Thursday, January 16, 2014

TAQLEED SHAKHSI PAR MUTAASSIB MUQALLIDON KI PAHLI DALEEL KA JAYEZA:





Bismillahirrahmanirraheem

 


TAQLEED SHAKHSI PAR MUTAASSIB MUQALLIDON KI PAHLI DALEEL KA JAYEZA:

 

Ek MuGhaalta Muqallideen E Aimma Khususan Hanafiyah Hadith Par Chalne Waalon Ko Ye Dete Hain Ke

"Masail Dunwiyah Me Qayaas Karna Mashru Hai"

Aur Daleel Ye Dete Hain Jo Abu Dawood Aur Tirmizi Aur Sunan Darimi Me

Hz Maa'az Bin Jabal (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Me Jab Hz Mua'z (Ra) Ko Yemen Ki Taraf Qazi Aur Haakim Banakar Bheja Toh (Imtihan Ke Liye) Kaha

"Tu Kis Tarah Faisla Karega Jis Waqt Tujhe Koi Masla Pesh Aayega"

Hz Ma'uaz (Ra) Ne Arz Kiya ke

"Main Allah Taala Ki Kitab Ke Mutaabiq Faisla Karunga"

Aap (Sws) Ne Farmaya

" Agar Tu Kitabullah Me Iske Baare Me Koi Huqm Na Paaye Toh"

Toh Unhone Arz Kiya Ki

" Fir Main Allah Ke Rasool (Sws) Ki Sunnat Ke Mutabil Faisla Karunga"

Is Par Aap (Sws) Ne Farmaya

" Agar Tujhe Sunnat Se Bhi Koi Rahnumaayi Na Mile Toh"

Phir Hz Mua'az Bin Jabal (Ra) Ne Kaha

"Phir Main Kitab Wa Sunnat Ki Roshni Me Aqal Se Ijtehaad Karunga Aur Amr E Haq Tak Pahunchene Ki Koshish Me Koi Kotaahi Na Karunga"

Hz Mu'az (Ra) Ne Kaha Ya Raawi Ne Iske Baad Rasool Paak Ne Apna Dast - Mubarak (Khushi Ke Taur Par) Hz Mu'az Ke Seene Pe Maara "

Is Aqtabaas Ka Jawab 3 Tarah Se Hai,

PAHLA JAWAB:

Awwal Ye Ke Ye Hadith Daeff Hai, Iske Saath Hujjat Qayem Nahin Hoti,

Kyonki (Tirmizi Page 210) Ne Kaha Hai Ke

"Isnaad Is Hadith ki Mere Nazdeek Nahin Mutaassil Hai"

Aur Sayyed Siddeeq Hasan Khan (Rh) Ne Is Hadith Ke Baare Me Likha Hai

"Is Hadith Ko Ahmad Aur Tabrani Ne Aur Bayheqi Ne Aur Ibn Adi Ne Tareeq Harith Bin Umar Se Riwayat Kiya Hai Jo Mugheerah Bin Shoyba Ka Bada Bhai Hai, Usne Ibn Abbas Se Usne Ahle Hamas Se Usne Ashaab Mu'az Se , Usne Hz Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Riwayat Kiya Ke

Aap (Sws) Ne Hz Mu'az Ko Bheja Aur Abu Dawood Ki Ek Riwaayat Ke Mutaabik Jo Hz Mu'az Se Marwi Hai, Unhone Use Hz Mu'az Se Naqal Kiya, Aur Ye Hadith Ba'taur Mursal Ke Muta'aarif Hai,"

Imam Bukhari Ne Bhi Is Hadith Ko Mursal Kaha Hai,

Imam Dar E Kutni Ne Faramaya Ke

"IS hadith Ko Shoybah Ne Ibn Aun Se Is Tarah Alal Ne Riwaayat Kiya Ibn Mahdi Aur Dusri Jamaton Ne Bhi Ise Mursal Kaha hai,"

Taaham Ye HADITH mursal Hai,

Ibn Hazam Ne Kaha

"Ye Hadith Sahih Nahin Is Liye Ke is Hadith Ke Raawion Me Haarith Majhool Hai Aur Iske Shaikh Nahin Pahchaane Jaate"

Aur Abdul Haq Ne Kaha

"(Ye Hadith) Sanad Bayan Nahin Ki Jaati Aur Tareeq Sahih Se Nahin Paayi Jaati"...

