Monday, February 4, 2013

SHIYYYAT AUR ABDULLAH IBN SABA YAHOODI






Bismillahirrahmanirraheem



SHIYYYAT AUR ABDULLAH IBN SABA YAHOODI




Ham pichhle articles me Abdullah bin saba maloon ke baare me bayaan kar chuke hain ke ye shakhs yahoodi tha, usne musalmano ki safon me ghus kar Islam dushman kaarwaahiyon ka Aghaaz kiya aur apne bahut se mu'aawin ki madad se usne mukhtalif shaheron me fitna wa fasaad ka jaal phailaa kar hz usman (ra) ke khilaaf propaganda jaari rakha jiske nateeje me Ummat e islamiyah inteshaar ka shikaar ho gayi, Aur yahoodiat ke kokh (womb) se hubbe ali ke pardah me ek naye Deen ne janam liya, jiske pairokaaron ne "shiyyaan e ali " ka laqab akhtiyaar kar liya...


Ham in tamaam umoor ki wazaahat Shia mu'arrakheen ki apni nasoos ki roshni me pichle article me kar chuke hain,

yahan ham Ibn saba ke  SAHABA kiram ke mutaallik nazariyaat pesh karte hain



Farmate hain

" Allah taala hamare ooper tohmat lagaane waalon par laanat farmaaye, jab abdullah bin saba ka zikr hota hai toh mere jism ke rongte khade ho jaate hain, usne ali (as) ki taraf bahut ghalat baatein mansoob ki, jab ke aap (ra) allah taala ke nek bande aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke bhai they (yani wasi ya nayab na they), aap (ra) ko jo maqaam wa martaba mila wah allah aur uske rasool ki itta'at wa farma'bardaari se mila "


(rijaal al kashi page 100)


isi tarah hz jafar saadiq se riwayat hai ke


" hamare khaandaan ki taraf bahut se ghalat aqaid mansoob kiye gaye hain, musailma kazzab ne nubuwwat ka daawa karke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke mutaallik ghalat daawe kiye, isi tarah abdullah ibn saba ne ali (as) ke hawaale se bahut se ghalat aqaid ki isha'at ki "


(rijaal al kashi 101)



" abdullah ibn saba jab Shaam (syria) me waarid hua toh usne hz abu zar (ra) Ke paas jaakar unhen Ameer mu'awiya (ra) ke khilaaf uksaane ki koshish ki phir wah hz abu darda (ra) ke paas aaya toh unhone uski baatein sunkar farmaya

" tum kaun ho ? Mujhe toh tum yahoodi lagte ho !"


(taarekh tabri jild 5 page 90, matbua egypt)




FITNA WA FASAAD:




Tamam mu'arrikheen khwaah unka taalluq Shia mazhab se ho ya Ahle sunnat se, unka ittefaaq hai ke Ibn saba ne musalmaano me fitna wa fasaad ki aag bhadkaayi,

apni ishte'aal angez kaarwaahion se musalmano ko ek dusre ke khilaaf saf aara kiya,

Ibn saba ne hi Ameer ul momineen hz usman (ra) ke khilaaf apne saathion ko uksa kar unhe shaheed kiya

Ayr jung e jamal se pahle jab ke hz ali (ra) aur hz aisha (ra) ki tamam ghalat fahmiya door ho chuki thi aur mu'aaheda par amal dar'aamad shuru ho chuka tha, Ibn saba ne dono lashkaron me apne aadmi daakhil karke raat ki taareeki se faayeda uthaate hue teer'andaazi karke Jung ka Aghaaz kar diya Tha , aur soorat e haal ka ilm na hone ki wajah se dono lashkar ghalat'fahmi ka shikaar hokar ek dusre ke khilaaf muhaaz'aaraai ho gaye they,

aur phir yahi Ibn saba Shaher shaher basti jaakar apne aqaid ka par'chaar karta raha,

madeena munawwara se misr gaya, misr se Basrah, aur basrah se koofa,

phir koofa ko usne apni sar'garmiyon ka markaz bana liya, aur ahle bayt se muhabbat ki oat me Waasayat wa wilaayat Ali, Tabarra baazi, raja'at, aur deegar Aqaid ki tarweej jaari rakhi,


Yahood wa majoos me se uske bahut se madadgaar dost bhi they............ Lanattullah



SAHABA KIRAM (RA) KE KHILAAF TAAN O TASHNEE



Shia mu'arrikh Naw'bakhti ki wah nas pichhle article me ghuzar chuki hai, jisme usne kaha hai ke

" Ibn saba ne sabse pahle khulefa e rashideen aur deegar sahaba kiram (ra) ke khilaaf taan o tashnee ka aghaaz kiya aur phir uske baad uske pairokaaron ne use apne aqaid me shaamil karke Mustaqal taur par tabarra'baazi shuru kardi, aur ye aqeeda Shia qaum ki pahchaan ban gaya "


chunanche Koi shia aisa nahin jo khulefa e rashi deen aur deegar sahaba kiram (ra) ke khilaaf apne seene me bughz wa adaawat na rakhta ayr unhe bura bhala na kahta ho.....



