Monday, January 20, 2014

DARUL-ULOOM-DEOBAND----(GUM'SHUDA FIKR KI TALAASH)




 Bismillahirrahmanirraheem

 

DARUL-ULOOM-DEOBAND----(GUM'SHUDA FIKR KI TALAASH)

 

Darul Uloom Deoband Ki Buniyaad Maulana Qasim Nanotwi Ke Haathon 1866 CE Me Rakhi Gayi,

Bani (Founder) Ke Ba'qaul Is Madarse Ka Maqsad

1- Azaadi Zameer Ke Saath Har Mauqa Par Kalimatul Haq Ka Aalaa Ho, Koi Sunehri Tama'a, Marbiyaanah Dabaao Ya Sar'parastaana Mara'aat Isme Hail Na Ho Sake,

2- Iska Taalluq Aam Musalmano Ke Saath Zyada Se Zyada Hota Ke Ye Taalluq Khud Ba Khud Musalmano Me Ek Nazam Paida Kar De, Jo Unko Islam Aur Musalmano Ke Asal Shakal Par Qayem Rakhne Me Ma'een Ho Aur Is Tarah Islami Aqaid Aur Islami Tahzeeb Hamesha Ke Liye Warna Kam Se Kam Us Waqt Ke Liye Mahfooz Ho Jaaye Jab Tak kE Ye Markaz Apne Sahih Usool Par Qayem Rahe

(Taareekh Dawat Wa Jihaad Page 226, hindustan Publishing Delhi 1984)

Maulana Nanotwi Ne Darul Uloom Deoband Ke Liye Chand Buniyaadi Usool Waza Kiye,

Un Buniyaadi Usoolon Me Ek Buniyaadi Usool Ye Tha Ke Ye Madarsha Hazrat Shah Waliullah Ke Maktab Fikr Ka Paband Hoga Aur Hazrat Shah Waliullah Ne Apni Kitab "Hujjatul Baaligha" Me Apni Fikr Is Tarah Bayaan Ki Hai Jiska Ikhtesaar Kuch Is Tarah Hai

1- Kisi Imam Ne Taqleed Ki Talqeen Nahin Ki Balke Isse Izhaar Bezaari Kiya Hai

2- Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baad 375 Saal Tak Kisi Khalifa, Sahabi, Tabai, Taba'tabaieen Ki Taqleed Nahin Ki Gayi--- Fir Ab Kyon ??

3- 4thi Sadi Hijri Ke Aakhir Tak Quran Wa Hadith Ke Dalail Se Fatawa Diye jaate They Lekin 4thi Sadi Hijri Me Taqleed Ka Marz Paida Hua,

4- Kisi Bhi Shakhsiyat Ki Har Baat Waajibul Ita'at Qaraar Nahin Di Ja Sakti, Aisa Karne Waala Shirk Fil Risaalat Ka Murataqab Hoga, Yani Shakhsi Taqleed Karne Waala Shirk Fil Risaalat Ka Martaqab Qaraar Diya Jaayega"

( Tahreek Ahle Hadith Page 304-305, Maulana Qazi MUHAMMAD aslam Saif Firozpuri,1

Tahreek Deoband Ne Is Arshah Me Kuch Aham Taaleemi, Tableeghi, Islaahi Aur Tahqeeqi Khidmaat Anjaam Di Jo Na'qaabil Faramosh Hain,

Jamiatul Ansaar, Reshmi Rumaal , Aur Tahreeq Khilaafat Me Baaz Khamion Ke Ba'wajood Tahreek Deoband Ke Ulema Pesh Pesh Rahe...

Lekin Pichle Chand Saalon Se Darul Uloom Deoband Ke Rujhaanaat Me Tabdeeli Aai hai,

Abhi Kuch Saalon Pahle Wahan Raabta Madaaris Islamiyah Ka Ek Aham Ijlaas Maulana Marghoob Ur Rahman Sahab Ki Sadaarat Me Hua Jisme Hanafi Madaris Ke 3500 Se Zyada Afraad mulk Ki 25 Riyaasaton Aur Markaz Ke Zer Intezaam Ilaaqon Se Shareeq Hue,

Ijlaas Ke Qaraar Daadon Me Se Ek Ye Bhi Hai Ke Maujoodah Waqt Me Millat E Islaamiyah Hind Ko 2 Fitno Ne Phir Se Gher Liya Hai,

