Bismillahirrahmanirraheem
SHIA AUR AHLE BAYT- (PART-1)
Shia Ye Samjhte Hain Ke Wah Nabi e Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Ahle Bayt Ke Pairo'kar Aur Unse Muhabbat Karne Wale Hain, Unka Mazhab Ahle bayt Ke Aqwal Wa Fa'al Se Makhooz Aur UnkI Riwaayaat Wa Khyalaat Par Mabni Hai,
Ham Chaahte Hain Ke Is Par Bahes Karne Aur Ye Saabit Karne Se Pahle Ke Ye Baat Kahan Tak Sach Aur Jhoot Hai,
Is Post Me Ye Guftughu Karenge Ke Ahle Bayt Kaun They ??
Taake Har Padhne Waala Baat Ko Poori Tarah Samjh Jaaye Aur Har Tahqeeq Karne Waala Poori Tarah Jaan Jaaye Ke Is Lafz Se Kaun Log Muraad Liye Jaate Hain ?
Shia Ka Maana Wa Mafhoom Kiya Hai Aur Lafz E Shia Bol Kar Kinko Mukhaatib Kiya Jaata Hai ??
Ahle Bayt 2 Lafzon "Ahl" Aur "Bayt" Se Murkab Hai,
Sahab E Qamoos Ne Iski Wazaahat Karte Hue Kaha Hai Ke
"Agar Lafz Ahl Ko Kisi Kaam Ki Taraf Mansoob Kiya Jaye Aur Kaha Jaaye "Ahlul Amr" Toh Iska Maana Hoga,
Kaam Karne Waale, Ahl'kaar,
Isi Tarah "Ahle Bayt" Ka Maana, Ghar Ke Afraad Yani Ahl Khaana, Aur Ahle Mazhab Ka Maana, Us Mazhab Ke Pairo'kaar Hoga,
Agar "Ahl" Ki Nisbat Kisi Mard Ki Taraf Ki Jaaye Toh Uska Matlab "Uski Biwi" Hoga,
Nabi E Akram (Sws) Ki Tarah Is Lafz Ko Mansoob Kiya Jaaye Toh Iska Matlab Hoga, Aap (Sws) Ki Biwiyan, Betiyan wa Damaad Hz Ali (Ra), Unki Biwiyan Aur Wah Sab Log Jo Unki Aulaad Me Se Hain,
Kisi Nabi Ke Saath Lafz Ahl Lagaya Jaaye Toh Usse Us Nabi Ki Ummat Muraad Li Jaayegi"
( Al Qamoos 3/432)
Mashoor Imam E Lughat Zubaidi Ne Kaha Hai
"Ahle Mazhab Ka Matlab Hai, Us Deen Ke Pairo'kar Aur Maanne Waale, Ahle Rajl, Uski Biwi, Isme Uski Aulaad Bhi Shamil Hai
Allah Tala Ke Irshad Se Bhi Iski Taeed Hoti Hai
"Aur Wah (Hz Moosa) Apne Ahl Ko Lekar Chale, Yani Apni Biwi Ko Lekar"
Ahle Nabi Ka Matlab Hai Aap (Sws) Ki Biwiyan, Betiyan Wa Damaad Hz Ali (Ra) Aur Unki Biwiyan, Ahlah Ka Matlab Hai, Us ShakhS Ki Aulaad, Usme Pote Aur Dusri Aulaad Bhi Shamil Hoti Hai, Yahi Mafhoom Allah Tala Ke Is Irshad Ka Hai
Wa'muru Ahlaka Bis'salaati Was'tabira Alaiha
Aur Is Ayat Me Bhi Yahi Mafhoom Muraad Hai
Inna'ma Yureedul'laahu Li'yuz Hiba Ana'kum Rijana Ahlal Bayt
Ek Dusri Jagah Irshad Hai
Warahmatullah Wabarkatahu Alaikama Ahlal Baut Innahu Hameedum Majeed
Har Nabi Ke Ahl Uski Ummat Aur Unki Millat Ke Log Hote Hain Jo Nasab, Deen, Pesha, Gharaana Ya Mulk Ya Shaher Ke Aitbaar Se Ba'ham Munsalak Hon, Kisi Shakhs Ke Ahle Bayt Wa Afraad Hote Hain Jo Uske Saath Ek Jagah Me Rahte Hon, Fir Is Mafhoom Me Wus'at Paida Ho Gayi, Aur Iska Ittelaaq Un Sab Jagah Par Hone Laga Jo Nas Ya Mandarjah Bala Baaton Me Mustarak Hon,"