HZ ABU BAKR SIDDEEQ (RA)



Shia mu'arrikh aur jirrah wa tadeel me Shia ka imam " Al kashi "

hz abu bakr siddeeq (ra) ke baare me shia qaum ka aqeedah bayan karte hue, hamza taiyyar se riwayat karta hai ke

usne kaha :-"  ek din hamne imam jaafar saadiq ke paas muhammad bin abu bakr ka zikr kiya toh wah farmaane lage, allah ki rahmatein naazil ho muhammad bin abu bakr par unhone ali (as) ki baiyyat karte waqt kaha tha ke main gawaahi deta hoon ke aap (yani ali) mere Imam hain, aapki ita'at farz hai, aur is baat ki bhi gawaahi deta hoon ke mera baap abu bakr jahannami hai (maaz'allah)

is baat ka zikr karke imam saadiq farmaane lage ke - Muhammad bin abu bakr me ba'jaanib wa karaamat baap ki taraf se nahin balke unki waalidah asma bint umais (rh) ki taraf se thi "


(rijaal kashi page 60)


isi tarah ki riwaayat Shia ne imam bakar (ra) se bhi riwayat ki hai ke unhone kaha


" muhammad bin abu bakr ne ali (as) ki baiyyat karte waqt apne baap se bura'at ka izhaar kiya tha"


( rijaal al kashi 61)


nez


" muhammad bin abu bakr bure gharaane se acche fardh they"

(page 61)


ye tamam ibaaraat jo muhammad bin abu bakr, aur imam jaafar, imam baakar ki taraf mansoob hain bila'shubah jhooti hain,

magar aap mulaaheza farmaaye ke inse Yahoodi zahniyat ki aqqaasi aur yahoodi bughz wa hasad kis tarah bah rahi hai.....



HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)



hz umar bin khattab (ra) jinhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne " aqbari" ka laqab ata kiya

(sahih bukhari wa muslim bab fazail sahaba)


unke khilaaf Shia qaum apne dil me bahut ziyaadah Adaawat rakhti hai


Shia riwaayat hai


" hz salman faarsi apne kisi zaati kaam ke liye umar bin khattab ke paas aaye, umar (ra) ne unhe waapas kar diya, baad me umar (ra) ko apne fa'el me sharmindagi hui aur unhe waapas bulaaya toh salman faarsi (ra) ne hz umar (ra) se kaha

"main toh sirf ye dekhna chaahta tha ke tumhaare dil se daur e jihaalat ka (islam ke khilaaf) taassub khatm ho gaya hai ya tum waise ke waise hi ho"


(rijaal al kashi page 61 haalaat salman faarsi)


isi riwaayat se Shia qaum se bataana chaahti hai ke maaz'allah ameer ul momineen hz umar farooq (ra) ba'zaahir islam qubool karne ke ba'wajood bhi islam aur musalmano ke khilaaf daur e jihaalat ka sa taassub rakhte they



hz jaafar saadiq se riwaayat karte hain ke unhone kaha


" suhaib (ra) bura aadmi tha, kyonke wah umar ko yaad karke roya karta tha"


(rijaal al kashi 40)


hz baakar ki taraf mansoob karke likhte hain ke " muhammad bin abu bakr ne apne waalid (hz abu bakr ra) se bura'at ke elaawah ali (as) ki baiyyat karte waqt umar se bhi bura'at ka izhaar kiya tha"


(rijaal al kashi page 61)


Shia ke muhaddis ali ibn ibraaheem Qaimi, hz umar farookh e azm (ra) ki taraf jhoot mansoob karte hue kahta hai
umar ne apni wafaat ke waqt izhaar nadaamat karte hue kaha tha

" maine aur abu bakr ne (ahle bayt se) khilaafat wa imaarat ka haq Ghazab karne par aamaadah karna aur baaz ko baaz par fauqiyat dene mera bahut bada jurm tha, main allah taala se is jurm ki maafi maangta hoon "

nez ye khabees Shia aalim apni tafseer me siddeeq wa faarooq ke khilaaf apne khabas baaton ka izhaar in alfaazon me karta  hai

" Quraan majeed ki aayat (yani qayamat ke roz nadaamat ki wajah se zaalim apni ungaliyon ko kaatega),

is aayat me zaalim se muraad abu bakr hai,

wah kahega- aiy kaash ! Main falan (yani umar) ko apna dost na banaata,  Ye log sab kuch jaanne ke ba'wajood haraam ka irtekaab aur ameer yl momineen ali (as) ki fazeelat ka inkaar karte rahe "


( tafseer Qaimi jild 2 page 113, matbua najaf 1386 hijri)


khalifa e rashideen ne mutaallik Shia ka bughz aur tabarra'aaraayi kisi bhi shakh se makhfi nahin


goya ke kahne ka maqsad ye hai ke Ye ek Yahoodi aqeeda hai jo shiat me maakhooz hai,



