Wednesday, January 29, 2014

HZ DHUL-QARNAIN KAUN THEY ????






Sawal- Dhul -Qarnayn Kaun The Quran Inke Bare Me Kya Batata Hai-
.
 

Answer-

Dhul -Qarnayn Ke Lafzi Maana Hai 2 Singo Wale Ke Ye Nam Isliye Pada Ki Asal Me Uske Sar Par 2 Sing The Ya Isliye Ki Usane Mashrik Wa Maghrib Yani Duniya Ke Dono Kinaro Par Pahunch Kar Suraj Ke Karan Ka Mushahda Kia Tha Kuch Kahte Hai Ki Uske Sar Par Balo Ki 2 Late Thi Karan Balo Ki Lat Ko Bhi Kahte Hai Yani 2 Lato Ya 2 Mendho Ya 2 Julfo Wala
 


Kadeem Mufsserin Ne Aamtaur Par Uska Misdak Sikandar Rumi Ko Qarar Dia Hai Jiski Fatuhat Ka Daira Mashriq Wa Maghrib Tak Faila Hua Tha Lekin Jadeed Mufssereen Ne Jadeed Tarikhi Malumat Ki Nazar Se Us se Itefaq Nahi Karte Hai Khastaur Se Maulana Abul Kalam Azad Hind
Maulana Abul Kalam Azad Tafseer Tarzumanul Quran Jild Awwal Safa 399 Tab'aa Kadeem Me Dhul -Qarnayn Ke Bare Me Likhte Hai Ki 


Dhul -Qarnayn Ko Allah Ne Asabab Wa Wasail Ki Farwani Se Nawaza Tha Wah Mashriqi Wa Maghribi Mamalik Ko Fat'ah Karta Hua Aik Aisi Pahri Durre Par Pahuncha Jiski Dusari Taraf Yajuj Majuj The Usne Waha Yajuj wa Majuj Ka Rasta Band Karne Le Liye Ek Nihayat Muhkam Bandh Tameer Kia Wah Aadil Wa Allah Ko Manane Wala Akhirat Par Iman Rakhne Wala Tha Wah Nafs Parsat Aur Mal Wa Daulat Ka Harees Nahi Tha Us Se Murad Farsi Ka Wah Azim Huqmaran Hai Jise Yunani Cayrus , Ibrani Khuras Aur Arab Khusru Ke Nam Se Pukarate Hai Uska Daure Huqmrani 539 Kabl Masih Hai 

Yah Bhi Farmate Hai Ki 1838 Me Cayrus Ke Ek Mujassame Ka Bhi Inkshaf Hua Jisme Cayrus Jism Is Tarah Dikhaya Gaya Ki Uske Dono Tarf Ukab Ki Tarah Par Nikale Huwe Hai Aur Sar Par Mendhe Ki Tarah 2 Sing Hai
 


[Tafsir Ke Liye Mazkura Wala Hawala]
.
 

Quraish Makkah Ko Yahudiyo Ke Jakheere Ilm Par Kafi Aitmad Tha Unhone Haris Aur Uqba Bin Abi Mueet Ko Yahudiyo Ke Pas Madina Bheja Tha Ki Muhammad Rasul s.a.w Kya Waqai Allah Ke Nabi Aur Rasul Hai?
 


Muhammad s.a.w Us Waqt Makkah Me Hi Me The Hijrat Karke Madina Nahi Aye The Un Yahudiyo Ne Muhammad s.a.w Ke Rasul Aur Nabi Ki Tasdeek Aur Takjeeb Ke Liye 3 Sawalat Kuraish Ko Talqeen Kiye The Ek Ruh Se Mut'alik ,Dusra Ashabul Kahaf Aur Teesra Dhul -Qarnayn Ke Mut'allik Tha Tab Quraish Ne Madina Se Wapas Aakar Makkah Me Muhammad s.a.w Se Yah 3 Sawalat Kiye Jin Me 2 Sawalo Ke Jawab Us se Pahle Bayan Kiye Ja Chuke Teesra Dhul -Qarnayn Ka Hai Allah Ne Us Waqiya Ka Quran Majeed Me Yun Bayan Farmaya Hai
-
 

18.83 Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun.
 

18.84 Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay.
 

18.85 Woh aik raah kay peechay laga.
 

18.86 Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray.
 

18.87 Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga.
 

18.88 Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay.
 

18.89 Phir woh aur raah kay peechay laga.
 

18.90 Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee.
 

18.91 Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai.
 

18.92 Woh phir aik safar kay saman mein laga.
 

18.93 Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi.
 

18.94 Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den.
 

18.95 Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero.
 

18.96 Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon.
 

18.97 Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay.
 

18.98 Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai.