Wednesday, January 1, 2014

MUTASSIB MUQALLID AMEEN PKARWI KA JHOOT











Master Ameen Safdar Okarwi Deobandi Ka Mutaassib Muqallidon Ke Nazdeek Bada Maqaam Hai, Wah Unke Mashoor Munaazir
Aur Waqeel They,


Chunke Ab Bhi Aksar Mutasib Muqallidon Ke Mubaahis Ka Daromadaar Unhi Ki Ibaaraton
Par Hai, Isliye Okarwi Sahab Ke Kuch Jhoot Pesh E Khidmat Hain Taake Awaam Wa Khwaas Par Haqeeqat E Haal Munqashaf Ho
Sake ,


OKARWI JHOOT NO. 1



Ameen Okarwi Ne Kaha


"Iska Raawi Ahmad Bin Saeed Daarimi Mujsimah Firqah Ka Bid'ati Hai"


(Masoodi Firqah Ke Aitraazaat Ke Jawabaat Page 41-42, Tajalliyaat E Safdar Taba Jamiatul Ishaat Ul Uloom Hanfiyah 1/348, 349)


TABSIRAH


Imam Ahmad Bin Saeed Darimi (Rh) Ke haalaat "Tahzeeb Ul Tahzeeb 1/31-32" Me Mazkoor
Hain,

Wah Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim Wagerah Ke Raawi Aur Bala Ittefaq Siqa Hain


Imam Ahmad Bin Hambal Ne Unki Taareef Ki

Hafiz Ibn Hajar Askalani Ne Kaha

"Siqah Haafiz"

(Taqreeb Ul Tahzeeb 39)


Un Par Kisi Muhaddis, Imam ; Ya Aalim Ne
Mujsima Firqe Me Se Hone Ka Ilzaam Nahin
Lagaya..


OKARWI JHOOT NO. 2


Okarwi Ne Kaha


Rasool Akram (Sws) Ne Farmaya:-"Khutb a Ke Beghair Jumah Nahin Hota"


(Majmua Rasail 2/169 Taba June 1993)


TABSIRAH:


In Alfaaz Ke Saath Ye Hadith Rasool Akram (Sws) Se Qattan Saabit Nahin Hai,


Malikion Ki Ghair Mustanad Kitab "Madona" Me Ibn Shahab (Zohri) Se Mansoob Ek Qol Likha Hua Hai


"Mujhe Pata Chala Hai Ke Khutbe ke Beghair Jumah Nahin Hai Pas Jo Khutba Na De Toh Juhar Ki 4 Rakatein Padh Le"


(1/147)


Is Ghair Saabit Qol Ko Okarwi Sahab Ne Rasool
Akram (Sws) Se Sarahatan Mansoob Kar Diya..


OKARWI JHOOT NO. 3


okarwi Ne Kaha


"Biraadraan E Islam, Allah Taala Ne Jis Tarah Kaafiron Ke Muqaable Me Hamara Naam muslim Rakha, Isi Tarah Ahle Hadith Ke Muqaable Me Hz Muhammad (Sws) Ne Hamara
Naam Ahle Sunnah Wal Jamaat Rakha"


(Majmua Rasail Page 36 Taba November
1995)


TABSIRAH:


Kisi Ek Hadith Me bhi Rasool Akram (Sws) Ne Ahle Hadith Ke Muqaable Me Deobandion Ka
Naam Ahle Sunnat Wal Jamaat Nahin Rakha,

Ye Baat aam Ulema E Haq Ko Malum Hai Ke Deobandi Hazraat Ahle Sunnat Wal Jamaat
Nahin Hain Balke Nire Soofi, Wahdat Ul Wajoodi Aur Ghaali Muqallid Hain,


OKARWI JHOOT NO.4


Okarwi Ne Sihah Sitta Ke Markazi Raawi Ibn Jareej Ke Baare Me Kaha


"Ye Bhi Yaad Rahe Ke Ibn Jareej Wahi Shakhs Hai Jinhone Makkah Me Mutah Ka Aaghaaz Kiya Aur 90 Aurton Se Mutah Kiya"


(Majmua Rasail 4/164)