Imam Zubaidi Aage Chalkar Likhte Hain Ke
"Aal Allah Aur Aal e Rasool Se Muraad Hai, Allah Aur Uske Rasool Ke Dost Aur Madadgaar, Huzoor (Sws) Ke Dada Abdul Muttalib Ka Waaqeya Feel Ke Waqt Kaha Hua Ye Shayer Bhi Isi Maane Me Hai
" Yani Aiy Allah aaj Ke Roz Saleeb Ke Madadgaron Aur Uski Ibaadat Karne Waalon Ke Khilaaf Apni Aal Yani Apne Madadgaron Ki Nusrat Farma"
Ibn Manzoor Afriki Ne Likha Hai
"Ahle Mazhab ka Matlab Hai, Us Deen Ke Pairokaar,
Aur Ahlul Amr Ka Matlab Hai, Zimma'dar Afraad,
Ahle Bayt Un Nabi (Sws) Se Muraad Aap (Sws) Ki Biwiyan, Betiya Wa Damaad Hz Ali (Ra) Hain,
Har Nabi Ki Ahl Uski Ummat Hoti Hai,
Ahle Rajl Ka Matlab Hai, Us Aadmi Ki Biwi, Kaha Jaata Hai"
(Lisaan Ul Arab Ibn Manzoor Afriki Page 28- 30 Jild 11 Matbua Beerut)
Imam Raghib Isfahani Kahte Hain Ke Janab Zafar Sadiq Se Kaha Gaya Ke
"Log Kahte Hain Ke Sab Ke Sab Musalman Nabi (Sws) Ke Aal Hain Toh Unhone Kaha Ke Ye Jhoot Bhi Hai Aur Sach Bhi,
Unse Iski Wazaahat Poochi Gayi Toh Aapne Farmaya Ke ye Baat Jhoot Kahte Hain Ke Poori Ki Poori Ummat Aap (Sws) Ki Aal Hai Aur Ye Us WaqT Sach Bhi Hai Jab Wah Shari'at Ke Sharait Wah Ahkaamaat Poore Karen"
(Mufardaat Raghib Isfahani Pg 29-30)
Shia Musannifeen Muhammad Jawad Mughniya Kahta Hai
"Lughat Me Ahle Bayt, Ghar Ke Rahne Walon Ko Kaha Jaata Hai, Aur Kisi Aadmi Ki Aal, Uske Ahl Hi Ko Kaha Jaata Hai,
Albatta Aal Ka Lafz Kisi Sahab E Haisiyat Aadmi Ki Aulaad Par Bola Jaata Hai,
Quran E Pak Ki 2 Aayaton Me Ahle Bayt Ka Lafz Aaya Hai, Surah Hood Ki Ayat No 73 Jisme Irshad Hai
"Rahmatullahi Wa Barkatahu Alaikum Ahlul Bayt"
Aur Dusri Jagah Surah Ahzaab Ki Ayat 33 Me Jahan Farmaya
Inna,ma Yureedullah Li'yaz Hiba Ankumur Rijasa Ahlul Bayt Watu'harrakum Tat'heera,
Tamam Mufassireen Is Baat Par Mutawaffiq Hain Ke Pahli Aayat Me Hz Ibraheem Ke Ahle Bayt Aur Dusri Aayat Me Hz Muhammad Bin Abdullah (Sws) Ke Ahle Bayt Murad Hai,
Chunke Quran Ne Is Lafz Ko Huzoor (Sws) Ke Ahle Bayt Ke Liye Istemal Kiya Isliye Musalman Bhi Aal e Bayt
Aur Ahle Bayt Ka Lafz Sirf Muhammad (Sws) Ke Ahle Bayt Ke Liye Istemal Karte Hain,
Aur Ab Ye Lafz Itna Maroof Ho Chuka Hai Ke Goya Huzoor (Sws) Ke Ahl Khana Ka Naam Ban Gaya Hai,
Agar Koi Khaas Qareena Na Ho Toh Ahle Bayt Ke Lafz Se Huzoor (Sws) Hi Ke Ahle Bayt Samjhe Jaate Hain, Jaisa Ke Madeena (Jiske Maane Shaher Ke Hain), Itna Maroof Ho Chuka Hai Ke Jab Bhi Bola Jaata Hai, Isse Huzoor (Sws) Ka Wah Shaher "Madeena" Hi Samjha Jaata Hai Jiska Puraana Naam Yasrib Hai,
