Wednesday, October 8, 2014

SUNNAT AUR HADITH ME FARQ





 Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem

SUNNAT AUR HADITH ME FARQ

Sunnat Ka Bada Ma'khaz Chunke Zakheera Hadith Hai Is Liye Ye Dono Alfaaz Basa Auqat
Ham'mane Hi Samjhe Jaate Hain,

Halaanke Fanni Lihaaz Se In Dono Me Bada Waazeh Farq Hai,

Aur Ye Farq 4 Umoor Me Hai, Mulaheza Ho

1- BA'LIHAAZ MAANE AUR IST'LAAHI MAFHOOM:

Sunnat Ka Lughwi Mafhoom Koi Bhi Raij Shuda Tareeqa Hai, Khwaah Ye Tareeqa Accha
Ho Ya Bura,

Aur Sunnatullah Se Muraad Allah Tala Ka Qaayeda Aur Dastoor Ya Qanoon Fitrat Aur Allah Tala Ke Ahkaam Hain,

Lekin Sharai Istelahaat Me Sunnat Se Muraad Rasoollullah Sallalaho Alahi Wasallam Ka Koi Qaul, Fa'el, Ya Taqreer (Khamoshi) Hai,

Is Lihaaz Ye Sunnat Ki 3 Qismien Hui, Yani Aapka Har Irshad Qauli Hai, Aur Har Fa'el Sunnat Fa'eli Hai, Aur Har Wah Waaqya Jo Aapke Saamne Pesh Aaya Aur Aapne Az Raahe Tasweeb Khamoshi Akhtiyaar Farmaayi Wah
Sunnat Taqreeri Hai,

Hadith Ka Lughwi Maana "Baat" Hai, , Quran Kareem Me Hadith Ke Lafz Ka Ittelaaq Khud Quran Kareem Par Bhi Hua Hai,

Kyonke Quran Kareem Ne Us Daur Ke Gumraah Firqon Ke Aqaid Ke Bil'muqaabil Nayi Baat Ya Aqaid Pesh Kiye,

Aur Sharai Istelaah Me Hadith Har Us Sunnat Rasool Ko Kahte Hain Jo Zabt Tahreer Me Laayi Aur Isnaad Ke Saath Bayan Ki Jaaye,

Goya Asalan Har Hadith Ke 2 Hisse Hote Hain,

Ek Sanad Ka Aur Dusra Matan Ka Jisme Sunnat Mazkoor Hoti Hai,

Fir Hadith Ki Aqsaam Bhi Sunnat Ki Aqsaam Se Bahut Zyada Hain, Jin Mese Kuch Isnaad Ki Tanqeed Yani Riwayat Se Talluq Rakhti Hain,
Aur Kuch Matan Par Tanqeed Yani Diraayat Se Talluq Rakhti Hain,

Yahi Farq Ek Mahir Sunnat Aur Ek Mahir Hadith Ya Muhaddis Me Hai,
Mahir Sunnat Wah Shakhs Hai Jo Sunnat Rasool (Sws) Ya Uswa (Sws) Se Poori Tarah Waaqif Hone Ke Elaawah Raawion Ki Taareekh
Unki Shaqahat Wa Adalat Aur Unki Baahimi Rawaabat Se Bhi Poori Tarah Waaqif Ho..

2- BA'LIHAAZ WUS'AT MAANI:

Ibtedan Sunnat Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Lafz Ka Ittelaaq Bil'umoom Aqwaal Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Par Hota Tha,

Chunanche Dr Hameedullah Ne Hz Abu Hurairah (ra) Ke Shargird Hammam Bin Munabbih Ka Jo Saheefa Shaaye Kiya Hai Usme
138 Hadith Hain, Aur Ye Aqwaal Aap (Sws) Hi Se Taalluq Rakhti Hain,

Fir Sunnat Me Aapke Har Fa'el, Amal Aur Sukoot Ko Bhi Shamil Kiya Gaya Hai,

Fir Har Us Baat Ko Bhi Jiska Talluq Kisi Na Kisi Pahlu Se Rasoollullah (Sws) Se Sabit Ho, Yahan Tak Sunnat Ka Daayera Khatam Ho Jaata Hai,

Lekin Hadith Ka Daayera Usse Zyadah Wasi Hai, Isme Sahaba Aur Tabaien Ke Aqwaal Wa Af'aal
Bhi Shamil Hote Hain,

Jinhe Asar (Jama Aasaar) Kaha Jaata Hai, Aur Ye Asaaar Bhi Hadith Aur Usi Tarah Kutub Hadith Me Shamil Hain,

3- BA'LIHAAZ SEHAT WA SIQAM:

Sunnat E Rasool Har Wah Hadith Hai Jo Mansoob Ul Rasool Ho Aur Tanqeed Ke Jumlah Meyyaron Par Poori Utarne Ke Baad Durust
Saabit Ho,

Goya Sunnat E Rasool Ke Mutaalliq 2 Hi Baatein Ki Ja Sakti Hain Ke Aaya Wah Sunnat Rasool Hai
Ya Nahin,

Jabke Hadith Baaz Sahih Hoti Hain, Baaz Hasan, Baaz Zaeeff, Baaz Mauzu, Baaz Matrook, Aur Is Lihaz Se Hadith Ki Be'shumaar Aksaam
Hain Jabke Ham Kisi Sunnat E Rasool Ke Mutaalliq Ye Nahin Kah Sakte Ke Wah Sahih Hai Ya Zaeef Ya Mauzu Wgerah Wagerah,

Sunnat E Rasool Sirf Wahi Kahla Sakti Hai Jo Mumkanah Insaani Zaraaye Se Durust Saabit
Ho,

4- BA'LIHAAZ TADAAD:

Sunnat Aur Hadith Me 4th Farq Ba'lihaaz Tadaad Ye Hai,

Huzoor (Sws) Ke Ye Alfaaz Ke

"Inna'mal Amaal Bil Niyyaat"

Aapki Sunnat Qawli Hai, Aur Ye Ek Sunnat Qauli Taqreeban 700 Tareeqon Se Mazkoor
Hoti Hai,

Lihaaza Ye Ek Sunnat Ba'lihaaz Hadith 700 Hadith Shumaar Hogi,
Is Tarah Hadith Ka Shumaar Sunan Wa Aasaar Se Beesion Guna Badh Jaata Hai,

Jab Ham Ye Kahte Hain Ke Imam Bukhari (Rh) Ko 6 Lakh Hadithen Yaad Thi,

Toh Isse Mukhtalif Tarq Asaaneed (Sanad) Hi Muraad Hote Hain, Jabke Haqeeqatan Akhbaar
Wa Aasaar Ki Tadaad Us Tadaad Se Bahut Kam Hoti Hai,

Usi Tarah Baaz Dafa Ek Hadith Me Kai Sunan Mazkoor Hoti Hain...