Unmese Ek Qaadyaaniyat Aur Dusra Fitna Ghair Muqallidiyat (Yani Tahreeq Ahle Hadith) Is Liye Raabta Ke Tahat Madaaris Ko In Dono Fitno Se Jung Karne Ki Khususi Koshishen Karni Chahiye, Aur Taalba Ko Uska Muqaabla Karne Ke Liye Taiyyar Karna Chahiye "

Is Qaraar'daad Par Tabsirah Karte Hue Dr Ghatreef Shahbaz Nadwi Likhte Hain

"Musalamanan E Hind Ke Masail Wa Mushkilaat Se Thodi Bahut Waaqfiyat Rakhne Waala Shakhs Bhi Is Qaraar'daad Ki Khatarnaaki Aur Zehar'naaki Ko Mahsoos Kiye Be'ghair Nahin Rah Rakta,

Zaahir Hai Ke Qaadyaaniyat Ek Fitna Hai, Zalaalat Ki Ek Dawaat Hai Uska Istesaal Aur Tadraaq Zaroor Hona Chahiye Koi Bhi Iska Inkaar Nahin kar Sakta,

Lekin Ghair Muqallidiyat (Ahle Hadith) Ko Is Ke Saath Jodhna Aur Qaadyaanion Jaisa Fitna Bataana Haq Wa Insaaf Ka Khoon Karna Hai,

Qaadyaaniyat Ek Baatil Tahreeq Hai, Ek Ghair Islami Giroh Hai, Jabke Ahle Hadith Ek Islami Tahreek Hai Aur Uski Islaah Wa Tajdeed Ki Apni Khidmaat Hain,

Mumkin Hai Ke Kisi Ko UsKi Fikr Aur Tareeqe'kaar Se Ikhtelaaf Ho, Us Ikhtelaaf Ka Izhaar Ilmi Buniyaad Par Kiya Ja Sakta Hai, Lekin Usko Sirre Se Hi Ek Fitna Bata Dena Bilkul Bhi Qaabil E Qubool Nahin "

(Sah'roza Dawat Delhi 10 June 2007)

6 December 1992 Ko Babri Masjid Ki Shahadat Aur 11 September 2011 Ko America Ke Twin Tower Par Hawaai Hamla Ne Is Wasi'e Ummat Ke Ulema Wa Awaam Ko Sochne Samjhne , Quran Wa Sunnat Ki Taraf Waapas Lotne, Islaahi Qadam Uthaane Nez Taqleed Ko Aalaa'kaar Banaane Ki Soch Par Nazar'saani Karne Ka Naadir Mauqa Faraaham Kiya Tha Lekin
Musalmano Ne Bil'umoom Aur Muqallidon Ne Bil'khusoos Ise Kho Diya,

Kitab Wa Sunnat Ke Bajaye Taqleedi Shariat Ko Raza E Ilaahi Ka Zariya Qaraar De Diya...

Maazi Me Bhi Hanafiyat Ki Bartari Saabit Karne Ke Liye Mukhtalif Sooratein Akhtiyaar Ki Jaatu Rahin,

Maulana Anwar Shah Kashmiri Daarul Uloom Deoband Ke Mashoor Ustaad They, Zaheen Aur Acchi Quwwat Haafiza Ke Maalik They,

Jung E Azaadi Ke Mukhaalif Aur Maulana Obaidullah Sindhi Ke Khilaaf Shajishen Rachte They,

Is Jurm Ki Paadaash Me Darul
Uloom Deoband Se Nikaal Diye Gaye,

Jis Zamaane Me Aap Hazrat Sheikh ul Hind Ke Maat'hat Ek Aam Mudarris They, Us Waqt Aapne Ek Kitaab Ka Masauda Taiyyar Kiya Jisme Ahle Hadith , Salafi Ulema Ki Taraf Ghalat Masail Mansoob Karke Muntaqiyana Andaaz M
e Quran Wa Hadith Ke Sareeh Nusoos Ko Masakh Kiya,

Hz Sheikh Ul Hind Un Aiyyam Me Hindustan Ki Azaadi Ki Tahreek Me Mashghool They Aur Dars Hadith Bhi Dete tHey,

Unki Masroofiyat Se Faayeda Uthaakar Allama Anwar Shah Kashmiri Ne Ye Masauda Unki Khidmat Me Pesh Kiya Aur Chand Muqamat Sunakar Unse Ye Ijaazat Le Li Ke Ye Masauda Aapke Naam Se Shaaye Kiya Jaye Aur Aisa Hi hua,

