Sunday, January 26, 2014

IMAM ABU HANIFA (RH) KI FAZEELAT ME WAARID HONE WAALI HADITH AUR UNKI HAISIYAT:





Bismillahirrahmanirraheem

IMAM ABU HANIFA (RH) KI FAZEELAT ME WAARID HONE WAALI HADITH AUR UNKI HAISIYAT:


Ek Mughaalta Imam E Azam (Rh) Ke Muqallideen Hadith Par Chalne Waalon Ko Ye Dete Hain Ke

"Jo Martaba Imam E Azam Ka Hai, Aimma ME se Kisi Aur Ka Bhi Nahin Hai, Isliye Ke Imam E Azam (Rh) Ki Fazeelat Me Unka Naam Lekar Dareeh 4 Hadithen Aa Chuki Hain"

pahli Hadith

"Meri Ummat Me Ek Shakhs Paida Hoga Jise Abu Haneefa Kaha Jaayega Wah Meri Ummat Ka Charaagh Hai"

JAWAB:

Ye Hadith mauzu (Fabricated) Hai,

Imam Shaukani Ne "Fawaid Majmua Fil Hadithul Mauzu'ah" Me Kaha Hai Ke Ye Hadith Mauzu Hai,

Isliye Ke Is Hadith Ke Isnaad Ek Mamoon Bin Ahmad Salmi Hai, Aur Ahmad Bin Abdullah Johbaari Hai, Aur Ye Dono Shakhs Hadithon Ke Banaane Waale Hain..

Aur Sheikh Ibn Tahir Hanafi Majmua Al Bahaar Me Kaha Hai Ke

"Saghaani Ne Kaha (Hadith) Ummati Abu Haneefa Mauzu'u Yani Abu Hanifa Ummat Ka Chiraagh Hai Mauzu Hadith Hai "

Aur Mullah Ali Qaei Hanafi Me Mauzu'aat Al Kabeer Me Kaha

"Abu Hanefa Meri Ummat Ka Chiraagh Mauzu Hadith Hai Aur Is Par Muhaddiseen Ka Ittefaq Hai"

Abdul Haq Hanafi Ne "Tahseel Ul Taareef" Me Kaha

" Imam Ki Fazeelat Me Bahut Si Hadithen Riwaayat Ki Jaati Hain, Jo Muhaddiseen Ki Raaye Me Mauzu Hain, Aur In Mauzu Hadith Me Sabse Mashoor Hadith Ye Hai Abu Hanifa Meri Ummat Ka Siraaj Hai,

Nez Meri Ummat Me Ek Aadmi hoga Jise Abu Hanifa Kaha Jaayega Wah Roz E Qayamat Tak Meri Ummat Ka Chiraagh Hai"

Sheikh Abdul Haq Ne Sharah Safarul Sa'aadat Me Likha hai Ke

"Tahzeerul Shari'ah Me Likha Hai Ke Hz Anas (Ra) Se Marwi Hai Aap (Sws) Ne Farmaya

Meri UMMAT me Ek Aadmi Hoga Jise Muhammad Bin Idrees Ke Naam Se Mausoom kiya Jaayega, Meri Ummat Ke Liye Wah Iblees Se Bhi Zyada Zar Rasan Hai, Aur Meri Ummat Me Hi Ek Aur Aadmi Hoga Jise Abu Hanifa Kaha Jaayega Wah Meri Ummat Ka Charaagh Hai"

Aur Kaha Ke Juzkaani Ne Is Hadith Ko Hz Anas (Ra) Se Riwaayat Kiya Hai, Aur Iski Sanad Me Ek Raawi Ahmad Joibaari Hai Aur Ek Rawi Mamoon Salmi Hai, Unmese Ek Ne Is Hadith Ko Gadh Liya Hai, Allah Use Waisa Hi Badla De Jiska Wah Mustahaq Hai,

Mulla Ali Qari Hanafi Me Zainul Halam Sharah Ain Ul Ilm Ne Kaha

"Yani Abu Hanifa Chiraagh Hai Meri Ummat Ka Jo Ke Waarid Hua Hai Bahut Tareeqon Se Lekin Wah Sabke Sab Wahi Hain Aur Ye Hadith Mauzu (Fabricated) Hain Jaisa Ke Saghaani Wagerah Ne Kaha Hai"

Dusri Hadith

"Fir Ek Aadmi Aayega Jiska Naam Noman Bin Thabit Koofi Hoga Aur Jis Ki Qunniyat Abu Hanifa Hogi Taake Uske Haathon Allah Ke Deen Aur Meri Sunnat Ki Bahtari Ho"

Iska Jawab Ye Hai Ke Ye Hadith Bhi Mauzu (Fabricated) Hai,

Nooruddein Ali Ne Kitab "Mukhtasar Tanziyah Shariah'tul Marfu'ah Anal Akhbaar Shani'atul Mauzu'ah" Me Kaha Ke