Baherhaal Qabair Ulema Ne Is Hadith Ko Sahih Nahin Jaana....

Imam Zahbi Ne Meezaan Me Kaha Hai Ke

"Abu Aun Jo Abdullah Sakafi Ka Beta Hai, Harith Se Riwayat Karne Me Munfarad Hai, Aur Abu Aun Ke Siwa Harith Se Jo Riwayat Ki Gayi Hai Wo Majhool Hai "

JAWAB NO-2

Hz Mu'az Ki Mazkoor Hadith Sahih Bukhari Ki Is Hadith Se Mu'aariz Hai Jo Hz Ali (Ra) Se Marwi Hai Ke

Hz Abdullah Bin Gifaafa (Ra) Ko Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Lashkar Ka Sardaar Banakar Kahin Jihaad Ko Bheja Aur Lashkar Se Farmaya Ke

"JO tumhara Sardaar Kahe Uski Ita'at Karna"

Toh Ek Roz AbdullaH Apne Lashkar Se Ghussa Me Aaye Aur Bahut Si Aag Roshan Ki Aur Lashkar Se Kaha ki

"Is Aag Me Ghus Jaao Iske Waaste Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Meri Ita'at Tum Par Waajib Kar Di Hai"

Lashkar Ne Kaha Ke

"Hamne Hazrat Muhammad (Sws) Ka Kalmah Dozakh Ki Aag Ke Khauff Se Hi Toh Padha Hai, Ab Ham Aag Me Kyonkar Ghusen"

Jab Ye Qissa Hz Muhammad (Sws) Ne Suna Tab Farmaya

" Yani Agar Tum Usme Ghus Jaate Toh Hamesha Qayamat Tak Usme Pade Rahte"

(Sahih Bukhari Page 622)

FAAYEDA:

YE Hadith Saaf Dalaalat Karti Hai Is Par Ke Qiyaas Par Chalne Waala Martakab Gunaah Hai,

JAWAB-3

bahut Se Nabi E Akram (Sws) Ke Sahaba, Tabain , Taba-tabain Aur Aimma Se Saabit Ho Chuka Hai Ke Deen Ke Muqaddame Me Qayaas Karna Haram Hai,

Chunanche Imam Tirmizi Ne Kaha Ke

"Maine AbU SAib Se Suna Ke, Kahte They Ke Ek Jagah Waqi'e Baitha Karte They, Aur Unhone Aap (Sws) Se Hadith Bayan Ki Ke Aap (Sws) Ne Ish'aar Kiya (Yani Oont Ka Kohaan Baayen Taraf Se Cheer Diya) Aur Dusri Tarah Abu Hanifa Kahte Hain Ke Ish'har Karna Muslah Karna Hai (Yani Taqleef Dena Hai) Toh Ek Shakhs Ne Kaha Ke Ibraheem Nakhi Se Bhi Yahi Marwi Hai Ke Ish'haar Musla Hai, Ye Sun Kar Waqi'e Shakht Naraaz Hue Aur Kaha Ke

"Main Toh Paigham E Khuda Ki Hadith Tumhe Batata Hoon Aur Tum Huzoor (Sws) Ki Hadith Ke Muqable Me Ibraheem Nakhi Ka Qaoul Bayan Karte Ho, Tum Is Qaabil Ho Ke Jab Tak Ye Baat Kahne Se Baaz Na Aao Tumhe Qaid Me Rakha Jaaye"

