Monday, February 11, 2013

PERSIA (IRAN)---- SHIA'S KA MUQADDAS MULK :







Bismillahirrahmanirraheem



PERSIA (IRAN)---- SHIA'S KA MUQADDAS MULK :



Iran (persia) ki zameen par Hz umar farooq (ra) ke ahad mubaarak me parcham (flag) tawheed buland hua,


Hz umar farooq (ra) ne Iraanion ke Quwwat wa Shauqat ko paara paara kiya

unhen unhi ki sar'zameen par shikasht di, wahan se majoosiyat ka safaaya kiya aur Sadiyon se hukumat karte hue Firouniyat ke daawedaar sassaani khandaan (sasaani empire) ka khaatma kiya,

Isi wajah se majoosiyat ke pairokaar hz umar (ra) ke khilaaf ho gaye aur unhen apne dushman e awwal jaanne lage,


Chunanche yahoodion ne apne Napaak Aqaid ki tajweez aur Islami hukumat ke khilaaf Fitna wa fasaad ke beej bone ke liye Iran ki sar'zameen ko zer'khair khyaal kiya


aur phir Ittefaaq se Iraani shahensha Khusru (chosru) parvez ki beti SHAHERBANU hz hussain (ra) ke aqad me aa gayi,


kyonke hz umar farookh (ra) ne Fatah Iraan ke baad Iraani Qaidion ke saath Aane waali Kisra parvez ki Beti SHAHRBANU, hz hussain (ra) ko hiba (gift) kar di,


aur hz hussain (ra) ne usse Shaadi kar li thi,


Iraanion ne kab dekha ke Hz hussain (ra) ke Bete Shia ke 4th  imam Ali zainul aabideen Shahrbanu ke batan (womb) se paida hue hain aur is aitbaar se Maa ki taraf se unki ragon me Iraani khoon gardish kar raha hai,


Chunanche unhone Shia mazhab qubool karne me zara si bhi der nahin ki aur hz umar bin khattab (ra) ke khilaaf inteqaami jazbaat ko taskeen dene aur Sassaani khoon ki taqdees ke liye Fauran ibn saba yahoodi ke ham'nawa ban gaye...


Ibn saba ne iraani shaher Koofa ko apni sar'garmiyon ka markaz bana kar majoosion ke taa'wun se Khulefa e rasheedoon aur deegar sahaba e kiran (ra) ke khilaaf muhaaz bana liya aur  Yahoodi wa majoosi Aqaid ki tajweez shuru kar di,


British reseacher jisne Iraan me lamba arsa ghuzaar kar wahan ki shafaaqat wa taareekh ka gahra mutaala kiya apni Kitab me likhta hai


" Iraanion ki taraf ke musalmano ke dusre khaleefa hz umar bin khattab ki mukhaalifat wa muzammat ka sabab iske siwa kuch na tha, ke unhone Persia ko fatah kiya aur unki Quwwat wa shauqat ko kamzor karke wahan Islam ka parcham buland kiya tha, albatta Iraani khul kar umar bin khattab ki mukhaalifat na kar sake aur unhone ise mazhabi rang de kar aur kuch khud banaaye huw aqeedon ka sahara lekar unse bughz wa adaawat ka izhaar kiya "

(taareekh iran, dr brown page 217, urdu tarjuma india)


ek dusri jagah likhte hain


" Ahle iraan ki taraf se Hz umar bin khattab (ra) ki mukhaalifat ka sabab ye na tha ke unhone Ali aur hz Fatima (ra) ke huqooq Ghazab kiye they, balke asal wajah ye thi ke hz umar bin khattab (ra) ne iraan ko fatah karke Sassaani khaandan (sassani empire) ka khaatma kiya tha"


british musannaf dr brown ne yahan ek iraani shaayer ke faarsi ash'aar bhi naqal kiye hain




" Yani umar ne iraanion ki kamar todh di aur aal e jamshed (shahenshah faaras ka naam) ki bekh'kani ki,

Ali se khilaafat ka Ghazab karna toh ek bahaana hai,

umar ki mukhaalifat ka asal sabab toh un ajmion (non arab) ka wah keena wa hasad hai jo Zamaana qadeem se chala aa raha hai"


aur


" Jab iraanion ne dekha ke Ali bin hussain zainul abideen me Iraani khoon ki amezish hai toh ye baat unke is aqeede ki pukhtagi ka ba'as bani ke mulookiyat isi Khaandaan ka haq hai"


(tareekh adbayaat iran jid 2 page 49)



to be continued...........