Masauda "Aizah Ul Daulah" Ke Naam Se Shaaye hua Jiske Ibtedaai Aur Buniyaadi Muqamaat Hazrat Sheikh Ul Hind Ke Tahreer Kardah Hain Aur Baaqi Masaudah Allah Anwar Shah Kashmiri Ka Tahreer Kiya hua Hai,

Is Kitaab Ki Isha'at Se Pahle Deobandi Ulema Aur Ahle Hadith Ulema Bahut Hadh Tak Fikr Shah Waliullah Se Waabasta They Aur Unhi Ka Asloob Fiqah ul Hadith Unka Markaz Wa Mahoor Tha, Wah Dono Zahni Bu'ad Aur Baahimi nafrat Se Khaase Door They,

Is Kitab Ki Isha'at Se Fikr Waliullah Se Waabasta Ulema Do Jamaton Me Bat Gaye, Ek Deobandi Hanafi Jamat Aur Dusra Jamat Ahle Hadith"

(Tahreek Ahle Hadith Page 300, Al KitabInternational Delhi 1996)

Allama Anwar Shah Kashmiri Ne fiqh Hanafi Ke Masail Sahih Saabit Karne Aur Sahih Hadith Ki Taaweelen Karne Me Poori Zindagi Khapa Di,

Imam Sahab Ke Qaul Ko Sahih Rakhne Ke liye Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Hadith Ki man'maani Taaweel Karne me Unhen Qaabiliyat Haasil Thi,

Lekin Zindagi Ke Aakhiri Ayyam Me Maut Ko Qareeb Dekhkar Unhe Rah Rah kar Yahi Khyaal Aata Tha Ke Poori Zindagi Hadith Ke Todhne Marodhne Me Sharf Kar Di, Kya Khoya, Kya Paaya,

Maulana Mufti Muhamamd Safi'e Marhoom Farmate Hain Ke Allama Anwar Shah Kahsmiri Ne Farmaya Tha

"Hamari umar Ka hamari Tahreeron Ka, Hamari Sari Kad o Kaawis Ka Khulaasa Ye Raha Ke Dusre Maslakon Par Hanafiyat Ki Tarjeeh Qayem Kar Den, Imam Abu Hanifa Ke Masail ke Dalail Talaash Karen Aur Dusre Aimma Ke Masail Par Aapke Maslak Ki Tarjeeh Saabit Karen, Ye Raha Hai Mahoor Hamari Koshishon Ka, Taqreeron Ka Aur Amal Zindagi Ka, Ab Ghaur Karta Hoon Toh Dekhta Hoon Ke Kis Cheez Me Umar Barbaad Ki "

(Wahdat Ummat Page 18, Ba'hawala Pak Wa Hind Me Ulema Ahle Hadith Ki Khidmaat)

Ahle Ilm Khoob Jaante Hain Ke Hadith E Rasool Arabic Mubeen ki Zabaan Me Hai,

Kisi Aisi Mubham Aur Pahelion ki Zabaan Me Nahin Hai Jin Ki Taaweelaat Ki Zaroorat Thi Aur Maulana Mausoof Ko Ye Farz Poora Karna Pada,

Maulana Anwar Shah Kashmiri Ko Apni Zindagi Ke Aakhiri Ayyaam Me Apni Nafs Ki Taraf Tawajjoh Karne Ka Mauqa Mil Gaya

Alhamdulillah ! Allah Taala Unki Laghzishon Ko Maaf Kare Aur Kotaahion Se Darghuzar Farmaaye
....Ameen

Main Samjhta Hoon Ke Unhe Apne Fa'al Par Nadaamat Sirf Is Baat Tak Mahdood Na Rahi Hogi Ke Wah Taqleed Ki Bartari Ke Liye Hadith Ki Man'maani Taaweelen Karte Rahe Balke Ye Bhi Ehsaas Hua Hoga Ke Unhone Hadith Ki Rooh Ko Chhupa Kar Kitni Badi Nadaani Ki Hai, Risaalat Par Zarb Lagaya Hai, Rasoollullah (Sws) Ke Taqaddus Ko Pamaal Kiya Hai,