Imam Tirmizi Farmate Hain

Maine Yousuf Bin Isha Ko Waqi'e Se Naqal Karte Hue Suna Ke Jis Waqt Waqi'e Ne Woh

Hadith Bayan ki Jisme Huzoor (Sws) ke Ish'aar Karne Ka Zikr Aaya Hai Toh Unhone Saath Hi Kaha Ke Is Baare Me "Ahlul Raaye" ke Qaul Ki Taraf Mat Dekho Kyunke Ish'aar Sunnat Hai, Aur Ahlul Raaye Ka Qaul Bidat Hai,

Aur Darimi Me, Hai Ke


"Malik Bin Maghwal Ne Mujhe Sha'abi Ke Hawale Se Kaha Ke

Jo Hadith Ye Log Rasoollullah (Sws) Se Bayan Karen, Pas Le Le Usko Aur Jo Wah Apne Raaye Se Kahen Pas Usko Paikhaane Me Daal"

Aur Darimi Me

Abdullah Se Riwayat Hai unhone Kaha Ke

"Tum Par Jo Baras Bhi Aayga Ghuzarne Waale Baras Se Bura Hoga"

Fir Wazaahat Karte Hue Farmaya Ke

"MERI muraad Ye Nahin Ke Pahle Bahut Arzaani Se Jo Baad Me Na Hogi Ya Pahle Ameer Bahut Acche They Jo Phir Na honge, Balke Tumhe Ulema Ki Us Qaum Se Waasta Padega Jo Maamle Ko Apni Raaye Se Qayaas Se Karen"

Aur Darimi Me

Ibn Sureen (Ra) Ne Marwi Hai Unhone Kaha Ke

"Sabse Pahle Jisne Qayaas Kiya Wah Shaitaan Hai , Aur Sooraj Aur Chand Ki Ibaadat Jo Ki Gayi Hai Toh Ye Qayaas Ki Badaulat Hai "

Aur Darimi Me

Hz Hasan Basri (Rh) Se Marwi Hai Ke Unhone Kaha

Ek Ayat Padhi Jiska Tarjuma

" Toone Mujhe Aag Se Paida Kiya Aur Ise Mitti Se"

FIR Hz hasan Ne Kaha Ke

"Shaitaan Ne Qayas Kiya Aur Deen Me Qayaas Karne Waalon Me Se Wah Sab Se Pahla Hua"

Aur Darimi Me

Hz Mashrooq (Rh) Se Marwi Hai Unhone Kaha Ke

"Main Qayaas Karne Se Darrta Hoon"

Darimi Me Imam Sha'abi (Rh) Se Marwi Hai Ke Unhone Allah Taala Ki Qasam Khaate Hue Kaha Ke

"AGAR Qiyaasaat Par Amal Karoge Toh Halal Ko Haram Kar Loge Aur Haram Ko Halal"

Usi Darimi Me Mashoor Mufassir Mujaahid Se Manqool Hai Ke Hz Umar (Ra) Ne Kaha Ke Tujhe Qayaas Karne S Darrna Chahiye"

FAAYEDA:

"Darasaat Al'beeb Fil Uswat Ul Hasana" Me Likha Hai Ke Aimma Taahireen Qayaas Karne Ko Haram Samjhte They Isliye Ke Sho'Rani Ne "To'qah"Me Bayan Kiya Hai Ke

"Jab Imam Abu Hanifa Rh , Jafar Bin Muhammad Ke Paas Gaye Toh Jafar Ne Imam Sb Se Kaha Ke

"Maine Suna Hai Ke Aap Qayaas Kiya Karte Hain, Qayas Na Kiya Karo Kyonki Sabse Pahle Shaitaan Ne Qiyaas Kiya Hai "

Allah Taala Ham Sabko Taqleed E Shakhsi Se Bachne Ki Taufeeq De.... Ameen