"Ye Hadith Ek Tukda Hai Anas Ki Hadith Ka Tareeq Abaan Se Riwaayat Ki Usse Abu Ma'ali Bin Muhaajir Majhool Ne Riwaayat Kiya Usse Muhammad Bin Yazeed Bin Salmi Matrook Ne Aur Paaya Usne Tareeq Joibari Se Aur Kaafi Hai Tujhko (is Hadith Ke Mauzu Hone Ki Daleel) Iska Jhoot Hona"

Sheikh Abdul Haq Ne "Safar Us Sa'aadat" Me Kaha Ke

"Ye Hadith Bhi Us Qism Ki (Mauzu) Hai Jaise Ki Hadith Siraaj Ummati Jo Ke Uper Mazkoor Hui"

Teesri Hadith

"Meri Ummat Me Ek Aadmi Paida Hoga Jise Abu Hanifa (Rh) Kaha Jaayega Uske KandhOn Ke Darmiyaan Ek Khaal Hoga Allah Taala Uske Haathon Meri Sunnat Zindah Karega"

Chauthi Hadith

Hz Ali (Ra) Se Riwaayat Hai

"Kya Na Khabar Dun Main Ek Aadmi Ke Baare Me Ji Tumhaare Isi Koofa Ka Rahne Waala Hoga, Abu Hanifa Uski Kunniyat Hogi Uska Dil Ilm Aur Danaayi Ki Baaton Se Labrez Hoga Aakhir Zamaana Me Uski Wajah Se Ek Qaum Halaaq Hogi Jise Abu Hanifa Se Nafrat Hogi, Us Qaum Ko Bananiyah Kaha Jaayega, Theek Us Tarah Jaise Abu Bakr (Ra) Aur Hz Umar (Ra) Se Nafrat Ki Bina Par Raafzi Halaaq Hue"

In Dono Hadithn Ka Jawab Ye Hai Ke Ye Bhi Mauzu Hain Ke

Sheikh Abdul Haq Ne "Tahseelul Ta'arruf" Me Kaha

" Imam E Azaam Ki Fazeelat Me Bahut Si Hadith Riwaayat Ki Gayi Hain Jinke Mutaallik Muhaddiseen Ka Faisla Hai Ke Wah Mauzu Hain Yani Imam Abu Hanifa (Rh) Ki Buzurgi Me Jitni Hadithen Aayi Hain, Muhaddiseen Ke Nazdeej Sab Mauzu Hai Koi Bhi Sahih Nahin Hai"

Aur Mulla Ali Qari Hanafi Ne "Mauzu'at Al Kabeer" Me Kaha

"Aur In Mauzu Riwaayat Mese Wah Bhi Hai Jinhe Darogh Bafon Ne Abu Hanifa (Rh) Aur Shafai (Rh) Ke Naam Lekar Unki Fazeelat Wa Manaqibat Ke Liye Ghadha Hai, Aur Inhi Qism Ki Kuch Aur Riwaayatein Hain Jinhen Jhooton Ne Undono Buzurgon Ki Fazeelat Ke Liye Waza'a Kiya Hai"

Aur Molwi Firozabadi Sahab "qamoos" Ne Safarus sa'aadat Me Kaha Ke

"Imam Abu Hanifa Aur Imam Shafai (Rh) Ke Fazail Ya Unki Muzammat Me Kahi Jaane
Waali Koi Baat Bhi Sahih Nahin, Is Baab Me Jo Kuch Milta Hai, Sarasar Kazzab Wa Aftara Hai,

Sayyid Nazeer Hussain Sahab Ne "Meyar Ul Haq" Me Kaha Ke


"Ye Sab (Riwaayatein) Jo Abu Hanifa Ki Tareef Me Logon Ne Likhi Hain Mauzu'aat Hain Aur Unke Waza'een Yani Un Riwaayaton Ko Banane Waale Misdaaq Hain In Hadith Ke Jo Bukhari Me Riwayat Hai

Abu Hurairah (Ra) Se Unhone Naqal Kiya Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Se Aapne Farmaya

Jisne Daanistah Meri Taraf Koi Jhooti Baat Mansoob Ki Pas Wah Apna Theekaana Jahannum Me Bana Le,

Agar In (Jhooti) Riwaayat Ko Banane Waale Ne Unke Mauzu Hone Ko Jaanne Ke Ba'wajood Unhe Naqal Kiya Hai Toh Wah Bila'ijma Faasiq Hai,

Kyunke Hadith E Mauzu Ka Riwaayat Karna Bila'ittefaq Haram Hai,

Aur Agar Unhone Jihaalat Ki Bina Par Un Hadithon Ko Naqal Kiya Hai, Toh Wah Jaahil Aur Ma'joor Hai,

Raha In Riwaayaton Ka Mauzu Hona Toh Wah Un Ke Alfaaz Aur Mana Se Zaahir Hain, Is Zaman Me Muhaddiseen Ki Tanbihaat Bhi Maujood Hain, Jinka Bayan Uper Ghuzar Chuka Hai...