Tuesday, October 28, 2014

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-1)





Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-1)


Shia Logon Ko Ye Dhoka Dene Ki Koshish Karte Hain Ke Wah Ahle Bayt Un Nabi (Sws) Ke Pairo'kaar Hain, Aur Musalmano Ke Tamam Firqon Mese Haq Wa Sawaab Ke Sabse Zyada Qareeb Hain,

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Azeezon Aur Unke Mutalliqeen Se Khaas Talliq Rakhne Ki Wajah Se Bartar Aur Sabse Zyada Hidayat Par Hain,

Ham Pichle 3 Post Me Tafseel Se Bata Chuke Hain Ke Inke Nazdeek Ahle Bayt Se Nabi (Sws) Ke Ahle Khana Harghiz Muraad Nahin, Aur Na Hi Ye Log Unki Pairwi Aur Unse Muhabbat Karte Hain Balke Inke Nazdeek, Ye Lafz (Ahle Bayt) Baaqi Sabko Chhid Kar Sirf Hz Ali (Ra) Aur Unki Kuch Aulaad Par Bola Jaata Hai,

Is Post Me Ham Bataayenge Ki Shia Na Ahle Bayt Un Nabi (Sws) Se Dawa E Pairwi Wa Muhabbat Me Sacche Hain Aur Na Ahle Bayt E Ali (Ra) Se Muhabbat Wa Pairwi Ke Daawe Me Koi Sacchaayi Hai, Na Unke Bataaye Use Tareeqon Par Chalte Hain Aur Na Unke Khyalaat Par Hi Amal Karte Hain, Unke Raaste Par Nahin Chalte, Unke Aqwaal Wa Khyalaat Ke Mutaabil Apni Zindagi Nahin Ghuzaarte Balke Unke Bar'ashq Chalte Aur Qauli Wa Amali Taur Par Khullam Khulla Unki Mukhalifat Karte Hain,

Bil'khusoos Nabi E Akram (Sws) Ke Khulefa E Rashideen (Ra), Aapki Paak Biwion Aur Aap (Sws) Ke Nek Sahaba, Jinhone Is Deen Ko Aur Aap (Sws) Ki Risaalat Ko, Dusre Insaano Aur Kaaynaat Ke Gosha Gosha Tak Pahunchaaya, Jo Allah Ke Deen Ko Phailaane Waale, Uske Alam'bardar Aur Uske Kalima Ko Buland Karne Waale Hain, Jinhone Allah Ke Raaste Me Is Tarah Jihad Kiya Jis Tarah Juhad Karne Ka Haq Tha, Uski Raza Ke Liye Har Mata Ko Nichhawar Kar Diya,

Jinke Baare Me Khud Allah Ne farmaya

"Jis Par Baatil Asar'andaz Nahin Ho Sakta, Na Aage Se Na Peeche Se Ye Utaara Gaya Hai Hikmat Waale Qaabil E Tareef Zaat Ki Taraf Se"

(Surah Fussilaat Ayat No 42)

Quran Majeed Me Irshad Hai

"Unke Pahlu Bistaron Se Juda Rahte Hain, Woh Apne Parwardigar Ko Darte Hue Pukaarte Hain Aur Hamare Diye Hue Se Kharch Karte Hain"

(Surah Sajda Ayat 16)

Ek Jagah Farmaya

" Wah Log Jo Allah Ko Yaad Karte Hain Khade Hon Ya Baithe Hote Hon, Aur Apne Pahluon Par (Lete Hue Hon) Aur Zameen Wa Aasmaan Ki Paidaish Ke Mutaalliq Poochte Hain,

Aiy Hamare Rabb Tune Ise Be'kar Paida Nahin Kiya, Tu Paak Hai Hamen Jahannum Ke Azaab Se Mahfooz Farma"

(Surah Al e Imram Ayat No 191)

Ek Jagah Allah Tala Ne Jo Sabse Zyada Sach Kahne Wala Hai, Apne Barghuzeeda Rasool (Sws) Ke Saathion Ki In Alfaaz Me Taareef Ki