Nabi E Akram (Sws) Ki Azdawaaz E Mutahharaat Ke Baarah Me Musalmano Ka Ikhtelaaf Hai, Baaz Unki Tadaad 18 Bataate Hain Aur Baaz Bataate Hain Ki Aap (Sws) Ki Biwiyon Ki Tadaad 11 Hain,
Baher'hal Nabi E Akram (Sws) Ne 37 Baras Biwion Ke Saath Ghuzaare, Unse Allah Tala Ne Apko Bete Aur Betiyan Bhi Din,
Lekin Aap (Sws) Ki Beti Hz Fatima (Ra) Ke Siwa, Aap (Sws) Ki Hayat E Mubarkah Me Inteqaal Kar Gaye,
Tamam Musalmano Ka Is Baat Par Ittefaq Hai Ke Ali (Ra) Bin Abu Talib, Fatima (Ra), Hasan Wa Hussain (Ra) Asal Aale Bayt Hain "
(Ash Shia Wa Meezan Pg 437 Matbua Dar us Sunnah Beerut)
In Tamam Hawala Jaat Se Malum Hua Ke Ahle Bayt Asal Me Sirf Biwiyon Ke Liye Istemal Hota Hai, Fir Tajawazan Is Lafz Ko Aulaad Aur Azeez Wa Aqaarib Ke Liye Bhi Istemaal Kiya Jaane Laga,
Quran Paak Se Bhi Yahi Baat Saabit Hoti Hai, Hz Ibraheem (As) Ke Qissa Me, Jab Allah Tala Ke Farishte Aapke Paas Bete Ki Bashaarat Lekar Aaye ,
Chunanche Quran Ki Surah Hood Ayat Me 71-73 Me Ye Lafz Aaya Hai,
Allah Tala Ne Is Lafz Ko Apne Faroshton Ki Zabaan Se Khaas Hz Ibraheem (As) Ki Jauza Mutahharaat Ke Liye Istemaal Farmaaye Hain,
Shia Ulema wa Mufassireen Ne Bhi Is Baat Ka Iqraar Kiya Hai
Tabrisi Ne Majma Ul Bayan 2/180 Taba Beerut Me Aur Kashafi Ne Manhajj Ul Saadiqeen 4/493 Taba Tahraan Me,
Agarcheh Iski Intehayi Ghalat Wa Be'buniyaad Taaweel Ki Hai Lekin Is Baat Ko Tasleem Kiya Hai
Note : Mulla FatehUllah Kashafi Bada Mutaassib Shia Hai, Isne Jo Tafseer Likhi Hai Uske Naam Se Hi Is Baat Ka Andaaza Ho Jaata Hai Chunanche Is Tafseer Ka Naam Hai "Manhajj Ul Saadiqeen Fi Ilzaam Ak Mukhalifeen" Yani Mukhalifeen Ke Ilzamaat Ke Jawaab Me Ahle Haq Ka Sahih Raasta,
Allah Tala Ne Apne Kalaam E Muhkam Me Hz Moosa (As) Ke Qissa Me Bhi Is Tarah Farmaya Hai
"Toh Jab Moosa Ne Muddat Poori Kar Li Aur Apni Biwi Ko Lekar Chal Pade, Moosa Ne Toor Ki Jaanib Aag Mahsoos Ki, Apni Biwi Se Kahne Lage, Thahro Maine Aag Mahsoos Ki Hai"
(Surah Qasas Ayat 39)
Is Ayat Me "Ahl" Se Hz Moosa (As) Ki Jauza Muraad Hai,
Is Maqaam Par Tamam Shia Mufassireen Mutawaffiq Hain Ke " Ahl " Se Muraad Aapki Biwi Hai,
Isliye Ke Us Waqt Aapki Biwi Ke Siwa Koi Dusra Aapke Saath Nahin Tha,
Shia Mufassir Tabrisi "Ahl Moosa" Ki Tafseer Karte Hue Kahta Hai Ke
"Surah Namal Me Allah Ke Is Irshad
Wa'iz Qala Moosa Li'ahlihi
Se Muraad Aapki Biwi Hai, Jo Hz Shu'aib Ki Beti Thi"