HZ USMAN BIN AFFAN (RA)



shia qaum hz usman bin affan (ra) ke khilaaf bhi be'inteha bughz rakhte hain,

kyonke aap (ra) ne maali taur par islam ko taqwiyat pahunchaayi,

Musalman jab iqtasadi zabon'haali ka shikaar they us waqt aap (ra) ne apni saari daulat musalmano ke liye waqf kar di thi,

Shia Qaum ne hz usman (ra) ke isi jazbah aur aapki  sunehri khidmat par ghaiz wa ghazab aur bughz wa adaawat ke izhaar ke liye Yahoodiyat se akhaz kardah aqaid ke mutaabik apni kutub me bahut si riwaayat zikr ki hain


chunanche Shia mu'arrikh Al  Kashi apni kitab ne bayan karte hue likhta hai

rasoolullah sallalaho alaihi wasallam, hz ali aur hz ammar (ra) masjid e nabawi ki taameer me masroof they ke usman itraa kar chalta hua unke Qareeb se ghuzra, mera ameer ul momineen (hz ali ) ne hz ammar ko ishaara kiya toh unhone usman ko mutawajjoh karte hue kaha

" wah shakhs jo ruku, sujood se masjid ko aabaad karne waala ho aur wah jo apne aapko ghard wa ghubaar se bachaa kar guroor wa ghamand se chalne waala ho baraabar nahin ho sakte "


usman fauran shikaayat ke fharz se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke paas gaya aur kaha

" hamne isliye islam qubool nahin kiya ke ham par awaazein ki jaati hain aur hamari tauheen ki jaaye"

allah taala ko usman ka ye ghuroor wa taqabbar pasand na aaya aur ye aayat naazil farmayi

" ye log islam qubool karke bada ehsaan jataate hain unse kah dijiye ke mujhpar apne islam ka bhoj na daalo"


(rijaal al Kashi page 33)


yahi Al kashi shia raawi saaleh al ahza se ye riwaayat yun bayan karta hai


ali (as) aur hz ammar masjid e nabawi ki taameer me masroof they ke udhar se usman ka ghuzar hua, toh kuch ghard wa ghubaar uske kapdon me jaa gira, jis par usman ne apne chehre ko kapde se dhaanp kar taqabbaraana andaaz se munh dusri taraf pher liya toh ali (as) ne hz ammar se kaha ke jo main kahun tum use dohraate jaana toh ali (as) ne wahi shaayer padhe

hz ammar bhi saath saath dohraate chale gaye, is par usman aag bagola ho gaya aur Hz ali (as) ko toh kuch na kah saka magar ammar ko kaha

" o kameene ghulaam !"

toh ali (as) ne hz ammar se kaha ke jaao nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se shikaayat karke aao ke usmaan ne mujhe " kameena ghulaam" kaha hai,

chunanche hz ammar, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ki khidmat me haazir hue aur shikaayat ki toh aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam Ne farmaya ke

" tumhaare elaawa kisi aur ne bhi ye kahte hue suna hai"

ammar ne ali (as) ka naam liya, ali (as) ne bhi tasdeeq ki, toh aapne hz ali (as) se farmaya

" jaap tum bhi usman ko yahi alfaaz kah kar aao"

chunanche ali (as) gaye aur usmaan ko mukhaatib karke kaha

" tum ho gayr ghulaam, tum ho gaye kameene"


(rijaal al kashi page 33-34)


Auzubillaah !!!


Chunanche aisi ibaaratein Shia kitaabon me bhari padi hain jinse saabit hota hai ke Shia mazhab yahoodiay se maakhooz hai,


ek jagah yahi bad'deenat Shia apni kitaab me likhta hai


" ali (as) ne abdullah ibn abbas ko jab basrah ka governor muqarrar kiya toh, toh wah basra ke bait ul maal se 20 lakh dirham ki raqam chura kar makka me chhup gaya, ali (as) ko jab khabar hui toh wah ghamgheen hokar farmaane lage--- agar rasoolullah sallalaho alaihi wasallam ke chacha'zaad bhai ka ye haal hai toh baaqi musalmano ka allah hi haafiz hai"

(rijaal al kashi  page 57)



Is ibaarat se Shia qaum ka musalmano aur akaabireen e ummat muhammadiyah ke khilaaf bughz aur hasad waazeh ho jaata hai,

nez

ali (as) ne abdullah ibn abbas wagerah ke mutaalliq ye dua farmayi

" aiy allah inpar apni laanat naazil farma, inse inki bashaarat chhen le aur unhe baseerat wa hidaayat se marhoom farma "


(Rijaal al kashi 56)



LAANATTULLAH ALAL KAAZIBEEN !!!!!!

ALLAH TAALA SHIA QAUM KO HAQ BAAT SUNNE KI TAUFEEQ DE.......AAMEEEEEEEN YA RABBUL AALAAMEEN