" Muhammad Allah Ke Rasool Hain Aur Jo Imaan'dar Unke Saath Hain Wah Kuffar Ke Muqaable Date Hue Hain, Apas Me Ek Dusre Ke Liye Bade Meharban Hain, Tum Unko Ruku Wa Sujood Karte Hue Dekhte Ho, Wah Allah Ka Fazal Aur Uski Khush'noodi Chaahte Hain, Unki Nishani Unki Namazon Ke Asar Se Unke Chehron Me Hai, Yahi Ausaaf Unke Tauraat Me Markoom Hain Aur Injeel Me Unke Ausaaf Ek Kheti Ki Tarah Marqoom Hain Jisse Ek Sui (Niddle) Nikli, Fir Wah Mazboot Hui, Fir Wah Moti Hui, Fir Wah Apni Naal Par Seedhi Khadi Hui Ke Kisaano Ko Bhali Lagti Hai, Kuffar Unki Wajah Se Jalte Honge, Allah Ne Iman'daron se Aur Jo Un Mese Nek Aamaal Karte Hain, Unse Bakhshish Aur Bade Badla Ka Waada Kiya Hua Hai "

(Surah Fath Ayat No 29)

Is Ayat Me Allah Tala Ne Ghazwa E Tabook Ke Shuraka Ke Baare Me Farmaya

"Allah Tala Ne Nabi (Sws) Par Aur Muhajireen Aur Ansaar Par Tawajjah Ki Jo Mushkil Waqt Me Jabke Baaz Musalmano Ke Dil Dagmaga Chuke They, Nabi (Sws) Ke Saath Rahe, Wah Un Par Bada Hi Meharban Nihayat RaheM wala Hai"

(Surah Tauba Ayat 117)

Ghazwa Hudaibiyah Me Shirkat Karne Walon Ke Liye Irshad Hai

"Allah Tala Imaan'daron Se Raazi Hua, Jab Wah Ek Darakht Ke Neeche Tujhse Bayyat Karte They Jo Unke Dilon Me Tha, Allah Ko Sab Malum Tha, Aur Un Par Tasalli Utaari, Aur Unke Ek Qareebi Fatah Di Aur Kai Ghaneematein Jinko Musalman Lete Rahe Aur Allah Bada Ghalib Badi Hikmat Wala Hai"

(Surah Fath ayat 18- 19)

Mazeed Farmaya

"Pas Jin Logon Ne Watan Chhoda Aur Apne Gharon Se Nikaale Gaye Aur Meri Raah Me Sataaye Gaye Aur Lade Aur Maare Gaye, Zaroor Unki buraiyyan Unse Door Karunga Aur Unko Aise Baaghon Me Daakhil Karunga Jinke Neeche Nahrein Bahti Hongi, Allah Ki Tarah Se Unko Ye Badla Milega (Elawah Allah Ke Yahan Aur Bhi Nek Badla Hai)"

Allah TaLa Ne Unke Sacche Aur Haqeeqi Imaan Ki Ye Kah Kar Gawaahi Di

"Aur Wah Log Jo Iman Laaye ; Hijrat Ki Aur Allah Ke Raaste Me Jihad Kiya Aur Wah Log Jinhone Thikaana Diya Aur Madad Ki, Yahi Log Sacche Momin Hain , Unke Liye Bakhshish Hai Aur Undah Rizq Hai"

(Surah Anfal Ayat 74)

Sabse Pahle Hijrat Karne Waale Sahaba (Ra) Aur Ansaar (Ra) Ke Baare Me Farmaya 


Aur Sabqat Le Jaane Waale Pahle Momin Muhajireen Wa Ansaar Me Se, Aur Wah Log Jo Unki Nek Rosh Ki Taabe Hue, Allah Unse Raazi Ho Gaya Aur Wah Allah Se Razi Ho Gaye, Allah Ne Unke Liye Baghaat Taiyyar Kiye Hain Jinke Neeche Nahrein Bahti Hongi Aur Wah Unme Hamesha Hamesha Rahenge, Ye Bahut Badi Kaamyaabi Hai"

(Surah Tauba Ayat 100)

Ek Aur Jagah Sab Muhajireen Aur Ansaar Ke Baare Me Ye Farma Kar Unki Falaah Wa Kaamraani Ki Zamaanat De Di

"In Faqeer Muhajireen Ke Liye, Jo Apne Gharon Aur Apne Maal Wa Daulat Se Nikaale Gaye, Wah Talaash Karte Hain Allah Ka Fazal Aur Raza'mandi, Aur Wah Madad Karte Hain Allah Aur Uske Rasool Ki, Yahi Log Hain Jo Sacche Hain, Aur Wah Log Jinhone Inke Pahuchne Se Pahle Darul Imaan Banaya, Jo Log Unki Taraf Hijrat Karke Aate Hain Aur Jo Kuch Unko Allah Ki Taraf Se Mila Hai, Apne Dilon Me Uski Haajat Nahin Paate, Unki Zarooriyaat Ko Apni Zarooriyaat Par Tarjeeh Dete Hain, Chaahe Unko Shakht Haajat Ho Aur Jo Log Apne Nafs Ke Bukhl Se Bach Jaayen Wahi Nijaat Paane Waale Honge"

(Surah Hashr Ayat 8- 9)

Fatah Makka Se Pahle Aur Fatah Makka Ke Baad Allah Ki Raah Me Kharch Karne Waale Sahaba Kiram (ra) Ki Taareef Wa Rauseef Karte Hue Farmaya

"Tum Mese Wah Log Jinhone Fatah Makka Se Pahle Kharch Kiya Aur Jihaad Kiya, Unse Darjaat Ke Aitbaar Se Badh Kar Hain Jinhone Fatah Makka Ke Baad Kharch Kiya Aur Jihaad Kiya Aur Har Ek Se Allah Ne Bhalai Ka Waada Kiya Hai, Aur Allah Tala Tumhare Aamal Se Ba'kahabar Hai"

(Surah Hadid Ayat 10)

Aap (Sws) Ki Paak Biwion kE Baare Me Allah Tala Farmata Hai

"Nabi (Sws) Zyada Haqdaar Hain Momin Ka Unki Nafson Se Aur Uski Biwiyan Unki Maayen Hain"

(Surah Ahzaab Ayat 6)

Ek Ayat Me Irshad Hota Hai

"Aiy Nabi (Sws) Ki Biwion ! Tum Aam Aurton Ki Tarah Nahin Ho "

(Surah Ahzan Ayat 32)

Quran Paak Ki Aayaat Sahaba (Ra) Ke Baare Me Yahi Kahti Hain, Inke Elawah Bhi Bahut Si Ayaat Is Zumr Me Quran Paak Me Maujood Hain,

Aiyye Ab Ahle Bayt Ki Pairwi Aur Muhabbat Ke Daawedaron Ko Aur Unke Masoom Aimma Ko Dekhte Hain, Jo Ba'qaul Unke Aal E Bait Hain Ke Wo Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Se Nafrat Karte They , Unke Gaaliyan Bakte Ya Usse Badh Kar In Jhoote Daawrdaron Ki Tarah Unhe Kaafir Kahte Aur Laanat Samjhte They ???

Ya Isse Bar'ashq Wah Unki Farma'bardari Aur Unse Muhabbat Kiya Karte They, Un Par Mehar'baniya Karte They Aur Unki Mushkilon Me Madad Kiya Karte They, Apne Kaamon Me Unse Mashwara Lete, Aur Unke Dukh Dard Baata Karte They, Ya Unhe Apne Deeni, Dunyawi Aur Mulki Wa Hukumi Maamlaat Me Shareek Kiya Karte They, Unke Huqm Aur Iqtedaar Ki Bayyat Kiya Karte They, Unke Jhande Tale Jihaad Karte They Aur Us Maal E Ghaneemat Mese Le Liya Karte They Jo Uske Zariye Haasil Hota Tha, Unse Sasuraali Talluqaat Qayem Karte, Unke Yahan Se Khud Shadiyan Karte Aur Wah Unke Yahan Se Shadiyan Karte Unke Naamon Par Apne Beton Ke Naam Rakhte Aur Unki Yaad Se Barkat Haasil Kiya Karte They, Apni Majlison Me Unke Tazkire Kiya Karte They, Masail Me Unki Taraf Ruju Karte...

Ye Tamam Cheezein Ham Bayan Karenge Aur Is Zamr Me Jo Kuch Kahenge Khud Shia Ki Apni Kitaabon Se, Shayad Haq Zahir Ho Jaaye Aur Sacchayi Nikhar Kar Saamne Aa Jaaye, Baatil Dab Jaaye Aur Jhoot Mit Jaaye...... InshaAllah

To Be Continued...


#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks