jabke Allah Ka Ye Elaan Ho Raha Hoga



"Aaj Kis Ki Baadshaahi Hai, Allah Waahid
Kah'har Ki Baadshahi Hai"


Ye Faqeer Toh Madad Karega Aur Allah Ye
Kahta Hai


"Allah Ki Ijaazat Ke Beghair Kaun Hai Jo
Sifaarish Kare"


Ye Hazrat Toh Madad Karenge Aur Rabb Ye
Kahta Hai Ke Koi Bolne Ki Zurraat Na Karega,


Allah Taala Ka Farman Hai


"Jis Din Farishte Aur Jibreel Saf Baandhe
Khade Honge Koi Baat Nahin Kar Sakega
Magar Jisko Rabb Ijaazat De Aur Wah Baat Bhi
Sahih Karega"


To Be Continued.....