(Tafseer Majmua al Bayan 211 Surah Namal)
"Wasaara Bi'ahlihi" Ki Tafseer Me Kahta Hai
"Ahl KA Matlab Aapki Biwi Hai"
(3/250 Surah Qasas)
Qaimi Ne Bhi Apni Tafseer Me Yahi Kaha Hai
(2/139 Matbua Najaf)
Note : Qaimi Ka Poora Naam Abul Hasan Ali Bin Ibraheem Al Qaimi Hai, 3ri Sadi Hijri Ke Shia Ulema Me Mumtaz Samjha Jaata Hai, Ibtedaayi Shia Mufassireen Ka Imam Hai,
Shia Mufassir Huwezi Apni Tafseer "Noor Ul Shaqeeleem" Me Aur Kashafi "Manhajj Ul Sadeeqeen" Me Yahi Kahte Hain,
Inke Elawa Dusre Shia Mufassireen Ne Yahi Bayan Kiya Hai,
Quran Pak Ki Surah Ahzaab Ki Ayat No 33 Me Bhi Ahle Bayt Ka Lafz Aaya Hai,
Yahan Bhi Ye Lafz Khaas Taur Par Qissa Azdawaaz E Mutahharaat Ke Baare Me Irshad Hua Hai
"Aur Jahiliyat Oola Ki Tarah Barhana Na Firna"
(Surah Ahzaab)
Note: Huwezi Ka Naam Abdul Ali Bin Juma Hai, Mutaassib Shia tha 1112 Hujri Me Wafaat Hui
Jo Bhi In Aayat Ko Padhe, Wah Ba'nazar E Awwal Hi Ye Baat Poori Tarah Jaan Sakta Hai Ke Ye Lafz Khaas Nabi E Akram (Sws) Ki Azdawaaz E Mutahharaat Hi Ke Baare Me Istemaal Kiya Gaya Hai,
Isliye Ke Ibteda Ayat Me bhi Aur Saabiqa Aayat Me Bhi Mukhatib Sirf Nabi (Sws) Ki Azdawaaz Mutahharaat Hi Hain,
Dusri Aayat Me Bhi Aap (Sws) Ki Biwi Ka Hi Zikr Hai
Chunanche Ibn Abi Hatim Aur Ibn Asaakir Akrama Ki Riwayat Se, Aur Ibn Marwiya Saad Bin Zubair (Ra) Ki Riwayat Se Hz Abbas Se Riwayat Karte Hain Ke Ye Aayat Nabi E Kareem (Sws) Ki Azdawaaz E Mutahharaat Hi Ke Baare Me Naazil Hui Hai"
(Dekhiye, Daayera Mu'arif E Islamiya Ka Urdu Muqala 3/576 Taba Lahore Pakistan)
Hadith Me Bhi Ye Lafz Aaya Hai,
Hadith Me Mazkoor Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Hz Aisha (Ra) Ke Kamre Me Daakhil Hue Aur Faramaya
"Assalamualaikum Ahl Bayt Warahmatullah"
Hz Aisha(Ra) Ne Jawab Me Farmaya
"Walaikum As Salam Warahmatullahi Wabarkatahu"
(Sahih Bukhari Kitab Ut Tafseer)
Bait Ul Nabi Ka Matlab Hai, Huzoor (Sws) Ka Wah Ghar Jahan Aap Apni Biwion Ke Saath Rahte They,
Haasil Kalaam Ye Hai Ke Ahle Bayt Nabi Sallalahi Alaihi Wasallam Se Asli Aur Haqeeqi Taur Par Aap (Sws) Ki Biwiyan Muraad Hain Lekin Apne Wasi Tar Mafhoom Ke Aitbaar Se Aap (Sws) Ki Aulaad, Aap (Sws) Ke Chacha Aur Unke Bete Bhi Shamil Hain,
Jaisa Ke Hadith Me Aaya Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Hz Fatima, Hz Hussain Aur Hz Hasan Wa Hz Ali (Ra) Ko Apni Chadar Me Lekar Farmaya
"Ya Allah ! Ye Mere Ahle Bayt Hain"....
To Be Continued
#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks