QADYANIYAT---- HAQEEQAT KE AINE ME : (PART-1)
 
 
 
Bismillahirrahmanirraheem
 
 
 
QADYANIYAT---- HAQEEQAT KE AINE ME : (PART-1)
 
 
 
Qadyaniyat (ahmadiyyat) un baatil mazhab mese hai jinki Paidaish hi is 
Khaatir ki gayi hai ke Muslim quwwaton ko Nuksaan pahunchaaya jaaye,
 
 Islam ki bunyaadon ko dha diya jaaye aur usme daraar paida kiye jaayen,
 aur uske nazariyaat aur afkaar ko khokhla kiya jaye......
 
 
Lekin is soorat me ke kisi ko ilm tak na ho, kyonke tajurbaat aur 
taareekh ne ye saabit kar diya hai ke jab bhi kisi jamaat ya kisi 
mukhaalif giroh ne islaam ko lalkaar kar maidaan me Muqaabla karne ki 
jurraat ki toh wah is azeem Quwwat ko zarrah baraabar bhi na nuqsaan 
pahuncha saka...
 
 Balke uske muqaable me Islaam zyaada aab wa 
taab se chamka aur ujaagar hua, aur uske naam lewa aur zyaada walwale ke
 saath us shaaydaayi aur fidaayi ban gaye...
 
 Yahood wa nasaara aur Makka ke mushrikon ne aidi choti ka zor lagaaya, ke wah islam ki manzilat, martabe aur