Friday, January 31, 2014

WASEELA AUR BARELWION KI DUNYAWI MASAIL

 Bismillahirrahmanirraheem



WASEELA AUR BARELWION KI DUNYAWI MASAIL


Waseele key meaning hain Allah ka takarrub Hasil karna Allah ke zati wa sifati namo ke zariye Dua karna... Allah ka takarrub hasil karne ke liye shirk se bach na aurRasool Allahsaw ke tareeke per zindagi guzar na taqwa ikhtiyar karna Allah ki raah mai Jihad Fee sabeel Allah karna ...

 inke zariye Allah ka takarrub hasil kiya jata hai jisse Allah khush hota hai aur hamari DUaye Qabool karta hai....., . 

Yeh Sharayee aur jayaz Waseela hai........

 iske siwa kisi Nabi Wali peer ya shaheed ko Allah se Dua mangte waqt Waseela banana hargiz jayaz nahi... 

Aaj Ummat ki aksariyat ka yeh haal hai ke Allah ko pukarte hain bhi to uske Un bando ka wasta aur zariya detey hue Jo Is Dunia Main Bhi nahin hain...

Unka kehna yeh hai ke kyonki hum Gunahgar log hain hamari pohch Allah ke Darbaar tak kahan ....

Woh hamari dua Directnahi sunta isliye hum buzurgo ke Waseele se Allah tak apni baat pohchate hain yeh log bht pohche hue aur ba-asar hain inki baat tali nahi jati isliye hum in Buzurg logo ka Waseela apni Dua mai lagate hain..... . 


Yeh Misal di jati hai ke jis tarha Badshah se milne ke liye darbanafsar sey milne ke liye Chaprasi aur chhat per charne ke liye seerhi ki zaroorat hoti hai usi tarhan Allah tak pohch ne ke liye bhi koee waseela zaroor hona chahiye isliye ke Allah ki taraf sey bhi hamein Deen aur Quran sab kisi ke Waseele se hi mila hai ....

 in baton ka , . ALlah ki Kitab jawab deti hai ..... . 

 " Pas Tum Allah ke liye Misalein na banao (isliye ke ) Allah janta hai aur tum nahi jantey " 

( Surah Al-Nahal-- 74 ) . 

In Duniawi Badshahon aur afsaron ke liye Waseele ki Zaroorat isliye parhti hai ke ...

 woh nahi jante ke ke jo shaks unke paas araha hai uski kya hajat hai kya zarooraat hai unhe uske haal ka kuch bhi ilm nahi hota isliye jab tak woh beech mai kisi ko Waseela na banaye unhe ane wale ka halat ka kuch malum na hoga ....

 lekin zara scohiye jo Paak zaat logo ke dilon ke haal se bhi wakif hai kya use bhi Kisi Waseele ki zaroorat hai ? . Hamara Allah to woh hai jo har baat ka ilm rakh hai hai... . 


Allah (SWt) ne farmaya

 " Tum baat posheeda kaho ya zahir Woh seeno ki har baat janne wala hai " 

( Surah al-Mulk---- 13) . 

ek jagah aur Allah ne farmaya 

" Hum hi ne Insan ko piada kiya hai aur jo khyal bhi uske dil mai paida hota hai hum use jante hain ... aur hum to rag-e-gardan se bhi zyada uske kareeb hain " 

(Surah Saq--- 16 ) . 

Yeh hai Allah ka mamla aur rahe doosre to unhe pukarne wale ki pukar ki khabar hi nahi hoti hai pohchana aur siwarish karna to baad ki baat hai.... , . 

Allah (SWT) ka irshad hai ..

 " aur usse barh kar kaun Gumrah ho sakta hai jo aiseko pukare jo kayamat tak use jawab na de sake aur jo inki pukaron se hi ghafil ho . " 

( Surahal-ahkaf -- 5 ) . 

mushrekeen e makkah ka sabse barha Aqeeda yahi tha ke woh kehte they ke hum inhe Allah ke paas apna sifarshi banatey hain... 

Woh Allah ko mantey they perAllah ke sath doosron ko bhi mantey they unka yahi Aqeeda tha ke ye buzurg auliya Allah ke paas hamari sifarish karenge... .

 Quran mai Allah ne is baat ko youn bayan kiya..... . .

 " Hum (Allahke Siwa) inki bandgi isliye karte hain ke woh Allah tak hamari rasayee kara dien "

 ( Surah Zamar -- 3 ) . . 

woh yeh bhi kehte they ke 

" yeh Allah ke paas hamare Sifarshi hain "

 ( Surah Younus --18 . . 

Allah ne in Mushre keen ko apni kitab mai youn jawab diya....


 " Keh do kya tum Allah ko woh baat batate ho jiska wajood na use aasmano mai malum hota hai aur na zameen mai Woh paak aur A'ala hai us shirk se jo woh karte hain" . 

( Surah Younus -- 18) . 

Yahi Allah ke darbar tak apni baat pohchane ka Masla Rasool Allah saw ke paas bhi laya gaya poocha gaya ke kya hamari duaye bina waseele ke Allah tak pohchti hain........... . . 

Allah ne apne Quran mai iska jawab diya. farmaya ....

 " ( Aiy Nabi ) jab mere bandey tumse mere Mutallik pooche to unhe batlao ke mai unse kareeb hi hoon pukar ne wala jab mujhe pukarta hai mai jawab deta hoon lihaza unhe chahiye ke woh mera hi hukum mane aur mujh per hi Iman layein take rah rasit palein ' 

( Surah Al-Baqra -- 186 ) . 

maqsad yeh hai ke bataya gaya ke tum mujhe nahi dekh sakte lekin yeh khyal na karo ke mai tumse doorhoon mere bande apni arz mujh se kar sakte hain mai unki sunnewala hoon hatta ke dil hi dil mai dil hi dil mai woh Mujh se guzarish karta hai mai use bhi sun leta hoon aur sirf sunta hi nahi faisla bhi sadir kar deta hoon .... 

aur jin be-ikhteyar hanstiyon ko tumne hajat rawan Mushkil khusha qarar de rakha hai unke paas to tumhe dorh dorh kar jana parta hai aur phir bhi na to woh tumhari sunwayeekar sakte hain aur na hi ye taqat hai ke tumhari darkhaston per koee faisla sadir karein........ . 

Allah (SWT) ka Irshad hai .. . 

" Tumhare Rub ne irshad farmaya hai ke tum Mujh se Dua karo maitumari Dua kabool karunga (aur ye ) jo log meri bandgi se takabbur kartey hain unko zaroor Jahannum mai dakhil karunga " 

( Surah al-Momin -- 60) . 

Jo Malik itna nazdeek ho itna sunne wala ho jawab dene wala ho itna mehrban ho ke apne farmabardar aur baghi sab bando ki sunta ho aur apne se mangne ka hukum bhi deta ho tu phir Intehayee zulm ki baat hai ke phir bhi us tak pohch ne ke liye apne banaye hue zariyon ka sahara liya jaye .... . . 

Allah ne apne se mangne ka hukum diya hai kahin bhi yeh nahi farmaya ke kisi bandey ke waseele se mujh se mango to mai Dua kabool karunga kahi bhi nahi hai aisa...... 

aksar log qabro per jane ki taweel yeh bayan karte hain ke.. hum wahan mang ne ke liye nahijate balki un buzurgo se apne liye Dua karwane jate hain... 

jabke Allah ne to farmaya hai ke aiy Nabi tum Murdon ko nahi suna saktey phir kyon hum bhatak rahe hain ... agar buzurgose dua hi karani hai to unki zindagi mai unse dua karayee jaye aur dua har momin musalamn se karayee ja sakti hai agar woh zinda hai to per marne ke baad apni dua mai buzurgo ya nabiyon ya kisi ka bhi waseela lagana khula shirk hai.... Allah sab ki hifazat karey Aameen . 


aaj jhooti riwayat ke zariye Rasool Saw ka waseela lagana jayaz hi nahi acha samjha jane laga ..


 riwayat bayan ki jati hai ke . . 