TABSIRAH:


tazkiratul Huffaz Lil Zahbi (1/169-171) Me Ibn Jareej Ke Haalaat Mazkoor Hain Magar "Mutah
Ka Aaghaaz" Ka Koi Zikr Nahin Hai,


Ye Khaalis Okarwi Jhoot hai,


Rahi Ye Baat Ke Ibn Jareej Ne 90 Aurton Se
Mutah kiya Tha Ba'hawala Tazkiratul Huffaz (Page 170-171) Ye Baat Saabit Nahin Hai,
Kyonki Imam Zahbi Ne Ibn Abdul Hakam tak Koi Sanad Bayaan Nahin Ki,


Sarfaraz Khan Safdar Likhte hain


"Aur Be'sanad Baat Hujjat Nahin Ho Sakti"


(Ahsanul Kalam 1/327)


Mutah Se Imam Ibn Jareej Ke Ruju Ke Liye Dekhiye Musnad Ibn Awaana

(2/279 H : 3313)



OKARWI JHOOT NO. 5


Ek Mardood Riwayat Ke Baare Me Okarwi Sahab Likhte Hain


"Magar Taaham Tahtaawi 1/160 Par Tasreeh Hai Ke Mukhtaar Ne Ye Hadith Ba'zaat E Khud
Hz Ali (Ra) Se Suni."


(Juzz Ul Qirat Lil Bukhari,Takhriqaat Okarwi
pAge 58)


TABSIRAH:


Ma'aani Al Athar Lil Tahtawi

(Beeruti Nuskha 1/219, Nuskha H.M Saeed Company, Adeeb
Manzil Pakistan Chauk Karachi 1/150)

Me Likha Hua Hai


"an Al Mukhtar Bin Abdullah Bin Abi Yayla
Qaal : Qaal Ali Razi'allahu Tala Anhu"


Ye Baat Aam Taalib Ilmon Ko Bhi Malum Hai Ke 'Qaal Aur Sama'at Me Bada Farq Hai Qaal (Usne Kaha) Ka Lafz Tashreeh Sama Ki
Laazimi Daleel Nahin Hota,


Juzz Ul Qirat Ki Ek Riwayat Me Imam Bukhari Farmate Hain


"Qaal Lana Abu Naeem"
(H : 48)


Is Par Tabsirah Karte Hue Okarwi Farmate Hain


"Is Sanad Me Na Bukhari Ka Sama Abu Naeem Se Hai Aur Na Ibn Abu Hasana Bhi Ghair Maaroof Hai"


(Juzz Ul Qirat, Mutazam 64)


OKARWI JHOOT NO. 6


Okarwi Ne Kaha
Aur Dusra Sahih Sanad Qaol Hai Ke Aap (Sws) Ne Farmaya:-"Ke Imam Ke Peeche Koi shakhs Qira'at Na Kare"

(Ibn Abi Shayba 1/376) (Juzz Ul Qirat Tarjuma Wa Tashreeh Ameen Okarwi Page 63 Tahat H : 47)


TABSIRAH :


un Alfaaz Ke Saath Musannif Ibn Abi Shayba
Me Aap (Sws) Ki Koi Hadith Maujood nahin Hai,


Balke Ye Sayyidena Jabir (Ra) Ka Qol Hai Jise
Okarwi Sahab Ne Marfu Hadith Bana Liya Hai,


OKARWI JHOOT NO.7


Okarwi NE Kaha


Hz Umar (Ra) Ne Nafe Aur Anas Bin Sureen Ko Farmaya:-"Tujhe Imam Ki Qirat Kaafi Hai"


(Juz Ul Qirat Okarwi Page 66 H : 51)


TABSIRAH:


Anas Bin Sureen (Rh) 33 Hijri Ya 34 Hijri Me
Paida hue


(Tahzeeb Ul Tahzeeb 1/374)


Aur Hz Umar (Ra) 23 Hujri me Shaheed Hue

(Taqreeb Ut Tahzeeb 4888)

Nafe Ne Hz Umar (Ra) Ko Nahin Paaya

(Ithaaful Maher Lil Hafiz Ibn Hajar 12/384 h : 15810)

Malum Hua Ke Anas Bin Sureen Aur Nafe Dono,Hz Umar (Ra) Ke Daur Me Nahin They,Toh "Ko Farmaya" Safed Jhoot h