Sunnat Rasool Ki Paband Jamaat Ki Tauheen Wa Tahqeer Ki Hai Aur Apne Pairo'kaaron Ko Sakhan'shazi Ka Kartab Dikha Kar Aisa Eendhan (Fuel) Faraaham Kar Diya Hai Ke Wah Kitab Wa Sunnat Ki Taraf Waapas Palat Na Saken,

Chunanche Ab Haal Ye Hai Ke Muqallidon Ke Rawaiyye se Taqleed Wa Adam Taqleed Ke Naam Par Muslim Samaj Ki Darja'bandi Ho Gayi Hai,

Is Darja'bandi Ko Bar'qaraar Rakhne Ke Liye Isse Kuch Deeni Wa Samaaji Munfatein Bhi Jodh Di Gayi Hain,

Daarul Uloom Deoband Me Haaliya Raabta Madaaris Islaamiyah Ki Qaraar'daadon Me Is Daur Ke Fitno Me Ahle Hadithiyat Ko Shaamil Karna Iski Misaal Hai,

Hind Wa Beroom Hind Me Dahshat'gardi Ko Musalmano Se Joda Jaata Hai Yani Dahshat'gardi Musalmano Ki Ek Pahchaan Ban Gayi hai,

Haaliya Saalon me Jais E Muhammad, Lashkar E Taiba, Tableeghi Jamaat, Simi , Aur Ahle Hadith Sanghthano (Organisation) Ke Khilaaf, Mumbai , Maalegaon, Makka Masjid, Samjhauta Express Ke Bam Dhamakon Ke Ilzamaat Iski Taazah Misaal Hai,

Kya Ahle Hadithiyat Ko Fitna Qaraaar Dekar Ye Ahle Hadithon Ki Nayi Pahchaan Banaane Ki Ek Mazmoom Shaazish Nahin Hai Aur Fistaayi (Saffaron) Aur Sahyooni (Zeonism) Taaqaton Ke Haath Mazboot Karne Ki Ek Chaal Nahin Hai ???

Ahle Hadithiyat Ki Buniyaad khalis Kitab Wa Sunnat Par Hai,

Ahle Hadithiyat Ya Ghair Muqallidiyat Ya Salafiyyat Na Koi Nayi Raah Hai Aur Na Koi Naya Mazhab Hai,

YE Taqleed Aur Zahni Jamood Ko Todhta Hai Aur Quraan Wa Sunnat Se Baraah E Raast Istefaadah Ki Daawat Deta Hai, 
Azaadi Fikr Wa Raaye Ki Talqeen Karta Hai,

Ahle Hadithiyat Ke Khilaaf Jung Dar'asal Quran Wa Sunnat Ke Khilaaf Jung Hai,


Ahle Hadithon Ke Baare Me Ek Deobandi aalim Deen Maulana Manazirul Hasan Gheelani Ki Raaye Padhiye

"Bajaaye Khud Ye Tahreek Kuch Bhi Ho, Lekin Isko Tasleem Karna chahiye Ke Apne Deen Ke Asaasi Chashmon (Quran Wa Hadith) Ki Taraf Tawajjoh Hindustan Ke Hanafi Musalmano Ki jo Palti Usme Ahle Hadith Aur Ghair Muqallidiyat Ki Is Tahreek Ko Bhi Dakhal Hai, Amoomiyat Ghair Muqallid Toh Nahin Hui, Lekin Taqleed Jaamid Aur Koraana Aitmaad Ka Tilism Zaroor Toota"

(Maah'naama Burhaan Delhi Page 10 August 1958, Ba'hawala Tareekh Dawat Wa Jihaad Page 199, Hinduatan publishind Delhi 1984)

Zamane Ne Karwat Li Hai, Taqleed Jaamid Ki Waqaalat Karne Waale Ehsaas Kamtari Ke Shikaar Hain,

Darul Uloom Deoband Me Daakhila Ke Waqt Taalba Se Haleefa Bayan Lena Ke

"Main Kasam Khaata Hoon Ke Main Muqallid Hoon "

Liya Jaata Hai,Jiska Maana

Taalba Ko Quraan Wa Hadith Ke Daayere Me Azaadi Fikr Wa Raaye Se Mahroom Karke Unke Saamne Muqallid Hone Ko Deeni Taaleem Wa Tahreek ke taur par Pesh Kiya Jaata Hai Yani Unke Gale me Taqleed Ka Tauq Daal Kar Unhe Zahni Taur Par Apaahij Kar Diya Jaata Hai,

