Bismillahirrahmirraheem
ALLAH KI ZAAT KE MUTAALLIQ QADYAANI AQAID !
Qadyaanion ke aqaid ye hain
Allah taala roza rakhta hai, Aur namaz padhta hai, Sota hai aur jaagta hai, Likhta hai aur dastakhat (signature) karta hai,
Yaad rakhta hai aur Bhool jaata hai, Mujammat (sex) karta hai aur Bacche bhi paida karta hai,
uska tajziyah ho sakta hai, use Tashbiyah di ja sakti hai
(auzubillah)
Chunanche Qadyaani Hindi nabi Mirza ghulam ahmad qadyani kahta hai
" mujhse allah ne kaha ke main Namaz bhi padhta hoon aur roze bhi rakhta hoon, jaagta bhi hoon aur sota bhi hoon"
(al bushra jild 12 page 97)
ye hai Qadyaani aqeedah aur Qadyani hindi Nabi ki Wahiy wa ilhaam,
maqar wah kalaam haq jise Allah ne nabi e akram sallalahi alaihi wasallam par ba'zariye Rasool naazil kiya wah yun hai
" Allah wah hai jiske elaawa koi maboot barhaq nahin wah hayyu wa qayyum hai, jo na oonghta hai aur na sota hai, Aasmaan aur zameen jiske qudrat me hain, jiske saamne uski ijaazat ke be'ghair kisi ko shifaarish karne ka akhtiyaar haasil nahin, jiska ilm hat cheez par muheet hai aur jiske ilm ka koi dusra ahaata nahin kar sakta"
(surah baqarah)
Aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam farmate hain
" Na khuda sota hai aur na hi sona uske liye rawa hai"
(muslim, ibn maja daarimi,)
Isi tarah allah taala farmate hain
" Main har cheez ka ilm rakhta hoon aur mujhse koi cheez makhfi nahin"
(surah tahreem 12)
Aur farishton ki zabaani kaha
"Ham tere rabb ke ilm ke be'ghair aasmaano se nahin utarte ke uske liye hai jo hamare aage peeche aur uske darmiyaan hai aur tera rabb bhoolne wala nahin"
(surah maryam 64)
aur ba'zabaan hz moosa (as) farmaya
" na bahaqta hai mera rabb aur na bhoolta hai"
(surah taha 52)
QADYAANION KE NAZDEEK ALLAH GHALTI BHI KARTA HAI.
Lekin Qadyaani iske khilaaf ye aqeeda bhi Rakhte hain ke
allah ghalti bhi karta hai aur sawaab ko bhi pahunchta hai aur ye bad yahi baat hai ke Ghalti jahal aur insaan ke nateeje me hoti hai
aur iske maana ye hue ke
" allah baari taala Jaahil aur mubtela e Insaan hai" (maaz'allah)
chunanche qadyaani hindi nabi ke apne alfaaz hain
"Khuda ne kaha hai ke main rasool ki baat qubool karta hoon, Ghalti karta hoon aur sawaab ko pahunchta hoon. Main rasool ka ahaata kiye hue hoon"
(al bushra jild 2 page 97)
nez farmate hain
" Ek dafa maine kashf ki haalat me khuda ke saamne bahut se kaagzaat (documents) rakhe taake wah unki tasdeek (verification) kar de aur unpar apne dastakhat (signature) jaari kar de, matloob ye tha ke sab baatein jinke hone ke liye maine iraada kiya hai, ho jaayen...
So khuda taala ne surkhi ki siyaahi se dastakhat kar diye aur kalam ki nok par jo surkhi ziyaadah thi usko jhaada aur ma'an jhaadhne ke us surkhi ki katre Mere kapdon aur abdullah ( Mirza qadyaani ka ek mureed) ke kapdon par pade aur jab haalat e kashf khatm hui toh mainr apne aur Abdullah ke kapdon ko surkhi ke katron se tar'batar dekha aur koi cheez aisi hamare paas maujood na thi jisse us surkhi ke girne ka koi ehtemam hota,
aur wah wahi surkhi thi jo khuda taala ne apne kalam se Jhaadi thi, ab tak baaz kapde Miyan abdullah ke paas maujood hain jinpar wah bahut si surkhi padi thi"
(Taryaq ul quloob page 33, haqeeqatul wahiy page 255, mirza qadyani)
ek jagah allah ke baare me likhta hai
" ham yaqeeni taur par farz kar sakte hain ke Qayyum ul aalaameen ek aisa wajood e azam hai jiske Be'shumaar haath, be'shumar pair, aur har ek aazu is kasrat se hain ke tadaad se khaarij aur la'inteha Arz wa tool rakhta hai, Tendue (cheete) ki tarah us wajood azam ki taaren bhi hai, jo safah hasti ke tamaam kinaaron tak phail rahin hai aur kashish ka naam de rahin Hai "
(tauzeeh ul maraam page 75)
Aur is tarah allah taala ke is qaul ki takzeeb ki jaati hai
" nahin hai us tarah ka koi aur wahi hai sunne waala hai dekhne waala"