Adam A.s. ne jab Allah se apni ghalti ki maufi mangi to Rasool Allah saw ke waseele se dua mangi aur phir Allah ne poocha ke Mohammed naam ka ilm tumhe kaise hua Adam A.s. ne kaha ke mene arsh per likha dekha La ilaha Illlalah Muhammed ur Rasool Allah saw...

yeh Riwayat bayan karke Waseele ko jayaz thehraya jata hai.... 

hum yeh bhool jatey hain ke Allah ne Adam A.s ka sara qissa apne Quran mai bayan farma diya hai.... Adam A.s ne kya Dua ki thi ye bhi Quran mai hai ... woh Dua yeh hai.... . 


" Adam aur Hawwa ne kaha Aiy hamare Rub hamne apni jano per zulm kiya aur agar Tune hamein na baksaha hum per reham na kiya to hum khasara pane walon mai se ho jaynge.." 

( Surah al-Ahraf==23 ) . 

yeh hai Adam A.s ki dua aur yeh Kalmat Allah ne unhe sikh laye they kahan hai isme kisi ka waseela??? . 

aur mohaddeseen ne is Riwayat ko jhooti qarar diya hai .. RasoolAllah saw ki koee bhi Hadees Quran ki kisi bhi ayat ke kabhi bhi mukhtalif nahi ho sakti....

 aaj afsos ke hum sahee baat ko chor kar jhooti aur logo ki banayee huee baton ke peechechal diye.... 

khulasa yeh hai ke Allah ( SWT ) apni zaat aur sifat ke sadke aur waseele ke alawa har doosri zaataur sifat ke sadke aur waseele ko najayaz aur shirk qarar deta hai..Uska farman hai ke mere bandon mujh se mango pukar na hai to mujhe pukaro sirf mere paas hi woh khazane hain jo tumhari har hajat poori kar sakte hain .. " aur Allah Ta'ala ke ache naam hain usko usi ke namo se pukaro " 

( Surah al-Ahraf-- 180 ) .

 for Example...

 Maghfirat ki talab ho to Ya Rehman Ya Raheem , Rizk ki talab ho To Ya Razzak kehkar Allah se dua karo ...

 ab agar koee Allah ke namo ki jagah Uske Nabi wali Ya peer ka naam lekar kehta hai ke Allah inke sadke meri dua Qabool farma to iska matlab hua ke woh Allah ke zaat aur sifat ke behtreen naam se zyda Nabi ya wali ke naam ko asar dar mantahai .

.aur ye sirf Allah ke sath uske bande ko shareek therana hi nahi balki Allah ki shadeed Toheen bhi hai.... Allah-O-Akbar . Hum Un Logon Ka Amal dekhlein Jo deen ko hamse bht zyada samajhte the ... 

sahaba kiram sezyada deen to hum nahin samajh sakte na to ayein dekhein kya Sahab Kiram ne kabhi Rasool Allah SAW ka waseela apni dua main lagaya...... . 

" Anas bin malik Radhi. riwayat karte hain ke Hazarat Umar Radhi. jab barish nahi hoti thi to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib se barish ki dua karwate they aur kehte they ke Ya Allah hum apne Nabi saw ko teri taraf (Dua ke Liye ) waseela banate they aurtu barish barsata tha (ab jabke woh hamme nahi hain ) hum apne Nabi saw ke chacha ko (Duamai) waseela banate hain Malik barish bhej aur barish ho jati thi" 

( . Saheeh Bukhari page 137 jild1 ) . 

ab hum khud sochein Rasool Allah saw se zyda fazilat wali zaat konsi hai jiska waseela duamai ikhteyar kiya jaye Hazrat Umar Radhi. se zyda deen ko samajh ne wala kon ho sakta hai aaj magar Rasool saw ke is duniase jane ke baad Woh na to Rasool saw ki qabr per jakar dua karte hain aur na apni dua mai Rasool saw ko waseela banate hain balki Rasool saw kechacha Hazrat Abbas Radhi. se dua karwate hain jo us time Zinda they ..