Taalba Ko Quran Wa Sunnat Se Baraah E Raast Istefaadah Karne Se Rok Kar Deen Ke Taqaddus Ko Paamaal Kiya Jaata Hai,

Ghair Sanjeedah Wa Ghair sehat'mandana Azaim Ki Takmeel Ki Koshish Ki Jaati Hai,

Abhi Kuch Saalon Me Gujrat Ke Ek Shakhs Ka Ahle Hadithon Ke Khilaaf Jihaad Ke Liye 20 Lakh Rupaiye Ki Pahli Qist (Installment) Pesh Karna Usi Ghair Sanjeedagi Ka Suboot Hai,

Ikhtelaaf Ummat Ke Beej bone Se Muqallideen Ke Hisse Me Pahle Bhi Bad'naami Aayi Thi, Aaj Bhi Aa Rahi Hai, Muslim Samaaj Zer O zabar Hua Hai Aur Uske Kadwe Fal Toot Rahen Hain...

2 Aur 3 May 2001 Ko Jamiat Ulema E Hind Ke

"Tuhaffuz Sunnat Conference"

Ke Mauqe Par Ahle Hadithon Ko Ghair Maaroof, Nau'zayda(Bacha), Aur Modern Khwaarij, Qaraar Diya Gaya Tha ;

Hanafi Ulema Ne Ikhtelaaf Ummat Ke Andesha Ka Notice Nahin Liya, Unhe Jaag Jaana Chahiye Tha ,Lekin Unhe Hosh Nahin Aaya,

MusalmaNo Ke Khilaaf Dushmanan e deen Ki Taraf Se Jo Charge Sheet Lagaayi Ja Rahi hai Usme Izaafa Karna Kya Quran Wa Sunnat Ke Mutaabiq Hai ??

Kya Musalmano Me Tameez Markaziyat Ka Faqdaan Aur Aapasi Inteshaar Ka Rujhaan Pasandeedah Fa'al Hai ??

Kya Hanafi Ulema E Kiram Ko Quran Wa Sunnat Wali Sha'riat Manzoor Nahin Hai ??

Kya Wah Daarul Uloom Deoband Me Allama Anwar Shah Kashmiri Ki Qayem Kardah Bigaadh Ke Rujhaan Se Khush Hain ???

Ittehaad Ummat Ke Baare me janaab Professor Sa'ood Aalam Qasmi Sahab, Sadar Shoba Deeniyaat Muslim University Aligarh Farmate Hain

" Allah Taala Ne Musalmano Ko Ek Ummat Banaya hai, Ek Allah Ki Ibaadat Ka Huqm Diya Hai , Ek Kitab Ko Unki Zindagi Ka Dastoor Banaya Hai Aur Ek Aakhiri Nabi Ki Ita'at Ka Mutaalba Kiya hai, Musalmano Ko Ikhtelaaf Wa Inteshaar, Tafarraqa Wa Tanaza'a Aur Bahimi Jung Wa Jadaal Se Mana Kiya Hai Aur Ek Jism Ke Aaza Ki Tarah Muttahid Aur Mu'aawin Rahne Ka Huqm Diya Hai,

Musalaman Jab Tak Allah Ke Is HuQm Par Amal Karte Rahenge Wah Tasbeeh Ke Daano Ki Tarag Muqaddas, Marboot Aur Mazboot Rahenge Aur Moti ki Tarah Qeemti Rahenge,Jab Wah Bikhar Jaayenge ; Aapasi Aftaraaq Wa Inteshaar Ka Shikaar Ho Jaayenge Toh Kankar Wa Patthar Ki Tarah Be'keemat Ho Jaayenge...

Magar Aaj Wah Daur Aaya Hai Ke..... Baaz Musalmano Ne Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Ummat Ke Tukde Kar Diye Hain,

Musalamano Me Daakhili Taur Par, Khaandaan Wa Kabeela Ki Munafirat Fir Zinda Ho Gayi hai,

Party Wa Jamat Ki Rassa Kassi Fir Shuru Ho Rahi Hai, Biraadri Waad Ne Zor Pakad Liya Hai Aur Islaam Ke Mukhaalif Taaqaton Ne in Ikhtelaafaat Ko Hawa Dena Shuru Kar Diya Hai, Musalmano Ko Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Ye Hadith Yaad Rakhni Chahiye

