SAHABA KE AQWAAL KE MUTALLIQ AHLE HADITH KA MANHAJJ
SAHABA KE AQWAAL KE MUTALLIQ AHLE HADITH KA MANHAJJ
Baaz dafa hum dekhte hai ke Tassub Parast Muqallideen Ilzaam lagaatey hai ke Ahle Hadees Sahaba ko nahin maante unke aqwaal ko ehmiyat nahin dete to main yahan Sahaba ke aqwaal ke mutalliq Ahle Hadees Ka Manhaj bataana chaahta hoon;
Imam Shawkaani rahimullah farmaate hai;
"Sahaba ki wo baat jo ijtihad aur raay ke zarye nahin kahi jaa sakti Ullama ke nazdeek Hujjath hai kyunki uss mein yeh ihtimaal hai ke yaqeenan yeh baat Sahabi ne Rasoolullah saw se suni hogi.Sahabi ke jis qaul par ijma ho chuka ho usey hum sharii Hujjath Qarar dete hai. Agarche Sahabi ke aise qaul jo Ijtihad wa Raay par mabni ho wo wajib ul ittiba to nahin hum apni raay par unki raay kotarjeeh dena yaqeenan afzal hai."
(Fiqh ul Hadees, Vol. 1, pg. 60-61)
Aur jo Hadees Ilm rakhte honge wo jaante hi honge ke Hadees ki takhreej karte waqt kabhi bhi Sahaba par jarh nahin kiya jaata. Ahle Hadees ka Aqeedah hai ke tamaam Sahaba Thiqah aur Aadil the. Har ek raawi par Jarh ka imkaan hai lekin Sahaba par nahin. Aur hamaare nazdeek Sahaba agar Quran ki tafseer bayaan kare ya Hadees ki tashreeh karey ya phir Quran o Hadees ke hawaale se koi baat kahey to hum unn aqwaal par Marfoo Hadees ka hukm lagaatey aur useyHujjath Qarar dete hai. Usi tarha Sahaba agar koi ghaybiyaat waali
baat bataaye jaise Jannat, Jahannum ya Aakhirat ka tazkira. Ya pichley qaum ka tazkira to isey bhi hum Marfoo Hadees ka hukm lagaa kar Hujjath qarar dete hai. Kyunki iss tarha ki baat yaqeenan Sahaba ne Rasoolullah se suni hogi.
Ab chalye dekhte hai yeh Tassub Parast
Muqallideen ke yahan aqwaal e Sahaba ki kya haisiyat hai;
Deobandi ke “Shaykh ul-Hadeeth” aur “Shaykh ul- Hind” of Deobandiyah, Mahmood ul-Hasan Deobandi Kahte Hai
"Sahaba Ka Amal Hujjat Nahi Hai.
[Taqaareer Shaykh ul-Hind P. 30]
-
Dusri Jagah Wo Farmaate Hai,
"Ek Sahabi Ka Qaul Hum Hanfiyo Ke Liye Hujjat Nahin."
[Taqaareer Shaykh ul-Hind P. 43]
- - Abul Kalam