"Ek Momin Dusre Momin Ke Liye Deewaar Ki Tarag Hai Jiski Eentein Ek Dusre Ko Taqwiyat Pahunchaati Hain"

(Bukhari)

(Khutbaat Jumah Page 332-336, Hamdard Education Society 2006 New Delhi)

Hanafi Duniya Ke Dusre Mashoor Aalim E Deen Maulana Abdullah Tariq Dehlawi Farmate Hain

"Mu'aashre Ki Islaah Islam Ke Buniyaadi Maqaasid Me se Hai, Quraan Majeed aur Sunnat E Nabawi Me Kufr Wa Shirk Ke Baad Jis Cheez Ki Taraf Sabse Zyaada Shadeed Muzammat Ki Gayi Hai Wah Yahi Bahimi Tafreeq Aur Mu'aashrah Bigaad Hai"

(Maslak Ka Farq Aur Milli Ittehaad Page 5)

Maulana Aage Farmate Hain

"In Tamam Alfaaz Wa Alqaab, Wa Istelaahaat , In Tamam Jumlon, Qaulon, Aur Lateefon Se Aur Aise Tarz Guftughu Aur Tarz Tahreer Se Parhez Kiya Jaaye Jisse Kisi Bhi Bhai Ki Ya 
Kisi bhi Tabqa Ki Tauheen hoti Ho,

Zabaan Wa Kalam Ke Wah Makfi Teer Wa Nashtar Aur Zauq Takallam Ke Wah Lateef Ishaare Kinaaye, Jin Par Zaahiri Shariat "Girebaan Gheer" Na Ho Saken Wah bhi Is Aleem Wa Khabeer Se Makhfi Nahin Jo Gujhasta Chasm Ke A
dna Ishaaron Aur Dil Ke Psheeda Raazon Tak Se Ba'khabar Hai" (Wah Aankhon Ki Khyaanat Aur Seeno Ki Posheeda Baaton Ko (Khoob) Jaanta Hai)

(Surah Momin 19)

Wah Mashoor Hadith Jise ham Mese Har Shakhs Apni Tahreer Wa Taqreer me Bayan karta Hai Ke Musalman Wahi Hai Jiski Zubaan Se Aur Haath Se Dusre Musalman Mahfooz Rahen,

ye Tamam Cheezein Uske Daayere Me Aati Hain

(Maslak Ka Farq Aur Milli Ittehaad page 38)

Arbaad Deoband Aur Uske Haamiyan Ko Chahiye Ke Jamiat Ul Ulema E hind Ki Sadaarat Ke Liye Maulana Arshad Madni Aur Maulana Mahmood Madani Ke Aapsasi Ikhtelaafaat Ki Pardah'poshi Aur Hanafi Madaris Ke Ulema Ko Mutthi Me Rakhne Ke Liye

"Ahle Hadithiyat Ka Fitna "

Na Khada Karen Ye Sehat'mandi ki Alaamat Nahin Hai,

Darul Uloom Deoband Jo Hanafiyat Ka Markaz Hai, Usme Is Rujhaan Ka panapna Bigaadh Ka Maujab Hai,

Is Rujhaan Ki Bekh'kani Karna Intehaayi Zaroori Hai,

Warna Daarul Uloom Deoband Ke Maqaasid Gum Ho Jaayenge Aur Ikhtelaaf Ummat Ka Darwaaza Khul Jaayega,

Ummat Ki Hawa Ukhad Jayegi Aur Ummat Ke Bad'khwaah Faayeda Uthaayenge..

Kya Ulema E Deoband Ko Quran Wa sunnat Wali Shariat Manzoor Nahin Hai ??

Kya Wah Daarul Uloom Deoband Me Maulana Anwar shah Kashmiri Ki Qayem Kardah Bigaadh Ke Rujhaan Se Khush Hain ??

Ulema E Deoband Ko Apni "Gumshuda Fikr" Ki Baaz Ya Raft Ke Liye Jeddo Jehad Karni Chahiye Na Ke Taqleed Shakhsi Ki Hifaazat Ki Aur Maulana Anwar Shah Kashmiri Ki Faraaham Kardah Eendhan (Fuel) Me Maachis Lagaane Ki...

Allah Taala Ham sabki Haq Baat Kahne Aur Sunne Ki Taufeeq De..... Aameen

By- Dr Abu Hayat Ashraf (Rh)